Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
ghazal --bhool gaye
Old
  (#1)
Daanish_ Hyd
Registered User
Daanish_ Hyd will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 94
Join Date: Jan 2006
Location: Hyderabad, India
Rep Power: 19
ghazal --bhool gaye - 12th January 2006, 01:59 PM

ek ghazal pesh-e-khidmat hai....arbaab-e-bazm se iltemaas hai ke paRHeN...aur azaadana izhaar-e-khayaal farmayeN:

GHAZAL

ik aisa t'alluq-e-khaatir tha sab hosh ke saamaaN bhool gaye
bas zulf-e-pareshaN yaad rahi, ham jeb-o-garebaaN bhool gaye
(t'alluq-e-khaatir=faarsi aur urdu meiN dil ke t'alluq ko kahte haiN, jeb-o-garebaaN=robes)

umeed ka toofaN seene meiN aur lamha-e-rukhsat aankhoN meiN
kya sach hai, kya hai fareb-e-nazar sab ai shab-e-hijraaN bhool
gaye
(lamha-e-rukhsat=moment of parting, (unke) jaane ka ya bichhadne ka lamha, fareb-e-nazar=nazar ka dhoka, shab-e-hijraaN= shaam-e-judaai,)

tark-e-wafa ka woh lamha, woh gardish-e-dauraaN ka rukna
phir hum par jo kuchh guzri hai, hum ai gham-e-jaanaN bhool
gaye
(tark-e-wafa=bichhadna, gardish-e-dauraaN=duniya ka chalna)

sarsabz bahaaroN ki yaadeiN, shaadab zamane ki baateiN
yak laqt khizaaN jo aayi thi, hum rang-e-gulistaaN bhool gaye
sarsabz, =harabhara, green, shaadab=harabhara, khush haal,
yak laqt=suddenly)

t'ameer-e-nasheman bhi ai dil, ik kaavish-e-laahasil hi to hai
jo barq-e-ghazab thi sholafishaaN kya Daanish-e-nadaan bhool
gaye
(t'ameer-e-nasheman=nasheman banana, kaavish-e-laahasil=bekar koshish, fruitless effort, barq-e-ghazab=deadly,fearful lightning, sholafishaaN=, sholay barsaata hua, spewing fire, Daanish=intellect, wisdom,also taqallus here)


daanish hyderabadi
  Send a message via Yahoo to Daanish_ Hyd  
Reply With Quote
Re: ghazal --bhool gaye
Old
  (#2)
Diggaj_Dave
EK CHAMAKTA HUA SITARA
Diggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to behold
 
Diggaj_Dave's Avatar
 
Offline
Posts: 1,884
Join Date: Jun 2005
Location: Rajasthan,India
Rep Power: 26
Re: ghazal --bhool gaye - 12th January 2006, 03:31 PM

Quote:
Originally posted by Daanish_ Hyd
ek ghazal pesh-e-khidmat hai....arbaab-e-bazm se iltemaas hai ke paRHeN...aur azaadana izhaar-e-khayaal farmayeN:

GHAZAL

ik aisa t'alluq-e-khaatir tha sab hosh ke saamaaN bhool gaye
bas zulf-e-pareshaN yaad rahi, ham jeb-o-garebaaN bhool gaye
(t'alluq-e-khaatir=faarsi aur urdu meiN dil ke t'alluq ko kahte haiN, jeb-o-garebaaN=robes)

umeed ka toofaN seene meiN aur lamha-e-rukhsat aankhoN meiN
kya sach hai, kya hai fareb-e-nazar sab ai shab-e-hijraaN bhool
gaye
(lamha-e-rukhsat=moment of parting, (unke) jaane ka ya bichhadne ka lamha, fareb-e-nazar=nazar ka dhoka, shab-e-hijraaN= shaam-e-judaai,)

tark-e-wafa ka woh lamha, woh gardish-e-dauraaN ka rukna
phir hum par jo kuchh guzri hai, hum ai gham-e-jaanaN bhool
gaye
(tark-e-wafa=bichhadna, gardish-e-dauraaN=duniya ka chalna)

sarsabz bahaaroN ki yaadeiN, shaadab zamane ki baateiN
yak laqt khizaaN jo aayi thi, hum rang-e-gulistaaN bhool gaye
sarsabz, =harabhara, green, shaadab=harabhara, khush haal,
yak laqt=suddenly)

t'ameer-e-nasheman bhi ai dil, ik kaavish-e-laahasil hi to hai
jo barq-e-ghazab thi sholafishaaN kya Daanish-e-nadaan bhool
gaye
(t'ameer-e-nasheman=nasheman banana, kaavish-e-laahasil=bekar koshish, fruitless effort, barq-e-ghazab=deadly,fearful lightning, sholafishaaN=, sholay barsaata hua, spewing fire, Daanish=intellect, wisdom,also taqallus here)

Daanish

Bohat hi umda likha hai aapne

Jo bhi padhega use jaroor pasand aayegi


Sukriya


Diggaj Dave


Navard-e-ishq mein kya hua kya bataye hum
kabhi humne yu khud ko harata naa dekha


Kaise Samjhau Dil-e-hasarat-nasiib Ko Apne
K Sab Kuch Milta Nahi Chah Lene Se Ish Zamane Mein..... "Diggaj"
 Send a message via ICQ to Diggaj_Dave Send a message via Yahoo to Diggaj_Dave Send a message via AIM to Diggaj_Dave  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
12th January 2006, 05:26 PM

Bahut khoob Daanish saahab, aapki ye ghazal bhi bahut pasand aayi.

ik aisa t'alluq-e-khaatir tha sab hosh ke saamaaN bhool gaye
bas zulf-e-pareshaN yaad rahi, ham jeb-o-garebaaN bhool gaye


Waah..!

YooNhi likhte rahiyega..


Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
12th January 2006, 06:48 PM

aapko kya padha hum to kalam uthana hi bhool gaye.danish sahab ek aur bahut hi umda kalaam pesh kiya hai aapne hum sabhi ke saamne padh kar behad khushi hui.umeed hai aap yunhi likhte rahenge aur hum jaise nausakhiye kuch seekh sakenge aapse.

GHAYAL



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Old
  (#5)
kuhulika
Registered User
kuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant future
 
kuhulika's Avatar
 
Offline
Posts: 2,269
Join Date: Jul 2005
Location: New Delhi.(India)
Rep Power: 37
12th January 2006, 07:06 PM

daanish ji apki gazal mujhe acchi lagi
haan urdu kam samajh aati hai per unka meaning aapne likkha us say kaafi madad milli padne mein... yu hin likhte rahiye or mehfil sajaate rahiye

dilli daad kabool kijiye


SHWETA


jab yaad karte hai kisi ko
wo waqt suhana hota hai

uth jati hai kalam likhne ko
wo pyar deewana hota hai

kar deti hai haal-e-dil bayaan
wo kalaam shayraana hota hai

jab yaad karte hai kisi ko
wo waqt suhana hota hai...


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
duniya mein kitna gam hai
apna gam phir bhi kam hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
   
Reply With Quote
shukriya
Old
  (#6)
Daanish_ Hyd
Registered User
Daanish_ Hyd will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 94
Join Date: Jan 2006
Location: Hyderabad, India
Rep Power: 19
shukriya - 12th January 2006, 08:25 PM

aap sab ka bahut bahut shukrguzaar huN...umeed hai ke aap isi tarah apne hosla-afza kalmaath se nawazenge...haaN, jahaN koi nuqs ya kami nazar aaye zaroor tanqeed kijiye.
aap sab ka mamnoon-o-ehsaanmand huN
khair andesh


daanish hyderabadi
  Send a message via Yahoo to Daanish_ Hyd  
Reply With Quote
Old
  (#7)
deep_in_ur_hear
Kisiki Talash Main...
deep_in_ur_hear will become famous soon enough
 
deep_in_ur_hear's Avatar
 
Offline
Posts: 239
Join Date: Oct 2005
Location: maut jab sar dhund rahi thi main na tha
Rep Power: 19
13th January 2006, 02:37 AM

daanishji nuqs uthaana to duur ki baat rahi
is kalam pe hum alfaaz--e-tareef bhul gayee....



marane kii duaaye.n kyuu.N maa.Nguu.N jiine kii tamaannaa kaun kare
ye duniyaa ho yaa vo duniyaa ab Khvaahish-e-duniyaa kaun kare


jo aag lagaaii thii tum ne us ko to bujhaayaa ashko.n ne
jo ashko.n ke bha.Dakaaii hai us aag ko Tha.nDaa kaun kare


jab kashtii saabit-o-saalib thii, saahil kii tamannaa kisako thii
ab aisii shikastaa kashtii me.n saahil kii tamannaa kaun kare


duniyaa ne hame.n chho.Daa ai dil, ham chho.D na de kyo.n duniyaa ko
duniyaa ko samajh kar baiThe hai.n ab duniyaa duniyaa kaun kare



-Moen Ahsan Jazbi
  Send a message via Yahoo to deep_in_ur_hear  
Reply With Quote
Old
  (#8)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
13th January 2006, 02:54 AM

uff.. one of the easiest flowing ghazal I have ever read!!

kamaal...

varinder


kyon zindagi ki raah mein akele chalta hai dost
chal waha chal jahan tere jaise aur bhi hai...
   
Reply With Quote
shukriya
Old
  (#9)
Daanish_ Hyd
Registered User
Daanish_ Hyd will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 94
Join Date: Jan 2006
Location: Hyderabad, India
Rep Power: 19
shukriya - 13th January 2006, 09:38 AM

nawazish....
koshish jaari rakhunga


khair andesh


daanish hyderabadi
  Send a message via Yahoo to Daanish_ Hyd  
Reply With Quote
Old
  (#10)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
13th January 2006, 08:35 PM

pahlay to varinder tumahra shukria... tumhari oongli pakad kar yaha tak aa gayi...


daanish,

lajawaab......
   
Reply With Quote
Re: ghazal --bhool gaye
Old
  (#11)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Re: ghazal --bhool gaye - 13th January 2006, 08:52 PM

Janab Daanish Sahab

aadaab

Is mayari kavish se bazm ko nawaazne ka bohat shukria.
Sabse umda baat aapne ye ki ke mushkil alfaaz ke ma'ani bhi yahaN saath hi de diye takeh ahbaab is dil paziir Ghazal ka poora lutf le sakeN.

Aapki tamaam Ghazal bohat Khoobsoorat hai. Khusuusan maqtaa behad ziadah pasand aaya. Daad haazir hai.

Aate rahiye aur sunate rahiye

Khaaksaar
Praveen


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
bahut,bahut shukriya
Old
  (#12)
Daanish_ Hyd
Registered User
Daanish_ Hyd will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 94
Join Date: Jan 2006
Location: Hyderabad, India
Rep Power: 19
bahut,bahut shukriya - 13th January 2006, 10:07 PM

aap sab ka bahut bahut shukriya...........
isi tarah apne himmatafza taasurat se nawazte rahiye

khair andesh


daanish hyderabadi
  Send a message via Yahoo to Daanish_ Hyd  
Reply With Quote
Old
  (#13)
garima
Paagal Pathik
garima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of light
 
garima's Avatar
 
Offline
Posts: 1,997
Join Date: Jan 2005
Location: In the heart of universe
Rep Power: 26
16th January 2006, 11:31 AM

bahoot khoob likha hai aapne..


Anant se bhi aage... itni si khwahish hai :)
  Send a message via Yahoo to garima Send a message via Skype™ to garima 
Reply With Quote
shukriya
Old
  (#14)
Daanish_ Hyd
Registered User
Daanish_ Hyd will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 94
Join Date: Jan 2006
Location: Hyderabad, India
Rep Power: 19
shukriya - 17th January 2006, 09:11 AM

shukriya Garima, zarranawazi ka,kalaam meiN koi khaas khoobi nahiN hai..........yeh sab aap logoN ka husn-e-nazar hai...

khair andesh
  Send a message via Yahoo to Daanish_ Hyd  
Reply With Quote
Old
  (#15)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
20th January 2006, 11:32 AM

janab daanish saheb

behad khoobsurat kalam hai yeh aap ka.

In dilkash ahaar ne mujhe apne asaatidaa ki yaad dila di hai.

lafzi takraar aur behad pur asr alfaaz ne is ghazel ko shahkaar bana diya hai.

sab se ziayada khushi mujhe is baat ki hai ke aap ke is bazm mein aane is forum mein miyaari kalam ka izaafa ho gaa aur yahan aur behter likha aur parha jaaye gaa.

dua go hoon aap ki kaamiyaabiyon ke liye, khushiyon ke liye.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
shukriya
Old
  (#16)
Daanish_ Hyd
Registered User
Daanish_ Hyd will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 94
Join Date: Jan 2006
Location: Hyderabad, India
Rep Power: 19
shukriya - 20th January 2006, 09:13 PM

Tasleem janab
Musharraf Hussain saheb, aap ke in hoslaafza kalmaat ka behad shukrguzaar huN agarche ke in ka qata" mustahiq nahiN.
khaaksaar mubtadi aur nau amoz hai. aitaraaf-e-haqeeqat se gurez na karte hu'e aap ko ik baat batana chaahta huN,--yeh ke khaaknashin ki yeh pehli ghazal hai jo aaj se ek saal pehle hui.
haaN, rahi yahaN par kalaam ke mayaar ki baat, tau ek hi baat faqat zehan meiN aati hai ke yahaN asaatzaa ka bhi kalaam kam paRHa jaata hai... hamare ehbaab-e-bazm na jaane kyoN ravayaat se adamdilchaspi ka muzahera kar rahe haiN...
aur rahi hum logoN ki baat...tau hum khaak-e-paa-e-asaatzaa bhi nahiN....
ehsaanmand
khair andesh


daanish hyderabadi
  Send a message via Yahoo to Daanish_ Hyd  
Reply With Quote
Old
  (#17)
zarra
Registered User
zarra is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 9
Join Date: Jan 2006
Rep Power: 0
22nd January 2006, 01:35 PM

aadab,

hum,aap ki bazm main naye hai! lekin daad diye bagair nahi reh sakte......bahot khoob kikhaa hai....
   
Reply With Quote
inayat
Old
  (#18)
Daanish_ Hyd
Registered User
Daanish_ Hyd will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 94
Join Date: Jan 2006
Location: Hyderabad, India
Rep Power: 19
inayat - 22nd January 2006, 05:14 PM

tasleem
zarra ki zarranawazi ka khaaksaar ehsaanmand hai.

Jamal-e-humnasheeN dar man asar kard
wagarna man hama khaakam ke hastam--Shaikh Saadi
(mere humnasheen ke jamal ne mujh par asar kiya/warna maiN tau khaak hi khaak huN jis ka bana hua thha)


daanish hyderabadi
  Send a message via Yahoo to Daanish_ Hyd  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Ghazal: Tera pata yaad raha khud ka thikaana bhool gaye.. Mayank Shayri-e-Dard 12 2nd June 2011 12:23 PM
Tum hume bhool gaye,bhool gaye karan q Anjuman-e-Shayri 3 27th April 2005 11:12 AM
Tum Bhool Gaye... shakeel shaiki Shayri-e-Dard 0 3rd August 2004 03:20 AM
bhool gaye chaahat Shayri-e-Sharaab 1 2nd October 2002 05:11 AM
bhool gaye rafeyin Ghazal Section 0 29th December 2001 12:10 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com