|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,028
Join Date: Jun 2006
Rep Power: 34
|
ghazal -
7th July 2006, 04:38 PM
hi.
gazal kehna aek huner hai jo akser kabhi kabhaar dil sae ubher aati hai
.iss martaba Gazal ki zabaan gosh-ae guzaar hai.bus samajhnae wala dil chaahiyae
GHAZAL
Maera ghum raha hai shaamil,maerae nazm ki zabaan main
Marae tarzae guftagoo main,maerae dil kii daastaan main
Mujhae chord ker gyaa woh,sare-raah,tanhaa tanhaa
Maera dil gaya hai peechae,jo mila hai caarwaan main
Rahae jung aur jadel main,yunhi zindagi ganwaatae
Tumhaen kuch khaber nahin hai,kae sukoon hai amaan main
Jo naheen hai soz pinhaan,wahi shab hai kaali,kaali
Kae khalish hai chaand jaesa,marae dil kae aasmaan main
Raho door door sab sae,na kisii sae dil lagaaoo
Huyae kaamyaab samjhoo,tum her aek imthihaan main
Usae kaesae main nikaaloon,kisii aur ghum kii khaatir
Jo kae aaj tak raha hai,maerae chotae sae makaan main
Gul-e-taar taar kaesae banae wajhhae shaadmaani
Usae phaenk dogae kal tum kisii doosrae jahaan main
Kahaen RAZ tum sae kaesae,bhalaa baat kya hoyee hai
Nahin baat jo hoyee thi,maerae wehm aur gumaan main
RAZIA YASMEEN RAZ
|
|
|
|
|
shayri is my life
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
|
bhut mubarakbaad -
7th July 2006, 05:01 PM
razia ji is pyari c koshish kay liye bhut mubarak baad.....bhut achi soach hai......or yeh share to bhut pyara hai.....
Rahae jung aur jadel main,yunhi zindagi ganwaatae
Tumhaen kuch khaber nahin hai,kae sukoon hai amaan main....
is main thori c tabdeeli ki hai main hai to gustakhi lakin app batana theek hai.....

Tumhaen khaber nahi,kae sukoon hai aman amaan main.......
mere khyaal main yeh yu hota to behtar thaa.......appka dost raj......
un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,849
Join Date: Feb 2009
Location: Mumbai
Rep Power: 32
|
6th December 2010, 12:13 PM
Usae kaesae main nikaaloon,kisii aur ghum kii khaatir
Jo kae aaj tak raha hai,maerae chotae sae makaan main
Subhan_allah.........tumhari dard bhari batein tumhein bhale takleef deti ho par mujhe to bada maza deti hai.
Bohat khoob rahi yeh peshkash. Yeh andaaz ab kam dikhayee deta hai..........thoda short cut me bayaan karne lagi ho dard ko shayed isiliye.
Jhoot kehdu yeh meri fitrat me nahi shamil
Par tujhe bevafa bhi kehna achcha nahi lagta...
Mob.: +971 501297654
|
|
|
|
|
RADHE RADHE
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 58
|
6th December 2010, 01:13 PM
bahut khoob............................................. ......
Aapka Apna Ishk
'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है
email: rkm179@gmail.com
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
|
6th December 2010, 05:03 PM
Quote:
Originally Posted by yasmeenraaz
hi.
gazal kehna aek huner hai jo akser kabhi kabhaar dil sae ubher aati hai
.iss martaba Gazal ki zabaan gosh-ae guzaar hai.bus samajhnae wala dil chaahiyae
GHAZAL
Maera ghum raha hai shaamil,maerae nazm ki zabaan main
Marae tarzae guftagoo main,maerae dil kii daastaan main
Mujhae chord ker gyaa woh,sare-raah,tanhaa tanhaa
Maera dil gaya hai peechae,jo mila hai caarwaan main
Rahae jung aur jadel main,yunhi zindagi ganwaatae
Tumhaen kuch khaber nahin hai,kae sukoon hai amaan main
Jo naheen hai soz pinhaan,wahi shab hai kaali,kaali
Kae khalish hai chaand jaesa,marae dil kae aasmaan main
Raho door door sab sae,na kisii sae dil lagaaoo
Huyae kaamyaab samjhoo,tum her aek imthihaan main
Usae kaesae main nikaaloon,kisii aur ghum kii khaatir
Jo kae aaj tak raha hai,maerae chotae sae makaan main
Gul-e-taar taar kaesae banae wajhhae shaadmaani
Usae phaenk dogae kal tum kisii doosrae jahaan main
Kahaen RAZ tum sae kaesae,bhalaa baat kya hoyee hai
Nahin baat jo hoyee thi,maerae wehm aur gumaan main
RAZIA YASMEEN RAZ
|
aadaab
khaalaa jaan
mashallah mashallah subhaaanallah subhaaaaaaaaaaaaaaaanallah
aaj aisaa lagaa ki tabiyat wajd me aa gayi ho kal ki khalish ka sadde baab hi nahi huwaa balki waafir miqdaar me dile naadaaN ki rafoo garee ka saamaan bhi paida kiyaa .. aaj is qadar khushi ka ehsaas huwaa ki dil ne chaahaa ki is ghazal ko safaha e qirtaas pe utaarun aor baar baar use choomoo ..
aaj pahlee baar alfaaz saath nahi de rahe hain dil me gar che toofaan maojzan hai taaham alfaaz ka lebaadah orhne se mukar rahaa hai .. hotaa hai ki shiddat e jazbaat insaan ki taaqate goyaayi salb kar letee hai aor shaayad yahee kisee ghazal ki meraaj hai ke apne qaaree ko mashoor karke use khud se begaanah banaa de
aaj aap is khud se judaa rooh ka salaam qobool karen
apne hi dosst ka sher yaad aa gayaa
basad hairat mujhe qaatil ne dekhaa
main apne jism ke baahar kharaa thaa
khaala is angusht e larzeedah mazeed likhne se qaasir hain aaj ye ouqdah bhi waa huwaa ki kabhi kabhi aisaa mor bhi aataa hai ki sab kuchh hote huye bhi insaan tahee daaman ho jaata hai
daad nahi dungaa aaj aap meree GOYAAYI hi qabool karlen
allaah aap ko aabaad o shaadaab rakkhe
apkaa
masood hassaas
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,105
Join Date: Oct 2010
Location: Faisalabad
Rep Power: 34
|
7th December 2010, 12:00 PM
Quote:
Originally Posted by yasmeenraaz
hi.
gazal kehna aek huner hai jo akser kabhi kabhaar dil sae ubher aati hai
.iss martaba Gazal ki zabaan gosh-ae guzaar hai.bus samajhnae wala dil chaahiyae
GHAZAL
Maera ghum raha hai shaamil,maerae nazm ki zabaan main
Marae tarzae guftagoo main,maerae dil kii daastaan main
Mujhae chord ker gyaa woh,sare-raah,tanhaa tanhaa
Maera dil gaya hai peechae,jo mila hai caarwaan main
Rahae jung aur jadel main,yunhi zindagi ganwaatae
Tumhaen kuch khaber nahin hai,kae sukoon hai amaan main
Jo naheen hai soz pinhaan,wahi shab hai kaali,kaali
Kae khalish hai chaand jaesa,marae dil kae aasmaan main
Raho door door sab sae,na kisii sae dil lagaaoo
Huyae kaamyaab samjhoo,tum her aek imthihaan main
Usae kaesae main nikaaloon,kisii aur ghum kii khaatir
Jo kae aaj tak raha hai,maerae chotae sae makaan main
Gul-e-taar taar kaesae banae wajhhae shaadmaani
Usae phaenk dogae kal tum kisii doosrae jahaan main
Kahaen RAZ tum sae kaesae,bhalaa baat kya hoyee hai
Nahin baat jo hoyee thi,maerae wehm aur gumaan main
RAZIA YASMEEN RAZ
|
Boht KHoooob GHazal Kahi Yasmeen Raaz Saheba....!
Dil Se Daad Hazir Hai.... Qabool Farmayen....
Ay Chaara-Saaz Dil Pe M're Daal Ik Nazar
Mujhko Bas Aik Jism Ka Aazaar Hee Nahi
AHMAD ALI SHAKIL
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,028
Join Date: Jun 2006
Rep Power: 34
|
7th December 2010, 01:45 PM
Quote:
Originally Posted by rajveeer
razia ji is pyari c koshish kay liye bhut mubarak baad.....bhut achi soach hai......or yeh share to bhut pyara hai.....
Rahae jung aur jadel main,yunhi zindagi ganwaatae
Tumhaen kuch khaber nahin hai,kae sukoon hai amaan main....
is main thori c tabdeeli ki hai main hai to gustakhi lakin app batana theek hai.....
Rahae jung aur jadel main,yunhi zindagi ganwaatae
Tumhaen khaber nahi,kae sukoon hai aman amaan main.......
mere khyaal main yeh yu hota to behtar thaa.......appka dost raj......
|
Raj Khush raho tum dua hai yehi
Mujhae yaad rakhna,iltija hai yehi
Shukriya
alfaaz sae alfaaz jurdtae hain to aek ghazal ki tashkeel hoti hai ,Jo ghazal dil kae jazbaat ki tarjumani karae wahi ghazal kehlati hai
Maeri yehi koshish rahi hai kae main apnae khalam ko burayee aur nafrat kae khilaaf aek hatiyaar bana ker istamaal karoon
shayed kabhi maeri koshishaen kabhi rung lae hi aayaen
chaand na sahi aek diya hi banoon
Jo andhaerae ko door ker sakae,
razia
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 2
Join Date: Nov 2010
Rep Power: 0
|
7th December 2010, 05:01 PM
Quote:
Originally Posted by yasmeenraaz
hi.
gazal kehna aek huner hai jo akser kabhi kabhaar dil sae ubher aati hai
.iss martaba Gazal ki zabaan gosh-ae guzaar hai.bus samajhnae wala dil chaahiyae
GHAZAL
Maera ghum raha hai shaamil,maerae nazm ki zabaan main
Marae tarzae guftagoo main,maerae dil kii daastaan main
Mujhae chord ker gyaa woh,sare-raah,tanhaa tanhaa
Maera dil gaya hai peechae,jo mila hai caarwaan main
Rahae jung aur jadel main,yunhi zindagi ganwaatae
Tumhaen kuch khaber nahin hai,kae sukoon hai amaan main
Jo naheen hai soz pinhaan,wahi shab hai kaali,kaali
Kae khalish hai chaand jaesa,marae dil kae aasmaan main
Raho door door sab sae,na kisii sae dil lagaaoo
Huyae kaamyaab samjhoo,tum her aek imthihaan main
Usae kaesae main nikaaloon,kisii aur ghum kii khaatir
Jo kae aaj tak raha hai,maerae chotae sae makaan main
Gul-e-taar taar kaesae banae wajhhae shaadmaani
Usae phaenk dogae kal tum kisii doosrae jahaan main
Kahaen RAZ tum sae kaesae,bhalaa baat kya hoyee hai
Nahin baat jo hoyee thi,maerae wehm aur gumaan main
RAZIA YASMEEN RAZ
|
Its so so lovely gazal !!!!!!!bahutkhoob likha he aapne.......
|
|
|
Posting Rules
|
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts
HTML code is Off
|
|
|
Powered by vBulletin® Version 3.8.5 Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com
|
|