Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Personal Messages > Introduction Forum

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
My Introduction- Iftakhar Ahmad Siddiqui
Old
  (#1)
iftakhar_ahmad
Registered User
iftakhar_ahmad is on a distinguished road
 
iftakhar_ahmad's Avatar
 
Offline
Posts: 31
Join Date: Oct 2014
Location: Jaipur
Rep Power: 0
My Introduction- Iftakhar Ahmad Siddiqui - 30th October 2014, 01:31 AM

Sabhi membaraan ko mera salaam. MaiN Iftakhar Ahmad Siddiqui, halaNki log muhe sirf Iftakhar Ahmad se hi jaante haiN, Bihar ka rehne wala huN, abhi Infosys Jaipur meN as a Systems Engineer job kar raha huN. Mujhe shayari ka bahut shauq hai, maiN taqreeban 4 saal se likh raha huN. MaiN zyaadar urdu ghazleN likhta huN, waise kuch rubaai aur english quotes bhi likhi haiN.

SDC ka abhi tak jo mahaul dekha hai, wo kaafi achha laga hai. YahaaN ke members meN Zarra saheb ko maiN pehle se jaanta huN, ho sakta hai aur log mileN jinheN maiN pehle se jaanta huN. MaiN 'Maikash' jee ka bhi zikr karna chaahuNga jinse maine apne access related problem ke liye contact kiya aur mujhe unse kaafi achha response mila. Meri problem turant solve hui, unka rawaiya dekh kar mujhe kaafi achha laga.

HalaNki maiN zyaadar ghazleN likhta huN, lekin abhi shuruaat issi section ke andar chand Rubaaiyaat se karta huN:

Dekho mera chehra, ye aqs-e-sadaaqat hai
Iss duniya meN meri, pehchaan sharaafat hai
Duniya ke rasmoN se, anjaan meri duniya
Allah ka banda huN, Allah se nisbat hai


Koi kitna sitam de de kahaaN aawaaz karta huN
MaiN hardam pur-khalish mahaul ko pursaaz karta huN
Mujhe duniya se kya lena mera bas ek wazeefa hai
Hai mere naam meN Ahmad, maiN unn pe naaz karta huN


Zindagi ye meri yuN fana na karo
Tum jahaaN bhar ki baateN suna na karo
Ye maana ke tum mehjabeeN, naazneeN ho
Chaahne waale ko yuN manaa na karo


Kamar apni wo aise naaz se balkha raha hai
Kabhi aaNchal ko haule haule se sarka raha hai
Mera zaalim magar iss baat se wo bekhabar hai
K anjaane meN mujh per ek qayaamat dha raha hai



Best Regards,
Iftakhar Ahmad Siddiqui

Last edited by iftakhar_ahmad; 30th October 2014 at 02:18 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
30th October 2014, 03:04 PM

Iftakhar Ahmad Siddiqui saahab, aadaab

aapka is bazm meiN khair-makhdam hai

aapne jo chaNd nageeney uupar darj kiye haiN paDh kar behd lutf aNdoz hua, daad aur mubarakbaad donoN tasleem farmaiiye. ummeed karta hooN ke aap aate raheNgey aur hameN apne besh-qemaati qalaam se nawaaztey raheNgey

rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#3)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
30th October 2014, 04:47 PM

Iftekhaar saahab ko shaad ka aadaab pahoche....

aap jaise aala shoraa ko SDC ki bazm me dekh kar behad khushi haasil ho rahii hai....

aapko bataana chahunga ke ye bazm shaayri ki duniyaa me kafi puraani aur kaafi naam rakhne waali hai.... aur isi baat se main ummeed karungaa ke aapka safara yahaan ka kaafi khushgawaar guzre, aur aap ki expectation par kharee utre....

aap jaise shaayar hamaari bazm ka hissa baneN isse zyaada khushi ki baat koi ho hi nahi saktee....

aur rahi Maikash ji ki baat to wo kaafi acche insaan hain aur ham jaise naye shaaron ki kaafi madad karte hain Site ke technical masloN me bhi aur shayri ke pecho kham me bhii.....

isis forum me ek introduction thread bhi hai... wahaan par agar aap apne baare me hame jaanne ka mauaa de sakeN to bahot khushi hogi mujhe bhi aur tamaam SDC ke members ko bhi......

llink de raha hoon aapki sahuliyat ke liye

http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=75277


Regards
Shaad....


Shaad...
   
Reply With Quote
Warm welcome Ahmad Siddiqui ji
Old
  (#4)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Smile Warm welcome Ahmad Siddiqui ji - 30th October 2014, 04:49 PM

Ahmad Siddiqui ji, aapka SDC pariwaar meiN dil se suwagat hai, hame aapki entry bahut acchi lagi, aapne apni intro. meiN jo chnad ehsaas pesh kiye hai, hame wo behad acche lge.

umeed hai aapka SDC pariwaar ke saath safar bahut accha rehga.

best wishes


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
30th October 2014, 07:57 PM

Saaheb

Namaste

Shayri pariwaar mein aapka dil se swaagat hai

Ummid karta hun shayri ka yeh safar yaadgaar bane

Aapka

Dhaval


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
iftakhar_ahmad
Registered User
iftakhar_ahmad is on a distinguished road
 
iftakhar_ahmad's Avatar
 
Offline
Posts: 31
Join Date: Oct 2014
Location: Jaipur
Rep Power: 0
30th October 2014, 08:36 PM

Maikash jee, Sameer jee, Suneeta jee aur Dhaval jee, tah-e-dil se shukriya aap sabhi ka. Aapne jis garmjoshi se istaqbaal kiya hai, uss se mujhe kafi hausla mila hai. Agar aisi mohabbat mile to phir hausla do guna ho jaata hai. bahut bahut shukriya.


Dekho mera chehra, ye aqs-e-sadaaqat hai
Iss duniya meN meri, pehchaan sharaafat hai
Duniya ke rasmoN se, anjaan meri duniya
Allah ka banda huN, Allah se nisbat hai
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com