Song Form Kaisa Yeh Pyaar Hai -
13th January 2008, 12:36 PM
Jo tum nahi paas, phir saath ho kaise
tere bina aur kuch baat ho kaise
ho shaam ya ho savera
har waqt hai waqt tera
meri kahaani mein har lafz tera hai
karna ye izhaar hai
kaisa ye pyaar hai
Thandi hawaein hai, jaadu ka mausam hai
har shaakh ujli hai, har phool raushan hai
kaisa ghazab ka samaa hai
shayad isi pal mein apni mohabbat ka
hone ko deedar hai
kaisa ye pyaar hai
Tujhse mera rishta, bas dard paaya hai
dhoka har ek baar, maine ye khaaya hai
ye hai mohabbat kahan se
har baar toota mera dil
par ab jala denge ehsaas ye tera
seene mein vo aag hai
kaisa ye pyaar hai
Teri mohabbat ne jab dil dukhaaya hai
hontho pe kyun naam phir tera aaya hai
tujhse shikayat karein hum
phir kyun mohabbat karein hum
har pal hai jalta tu
is dil mein rehta kyun
tera hi ek naam hai
kaisa ye pyaar hai
Is sach ne mera har khwaab toda hai
tanhaiyo ke bhanwar mein yu chhoda hai
par hum hain shaamil khushi mein
teri nayi zindagi mein
di hai dua dil se, ki jeet jao tum
apni hui haar hai
kaisa ye pyaar hai