Ye saja sajaayaa ghar saaqi meri zaat nahin mera haal nahin -
23rd May 2003, 10:28 AM
Kuch ishq tha kuch majboori thi so main ne jeewan waar diya
Main kaisa zinda aadmi tha ik shakhs ne mujh ko maar diya
Ye saja sajaayaa ghar saaqi meri zaat nahin mera haal nahin
Aye kaash kabhi tum jaan sako jo us sukh ne aazaar diya
Main Khuli huee ik sachaaii mujhe jaan'ne wale jaante hain
Main ne kin logon se nafrat ki aur kin logon se pyaar kiya
Woh ishq bohat mushkil tha magar aasaan na tha yuun jeena bhi
Us ishq ne zinda rehne ka mujhe zarf diya pindaar diya
Ik sabz shaakh gulaab ki tha ik duniyaa apne pyaar ki tha
Woh ek bahaar jo aayee nahin us ke liye sab kuch haar diya
Main rota hoon aur aasmaan se taare tootate dekhta hoon
Un logon par jin logon ne mere logon ko aazaar diya
Woh yaar hon ya mehboob mere ya kabhi kabhi milnay wale
Ik lazzat sab ke milnay mein woh zakhm diya ya pyaar diya
Nida
(To love and be loved is the greatest happiness of existence.)
|