|
|
|
|
|
|
|
|
sifar
Offline
Posts: 957
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 25
|
Usko Meri Mujhe Uski Jaroorat Hai -
16th July 2004, 01:43 PM
Ye janta hai Wo bhi
Ye janti hoon Main bhi
Usko meri mujhe Uski Jaroorat hai
Par na Kahega Wo kabhi
Aur na Kahoongi Main kabhi
Lekin,
Usko meri mujhe Uski Jaroorat hai
Uski Khamoshi ko
Mere Alfaaz chahiye
Mere Labon ko
Uski Muskan chahyie
Ye Ehsaan,
Zindagi bhar chahyie
Par na Kahega Wo kabhi
Aur na Kahoongi Main kabhi Ke
Usko meri mujhe Uski Jaroorat hai
Uski Raaton ko
Mera Chaand chayie
Meri Raahon ko
Uska Saath chayie
Ye Saath,
Umr bhar chayie
Par na Kahega Wo kabhi
Aur na Kahoongi Main kabhi Ke
Usko meri mujhe Uski Jaroorat hai
Main zakhm zakhm hoon phir bhi tujhe dikhayi na doon
tadap uthoon bhi toh zalim teri duhayi na doon
(NM)
|
|
|
|
|
ansoon aur muskan....
Offline
Posts: 751
Join Date: Mar 2004
Rep Power: 24
|
hi -
16th July 2004, 03:07 PM
hello roopali ji
apne kitna sach aur sahi kaha,,,,apne dil ki her baat khol di...
wastav me ye labo ki khamoshi hi bahut kuch kehne lagti hai,,bina kuch kahe,,,aur dono hi jantey hain ki kya chhiye,,per nahi keh patey,,,per main ek baat kahoon apse,,plz,,bura mut maniyega,,,,,jo dil me ho,,use keh dena chahiye,,kyuki waqt nikal jane ke baad kuch hath nahi aata bus,,tanhaiyan hi sath deti hai,,aur waise bhi,,agar dono hi man ki baton ko jantey hain,,to ye kyun kehna ki:"per wo na kahengey kabhi ..aur main bhi na kahoongi kabhi"
ye nahi hona chhcihey,,,
khair apka apna vichar hai,,per meri is baat per bhi dhyan rakhuye..ki mun ki baat khamoshi me mut rakhiye....
swati...............some words about tears in!
|
|
|
|
|
*Ishq~Ibadat.......**
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 34
|
Khamosh tum ho....... -
16th July 2004, 03:37 PM
Tum ho gham ko chhupaye Main houn sar ko jhukaye Tum bhi chup ho main bhi chup houn Kaun kise samjhaye Ab duriya itni hain tou Milna yeaha Kal ho na ho.......ek aur: meri sada mein bole tu Yeh koii keya jaane Geet mein hain Saaz mein hain Tu hi tu nagma kaha? Yeh dil sunraha hain teri dil ki zuban.......ek aur: Maang loungi main tujhe taqdeer se Ho jii nahin bharta teri tehreer se~Kab milenge hum kisi tadbeer se....... meri behen, likhhti ho tum woh jo dil kehraha ho, as usual...I do agree with San Jee. Dil se nikli houi Daad kubool karon, younhi likhte rehna. Aur keya kahoun, tum meri behen ho tou meri dil ki aawaaz hi kafi hain...khush rahon yeh Duwaon ke sath ijaazat chahoungi. Aapna khayal rakhna. God bless you.
Keep smilling.......
*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**
*Pure Love**
|
|
|
|
|
Kadeer ki...
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
|
17th July 2004, 11:35 AM
Roopali ji...
baRi saadgi aur maasoomiyat se aapne ek aisi baat kahi jo aksar dilwaale mehsus karte hain.. lekin kaii baatein aisi hoti hain, jinhe kehne ki.. ya zaahir karne ki zaroorat nahi hoti.. aur kaii baatein to chhpaane par bhi nahi chhipti.. ab ye to nazar paRne waale par hai.. ki wo ankahi sunta hai ya nahi..
Bohat hi pyaara laga aapka ye kalaam.. likhte rahiye..
Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
|
|
|
|
|
raj
Offline
Posts: 2,332
Join Date: Aug 2003
Location: dil mein khud ke..aisa nahi kisi ko mera pata nahi hai mujhe dhundhne ki had tak koi dhundhta nahi hai..un
Rep Power: 35
|
17th July 2004, 02:05 PM
hey roops agar woh nahi kahte to pls dost tum hi nkah do na unse are koi to kisi se kahe ki use uski jaruarat hai.
acha laga padke
sakhi
कुछ ऐसे पल जिनको संजोना है ,
शब्दों में पिरोना है , जिससे वो हमारी यादों में महकते रहे
|
|
|
|
|
sifar
Offline
Posts: 957
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 25
|
17th July 2004, 02:50 PM
Swati ji…
Aap jo kehna chahe kabhi bhi keh sakti hain..apki baat ka bura manne ka sawal hi nahin uth_ta..aap kuch kahengi toh mujhe apna samajhkar hi kahengi na.
Well mujhe sach bahut acha laga aapne jo bhi kaha…mere baare mein itna socha lekin main bas itna hi keh sakti hoon ki ‘waqt toh guzar chuka hai’…abb koi fayda nahin.
Isliye maine likha ki
“Par na Kahega Wo kabhi
Aur na Kahoongi Main kabhi
Lekin,
Usko meri mujhe Uski Jaroorat hai”
I hope u understand.
ok chalti hoon…take care
Main zakhm zakhm hoon phir bhi tujhe dikhayi na doon
tadap uthoon bhi toh zalim teri duhayi na doon
(NM)
|
|
|
|
|
sifar
Offline
Posts: 957
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 25
|
17th July 2004, 02:52 PM
hello Di…
“Tum ho gham ko chhupaye Main houn sar ko jhukaye Tum bhi chup ho main bhi chup houn Kaun kise samjhaye Ab duriya itni hain tou Milna yeaha Kal ho na ho”…di maan gaye aapko toh..bilkul jaise ekdam perfect song dhoondh kar layi ho…grt simply grt.
Ya di…jaise sangeet dil se nikalta hai..waise hi kalam bhi jaise dil se hi chalti hai…
bilkul aapki duaon ka asar hai…u know na?
Chalti hoon..take care
Main zakhm zakhm hoon phir bhi tujhe dikhayi na doon
tadap uthoon bhi toh zalim teri duhayi na doon
(NM)
|
|
|
|
|
sifar
Offline
Posts: 957
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 25
|
17th July 2004, 02:53 PM
Afshan ji…
Yahi baat hai kuch nikal jate hain kuch reh jate hain….depend karta hai ki koi ye samjah pata hai ya nahin…jo samajh lete hain unki duniya alag hoti hai aur jo nahin smaajh paate ..unki zindagi alag hoti hai..anyway aapka bahut-2 shukriya iss kalaam ko pasand karne ke liye aur yahan aane ke liye..tx a lot
Take care
Main zakhm zakhm hoon phir bhi tujhe dikhayi na doon
tadap uthoon bhi toh zalim teri duhayi na doon
(NM)
|
|
|
|
|
sifar
Offline
Posts: 957
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 25
|
17th July 2004, 02:55 PM
hi Sakhi….
yaar here is nothing like that..as I told to Swati ji…ki waqt toh guzar chuka hai kuch bhi kehne aur sunne ke liye…lekin acha laga tumhara reply..tx a lot..
take care
Main zakhm zakhm hoon phir bhi tujhe dikhayi na doon
tadap uthoon bhi toh zalim teri duhayi na doon
(NM)
|
|
|
|
|
*Ishq~Ibadat.......**
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 34
|
17th July 2004, 03:35 PM
Dear Roopali, you made me smile. Sahi kehte ho tum Dil se hi..., chahe woh shayri ho chahe woh ho geet. "Duwaon ka asar, Khuda tumhein chain Dein...Khush rahon yeh Duwaon ke sath ijaazat chahoungi. Aapna khayal rakhna. God bless you.
Keep smilling.......
*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**
*Pure Love**
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 41
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 0
|
17th July 2004, 05:00 PM
Ye janta hai Wo bhi
Ye janti hoon Main bhi
Usko meri mujhe Uski Jaroorat hai
Par na Kahega Wo kabhi
Aur na Kahoongi Main kabhi
Lekin,
Usko meri mujhe Uski Jaroorat hai
Uski Khamoshi ko
Mere Alfaaz chahiye
Mere Labon ko
Uski Muskan chahyie
Ye Ehsaan,
Zindagi bhar chahyie
Par na Kahega Wo kabhi
Aur na Kahoongi Main kabhi Ke
Usko meri mujhe Uski Jaroorat hai
Uski Raaton ko
Mera Chaand chayie
Meri Raahon ko
Uska Saath chayie
Ye Saath,
Umr bhar chayie
Par na Kahega Wo kabhi
Aur na Kahoongi Main kabhi Ke
Usko meri mujhe Uski Jaroorat hai
rOPALI bEHAN,
bAHUT pYARI lAGI yAH kALAM. dAAD kABUL kARE.
tHE oNE aND oNLY aRYAAN
|
|
|
|
|
sifar
Offline
Posts: 957
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 25
|
17th July 2004, 07:36 PM
Aryan bhai...bahut bahut shukriya mere kalaam ko pasand karne ke liye...apki daad sar aankhon par...tx once again
take care
Main zakhm zakhm hoon phir bhi tujhe dikhayi na doon
tadap uthoon bhi toh zalim teri duhayi na doon
(NM)
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 38
Join Date: Apr 2004
Location: delhi
Rep Power: 0
|
22nd July 2004, 01:21 PM
hey Roopali....wat is this?
actually m not getting properly...but no doubt that very nice words...a beautiful poem...grt..simply grt
|
|
|
|
|
sifar
Offline
Posts: 957
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 25
|
23rd July 2004, 04:54 PM
Sanjay…
Tx a lot…tx for comig here..
Main zakhm zakhm hoon phir bhi tujhe dikhayi na doon
tadap uthoon bhi toh zalim teri duhayi na doon
(NM)
|
|
|
Thread Tools |
|
Display Modes |
Rate This Thread |
Linear Mode
|
|
Posting Rules
|
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts
HTML code is Off
|
|
|
Powered by vBulletin® Version 3.8.5 Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com
|
|