Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 2 votes, 5.00 average. Display Modes
Ghazal: 'Sagaaii'
Old
  (#1)
Sharaabi
madhoSH shaKHs
Sharaabi has a spectacular aura aboutSharaabi has a spectacular aura about
 
Sharaabi's Avatar
 
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
Post Ghazal: 'Sagaaii' - 29th April 2003, 08:38 AM

bas, do-teen saaloN ki duurhii rehe gayi.


---
mehfil meiN baiTha tha jab bajjii shenaaii us raat
ghair se teri.. maut se meri hui sagaaii us raat

uska ghar basaa kar tu bahot khush dikh rahi thi
mere har ashq ko dekh kar tu muskuuraaii us raat

jin haathoN ko thaam kar tune sajaaya tha dil ko
.. unhi haathoN se doli teri sajaaii us raat

'aman' ka yaar bhale bewafa ho gaya yaaroN..
par maut ne apni kasam zaroor nibhaaii us raat
---
Aman ©



"je tu akhiiyaaN de saamne naii rehnaa,
te bibba saada dil moD de..!"


kya karooN? aisa hi hooN maiN..
  Send a message via Yahoo to Sharaabi  
Reply With Quote
Old
  (#2)
bedilMusafir
Registered User
bedilMusafir will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 405
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 22
Thumbs up 29th April 2003, 08:56 AM

Salaam qubool kijiyega 'Ustaad ji', kaise hai aap?

aaj bohat dino baad aaya yaha, aur aate hi aapki behad khoobsurat aur kashish bhari ye ghazal padhne ko mili...

jin haathoN ko thaam kar tune sajaaya tha dil ko
.. unhi haathoN se doli teri sajaaii us raat


waah Aman sahab bohat hi sakht baat keh di aapne is ek hi sher me...
Kusoor us shakhs ka bhi tha bohat kuch
kisi karan jo kuch bola nahi tha.

kuch aisa hi ehsaas hua aapke is sher se...

aur phir aapka ye kehna ki

'aman' ka yaar bhale bewafa ho gaya yaaroN..
par maut ne apni kasam zaroor nibhaaii us raat

wakai ye sher maut ki wafa se ru-ba-ru karata hai...

bohat hi khoob likha hai aapne...
muabarakbaad aur shukriya qubool kijiyega...

likhte rahiye aur muskuraate rahiye...


mai 'bedil'
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
dilselovergirl
Just A Lover
dilselovergirl is on a distinguished road
 
dilselovergirl's Avatar
 
Offline
Posts: 171
Join Date: Nov 2001
Location: USA, Mississippi
Rep Power: 23
Thumbs up 29th April 2003, 09:18 AM

Aman ji,

bohat hi tarif-e-kabil hai aapki yeh dard bhari ghazal/shayri jo bhi kahiye aap ese...aandaz pasand aaya...
humen pata hai aap likhte rahenge...

luv,
tulsika!~


*¤*.¸¸.·´¨`» T u L s I k A «´¨`·.¸¸.*¤*

Last edited by dilselovergirl; 30th April 2003 at 04:17 AM..
  Send a message via Yahoo to dilselovergirl Send a message via AIM to dilselovergirl  
Reply With Quote
Old
  (#4)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
29th April 2003, 10:57 AM

Aman ji,

Kaise hai aap? Umeed karta huun darust honge..

Aapki yeh nayi Ghazal pari magar isme jazbaat wohi puraane..dard bhare mile.Ik baar fir se dard ka paymaana chalak gaya..

uska ghar basaa kar tu bahot khush dikh rahi thi
mere har ashq ko dekh kar tu muskuuraaii us raat

Ye sheyr na jaane kyon kisi bedard ki yaad dila gaya..

Aapne achha likha hai..Dard ko bahut hi umda lafzon mein utaar diya hai aapne..

Aise hi Likhte rahiye
Varinder


kyon zindagi ki raah mein akele chalta hai dost
chal waha chal jahan tere jaise aur bhi hai...
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
29th April 2003, 12:51 PM

Pata nahin kyon aapki ghazleim par kar dard aur khushi dono mehsoos hoti hai.. lafzon mein itna dard, itni bebasi qaid karna aasaan nahin.. shayad hume ye kehne ki zaroorat nahin, par dil mein baat aayi hai to keh hi dete hain, aap bohat hi achhe shayar hain Aman sahab. Dil se ye ghazal likhne ka shukria qubool farmaiye..


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
Sharaabi
madhoSH shaKHs
Sharaabi has a spectacular aura aboutSharaabi has a spectacular aura about
 
Sharaabi's Avatar
 
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
30th April 2003, 06:56 AM

Bedil bhai
kal ki baat ke liye shama kar di jiye.. thoDa 'tUn' ho gaya tha maiN.
aur haaN, maiN ustaad kahaaN.. mujhe ustaad kehe kar, asli ustaadoN ko gaali na di jiye!

aapka 'ehsaas' pesh karne ka tareeqa achcha lagga bhai..
ghazal pasand farmaane ka shukriya!


Dilse ji
navaazish, aur waqt ka shukriya qabuul ki jiye!
aapko mera likhne ka 'andaaz' pasand aaya, is baat se behad khushii hui!


Varinder bhai
maiN theek hi huuN dost.. aap sunaaiiye?
paimaana to aksar chalakta rehta hai dost, ya woh dard ka ho, ya khushi ka

ghazal pasand farmaaii, ab mera shukriya bhi qabuul farmaaiiye!


Banno rani
kya haal hai madam?
aapko meri ghazaleN paD kar khushii hoti hai, is baat se maiN bhi khushi ke maqaam pe paauNch gaya!
waise, lafzoN meiN dard chuphaana zaada mushkil bhi nahiiN hai banno ji.. bas waqt waqt hi baat hai
jis taraH mukesh saahab ka gaana hai "maiN pal do pal ka shayar huuN, pal do meri kahaani hai.." waise hi maiN huuN.

khair, waqt aur taareef ka dhanyavaad!


itni izzat aur mohabbat ke kaaran hi maiN is mehfil meiN aata huuN.. aap sab mera dilii shukriya qabuul ki jiye!



"je tu akhiiyaaN de saamne naii rehnaa,
te bibba saada dil moD de..!"


kya karooN? aisa hi hooN maiN..
  Send a message via Yahoo to Sharaabi  
Reply With Quote
Old
  (#7)
Zeba
Registered User
Zeba has a spectacular aura aboutZeba has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 585
Join Date: Jan 2003
Rep Power: 23
30th April 2003, 07:01 AM

Aman sahab,
mujhe uska naam bataiyeh, mai usse zaroor puchoongi ke itne dilchasp aur sanjeedah insan ko satakar use kya mila.

gazal bohot acchi thi...is me haqeeqat nazar ati hai.

zeba
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
Sharaabi
madhoSH shaKHs
Sharaabi has a spectacular aura aboutSharaabi has a spectacular aura about
 
Sharaabi's Avatar
 
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
30th April 2003, 07:45 AM

Zeba ji
agar aap unse yeh pucheN ge, to unka jawaab hoga: "woh mere sataane ke kaaran se hi to itna dilchasp banna hai!"

haaN, aisa hi kaheN ge woh
behad khushii hui aapka 'jawaab' paD kar..

waqt, aur taareef ka shukriya!

aman



"je tu akhiiyaaN de saamne naii rehnaa,
te bibba saada dil moD de..!"


kya karooN? aisa hi hooN maiN..
  Send a message via Yahoo to Sharaabi  
Reply With Quote
Hiiiii
Old
  (#9)
akant
Registered User
akant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to behold
 
akant's Avatar
 
Offline
Posts: 1,774
Join Date: Apr 2003
Location: UP, India
Rep Power: 30
Hiiiii - 30th April 2003, 11:38 AM

Aman Bhai,

kaise hain aap? aaj aapki ghazal padh ke kisi ki yaad taja ho gayi. bahoot badhiya ghazal aapne yaha pesh ki hai. bahoot achchhi lagi sabhi line.


Aapka shubhchintak,
Akant...


*********
आहट सी कोइ आये तो समझ लेना कि तुम हो...
AahaT si koi aaye to samajh lena ki tum ho...
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
30th April 2003, 11:38 AM

Aman sahab, hum to humesha hi theek thak hote hain.. haan, khushi ki 'levels' badalte rehti hai

Aur Mukesh sahab ka gaya hua woh gaana to har insaan ki haqeeqat hai.. insaan hai kya? kuchh bhi to nahin..

Dard lafzon main qaid karna mushkil nahin, aur apke kalaam ko waqt aur tarref dena aur bhi aasaan hai!

Hum san par karam karein, aur likhte rahien..


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
mein_aur_tanhai
Registered User
mein_aur_tanhai is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 492
Join Date: Feb 2003
Location: Kabaristaan...
Rep Power: 22
30th April 2003, 11:48 AM

namaste sirkar... yar.. apne bahut hi.. accha likha hai yar... sachi..dard ki ghraai ka pata chalta hai isse... aur apne.. kya .. likha hai ... maut ke sath sagai .. sahi hai yar ....

anywaz.. padh kar. .accha likha .. pata nai chal raha hai .. ke mein kisi line ki tareef karu .. har ..shabd.. tareef ke kabil hai..

bye take care


Lamha Lamha...saSein Khatam hoo rai hai...
Zindagi Maut ke pehlu mein soo rai hai...
Us bewafa se na pucho meri maut ki wajah...
Woh to bus zamane ko dikhane ke liye roo rai hai...
   
Reply With Quote
Kya baat hai
Old
  (#12)
pyaasa
PYAASA SHAYAR
pyaasa will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 368
Join Date: Apr 2002
Location: in a womens heart
Rep Power: 23
Thumbs up Kya baat hai - 30th April 2003, 11:53 AM

AMAN JI,

Likhna to koi aapse seekhe jazbaaton ko lafzon mein kya dhaala hai aapne . dil ko chu gayi aapki yeh lines

'aman' ka yaar bhale bewafa ho gaya yaaroN..
par maut ne apni kasam zaroor nibhaaii us raat

ZINDAGI RAHI TO FIR MILENGE

BYE FOR NOW & TAKE CARE

iminlovein@yahoo.com


TERE CHEHRE PAR UJAALA RAHE HAR WAQT YEHI DUA HAI
APNI LAASH JALAAKAR TERE CHEHRE PAR UJAALA LE AAYENGE
******************************
PHOOL KHILTE HAIN LOG MILTE HAI
PATJHAD MEIN JO PHOOL MURJHA JAATE HAIN
WOH BAHARON KE AANE SE KHILTE NAHI
KUCH LOG EK ROZ JO BICHHAD JAATE HAIN
WOH HAZAARON KE AANE SE MILTE NAHI
UMRA BHAR CHAHE KOI PUKARA KARE UNKA NAAM
WOH FIR NAHI AATE WOH FIR NAHI AATE
  Send a message via Yahoo to pyaasa  
Reply With Quote
waah waah
Old
  (#13)
Neha Haroon
Registered User
Neha Haroon has a spectacular aura aboutNeha Haroon has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 555
Join Date: Jan 2003
Location: California
Rep Power: 23
Love waah waah - 30th April 2003, 01:29 PM

mehfil meiN baiTha tha jab bajjii shenaaii us raat
ghair se teri.. maut se meri hui sagaaii us raat

uska ghar basaa kar tu bahot khush dikh rahi thi
mere har ashq ko dekh kar tu muskuuraaii us raat

jin haathoN ko thaam kar tune sajaaya tha dil ko
.. unhi haathoN se doli teri sajaaii us raat

'aman' ka yaar bhale bewafa ho gaya yaaroN..
par maut ne apni kasam zaroor nibhaaii us raat

achaa likha hai aap nay
keep it up
neha


neha
 Send a message via ICQ to Neha Haroon Send a message via Yahoo to Neha Haroon Send a message via AIM to Neha Haroon  
Reply With Quote
Old
  (#14)
Sharaabi
madhoSH shaKHs
Sharaabi has a spectacular aura aboutSharaabi has a spectacular aura about
 
Sharaabi's Avatar
 
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
1st May 2003, 09:26 AM

Akant bhai
maiN theek huuN, aur ummeed hai ki aap mujhse kaii zaada achche houN ge
ghazal pasand farmaane ka bahot bahot shukriya!


Banno rani
ek baar phir se shukriyaa'da karta huuN aapka! =)


Tanhai saahab
navaazish aur waqt ka mehrbaan huuN maiN!
khushi hui jaan kar ki aapko yeh pasand aayi..
shukriya qabuul farmaaiiye


Pyaasa ji
maiN to bas kabhii-kabaar sharaab ke zariye jazbaatoN ko lafzoN meiN badal daalta huuN..
bahot khush hua aapko yahaaN dekh kar, dhanyavaad!


Neha ji
ghazal pasand farmaane ka shukriya qabuul ki jiye!


ek baar phir se sabka shukriya jo mera hausla baDhaaya!



"je tu akhiiyaaN de saamne naii rehnaa,
te bibba saada dil moD de..!"


kya karooN? aisa hi hooN maiN..
  Send a message via Yahoo to Sharaabi  
Reply With Quote
hi
Old
  (#15)
shayri12345
Registered User
shayri12345 is a jewel in the roughshayri12345 is a jewel in the roughshayri12345 is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 2,408
Join Date: Sep 2001
Location: New York
Rep Power: 27
hi - 1st May 2003, 09:23 PM

hi aman kaise ho yaar? aapki ye ghazal...me ghazal hi na paayi jasbaat e dil ki gehrayi bhi paayi...pyaar insaan ko kis had tak majbur aur bebas kar deta hai ye paya...jis shaks ko chahtey hai hum agar vo mil na sake to ek baat hai par if that person have no idea of how u feel..it hurts...can understand ur feelings..har lafz umda hai is ghazal ka aapki tarha.

Priya


Akhihaan milaake chan'na paavi na Judayi Vey .......

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jisnu Lagey, ohi'yo jaane, Kaun Jaane peer parayi!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
Sharaabi
madhoSH shaKHs
Sharaabi has a spectacular aura aboutSharaabi has a spectacular aura about
 
Sharaabi's Avatar
 
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
2nd May 2003, 05:40 AM

Priya ji
sahii farmaaya hai aapne.. dukh to waaqaye bahot hota hai =\
waise, waqt, aur taareef dono ka bahot bahot shukriya!

behad khushi hui jaan kar ki aapko mere jazbaatoN ka ehsaas hua! shukriya phir se qabuul ki jiye..

aman



"je tu akhiiyaaN de saamne naii rehnaa,
te bibba saada dil moD de..!"


kya karooN? aisa hi hooN maiN..
  Send a message via Yahoo to Sharaabi  
Reply With Quote
Old
  (#17)
dil_e_sikast
Nacheej shayra
dil_e_sikast will become famous soon enoughdil_e_sikast will become famous soon enough
 
dil_e_sikast's Avatar
 
Offline
Posts: 557
Join Date: Sep 2002
Location: india(gujarat)
Rep Power: 23
2nd May 2003, 07:17 PM

dear amanji,
aapki "sagaii" me to dhum machi hui hai ( i mean to say "aap ki post me"). Aur sahi hai jis andaj me aapne likha hai aur jis tarahse apne lafjo ko sajaya hai...muje to pata hi nahi chal raha me kya likhu. Bas aapke liye ek sher arj karti hu...

jaane tuj pe kya kya gujri e dost us raat
jaane kiske khun se saji mehdi us raat
ab tak ruthi hui hai roshni mekhane se
jabse kiya "sharabi" ne andhera us raat

keep writing....
urs sanam


taqdeer ne kya kam sataya hua tha
jo ab ye bewaqt hi tuje satane aa gaye
logo ne nahi dekha apne girebaan main
aur dekho 'sanam' ko aajmane aa gaye
-> SaNaM
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
Sharaabi
madhoSH shaKHs
Sharaabi has a spectacular aura aboutSharaabi has a spectacular aura about
 
Sharaabi's Avatar
 
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
3rd May 2003, 06:50 AM

meri sanam,

aapko apni sagaaii meiN invitation dena bhool gaya, magar fikr na kariye, aisi sagaaii to sirf sapnoN meiN hoti hai.. asli bhi ho jaaye gi do - teen saaloN meiN

aapne dilchasp sher arz kiya hai! sharaabii ne andhera kahaaN kiya hai.. jab tak sharaab hai, tab tak mehfil meiN raushnii bhi rahe gi, bhale meri zindagi meiN na rahe.

itni izzat, taareef, aur waqt ka maiN shukr-guzaar huuN!

dhanyavaad,
aman



"je tu akhiiyaaN de saamne naii rehnaa,
te bibba saada dil moD de..!"


kya karooN? aisa hi hooN maiN..
  Send a message via Yahoo to Sharaabi  
Reply With Quote
Old
  (#19)
Monarch
Registered User
Monarch is on a distinguished road
 
Monarch's Avatar
 
Offline
Posts: 10
Join Date: Dec 2002
Location: Bison
Rep Power: 0
3rd May 2003, 07:20 AM

aman sahab kya kehna. badi hi dukh bhadi ghazal likhi ha aapne.. kya sachai hai isme.. iski kis alfaazo main taareef karo kuch samajh main nahi aa raha hai. bus itna kahuga ke aise hi likhte rahiye aur in naacheezo ko apni shayri aur ghazal padne kaa maukaa dijiye...


'aman' ka yaar bhale bewafa ho gaya yaaroN..
par maut ne apni kasam zaroor nibhaaii us raat



shukriya

monarch


kar saku to hamare liye sirf ek dua karna,
zindagi ki nahi hamare Maghfirat ki dua karna..

-----------------------
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
Sharaabi
madhoSH shaKHs
Sharaabi has a spectacular aura aboutSharaabi has a spectacular aura about
 
Sharaabi's Avatar
 
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
3rd May 2003, 09:41 AM

Monarch saahab,
ghazal pasand farmaane ka shukriya qabuul farmaaiiye!
jab tak kalam haath meiN hai, tab tak maiN bhi likhta rahuuN ga bhai.. magar, naachiiz aap nahiiN, hum haiN! maiN sach meiN bahot kismat-waala huuN ki aap jaise log meri jazbaatoN ko sarhaate haiN.

sach kahuuN to dost, maiN guzar chuka huuN gham se, magar abhi ranj-e-furaavaaN se guzarna baaqi hai.

aapka dilii shukriya taareef, aur waqt ka..

aman



"je tu akhiiyaaN de saamne naii rehnaa,
te bibba saada dil moD de..!"


kya karooN? aisa hi hooN maiN..
  Send a message via Yahoo to Sharaabi  
Reply With Quote
Old
  (#21)
naraz
dhalta hua suraj
naraz is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 43
Join Date: Nov 2002
Location: wats in the location. a human can not stay at a place. i am also changing my location day to day
Rep Power: 0
3rd May 2003, 09:58 PM

aman sahab
bahot khub likha hai
aaj pata chala ki shayri kalam se nahi dil se likhi jati hai..
muje to khair ye kehne ki jaroorat nahi ki
likhte rahiye
fir milenge
aaquib


aaquib
Tum nahi pass,koi pass nahi
Ab muje jindagi ki koi aas nahi
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
paplupopat
Registered User
paplupopat will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 269
Join Date: Jan 2003
Location: india.
Rep Power: 22
4th May 2003, 12:06 PM

tumse bichadkar muzase mili thi woh us raat,
tumhari joodaii main khub roii thi woh us raat.

tum kahkar be-wafaa use bhul bhi jaoge,
apni wafa ki duhaii muze de rahi thi woh us raat.



Hello Aman,

Khub likha hai......nastar taraashna to koi tumse sikhe.

Aur haan ..Sanam ka bhi javaab nahi.....aapki chaavN maie rahegi to uski kalam se bhi dard hi tapkega.

paplupopat.






Last edited by paplupopat; 4th May 2003 at 12:17 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
Sharaabi
madhoSH shaKHs
Sharaabi has a spectacular aura aboutSharaabi has a spectacular aura about
 
Sharaabi's Avatar
 
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
4th May 2003, 01:04 PM

Janaab Aaquib,
aapko yahaaN dekh kar khushii hui dost!
ghazal pasand farmaane ka shurkiya qabuul ki jiye..
aur haaN, hum bhi yehii ummeed karte haiN ki dohbaara mulaaqat ho!


Paplu saahab
bahot hi achcha sher likha hai aapne!
aur is ghazal paD kar, waqt lagaate hue taareef bhi kar gaye..
baDii mehrbaani aapki.. shukriya!


hausla baDhaane ka ek baar phir se dilii shukriya karta huuN!



"je tu akhiiyaaN de saamne naii rehnaa,
te bibba saada dil moD de..!"


kya karooN? aisa hi hooN maiN..
  Send a message via Yahoo to Sharaabi  
Reply With Quote
hi
Old
  (#24)
banjara''''
kuch likhne ki koshish
banjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura about
 
banjara'''''s Avatar
 
Offline
Posts: 930
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 24
hi - 4th May 2003, 03:33 PM

kiya kahain sharabi sahab kiya likha hay aap ne
bohat hi dard hay ,,ab is se ziada ham or kiya kahain
bas likhte rahiye hamain intizar rahe ga
khan banjara'''
<mohabbat ka maza to judai main hay>
   
Reply With Quote
mit jaaye yhe adawton ke silsile tu kia Sawerah
Old
  (#25)
Sawerah Hayat
Registered User
Sawerah Hayat will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 98
Join Date: May 2003
Location: usa
Rep Power: 21
Red face mit jaaye yhe adawton ke silsile tu kia Sawerah - 5th May 2003, 12:53 PM

aap kie shayri wakai hee kabil-e tareef hai

humein paadh kar bohaat achaa lagaa
aap key jawaab ka humein intezaar rahegaa

Sawerah

shayd ke main tum se koi baat karhi loon
yhe mottion ke mala tere saath karhi loon

jo mere dil main hai mere lafzon ki zuban
who hi sughaat tere saath karhi loon

yhe peyaar o mohbbat saB hi dard ke silsile hain
main tu ek adna si ebbadat tere saath karhi loon

eshq o mohbbat main jeet o haar main kia janoon
bas itna main aapni maat bhi tere saath karhi loon

gar jo tere dil ko baagh kare mere yhe afkaar
toe sumjhoon ke yhe enayat tere saath karhi loon

main yaadon main aksar jaag kar ay dost
raat ko din, din ko raat tere saath karhi loon

mit jaaye yhe adawton ke silsile tu kia Sawerah
main haseen aapne lamhaat tere saath karhi loon


Sawerah

Last edited by Sawerah Hayat; 5th May 2003 at 12:55 PM..
 Send a message via ICQ to Sawerah Hayat Send a message via Yahoo to Sawerah Hayat Send a message via AIM to Sawerah Hayat  
Reply With Quote
hi
Old
  (#26)
Nitin
Registered User
Nitin is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 88
Join Date: Sep 2002
Location: coimbatore, india
Rep Power: 22
Thumbs up hi - 5th May 2003, 08:07 PM

Namaste aman bhai , bura mat maniyega apki is shayri ki taarif ke liye shabd nahi hai mere paas dard ko kitni bekhoobi bayaaN kiya hai apne.
"wah ustad wah" bahut hi khoob lagi apki ye shayri..
likhte rahiyega..


justnitin










 Send a message via ICQ to Nitin Send a message via Yahoo to Nitin Send a message via AIM to Nitin  
Reply With Quote
Old
  (#27)
Ishiqka
Ishiqka
Ishiqka is on a distinguished road
 
Ishiqka's Avatar
 
Offline
Posts: 293
Join Date: Oct 2002
Location: toronto
Rep Power: 22
5th May 2003, 11:28 PM

Aman ji.
aab kahen tho kya kahen. aisa lagta hai aapki shayri parr karr ke aapki taqkdeer jaag utthi hai. maloom nehi kyuin magar aisa mehsoos hota hai. aapne phir se eek baar kamal karti aisi dillagi laga karr shayr se bhi ustad bann gaye. wah!
aap aise hi likhte rehega aman ji aur hum intzaar karenge aapki next shayri ka
take care
Ishiqka



p.s maaf karna thodi dher se reply kiya


Jee rahe hai kaise ye hum hi jaane
   
Reply With Quote
Old
  (#28)
mausam
Yaadon ka!
mausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant future
 
mausam's Avatar
 
Offline
Posts: 6,801
Join Date: Jan 2002
Location: gujarat-India
Rep Power: 46
7th March 2008, 02:08 PM

mehfil meiN baiTha tha jab bajjii shenaaii us raat
ghair se teri.. maut se meri hui sagaaii us raat



bahut khoob!!!!!!!!!!!!!!!

mausam



Jaane kya samjha woh mujhe
Jaane kya samjhi main useN

Faasla nazar aaya....Kuch kadmon ke saath se
   
Reply With Quote
Hmmm!!!
Old
  (#29)
banjara''''
kuch likhne ki koshish
banjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura about
 
banjara'''''s Avatar
 
Offline
Posts: 930
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 24
Hmmm!!! - 10th March 2008, 02:54 PM

"Abhi to Nikle the Mekhane se teri yad bhula kar
Doston ne cher diya hay phir se tazkara tera"




Aj kisi ne is forum ki purani yad taza kar di or bohat se beete hwe musam
ankho k samne mehkne lage... kitni hi yadain dosti k phol liye dimagh k darwaze par dastak dene lagi...
Thanx Musam ...
ye bhi nahi janta k sab dost kaha hon gain...sab kaise hon gain..
mgar umeed hay sab ache hon gain.



Banjara""

or kiya????


banjara''''
agar mohabbat hay to judai kiyon
or judai main mohabbat kasi????
   
Reply With Quote
Old
  (#30)
mausam
Yaadon ka!
mausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant future
 
mausam's Avatar
 
Offline
Posts: 6,801
Join Date: Jan 2002
Location: gujarat-India
Rep Power: 46
10th March 2008, 03:16 PM

Quote:
Originally Posted by banjara'''' View Post
"Abhi to Nikle the Mekhane se teri yad bhula kar
Doston ne cher diya hay phir se tazkara tera"



Aj kisi ne is forum ki purani yad taza kar di or bohat se beete hwe musam
ankho k samne mehkne lage... kitni hi yadain dosti k phol liye dimagh k darwaze par dastak dene lagi...
Thanx Musam ...
ye bhi nahi janta k sab dost kaha hon gain...sab kaise hon gain..
mgar umeed hay sab ache hon gain.



Banjara""

or kiya????
kaise hain aap??

jee bilkul durusht farmaya....woh waqt SDC ki history ka golden period tha..par ab sab mahsruf ho gaye haiN..unmein se ek aap bhi haiN...aap bhi kaha yaha aate hain..umeed karte hain aap apna koi naya kalam padhne ka mauka denge....

mausam


Jaane kya samjha woh mujhe
Jaane kya samjhi main useN

Faasla nazar aaya....Kuch kadmon ke saath se
   
Reply With Quote
Old
  (#31)
banjara''''
kuch likhne ki koshish
banjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura about
 
banjara'''''s Avatar
 
Offline
Posts: 930
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 24
10th March 2008, 05:11 PM

I will Surely try me best


banjara''''
agar mohabbat hay to judai kiyon
or judai main mohabbat kasi????
   
Reply With Quote
Old
  (#32)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
17th April 2008, 05:10 PM

Quote:
Originally Posted by Sharaabi View Post
bas, do-teen saaloN ki duurhii rehe gayi.


---
mehfil meiN baiTha tha jab bajjii shenaaii us raat
ghair se teri.. maut se meri hui sagaaii us raat


uska ghar basaa kar tu bahot khush dikh rahi thi
mere har ashq ko dekh kar tu muskuuraaii us raat

jin haathoN ko thaam kar tune sajaaya tha dil ko
.. unhi haathoN se doli teri sajaaii us raat


'aman' ka yaar bhale bewafa ho gaya yaaroN..
par maut ne apni kasam zaroor nibhaaii us raat
---
Aman ©

jane kis dard se guzre hoNge aap us waqt......dard hi dard hai es shayri meiN


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
SUPER GHAZAL OF THE YEAR - Winner Ghazal Dhaval Ghazal Section 36 11th October 2010 02:59 PM
Ghazal: Tum aao to sahii (ek Rumaani Ghazal) Mayank Shayri-e-Ishq 30 29th March 2009 08:32 PM
' Invitation To The Sagaaii Of Trishna...! ' Amanush... Celebrations 11 11th July 2007 11:00 PM
AshruO Khaali Ne Ghazal Lakhato Gayo-- Gujju Ghazal acharya_mj Shayri-e-Dard 3 16th September 2006 10:19 AM
Ghazal: Tum ghazal MeN Jo HaseenooN... Ameen Asim Aapki Shayri 1 16th November 2005 02:46 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com