Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
ikkaThey dil ke TukDey kar rahe haiN
Old
  (#1)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
ikkaThey dil ke TukDey kar rahe haiN - 4th November 2014, 01:50 AM

ek Ghazal raqm hui hai yaaro, suno

ikkaThey dil ke TukDey kar rahe haiN
yeh jurmaana wafaa ka bhar rahe haiN

voh de gaali bhi to mujhko lage hai
laboN se phool jaise jhaR rahe haiN

jo kehte the laDeNgey aaNdhiiyoN se
hawaa ki aahaaToN se dar rahe haiN

jhukaa paaya na jis sar ko zamaana
teri chauKhaT pe jaanaaN dhar rahe haiN

nahiiN mujhko ijaazat bolney ki!
to mujhse baat hi kyoN kar rahe haiN?

puraane zakhm "maikash" bhar chale haiN
ya phir ehsaas dil ke mar rahe haiN


maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................

Last edited by maikasH; 4th November 2014 at 01:52 AM..
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#2)
masoomshayer
Registered User
masoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud of
 
masoomshayer's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Dec 2005
Location: delhi
Rep Power: 31
4th November 2014, 08:21 AM

hameshaa hee lajwab ho aaj bhee padh ke bahut achhaa lagaa


mere ashar ko mahoob samjh ke chhoomte the jo
kho gaye hain woh log ab un kee justzoo hai
  Send a message via Yahoo to masoomshayer  
Reply With Quote
Old
  (#3)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
4th November 2014, 02:04 PM

ikkaThey dil ke TukDey kar rahe haiN
yeh jurmaana wafaa ka bhar rahe haiN

voh de gaali bhi to mujhko lage hai
laboN se phool jaise jhaR rahe haiN

jo kehte the laDeNgey aaNdhiiyoN se
hawaa ki aahaaToN se dar rahe haiN

jhukaa paaya na jis sar ko zamaana
teri chauKhaT pe jaanaaN dhar rahe haiN

nahiiN mujhko ijaazat bolney ki!
to mujhse baat hi kyoN kar rahe haiN?

puraane zakhm "maikash" bhar chale haiN
ya phir ehsaas dil ke mar rahe haiN







Maikash bhai mahfil loot li aapne..... aaj ki mahfil aapke naam huii.... kamaal ki ghazal huii hai is baar bhii....... likhte raho bhai ahfil ki shaann badhaate raho.....

Shaad....


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Amanush...
Tanhaa Raahi
Amanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Amanush...'s Avatar
 
Offline
Posts: 3,700
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 54
4th November 2014, 06:56 PM

Waah, Maikash Ji, waah, kya khoob likhaa hai aapne...!

Hamare bhi daad qabool kareiN

Maqta hameiN khaas pasand hai...!

Apna khayaal rakheiN, ok...?

DuaaoN ke saath




Jeene ke liye mujhe ek sapna dedo
Haqeekat meri jaaN liye jaa rahi hai

  Send a message via Yahoo to Amanush... Send a message via MSN to Amanush...  
Reply With Quote
Old
  (#5)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
4th November 2014, 07:44 PM

Maikash bhaiya

SSA ...pranaam

Umdaah Ghazal aapki...dil mein Ghar kar gaye Ghazal ke har ik sher...khaas mujhe matla aur maqta behad pasand aaya

Dil se daad..

Duaaon ke saath ijaazat..jsk

Aapka

Dhaval


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
Post 4th November 2014, 08:47 PM

बहुत अच्छी ग़ज़ल .. आखिरी दो अशआर दिल में उतर गए

मौला आपकी कलम को और हुनर बख्शे

दाद कुबूल फरमाएं

अपना ख्याल रखें


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
4th November 2014, 10:18 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
ek Ghazal raqm hui hai yaaro, suno

ikkaThey dil ke TukDey kar rahe haiN
yeh jurmaana wafaa ka bhar rahe haiN

voh de gaali bhi to mujhko lage hai
laboN se phool jaise jhaR rahe haiN

jo kehte the laDeNgey aaNdhiiyoN se
hawaa ki aahaaToN se dar rahe haiN

jhukaa paaya na jis sar ko zamaana
teri chauKhaT pe jaanaaN dhar rahe haiN

nahiiN mujhko ijaazat bolney ki!
to mujhse baat hi kyoN kar rahe haiN?

puraane zakhm "maikash" bhar chale haiN
ya phir ehsaas dil ke mar rahe haiN


maikash
wah ustaad..pur asar behad saadgi se bayaan kar diya ek gehre ehsaas ko...daad qubool farmaayein..

aapka apnaa



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#8)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
5th November 2014, 02:15 AM

Quote:
Originally Posted by masoomshayer View Post
hameshaa hee lajwab ho aaj bhee padh ke bahut achhaa lagaa

bohat shukriya aapka bhai , yooN hi saath banaaye rakhiyega


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
wah
Old
  (#9)
rajveeer
shayri is my life
rajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud of
 
rajveeer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
wah - 5th November 2014, 11:44 AM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
ek Ghazal raqm hui hai yaaro, suno

ikkaThey dil ke TukDey kar rahe haiN
yeh jurmaana wafaa ka bhar rahe haiN

Janaab sandhu saab sat sri akaal ji matla bhut khuub bana hai..daad hazir hai..

voh de gaali bhi to mujhko lage hai
laboN se phool jaise jhaR rahe haiN

Janaab gustaakhi maaf lafz voh hota hai ya.n wo hota hai? Agar voh hoga to ye bahu vachan hoga wo ek vachan hoga..agar voh hai to de nahi aiyega de.N aiyega..baaki aap khud dekhiye ga..

jo kehte the laDeNgey aaNdhiiyoN se
hawaa ki aahaaToN se dar rahe haiN

Doosra misra hawaa ki aahat hona chahiye ya phir hawaao.N ki aahaato.N hona chahiye...meri soch ke mutabik...share acha hai daad..

jhukaa paaya na jis sar ko zamaana
teri chauKhaT pe jaanaaN dhar rahe haiN

Bhut khuub...

nahiiN mujhko ijaazat bolney ki!
to mujhse baat hi kyoN kar rahe haiN?

Pehle misre mei.N koii kamii hai isme 'gar' lafz kahin fit hona chahiye..nahi mujhko ijajat gar bolne kii...

puraane zakhm "maikash" bhar chale haiN
ya phir ehsaas dil ke mar rahe haiN

Wah wah janaab qatal maqta..bhut khub...daad qabool farmaiyega...aapka Raj...


maikash
Maikash bhai bhut khub...poori ki poori gazal lajawaab hai...


un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
 Send a message via ICQ to rajveeer Send a message via Yahoo to rajveeer  
Reply With Quote
Old
  (#10)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
5th November 2014, 03:14 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
ek Ghazal raqm hui hai yaaro, suno

ikkaThey dil ke TukDey kar rahe haiN
yeh jurmaana wafaa ka bhar rahe haiN

voh de gaali bhi to mujhko lage hai
laboN se phool jaise jhaR rahe haiN

jo kehte the laDeNgey aaNdhiiyoN se
hawaa ki aahaaToN se dar rahe haiN

jhukaa paaya na jis sar ko zamaana
teri chauKhaT pe jaanaaN dhar rahe haiN

nahiiN mujhko ijaazat bolney ki!
to mujhse baat hi kyoN kar rahe haiN?

puraane zakhm "maikash" bhar chale haiN
ya phir ehsaas dil ke mar rahe haiN


maikash
Maikash Ji......Aik Aik lafz dil ke Kareeb rha, dil ki gehraiyoN se lafz nikle lag rhe hai.

Apne ehsaasoN se ru-b-ru hone ka mokka diya aapne...Shukriya


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#11)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
5th November 2014, 05:55 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
ikkaThey dil ke TukDey kar rahe haiN
yeh jurmaana wafaa ka bhar rahe haiN

voh de gaali bhi to mujhko lage hai
laboN se phool jaise jhaR rahe haiN

jo kehte the laDeNgey aaNdhiiyoN se
hawaa ki aahaaToN se dar rahe haiN

jhukaa paaya na jis sar ko zamaana
teri chauKhaT pe jaanaaN dhar rahe haiN

nahiiN mujhko ijaazat bolney ki!
to mujhse baat hi kyoN kar rahe haiN?

puraane zakhm "maikash" bhar chale haiN
ya phir ehsaas dil ke mar rahe haiN







Maikash bhai mahfil loot li aapne..... aaj ki mahfil aapke naam huii.... kamaal ki ghazal huii hai is baar bhii....... likhte raho bhai ahfil ki shaann badhaate raho.....

Shaad....

khaaN miyaaN yeh to aapki husn-e-nazar hai jo hauNslaa baDhaati hai

Ghazal ki paziraaii ke liye behadd mashkoor hooN aapka bhai

rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#12)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
5th November 2014, 05:56 PM

Quote:
Originally Posted by Amanush... View Post
Waah, Maikash Ji, waah, kya khoob likhaa hai aapne...!

Hamare bhi daad qabool kareiN

Maqta hameiN khaas pasand hai...!

Apna khayaal rakheiN, ok...?

DuaaoN ke saath




Namaste Danny bhai,

aapse ek taveel arseyt be baad mukhaatib hote hue bohat khushi ho rahi hai

aapki daad sar aaNkhoN par, duaaoN ke liye shukriya qabool kijiye

aate raha kijiye


rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#13)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
5th November 2014, 05:58 PM

Quote:
Originally Posted by Dhaval View Post
Maikash bhaiya

SSA ...pranaam

Umdaah Ghazal aapki...dil mein Ghar kar gaye Ghazal ke har ik sher...khaas mujhe matla aur maqta behad pasand aaya

Dil se daad..

Duaaon ke saath ijaazat..jsk

Aapka

Dhaval

Ghazal pasaNd farmaane ke liye shukriya Dhaval miyaaN


daad ke liye shukriya alag se qabool farmaaiye


rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#14)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
5th November 2014, 06:10 PM

Quote:
Originally Posted by kshitiz View Post
बहुत अच्छी ग़ज़ल .. आखिरी दो अशआर दिल में उतर गए

मौला आपकी कलम को और हुनर बख्शे

दाद कुबूल फरमाएं

अपना ख्याल रखें

namaskaar kshitiz miyaaN,

daad ke liye iNtehaayi shukurguzaar hooN aapka

uupar waala aapko taNdrustiyaaN baKshe


rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#15)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
5th November 2014, 06:11 PM

Quote:
Originally Posted by mast View Post
wah ustaad..pur asar behad saadgi se bayaan kar diya ek gehre ehsaas ko...daad qubool farmaayein..

aapka apnaa
aapki nawaazish hai Anu bhai, daad ke liye behadd shukriya


rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#16)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
5th November 2014, 06:40 PM

Quote:
Originally Posted by rajveeer View Post
Maikash bhai bhut khub...poori ki poori gazal lajawaab hai...

bohat shukriya Raj bhai

aapne do-ek aitraaz uThaaye haiN to maiN unki wajaahat karne ki koshish kar raha hooN

voh de gaali bhi to mujhko lage hai
laboN se phool jaise jhaR rahe haiN

Janaab gustaakhi maaf lafz voh hota hai ya.n wo hota hai? Agar voh hoga to ye bahu vachan hoga wo ek vachan hoga..agar voh hai to de nahi aiyega de.N aiyega..baaki aap khud dekhiye ga..


gustaakhi ki koi baat nahiiN hai bhai, sawaal-o-aitraaz aapka haq hai

peshagii muaafi maaNgte hue arz kar raha hooN ke aapko koi Ghalatfehmii hui hai, "voh" or "wo" urdu meiN ek hi lafz hai...aapne shayad hindi ke "veh" shabd ko tasleem kar liya hai jiski wajah se aapko yeh theek nahiiN laga

lafz-e-"voh" ki nisbat "de" or "deiN" se ban'ti agar "de" istemaal kareN to lehja ek hai aur agar "deiN" istemaal kareN to lehja duuja ho jaata hai, is meiN ek vachan aur bahuvachan ki guNzaayish nahiiN uTh sakti


jo kehte the laDeNgey aaNdhiiyoN se
hawaa ki aahaaToN se dar rahe haiN

Doosra misra hawaa ki aahat hona chahiye ya phir hawaao.N ki aahaato.N hona chahiye...meri soch ke mutabik...share acha hai daad..


nahiiN bhai yahaaN bhi aapko mugaalta lagaa hai, hawaa ki "aahaT" aur "aahaTeiN" dono ho sakti hai ba-sharte usey kaise istemaal meiN laaya gaya hai, yahaaN seedhe seedhe bina lapeTey hue bartaa gaya hai aur mujhe is meiN koi aib nazar nahiiN aaya, ek misaal deta hooN :

maiN uski aahaTein chun looN , maiN usko bol kar dekhuuN
gali meiN kaun phirtaa hai, dareecha khol kar dekhuuN

yahaaN bhi mujhe lagta hai aapko singular aur plural ki confusion ho gayi hai


nahiiN mujhko ijaazat bolney ki!
to mujhse baat hi kyoN kar rahe haiN?

Pehle misre mei.N koii kamii hai isme 'gar' lafz kahin fit hona chahiye..nahi mujhko ijajat gar bolne kii...


Raj bhai misra-e-oola meiN yahaaN lafz-e-"gar" kahiiN bhi aur kisi bhi tareeqey se fit nahiiN ho sakta, agar karte haiN to misra wazan se gir jaayega

Ghazal pasaNd farmaane ke liye aapka mashkoor wa mamnoon hooN, aapse guzaarish hai ke yooN hi hauNsla badhaate rahiyega


rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................

Last edited by maikasH; 5th November 2014 at 06:43 PM..
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#17)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
6th November 2014, 12:25 AM

Bahut khoob gazal..maikash ji..har sher ek se badkar ek....daad kubool kijiye.



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
9th November 2014, 03:09 AM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
Bahut khoob gazal..maikash ji..har sher ek se badkar ek....daad kubool kijiye.
Madhu jee aapne hamesha ki tarah is baar bhi daad se nawaaz kar mujh na ahl ki hauNsla afzaai ki hai, bohat shukriya jee aapka

rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#19)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
10th November 2014, 08:40 AM

Bahut hi umdha (bariya)ghazal lagi mujhe aapki maikash bhai ...Aap ka likha ek ek alfaz
dil pe asar karta hai ...

MaiN aap se bahut inspire hota hun aur ek jazba dil me uth.tha hai ki kash kabhi
maiN bhi aisa likh paunga
Dil se daad kabool lareiN.

Sanjay Sehgal



khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.

Last edited by Hamdam; 10th November 2014 at 08:44 AM..
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com