Quote:
Originally Posted by zainy
Ye ishq o mohabaat ki gumnaam kahanii hai
Khamosh zubaaN hai or nazroN se sunanii hai
Bachpan me ladakpan ke, KhwaboN ke Mahal bhi haiN,
PhooloN ka chaman bhi hai, mad mast javanii hai
Anjaam e mohabbat ki parwah kahaaN inko
Be khauf divanaa hai , be fikr divaanii hai
YaadoN ke samunder me us qurb ki khushbu hai
Mehboob se chahat ki Shayed ye nishani hai
Masoom se chehre per halka sa tabassum hai
Dildaar ke pehlu me har shaam suhanii hai
Har simt hi dilbar ke dilchasp nazaare haiN
Betaab ye dil hai aur lamhaat e javaani hai
HontoN pe larazti hai bechain si Khamoshi
Haan farsh o falak tak ab aawaaz laganii hai
Gul jab bhi mehekta hai ,bulbul bhi chahekti hai
Gulshan ki kahanii hai, Zaara ki zabaani hai
_Zaara
|
wahhhh bahut khoob likha hai, arse baad aaj aaye hu yahan, aate hi aapki gazal par nazar gye, pade bina aage na bad saki. accha lga aapko padna.
HontoN pe larazti hai bechain si Khamoshi
Haan farsh o falak tak ab aawaaz laganii hai
behad khaas lga yeh sher
