Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Makhdoom ki ek nazm
Old
  (#1)
Daanish_ Hyd
Registered User
Daanish_ Hyd will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 94
Join Date: Jan 2006
Location: Hyderabad, India
Rep Power: 19
Makhdoom ki ek nazm - 19th January 2006, 10:19 PM

*Toor
*In Urdu/Persian poetry Koh-e-toor symbolizes Mt. Sinai where God appeared to Moses.

YaheeN ki thi mohabbath ke sabaq ki ibtida maine
YaheeN ki jurrath-e-izhaar-e-harf-e-muddu'a maine
YaheeN dekhe the *ashwe naaz-o-andaaz-e-haya maine
YaheeN pehle suni thi dil dhadakne ki sadaa maine

YaheeN khetoN meiN paani ke kinaare yaad hai abh bhi
*adaeN
DiloN meiN *izdahaam-e-aarzoo lab band rahte the
Nazar se guftagu hoti thi dum ulfath ka bharte the
Na maathe par shikan hoti na jab tewar badalte the
Khuda bhi muskura deta tha jab ham pyaar karte the

YaheeN kheton mein paani ke kinaare yaad hai abh bhi
*crowd, hujoom

Woh kya aata ke goya daur mein jaam-e-sharaab aata
Woh kya aata rangeeli raagni rangeeN rubaab aata
Mujhe rangeeniyoN meiN rangne woh rangeeN *sahaab aata
LaboN ki mai pilaane jhoomta mast-e-shabaab aata

YaheeN kheton mein paani ke kinaare yaad hai abh bhi
*baadal
Haya ke bojh se jab har qadam par *laghzisheN hoteeN
Faza mein *muntashar rangeen badan ki *larzisheN hoteeN
Rubaab-e-dil ke taaroN mein musalsal jumbisheN hoteeN
*Khifa-e-raaz ki pur lutf *baaham koshisheN hoteeN

YaheeN khetoN mein paani ke kinaare yaad hai abh bhi
*slipping, *tremblings, *to hide, mutual

Bahe jaate the baithe ishq ke *zarreeN *safeene meiN
TamannaoN ka toofaN karvateN leta tha seeney meiN
Jo chhoo leta maiN usko woh naha jaata paseene meiN
*Mai-e-do aatisha ke se mazey aate the jeene mein

YaheeN khetoN meiN paani ke kinaare yaad hai abh bhi
*golden, boat, fiery wine

*Bala-e-fikr-e-farda ham se kosoN door hoti thi
*Suroor-e-sarmadi se zindagi ma'moor hoti thi
Hamari *khalwath-e-masoom *rashk-e-toor hoti thi
*Malak jhoola jhulate the *ghazalkhwaN hoor hoti thi

Yahin khetoN meiN paani ke kinaare yaad hai abh bhi
tomorrow's problems, intoxicated, innocent solitude, envy of Mt. Sinai, angel, ghazal-singers

Na ab woh khet baaqi haiN na woh *aab-e-rawaaN baaqi
Magar us *aish-e-rafta ka hai ik dhundhla nishaaN baaqi

fast-flowing water, pleasure that passes


daanish hyderabadi
  Send a message via Yahoo to Daanish_ Hyd  
Reply With Quote
Old
  (#2)
abdul dost
Registered User
abdul dost will become famous soon enoughabdul dost will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 185
Join Date: Jun 2005
Location: Mumbai meri jaan
Rep Power: 20
20th January 2006, 01:24 PM

nice one.... thanks for sharing


Abdul Aapka Dost
=================
Jaan se badkar bhi koi cheez hai, to maang le
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
nazm dheer Shayri-e-Dard 20 11th August 2008 11:10 AM
Aap Ki Yaad by Makhdoom Moinudin pkmela Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 26th April 2008 11:28 AM
Ghazal-Makhdoom Daanish_ Hyd Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 21st January 2006 08:29 PM
'Lamha-e-rukhsat'--Makhdoom Daanish_ Hyd Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 20th January 2006 07:53 PM
Aap Ki Yaad... By Makhdoom vvenomouss Ghazal Section 8 19th April 2004 10:58 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com