Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Humourous Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Khwamkhwah chhedte rehte haiN
Old
  (#1)
Kamakaze
Sher-e-Shayari
Kamakaze is on a distinguished road
 
Kamakaze's Avatar
 
Offline
Posts: 87
Join Date: Sep 2003
Location: New Delhi
Rep Power: 21
Khwamkhwah chhedte rehte haiN - 31st January 2005, 01:11 PM

Hyderabad ke masHhoor-e-zamAnA mazAhiyA dakhni shayar KhwAmkhwah ke kuchh qitaat aapke funny bone ke liye.


MaNg kar tohfa-e-nayAb liya hai jisne
Royega wo dil-e-betAb liya hai jisne

(nayAb = rare, unprocurable, unattainable)

Khwa-ma-khwah bas wo hi haNsne se karega parez
Qabz ho jisko ya jullAb liya hai jisne

parez = abstinence, qabz = constipation
jullab = purgative, medicine that evacuates bowels


Another qita:

Dard bachpan ka jawAni meiN jawAN hota hai
Aap chahenge jahaN, bas ye wahAN hota hai

Khwa-ma-khwah dard zayifi ka na pucho mujh se
Eik jagah ho to batauN ke yahAN hota hai

zayifi = senility, old age

Another qita:

Wo hai shola to unheiN dene hawA ham bhi haiN
Ye khata hai to khatawAr-e-sazA ham bhi haiN

Husn par sirf jawAnoN ka ijAra kyuN ho
Is budhape meiN hasinoN pe fidA ham bhi haiN

Final qita:

MaiN ek insAN huN aakhir aa'shiqi kab tak nahiN karta
Mere sIne meiN jo dil hai, wo kya dhak dhak nahiN karta

Mujhe is aa'shiqi meiN is liye bhi lutf aata hai
Budhape ki wajah se koyi mujh par shak nahiN karta


Kamakaze
-------------
Urooj-e-aadam-e-khaqi se
Anjum sahme jaate hain...
kahin ye toota hua taara
mah-e-kaamil na ban jaaye
  Send a message via Yahoo to Kamakaze  
Reply With Quote
Old
  (#2)
candyboy
Registered User
candyboy will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,473
Join Date: Aug 2004
Location: Sharjah, U.A.E.
Rep Power: 21
31st January 2005, 01:44 PM

Hi Kamakaze Ji,

Miya, Acchha faiday utha rahe ho budhape ka. Excellent work!!!


Luvs,

Salim

If there are no tears in the eyes, there will be no rainbow in the soul

Happiness is a butterfly, which, when pursued, is always just beyond your grasp, but which, if you sit down quietly, may alight upon you.

We come to love not by finding a perfect person but by learning to see an imperfect person perfectly
  Send a message via Yahoo to candyboy  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Kamakaze
Sher-e-Shayari
Kamakaze is on a distinguished road
 
Kamakaze's Avatar
 
Offline
Posts: 87
Join Date: Sep 2003
Location: New Delhi
Rep Power: 21
31st January 2005, 01:46 PM

Mian Candyboy,
Khwamkhwah ka kalaam hai. Tang-o-mazaah mein aala janaab hain. Shukriya


Kamakaze
-------------
Urooj-e-aadam-e-khaqi se
Anjum sahme jaate hain...
kahin ye toota hua taara
mah-e-kaamil na ban jaaye
  Send a message via Yahoo to Kamakaze  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
viranoon mein rehte hain….. Aman_rahi Shayri-e-Dard 14 25th July 2005 11:25 AM
khoye Rehte Hain.......[dedicated to My Brother Pulkit] Aman_rahi Shayri-e-Dard 34 31st May 2005 09:10 AM
Sab Ke Rehte Lagta Hain Jeise** Shimul Hindi/Urdu Lyrics 4 14th March 2005 05:02 PM
chup na rehte dard_thesorrow Shayri-e-Ishq 0 4th October 2004 06:14 PM
hu aapke di mein rehte hain nihharikaa Aapki Shayri 1 28th May 2004 04:14 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com