Quote:
Originally Posted by Krishnasharma
Ik nazm puraani zehen se ubhar aaya raat kaat.te kaat.te
Tamaam Zindagi ik pal me utar aaya raat kaat.te kaat.te
Charaag e aankh jalti rahi intezaar e qwaab me
Khuli nigaaho ke saamne zindagi ka safar aaya raat kaat.te kaat.te
Manazam e lamhat e haseeN nigaahoN me liye baithe rahe
Dekhte dekhte zindagi ka sharaar aaya raat kaat.te kaat.te
Jaane kab guzara tha in lamho se, kuch yaad nahi
Sochte sochte yaadoN ka bahaar aaya raat kaat.te kaat.te
DaastaN e musaafir ko dohraate rahe khud se
Khud ka ilm e hunar aaya raat kaa.te kaat.te
|
Bahot khoob Krishna ji...
Likhte rahein
Takecare