Bewafa Sanam -
22nd October 2003, 10:22 PM
Sahil mai rehkar bhi na koi kinara nazar aya
pholon ke bagh me bhi na koi gulab nazar aya
Yaha sirf hum hai aur humari tanhai
chandni raat mein bhi na hume koi chand nazar aya
Juda hogae dunya ki har khushi se hum
bahaar ke mausam mai bhi hume sirf pathjhar nazar aya
Dard degae hume sanam aisa janam janam ka
magar wo bewafa hai ke kuch he deer bad hansta nazar aya
Yad kia humne ose phir bhi jab had se ziada
ankhio se ansu nahi, khoon behta nazar aya
Pyar kiya to kia humne sirf ek baar
oske hi daman me hume apna kafan nazar aya
Kadam uthae jab wo in galio me humare
oski kadmo ki dhool mai hai apna janaza nazar aya
|