|
|
Registered User
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
|
Aaj mere pehle khat ka jawaab aaya hai -
6th June 2015, 02:59 PM
KhushbuoN meiN lipta hua shabaab aaya hai
Aaj mere pehle khat ka jawaab aaya hai
ShokhiyaN haiN, rangat aur mehak hai fiza meiN
Chhoo kar unn ke Dahan ko gulaab aaya hai
Roshan haiN aaj sarbasar, dil ke dar-o-baam
Falak se utar kar, mahtaab aaya hai
Toot kar hai chaha unn ko dil ne baar baar
Pyaar unn ke waaste be-hisaab aaya hai
Unn ki ek jhalak dekhi aankhoN ne iss qadar
ToofaN uThay haiN dil meiN, inqalaab aaya hai
Bhatakte rahe hum yuNhi sehra meiN ab talak
Bil-aakhir qareena-e-intekhaab aaya hai
Tanhaayi meiN Jiya hai Sagar ab tak iss tarha
Subh-o-shaam ashkoN ka sailaab aaya hai
1. Dahan= mouth
2. Sarbasar= completely/from one end to the other
3.Dar-o-baam= doors & ceiling/terrace
4. Mahtaab= moon
5.Qareena= Tareeqa/dhang
6.intekhaab: selection/choice
7.Sailaab: Flood
Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
Last edited by Sagar Aashna; 6th June 2015 at 03:03 PM..
|
|
|