Aaj bebasi ka ajab sa chehra dekha hai,
Palko pe humne yado ka pehra dekha hai.
Apne hi gham me bandha sehma hua,
Aaj fir usko kuch dara dara dekha hai.
Kasme wade tod kar bekhauf aate hue,
Patjhad me aaj kuch pedo pe hara dekha hai.
Haath chhuda kar mujhse door jane wale,
Paani humne bhi teri palko pe bhara dekha hai.
Jab bhi gham-e-yaar ko awaz di humne,
Waqt ko bhi usi lamhe pe thehra dekha hai.
Nahi dekha to bus use hasta nai dekha,
Jab bhi mila humse use sehma dara dekha hai.
Wo abhi se dard ki apne duhaiya hai dete,
Jinki baaho me khudko humne roj mara dekha hai.