Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Lyrics > Hindi/Urdu Lyrics > Sahir Ludhianvi

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 8 votes, 5.00 average. Display Modes
*Insaan Kee Aulad Hain-Insaan Banegaa**
Old
  (#1)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
Post *Insaan Kee Aulad Hain-Insaan Banegaa** - 12th June 2008, 07:30 PM

(Tu Hindu Banegaa Na Musalmaan Banegaa,
Insaan Kee Aulaad Hain-Insaan Banegaa) -2

(Maalik Ne Harr Insaan Ko Insaan Banaaya
Hum Ne Use Hindu Ya Musalmaan Banaaya)-2
Qudrat Ne To Bakshi Thi Humein Ek Hee Dharti
Hum Ne Kahin Bhaarat Kahin Iraan Banaaya
Jo Tod De Harr Band Woh Toofaan Banegaa
Insaan Kee Aulaad Hain-Insaan Banegaa

Nafrat Jo Sikhaaye Woh Dharam Tera Nahee Hain
Insaan Ko Jo Ronde Woh Qadam Tera Nahee Hain
Qur'An Na Ho Jis Mein Woh MannDeer Nahee Tera
‘Geeta Na Ho Jis Mein Woh ‘Haram Tera Nahee Hain
Tu aman Ka Aur Sulha Ka Armaan Banegaa
Insaan Kee Aulaad Hain-Insaan Banegaa

Ye Deen Ke Taajar Ye (Watan Bechne Waale -2)
Ye Deen Ke Taajar Ye Watan Bechne Waale
Insaanon Kee Laashon Ke (Qafan Bechne Waale) -2
Insaanon Kee Laashon Ke Qafan Bechne Waale
Ye Mahelon Mein Baithe Huye Qaatil Ye Lutere
Kaanton Ke Ewaz Ruh Hain Chaman Bechne Waale -2
Tu Inke Liye Maot Ka Aelaan Banegaa
Insaan Kee Aulaad Hain-Insaan Banegaa



*Singer: Mohammad Rafi Jee **
*Film: Dhool Ka Phuul **
*Lyricist: Sahir Ludhiyanvi Jee **


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
>> har insaan ko insaan ka pyar nahi milata.. heart_killer Shayri-e-Dard 9 26th June 2009 11:54 PM
Aadmi hain sab yahan Insaan nahi hain HARSH "fakir" Ghazal Section 0 21st March 2008 10:36 PM
Hum Bhi Aakhir Insaan Hain.. pallavi_here Shayri-e-Ishq 12 16th March 2005 09:54 PM
Khilona Nahin, Insaan Hain Hum Anupama18 Shayri-e-Ishq 0 28th April 2004 10:25 PM
haiN tera dost magar insaan achchaa bhi nahiN Neha Haroon Shayri-e-Ishq 1 28th March 2003 11:16 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com