Hmmmmm Danny bhai yeh aapki mohabbat aur badappan hai ke aapne meri bato ka itni khoobsurti se jawab diya......waise aapne bohat mushkil sawaal pooch liya hai mujhse. Ab jawab to dena hi hai, agar mera jawab aapki naraazgi ka sabab banega to isme 100% meri nasamjhi hi wajah hogi.
Paigaam aaya hai mehbuuba ka mahinon baad
Dil kehta hai bahut khushi se ucchal raha hoon
Aap poori Ghazal ko dekhiye aur is sher ko dekhiye.........aisa lagta hai mano achanak biryani ke niwale me kali mirch ka dana aa gaya. Main aapko zati taur par to nahi jaanta aapki jo shaksiyat se main wabasta hu woh aapke kalam ke zariye hai........aur mujhe achanak yeh mehsoos hua arey yeh kya likh diya aapne.
Aajkal ghusse main bhi khaana khaa leta hoon
Gharwali kahe sHukr hai ki sambhal raha hoon
Jaha tak is sher ki baat hai aapne ek msg zarur dena chaha hai, jaise pehle ladaiee hoti thi to khana peena hi badh ho jata tha ab kam se kam woh halaat to nahi hai, lekin phir yeh ek badi mamuli si baat lagi jise kaha gaya jabki Ghazal ek alag khoobsurat mood liye huye thi jise thoda sa bemaza kiya in do shero ne.
Danny saheb aap yaqeen kare main kisi bhi member ka kalam ho pure dil se padhta hu, baki sab membaro me apne aapko sabse bada lailm samajh kar hi chalta hu. Lekin jo bhi kehta hu dil se kehta hu. Meri bato ka kabhi yeh maqsad nahi hota ke main kisi kalam ya shayer ki tauheen ka sabab banu. Aap mujhse lakh guna achche shayer hai aur aapse har guftugu mujhe kuch nayee seekh deti hai.
Aapne Gumaan lafz ka bohat khoobi se saboot pesh kiya aur maine us famous gane ke bhi khoob maze liye......hahahahahahah. Lekin
Pride meaning se abhi bhi mutmaeen nahi hua hai dil, ha
Over Confidence kuch hadd tak theek lagta hai. Lekin yaha bhi meri zidd kahi jayegi agar main aapki daleel ko na manu qke aapne dictionary ka bhi wasta diya hai jo galat nahi ho sakta so the matter is closed for this word.
Aur jaha tak
Musawwir ke mane
Artist hone ki baat hai to maine check karne ke baad hi apni baat kahi thi.....ya yu ho sakta hai maine waha check nahi kiya jaha iske mane
Artist bhi hai. Jaha tak maine check kiya
Fankaar ke mane
Artist kahe gaye hai.
Aapse baat karke bohat achcha laga, maine agar koi gustakhi ki ho to chota samajh kar maaf kar de.