Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Anjuman-e-Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
watan de duur....
Old
  (#1)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
Post watan de duur.... - 11th April 2005, 07:15 AM

Hum jo duur pardes mein baithe hain,
to kya bataayein ki kya kya bhuule aur kya kya yaad raha...
bas yun kahiye ki jab fursat mili,
tab sab kuch yaad aata chala gaya...
jee chaahta hai ki ghanto baith ker,
woh choti choti baatein yaad karein...
jis se dil ko har khushi mehsoos hoti hai.

Lekin aisi khush naseebi humaari kahaan,
fursat kam hai,
baithney ka waqt hota hi nahi.
lekin jaane se pehle bas yeh hi kahoongi ki...

Mat roko!
Mat roko...Inhe paas aa jaane do....
yeh mujhse milne aaye hain...
mein khud na jinhe pehchaan saki,
kuch itne dhundhley saaye hain...

"Beebo" ke dupattey ke taarey,
yeh chehra banno boodhi ka,
yeh tukda maa ki choodi kaa,
alsaayi hui rut saawan ki,
kuch sondhi khushbu aangan ki,
ek tooti rassi,jhooley ki,
sulgi si angeethi jaadon mein,
ek chehra kitni aadon mein,
kuch chaandni raatein garmi ki,
ek lab pe baatein narmi ki,
kuch naam watan ki galiyon ke,
kuch naazuk shikanein aanchal ki,
ek khoyi kadi afsaano ki,
kya jaane kab ki chot lagi,
ek challa peeli rangat ka,
ek locket dil ki surat ka,
woh khat jo meine kabhi na padha...

mat roko...
mat roko,inhe paas aa jaane do,
yeh mujhse milne aaye hain...


Mohabbat...
Naina


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Parul
Registered User
Parul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the rough
 
Parul's Avatar
 
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 26
15th April 2005, 08:19 PM

Naina ji, bahut hi accha likha hai aapne, humhari haalat kuch aaise hi hai, aap ki rachna bahut pasand aayi, humhari daad kubul karna aur likhte rehna.......Take care*
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Lailaa
Registered User
Lailaa is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 15
Join Date: Apr 2005
Rep Power: 0
16th April 2005, 01:29 PM

Naina,Meri jaan,

Bhai hum bhi watan se door,bahut door baithe hain.
Tumne jo likha....

"Beebo" ke dupattey ke taarey,
yeh chehra banno boodhi ka,
yeh tukda maa ki choodi kaa,
alsaayi hui rut saawan ki,
kuch sondhi khushbu aangan ki,
ek tooti rassi,jhooley ki,
sulgi si angeethi jaadon mein,
ek chehra kitni aadon mein,
kuch chaandni raatein garmi ki,
ek lab pe baatein narmi ki,

Haaye woh meri beebo bhi yaad aayi,aur woh boodhibanno,kaise bhoolun usko?maa ki chudi ka kya kahun,aur yeh rut saawan ki.....woh mitti ki khushbu jo yahaan hoti hi nahi,sulgi si angeethi,jispe haath senka karte the,yahaan fire place hai...chaandani raatein kisey kehte hain,yahaan kise pata?
uff woh baatein,jo bhoolati hi nahi.


kuch naam watan ki galiyon ke,
kuch naazuk shikanein aanchal ki,
ek khoyi kadi afsaano ki,
kya jaane kab ki chot lagi,
ek challa peeli rangat ka,
ek locket dil ki surat ka,
woh khat jo meine kabhi na padha...

watan ki galiyon ke naam to ab bhoolane lage. Haaye woh naazuk shikane aanchal ki,afsano ki kadi jo ulajh ke reh gayi,aur yeh zakhm to aaj tak hare hain,haaye woh challa,uski nishaani...
aur woh locket dil ki surat ka.
Ab aur kya kahun,tumhara likha yeh lafz ba lafz jaise dil mein utarata chala gaya,lekin yeh to hum tum hi samajh sakte hain jo apno se door bahut door hain.
Likhte rahiye...

Laila...


Aapse bichadker kis kadar akelii hoon mein,
Lag raha hai yuun jaise gumshuda pahelii hoon mein.
  Send a message via Yahoo to Lailaa  
Reply With Quote
Old
  (#4)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
17th April 2005, 01:33 AM

Shukriya Lailaa....

Na jaane aap kahaan se hain...
lekin jis shiddat se aapne is ehsaas ko samjha hai,
us se zaahir hai ki aap kahiin apne watan se
bahut duur hain...

Pal,chin,ghadi,ghantey,din-raat,mahiney,baras ~
kaise kahein ki waqt ka lashkar nahi dekha.....
na koii aayaa,na koii thehera,
nazar ki mehfil sooni sooni ~
woh ek chehera kahiin jo bichadaa,
raha hai dil ke kareeb aksar,
apni mohabbat ka silaa ~
humne maanga hi nahii,
waise kuch tha to hatheliyon mein,
lakeeron ki tarah....

Mohabbat...
Naina


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Watan yasmeenraaz Aapki Shayri 1 22nd August 2006 07:38 PM
Watan yasmeenraaz Aapki Shayri 0 15th August 2006 12:08 PM
duur se duur talak ek bhii daraKht na thaa... Pulkit_gupta Shayri-e-Dard 16 15th March 2005 04:16 PM
pyaar kii gaadii duur duur hii jaati lage mrinal Shayri-e-Ishq 0 8th February 2005 05:09 PM
Watan SAYANI Aapki Shayri 5 11th August 2003 10:28 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com