Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Personal Messages > Introduction Forum

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 3 votes, 5.00 average. Display Modes
Old
  (#41)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
5th September 2014, 10:17 PM

[QUOTE=sunita virender;467654]
Quote:
Originally Posted by zarraa View Post

Zarra ji...maine socha tha ki aap us waqt ki koi romantic gazal pesh kareNge, par yeh kya daur meiN dard ????

Clg ka daur to bada rumani daur hota hai...ishq-mohabat ke charche hote hai...
.

Sunita ji ke hukm ki baa-adab taameel karte huwe, college ke zamaane mein likhi do kachchee pakkee tootee phootee roomaanee tabiyat ki rachnaaein pesh kar raha hoon.

Sunita ji, main aap ka ek baar aur shukriya ada karta hoon ki aap ne mujhe us daur ko phir se yaad karne ko majboor kiya. Main aap ki is khoobee ko bahaut admire karta hoon ki aap na sirf qalaam ko hi dekhteen hain, par us ke peechhe ke insaan ko bhi. Aap SDC ke members ko na sirf shaayar samajh kar un se relate karteen hain, par at a human level aap sab se empathise karteen hain. ji bahaut bahaut shukriya. hum ahl-e-SDC aap ki mamata ke saaye mein khud ko mehfooz mehsoos karte hain ...

ye kya thi pata naheen ... ghazal, nazm ya kuchh bhi naheen ... AUG 1995

suna tha kaha tha pardha tha likha tha
huwa jab na hum ko pata hi chala tha

jise dhooNdhte nazm o sher o ghazal meiN
ghardhee bhar meiN wo ishq hum ko huwa tha

na saaqee se ulfat na mayy ki thi chaahat
humeiN shauq bas bekhudee ka barha tha

na haathoN meiN lekin bhara jaam aaya
faqat naaz saaqee ka hum ko mila tha

wajah jis ki us ko tijaarat kaheNge
humeiN ishq bas bewajah hi huwa tha

dawa hi naheeN jis ki duniya meiN koyee
ghaneemat hai wo rog hum ko laga tha

VIRAH GEET (MAY 1996)

mere saajan se mat poochhiyo
kab aayenNge wo des
mat kahiyo kya bisra gaye
hum ko ja kar pardes

saajan jo tujh se yooN kaheiN
maiN paNkh laga kar aaooN
mujh se mat kehna maiN kaheeN
itra itra na jaaooN

aur saajan jo tujh se kaheiN
ab ke na aane paaooN
mujh se mat kehna maiN kaheeN
baawariya na ho jaaooN

meri sakhiyaaN mujh se poochhteeN
kyooN gumsum tu har pal
maiN kab tak un se ye kahooN
meri toot gayee paayal

saajan se nain larhe mere
tab se laagee hai aas
phir biraha ki ho ik gharhee
ya biraha baarahoN maas

bas ek manautee maaNgtee
saajan ko liyo sambhaal
pardes meiN saajan ka na ho
kaheeN mere jaisa haal

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha

Last edited by zarraa; 5th September 2014 at 10:52 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#42)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
5th September 2014, 10:23 PM

Quote:
Originally Posted by N@zneen View Post
Zarraji is pure mahine aapka koi na koi sher mera signature hoga a small gift from me
aur mujhe bahot khushi hogi aapki sher ko is mahine sig banakar rakhuN i hope u accept it
It's an INVALUABLE GIFT N@zneen ji. main aap ka shukriya kis tarah ada karoon. mera dil bhar aaya hai ki kuchh kaha bhi naheen kaha ja raha. so much honour, so much affection !! I accept this most precious and beautiful gift with all my heart .... dheron dheron dheron duaein aap ko

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#43)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
7th September 2014, 12:45 AM

Quote:
Originally Posted by aadeil View Post
Zarraasaab,

aapke baare meN jaan kar aur aapke javaab paRhke hameN behad achchhaa lagaa. aapke javaaboN meN ek tajurbedaar shakhsiyat kii pehchaan miltii hai.

aapkii jo tehriir aapne yahaaN post kii hai, usmeN se 'A tribute to all women of the world' maiN paDh rahaa tha.. usme se ek sher pe aapse savaal karnaa chaahunga...

usko maaloom tha hoNge na mukammal lekin
khwaab aNkhoN meiN kayee phir bhii sajaaye hoNge

aapne kabhii aapke kareeb kisii ko bhii aise haalaat kaa saamnaa karte mehsoos kiya hai? aur agar aap uske himaayati bane hoN ya banne kii koshish kii ho?
Aadeil sahab ... bahaut bahaut shukriya tashreef laane ka aur ek dil ko chhoone waala sawaal poochhne ka.

Sach poochhiye, ek chhote se arsey mein hi aap se ek rabt sa qaayam ho gaya hai. Ek to ye ki hum donon hi Ghalib-bhakt hain to is maayne mein hum guru-bhai huwe doosra ye, ki main aap ke ilm, hunar, khirad, shakshiyat, kaifiyat se bahaut mutaasir huwa hoon aur aap ki bahaut qadr aur izzat karta hoon.

is se pehle ki aap ke sawaal ke jawaab ke taur pe kuchh arz karoon, ek context dena chaahoonga is sher ka, which will hopefully connect back to my response as well ...

sher kehte waqt mera ehsaas tha un tamaam chhoti-barhi hasraton ka jinhone dil mein basera to kar liya, haalaanki dimaagh ye achchhee tarah jaanta tha ki un ka sach hona takreeban na-mumkin sa hai. ye hasratein roz-marra ki khushiyaan paane ki bhi hain aur koyee bahaut barhe life-altering event ki bhi.

yahaan par irony ye hai ki auraton ke ehsaas kaheen zyada fertile hote hain aur khwahishon ka phool un mein aur bhi khoobsurti se khilta hai. magar tragedy ye hai ki samaaj mein unheen par zyaada b*****shein bhi lagteen hain aur majbooriyaan bhi un ke hisse mein zyaada aateen hain.

bas isi liye un ki aankhein khwaab bhi saja leteen hain jab ki un ko
ye aabhaas rehta hai ki wo mukammal naheen honge.

magar ek khushi ki baat ye bhi hai ki badlaav aana shuru ho gaya hai aur ye soorat badal bhi rahi haj aur badal ke hi rahegi ... haan aaj bhi kayee aisi mahilaaein hain jin ke liye ye majbooriyaan aaj bhi sach hai.

ab aap ke sawaal par aayein to, "aankh par saje khwaabon" ke 2 dimensions hain

1. roz marra ke chhote chhote khwaab, jin mein se kayee adhoore reh jaate hain. main ye kayee jagah kayee families mein dekha hai. "khwaab" ka mudda barha ho ya chhota, us ka daayra ghar ke andar ka ho ya baahar ka, us ki taameer apnon par dependant ho ya ghairon par ... aise aasaan se khwaabon ko bhi poora karna aasaan naheen hota"

2. koyee aisa khwaab jahaan samaaj parivaar duniya se baghaavat karni ho us ko haasil karne ke liye. ye khwaab ishq mohabbat ke bhi hote hain, ambition ya aspiration ke bhi ya apne tareeke se zindagi basar karne ke bhi ... aise khwaabon ke liye lagaataar ek lambey arsey tak jaddojahad karti rehni parhtee hai ... aur jab ye lagta hai ki ye mukammal naheen honge tab bhi dil hathiyaar naheen daalta kyunki ab wo bahaut aage tak aa gaya hai aur un ki khaatir sangharsh karta hi jaata hai.

main ne in donon kism ki situations ko kareeb se dekha hai ...10-15-20 saal pehle shayad ye zyada common theen ... pichhle 10-12 saal mein to hamaare mulk mein behad badlaav aa gaya hai ... especially among youth and among women ... par jitna bhi badlaav aa jaaye, kuchh cheezein waisi k waisi rehtee hain !'

kya main un ka himaayati bana .. kya main ne un situations mein koyee kaarnaama kiya, main aisa koyee bhi daawa naheen kar sakta .. aisi situations complex aur grey hoti hain ... main ne bas chhote chhote minor contributions hi kiye ... mainly by giving moral support & by being sounding board, help in thinking through, ya diplomatically jo bhi subtle intervention ho sakta tha, baaki jo mahilaayein in situations mein theen wo mujh se kaheen zyaada matured aur emotionally intelligent theen .. hence my role was minimal and limited to express understanding and support !!

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#44)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
7th September 2014, 08:07 AM

sher kehte waqt mera ehsaas tha un tamaam chhoti-barhi hasraton ka jinhone dil mein basera to kar liya, haalaanki dimaagh ye achchhee tarah jaanta tha ki un ka sach hona takreeban na-mumkin sa hai. ye hasratein roz-marra ki khushiyaan paane ki bhi hain aurzaeea
koyee bahaut barhe life-altering event ki bhi.

yahaan par irony ye hai ki auraton ke ehsaas kaheen zyada fertile hote hain aur khwahishon ka phool un mein aur bhi khoobsurti se khilta hai. magar tragedy ye hai ki samaaj mein unheen par zyaada b*****shein bhi lagteen hain aur majbooriyaan bhi un ke hisse mein zyaada aateen hain.

bas isi liye un ki aankhein khwaab bhi saja leteen hain jab ki un ko
ye aabhaas rehta hai ki wo mukammal naheen honge.

magar ek khushi ki baat ye bhi hai ki badlaav aana shuru ho gaya hai aur ye soorat badal bhi rahi haj aur badal ke hi rahegi ... haan aaj bhi kayee aisi mahilaaein hain jin ke liye ye majbooriyaan aaj bhi sach hai.

ab aap ke sawaal par aayein to, "aankh par saje khwaabon" ke 2 dimensions hain

1. roz marra ke chhote chhote khwaab, jin mein se kayee adhoore reh jaate hain. main ye kayee jagah kayee families mein dekha hai. "khwaab" ka mudda barha ho ya chhota, us ka daayra ghar ke andar ka ho ya baahar ka, us ki taameer apnon par dependant ho ya ghairon par ... aise aasaan se khwaabon ko bhi poora karna aasaan naheen hota"

2. koyee aisa khwaab jahaan samaaj parivaar duniya se baghaavat karni ho us ko haasil karne ke liye. ye khwaab ishq mohabbat ke bhi hote hain, ambition ya aspiration ke bhi ya apne tareeke se zindagi basar karne ke bhi ... aise khwaabon ke liye lagaataar ek lambey arsey tak jaddojahad karti rehni parhtee hai ... aur jab ye lagta hai ki ye mukammal naheen honge tab bhi dil hathiyaar naheen daalta kyunki ab wo bahaut aage tak aa gaya hai aur un ki khaatir sangharsh karta hi jaata hai.

main ne in donon kism ki situations ko kareeb se dekha hai ...10-15-20 saal pehle shayad ye zyada common theen ... pichhle 10-12 saal mein to hamaare mulk mein behad badlaav aa gaya hai ... especially among youth and among women ... par jitna bhi badlaav aa jaaye, kuchh cheezein waisi k waisi rehtee hain !'

kya main un ka himaayati bana .. kya main ne un situations mein koyee kaarnaama kiya, main aisa koyee bhi daawa naheen kar sakta .. aisi situations complex aur grey hoti hain ... main ne bas chhote chhote minor contributions hi kiye ... mainly by giving moral support & by being sounding board, help in thinking through, ya diplomatically jo bhi subtle intervention ho sakta tha, baaki jo mahilaayein in situations mein theen wo mujh se kaheen zyaada matured aur emotionally intelligent theen .. hence my role was minimal and limited to express understanding and support !!
Zarra bhai ..
pehle tau us Management Grad ko.salaam jo itni gehri urdu mein
shayri karta hai ...Maine aap ka aqs ek Ackkun pehne hue , daari wale
shatar ka bana rakha tha per aap tau Mia Majnu ki Jagah ek hitech. Shayar
nikle.

Aap nein urdu kaise seekhi jaan ker acha laga. muje bhi us raste
per daliye hazoor. Kyongi urdu jubaan mein shayri ka ek apna hi luthf hai.

Uupaar apne kwabon per tehreer ki jo kaafi achchi.lagi mujhe. Aadeil sahib ko
pichli interview mein para tha aur ab aap ko.perne ke baad yeh mehsoos ho.raha
hai ki Shayri mein intellectual aur highly educated logon la bahut contribution ho raha
hai jo ki ek bare fakr ki baat hai.

@@Aap ki better half aap ki shayri se mutassir hoti
hain ya aap bhi aaine mein khud ko ghazal sunate hain

khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
   
Reply With Quote
Old
  (#45)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
7th September 2014, 03:42 PM

Quote:
Originally Posted by Hamdam View Post

ji bahaut bahaut shukriya is mohabbat bhari pazeeraayee ka.
waise, agar aap bhi meri tarah urdu ki "self learning" karna chaahte hain, to internet mein bahaut material milega ... kayee sher-o-sukhan aur urdu adab ki websites hain, kayee word translators ya dictionaries, aur phir ustaad google zindabad !

ji haan, mere ghar mein bhi kayee aaine hain wo hi hazireen-e-mehfil ka kaam bhi karte hain, magar un ki taraf se kabhi daad ki aawaaz naheen aatee hai

ho sakta hai isee wajah se main ne shayad ye sher kaha ho

"zarraa" aise khafa n ho ke bas
aaeeena hi dikha gaya koyee

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#46)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
7th September 2014, 05:32 PM

Quote:
Originally Posted by N@zneen View Post
Zarraji aise bahot kam log hotey haiN jo har kisi ko impress kar jaeN aur bila shubah ap un meiN sey ek haiN aapse abtak sirf paatshaala thread par baat hui wo bhi sher o shayari se related aur tab sey hi aapke lahje, samajhdari aur down to earth nature se bahot impress hun, aapne abtak jitna kuch apne baare meiN bataya wo padhkar bahot hi achcha laga, itni khoobsurti se aur detail meiN har ek sawaal ka jawaab diya aapne ki sawaal karne wala bhi khush hojae aur padhne wala bhi

Meri taraf sey kuch sawaal haiN zarraji wo ye rahey:-

1. Aap bachpan meiN kaise the zarraji shararti the? Bahot shararti the? ya seedhe saadhe sey the?

2. Bachpan ka aisa koi dilchasp qissa jo aapko aaj bhi yaad ho to wo share kar dijiye

3. College life meiN ap kaise rahey haiN zarraji shaant the ya daredevil?

4. College life ka kya koi aisa dilchasp qissa hai jo ap share karna chahenge?

5. Kya aapko gussa aata hai? Agar haan to kaise react kartey haiN?

Abhi keliye sirf itna hi zarraji...jawaab aap aaraamse dijiyega aapke baare meiN jaanney ki jaldi to hai lekin aap apni conveniency ke hisaabse jawaab dijiyega
N@zneen ji. aap ka bahaut shukriya ki aap ne mujhe aap ke sawaalon se bachpan aur larhakpan ki yaadein taaza ho gayeen

N@zneen ji, I must say that it has been an absolute pleasure and delight interacting with you over the last few months.

Aap ek behad hi talented shayara hain aur aap mein shayari mein excel karne ka beshumaar potential hai. aap ke ehsaasaat baareek hain, aap ke jazbaaton mein rang aur noor hai, aap ki zabaan mein loch hai, aap ke paas urdu language ka solid base hai aur aap mein seekhne ki zabardast chaah hai. mujhe poora yakeen hai ki sher-o-sukhan ka ek bahaut ooncha maqaam aap ki raah dekh raha hai !

and at a personal level, you have always displayed a very very caring, respectful and pleasant attitude towards me, for which I am extremely indebted and thankful to

aap ko meri or se dheron duaein

Ab aate hain aap ke sawaalon par

1. Aap bachpan meiN kaise the zarraji shararti the? Bahot shararti the? ya seedhe saadhe sey the?

mere hisaab se to main seedha saada hi tha, par Ma kehti hai ki main bahaut sharaarati tha I guess mother knows best

2. Bachpan ka aisa koi dilchasp qissa jo aapko aaj bhi yaad ho to wo share kar dijiye

dilchasp kissa "share" karne se ek kissa yaad aayaa

jaisa ki main ne Zainy ji ke ek sawaal ke jawaab mein arz kiya tha ki mujhe bahaut chhoti hi umr se hi poetry ka shauq ho gaya tha.

Takreeban 6-7 saal ki umr mein Doordarshan mein ek mushayara + kavi sammelan (mixed) dekha. Us mein shoraa ko kehte huwe suna "ek sher arz hai". Main ne ghar waalon se poochha ye kya hai hai aur kaun si zabaan mein hai to unhone kaha ki ye "sher" hai aur ye urdu zabaan mein hai.

agle hi din main ne bhi apni diary mein kuchh na kuchh likh diya tha. jab ghar waalon ne poochha ye kya likh rahe ho, to main ne kaha ki "wo hi jo TV mein kal dekha tha. magar ye urdu naheen hindi mein likha hai to is ko main "sher" naheen "bhaaloo" kahoonga". bakayda diary mein "bhaaloo" ka title likh diya. aur is tarah agle 1 saal tak main "bhaaloo" kehta raha aur din-raat "bhaaloo-giri" karta raha, aur is tarah khud ko duniya ka sab se barha "bhaaloo-war" samajhta raha

3. College life meiN ap kaise rahey haiN zarraji shaant the ya daredevil?

shaant to naheen tha, "daredevil" not in the conventional sense, par ye ki college mein pranks play karta, nothing dangerous, just harmless ones like making them believe in unreal fantastic stories about people in college, or organising a mass-bunk to go for picnic.

4. College life ka kya koi aisa dilchasp qissa hai jo ap share karna chahenge?

College ke 2nd year mein main ne
apne group ke 7-8 doston ko uksaaya picnic mein chalne ke liye, poora din classes bunk maar ke. dheere dheere ye idea barha hota gaya. ek friend ne do-chaar aur friends ko bulaaya, unhone kuchh aur ko aur unhone kuchh auron ko... ek "viral effect" type ka ban gaya, aur hote hote pooree pooree class hi picnic mein involve ho gayee. aakhir mein class ke takreeban 70% students picnic par aa gaye aur lectures ke liye mein sirf 30% gaye. zaahir hai profs ko achchha naheen laga aur agle din college thorha sa hungama bhi hua. main ne kuchh doston ke saath mil kar un se muaafee maang li. wo sab bahaut achchhe the aur humein bachcha samajh ke muaaf kar diya.

bas phir picnic ka silsila shuru ho gaya. hamaara group kayee picnics par gaya magar ab ke ya to chhutti ke din ya profs se prior permission le ke, aur kabhi pooree class ke saath naheen

5. Kya aapko gussa aata hai? Agar haan to kaise react kartey haiN?
[/color]

ji, waise bschpan se hi mujhe zor ka gussa aa jaata tha. par utni hi jaldi chala bhi jaata tha. sabhi tareeke try kiye gaye mere saath ... samjhana-bujhana, daant-dhamki, kala dhaga, chandni ka sikka ... magar sab be-asar.

dheere dheere jaise jaise barha hua aur tajurba bardha gaya, to gussa aane ke mudde aur mauke kam hote gaye. magar ab bhi gussa to kabhi ksbhi aa hi jaata hai. gussa aane par main zor se aur tez raftaar mein bolne lagta hoon aur zabaan talkh ho jaati hai.

pehle gussa aane par gusse ka duration kaafi lamba hota tha, par ab kuchh palon ka hi rehta hai. main koshish karta hoon ki gussa aate waqt main aware rahoon ki Janaab Gussa tashreef le aaye hain. Aur awareness aate hi gussa apne aap utar jaata hai. kabhi kabhi to main gusse mein kahi ja rahi karhwee baaton ko beech mein hi check kar paata hoon, magar jab aisa naheen ho paata to us ke liye muaafee maang leta hoon ya clarify kar ke make up karne ki koshish karta hoon. But I consider anger as a weakness that I have, which I have reduced substantially over time, but it needs to be almost eliminated.

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#47)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
7th September 2014, 06:05 PM

Zarra Sahib ,

Aapka Naaz ko diya latest jawab para jisme aapne apne anger aur anger management
ke baare mein bataya ..bahut achcha laga.Main bhi isi marz ka shikhar hun..ha ha.

Aapke better half nahut patience wali honi chahiye tabhi ghar mein shanti rehti hogi.
Doosri bat aapka shayri ki taraf 6/7 saal ki umr mein jaan ker yun laga ki aap child
prodigy hue shayri mein

Shayri mein kya matter karta hai bhav ya usko vyakt karte ka andaaz.

Kya shayri mein shayar ke apne ehsaas hi basis hote hain ya auron ke ehsaason
ko bhi mala mein pirota hai.

Sanjay Sehgal

khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
   
Reply With Quote
Old
  (#48)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
7th September 2014, 06:11 PM

[QUOTE=sunita virender;467654]
Quote:
Originally Posted by zarraa View Post

Zarra ji...maine socha tha ki aap us waqt ki koi romantic gazal pesh kareNge, par yeh kya daur meiN dard ????

Clg ka daur to bada rumani daur hota hai...ishq-mohabat ke charche hote hai...kya ham es dard ki vajha jaan sakte hai, ki yeh dard kaise aaya aapki poetry meiN ??? kya es dard ki vajha ISHQ rhi ???

aapke diye link aik aik karke paduNgi, fursat se.
Sunita ji .. college ke daur mein kahi huwee ek romantic ghazal, tootee phootee si, pesh hai ... haan par dard ka ehsaas is mein bhi hai

GHAZAL (MAY 1996)

teri ulfat meiN kya kya hai bala ab tujh se poochheNge
har ik shaiy se pata poochha tera ab tujh se poochheNge

junooN bahautoN ko hoga par kisi ne kya teri khaatir
junooN qaid-e-jigar meiN hi rakha ab tujh se poochheNge

liya is or ghar maiN ne liya us or ghar tu ne
agar sakte badalte raasta ab tujh se poochheNge

agar aabaadiyoN meiN haiN juda barbaad maiN achha
milega saath kya gar hooN fana ab tujh se poochheNge

jo maiN ne yaad karne ko kaha to yaad ki meri
bhulaate gar maiN kehta bhool ja ab tujh se poochheNge

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha

Last edited by zarraa; 7th September 2014 at 06:13 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#49)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
7th September 2014, 06:54 PM

Quote:
Originally Posted by Hamdam View Post
Zarra Sahib ,

Aapka Naaz ko diya latest jawab para jisme aapne apne anger aur anger management
ke baare mein bataya ..bahut achcha laga.Main bhi isi marz ka shikhar hun..ha ha.
ji zaroor tab to aap meri baat samajh hi gaye honge Sanjay sahab

main ek baat aur kaheen suni thi jo mujhe achchhee lagi

mudd'a tha "righteous anger" ka, yaani jahaan kisi jaayaz mudde par ya sahi wajah par aap ko gussa aa raha ho. jahaan aap ka gusse ke peechhe koyee valid purpose ya cause hai, kya wahaan bhi kya khud ko control kar lena chahiye ya phir gusse mein beh jaana chahiye ?

to jo opinion is par suna tha wo yeh ki losing control for any reason, howsowever righteous, is not correct. aap poore control aur hosh-o-havaas mein reh kar bhi to keh sakte hain "I am angry about this" and you can say it calmly without using "angry" words or actions or tone of voice. aisa kar ke aap jo feel kar rahe hain baaki logon ko ye bhi communicate ho jaayega magar aap ki garima bhi bani rahegi aur relationships mein bhi long term kharaab asar naheen hoga. Hence the learning is that you can display your anger without getting angry

Quote:
Originally Posted by Hamdam View Post

Aapke better half nahut patience wali honi chahiye tabhi ghar mein *shanti rehti hogi.
ji sahi farmaya aap ne Sanjay sahab. agar ek partner mein patience ho to zaroor shanti bani rehti hai. magar us ki bhi koyee had zaroor hogi. koyee bhi infinitely patience naheen dikha sakta agar doosree taraf se understanding na mile to.

lekin agar donon ka mijaaz ek sa ho, yani short tempered, to phir donon ko hi koshish karti rehni hogi apne temperament ko overcome karne ki ... but on the positive side, they can both help each other out and can benefit from this joint effort, and can emerge better both individually as well as a couple.

(Sanjay ji, is post ke baaki sawaalon ke jawaab le kar bhi jald hi khidmat mein haazir hounga )

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha

Last edited by zarraa; 7th September 2014 at 06:56 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#50)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
8th September 2014, 01:09 AM

Quote:
Originally Posted by Hamdam View Post
Shayri mein kya matter karta hai bhav ya usko vyakt karte ka andaaz.
barha hi aham aur dilchasp sawaal kiya aap ne Sanjay ji ... ki bhaav aur andaaz mein kya zyaada matter karta hai

I am sure is sawaal par literary aur technical opinions zaroor honge, jin ka mujhe ilm naheen hai. main sirf apne zyaati experience aur beliefs ke binaah par apna opinion arz kar raha hoon.

mere hissab se, shayari mein bhaav aur andaaz ka wahi rishta hai, jo in cheezon ka :

bat aur ball (cricket)
teer aur kamaan
tasweer aur rang
car aur driver
kalam aur dawaat
daar aur rasan
murda aur qabr

in sab misaalon mein, 2 cheezein combine hone baad hi kisi kaam ki hoti hain. ek doosre ke bina wo na sirf incomplete hi hain magar redundant bhi.

bhaav ke bina andaaz be-maani hai aur bina andaaz ke bhaav be-zauq. aur shayari ka jalwa maani aur zauq ke seamless combination se hi nikharta hai.

mujhe lagta hai ki shayari ka sab se ooncha maqaam wo hoga jshaan bhaav aur andaaz ka apna apna wajood hi na rahe aur wo ek doosre se indistinguishable ho jaayein (again personal perception and not technical opinion). bhaav se andaaz nikle aur andaaz se bhaav.

is thought ki ek misaal jo is waqt zehn mein aa rahi hai wo Meer Taqi Meer ka ek khoobsurat sher ..

mere rone ki haqeeqat jis meiN thi
ek muddat tak wo kaaghaz nam raha
- Meer

mujhe is sher mein andaaz aur bhaav ek ka aisa taana-baana buna huwa lag raha hai ki in donon ko separate karna na sirf mushkil bhi hai, par almost impossible bhi. ye sher in donon ke seamless combination hi is qadar khaas bana hai

not sure how well or clearly I have answered your question. Aap ke feedback ka intezaar rahega

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha

Last edited by zarraa; 8th September 2014 at 01:23 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#51)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
8th September 2014, 09:44 AM

[QUOTE=sunita virender;467654]
Quote:
Originally Posted by zarraa View Post

Zarra ji...maine socha tha ki aap us waqt ki koi romantic gazal pesh kareNge, par yeh kya daur meiN dard ????

Clg ka daur to bada rumani daur hota hai...ishq-mohabat ke charche hote hai...kya ham es dard ki vajha jaan sakte hai, ki yeh dard kaise aaya aapki poetry meiN ??? kya es dard ki vajha ISHQ rhi ???

aapke diye link aik aik karke paduNgi, fursat se.

Zarra ji, mera yeh sawaal shayad aapki nazar se chuk gya

[QUOTE=zarraa;467846]
Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post

Sunita ji .. college ke daur mein kahi huwee ek romantic ghazal, tootee phootee si, pesh hai ... haan par dard ka ehsaas is mein bhi hai

GHAZAL (MAY 1996)

teri ulfat meiN kya kya hai bala ab tujh se poochheNge
har ik shaiy se pata poochha tera ab tujh se poochheNge

junooN bahautoN ko hoga par kisi ne kya teri khaatir
junooN qaid-e-jigar meiN hi rakha ab tujh se poochheNge

liya is or ghar maiN ne liya us or ghar tu ne
agar sakte badalte raasta ab tujh se poochheNge

agar aabaadiyoN meiN haiN juda barbaad maiN achha
milega saath kya gar hooN fana ab tujh se poochheNge

jo maiN ne yaad karne ko kaha to yaad ki meri
bhulaate gar maiN kehta bhool ja ab tujh se poochheNge

waqt ke saath har cheej badal jaati hai shayad ahsaas bhi...par jo kagaz ke panno par ahsaas uttar jate hai, unko aap saaloN baad bhi pado to aik baar wo daur aankhoN ke saamne se jarror guzarta hai...kya aap meri es baat se sehmat hai...agar hai to hamse us daur ki koi bhi aisi baat share kijiye jo aap ke dil meiN dabi hue ho par aap kisi se aaj-tak share na kar sake ho

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#52)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
8th September 2014, 10:04 AM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post

Aadeil sahab ... bahaut bahaut shukriya tashreef laane ka aur ek dil ko chhoone waala sawaal poochhne ka.

Sach poochhiye, ek chhote se arsey mein hi aap se ek rabt sa qaayam ho gaya hai. Ek to ye ki hum donon hi Ghalib-bhakt hain to is maayne mein hum guru-bhai huwe doosra ye, ki main aap ke ilm, hunar, khirad, shakshiyat, kaifiyat se bahaut mutaasir huwa hoon aur aap ki bahaut qadr aur izzat karta hoon.

is se pehle ki aap ke sawaal ke jawaab ke taur pe kuchh arz karoon, ek context dena chaahoonga is sher ka, which will hopefully connect back to my response as well ...

sher kehte waqt mera ehsaas tha un tamaam chhoti-barhi hasraton ka jinhone dil mein basera to kar liya, haalaanki dimaagh ye achchhee tarah jaanta tha ki un ka sach hona takreeban na-mumkin sa hai. ye hasratein roz-marra ki khushiyaan paane ki bhi hain aur koyee bahaut barhe life-altering event ki bhi.

yahaan par irony ye hai ki auraton ke ehsaas kaheen zyada fertile hote hain aur khwahishon ka phool un mein aur bhi khoobsurti se khilta hai. magar tragedy ye hai ki samaaj mein unheen par zyaada b*****shein bhi lagteen hain aur majbooriyaan bhi un ke hisse mein zyaada aateen hain.

bas isi liye un ki aankhein khwaab bhi saja leteen hain jab ki un ko
ye aabhaas rehta hai ki wo mukammal naheen honge.

magar ek khushi ki baat ye bhi hai ki badlaav aana shuru ho gaya hai aur ye soorat badal bhi rahi haj aur badal ke hi rahegi ... haan aaj bhi kayee aisi mahilaaein hain jin ke liye ye majbooriyaan aaj bhi sach hai.

ab aap ke sawaal par aayein to, "aankh par saje khwaabon" ke 2 dimensions hain

1. roz marra ke chhote chhote khwaab, jin mein se kayee adhoore reh jaate hain. main ye kayee jagah kayee families mein dekha hai. "khwaab" ka mudda barha ho ya chhota, us ka daayra ghar ke andar ka ho ya baahar ka, us ki taameer apnon par dependant ho ya ghairon par ... aise aasaan se khwaabon ko bhi poora karna aasaan naheen hota"

2. koyee aisa khwaab jahaan samaaj parivaar duniya se baghaavat karni ho us ko haasil karne ke liye. ye khwaab ishq mohabbat ke bhi hote hain, ambition ya aspiration ke bhi ya apne tareeke se zindagi basar karne ke bhi ... aise khwaabon ke liye lagaataar ek lambey arsey tak jaddojahad karti rehni parhtee hai ... aur jab ye lagta hai ki ye mukammal naheen honge tab bhi dil hathiyaar naheen daalta kyunki ab wo bahaut aage tak aa gaya hai aur un ki khaatir sangharsh karta hi jaata hai.

main ne in donon kism ki situations ko kareeb se dekha hai ...10-15-20 saal pehle shayad ye zyada common theen ... pichhle 10-12 saal mein to hamaare mulk mein behad badlaav aa gaya hai ... especially among youth and among women ... par jitna bhi badlaav aa jaaye, kuchh cheezein waisi k waisi rehtee hain !'

kya main un ka himaayati bana .. kya main ne un situations mein koyee kaarnaama kiya, main aisa koyee bhi daawa naheen kar sakta .. aisi situations complex aur grey hoti hain ... main ne bas chhote chhote minor contributions hi kiye ... mainly by giving moral support & by being sounding board, help in thinking through, ya diplomatically jo bhi subtle intervention ho sakta tha, baaki jo mahilaayein in situations mein theen wo mujh se kaheen zyaada matured aur emotionally intelligent theen .. hence my role was minimal and limited to express understanding and support !!
Zarraasaab,

aapne hameN aapka guru-bhai banaa kar hameN jo izzat bakshi hai pehle to uske liye maiN aapka behad mamnoon hooN. aapkii wo ghazal jo Ghalibsaab ko tribute hai wo phir se dobaaraa paRHne kaa yahaaN mauka haasil huaa aur uske liye bhii aapka shukriya adaa karnaa chaahunga.

ab aapke javaab pe aate haiN, to behad khubsurti se aapne ye javaab diya hai. aapne ye keh kar ki 'aapne koii kaarnaamaa kiya? uska daavaa nahi karte' aapne ek sachchaaii bayaan kii hai. aur ye mera khud kaa bhii tajurbaa rahaa hai jiis pe maiN kaii baar sochte rehta tha ki kya maine jo kiya wo kaafi hai? usse zyaadaa maiN kuchh kar paataa tha? kya merii involvement vaajbi hai? magar aapke javaab ne iin uljhanoN ko suljha diya ..

Thanks a lot for such a beatuiful detailed explanation on my query....

aur kuchh savaal honge to phir se haazir ho jaauNgaa, tab tak maiN aapke baaki javaaboN ko nazar-e-nigaah deta rahuNga

with regards,
Adil

ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता

http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#53)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
8th September 2014, 10:04 PM

Quote:
Originally Posted by Hamdam View Post

Kya shayri mein shayar ke apne ehsaas hi basis hote hain ya auron ke ehsaason
ko bhi mala mein pirota hai.

Sanjay Sehgal
ji bilkul ... mera manna hai ki shayar apne jazbaat aur ehsaasaat ke alaawa, apne chaaron taraf ke mahaul aur logon se inspiration le kar apna qalaam kehta hai.

kaheen suna tha ki "achchha shayar wo hai jo na sirf apne dil ki baat kahe, maar doosron ke dil ki bhi baat keh de" aur main is baat se 100% ittefaaq rakhta hoon.

haan, magar itna zaroor hai ki bhale hi un ehsaasaat aur jazbaat ka aaghaaz doosre logon mein ho, magar shayar jab tak un ko khud mehsoos na kare, un ko apna na bana le, wo sachchi aur achchhi shayari naheen kar paayega. ho sakta hai ki apne hunar se wo is ko use shaandaar bayaan zaroor de de, par wo qalaam ya to dil ke andar tak naheen utar payega ka waqt ki meyaar par khara naheen utar payga ... aisa mera sochna hai.

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#54)
Ahmad Hyderabadi
Registered Member
Ahmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant future
 
Offline
Posts: 933
Join Date: Oct 2011
Location: Hyderabad (Deccan)
Rep Power: 31
Thumbs up 8th September 2014, 10:21 PM

Adaab Zarraa Bhaee,

Bayhad khushee ho rahee hai aapke baaray mayn jaan ker. Aur aap tafseelee jawaaboN say aapki faraaghdil shaqsiyat saaf numaayaan ho rahee haye... phir say dili shukriyaa. Salute your dedication Sir.

Here is my humble list of questions....

1. Where do you see our dear virtual home i.e. SDC in the history of poetry in the long term future?
2. Where/what do you see.. Zidd bhai's contribution(Without taking a single iota of credit away from ANY of our Dedicated and honorable members and Mods)in the cause of the betterment of Shayri on this site? and at the same time the altruistic contribution of our Admin Gaurav bhaee?
3. Please share with us your favourite poets(outside of SDC) in the following genres:
  • Romance- Shayri e ishq
  • Tragedy- Shari e dard
  • Satire- Tan 0 Mazaah
4. Where do you think songwriting stand in today's literature, i.e. shayri ki dunya mayn commercial geetkaari ka aajkal kya maqaaM haye? their financial renumeration aside, do they, in your view get the credit they deserve for their poetic endevours?

5. Is it necessary to be a philosopher or have a philosophical mind to be a great poet?

InshaAllah mazeed sualaat kay saath jald hee haazir hounga aapki qidmat mayn.

Duagoh

Ahmad
   
Reply With Quote
Old
  (#55)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
8th September 2014, 11:13 PM

[COLOR="Red"][QUOTE=sunita virender;467892][QUOTE=sunita virender;467654]
Zarra ji, mera yeh sawaal shayad aapki nazar se chuk gya

Ji Sunita ji , main ne aap ka sawaal zaroor dekha tha, aur laga ki main ne us ka jawaab bhi de diya hai (neeche quoted), magar shayad kayee sawaalon ka ek saath jawaab dene mein, ek generalised sa reply ban kar reh gaya. to ab main is ka ek zyada specific jawaab dene ki koshish kar raha hoon.[/COLOR
Quote:
Originally Posted by zarraa View Post

ji dukh dard maayoosiyaan to sabhi ki zindagi mein aatee hain. mere daaman mein bhi ye sab aayeen, har kism ki aayeen, har shakl mein aayeen, har daur mein aayeen. magar saath mein niyaamatein bhi bahaut mileen, kayee saare faiz bhi mujhe ataa huwe.
Quote:
Originally Posted by zarraa View Post

magar mere ehsaasaat, mere jazbaat aur meri kaifiyat, hamesha hi kuchh fasurda aur udaas rahi hai. gham mujh par zyaada asar daalta hai banispat khushi.

ek baat aur, main khushi to sab se baant leta hoon par gham aksar kisi se bhi naheen baantta. kareeb se kareeb-tar logon se bhi naheen. gham ka zeher ugalne ka sirf ek hi zariya hai, sher-o-sukhan.

shaayad yahi wajah bhi rahi ho ki shayari ne mujhe apni taraf is tarah kheench liya, kyunki shayari ehsaas-e-gham ke bayaan ka mere hisaab se sab se behtareen medium hota hai, among all creative forms.

aap ne bilkul sahi farmaya Sunita ji. school-college ke zamaane mein sab se zyada tawajjo to ishq mohabbat ke jazbe ko hi di jaati hai aur ye baat mujh par bhi laagoo thi :

ab log ya to soorat par mar marte hain (90%) ya seerat par (10%) mujhe donon ki hi talaash thi. shayad main ek "perfectionist" tha (meri bewakoofi)

phir us umr mein itni maturity bhi naheen thi ki samajh kar paayein ke kaun se ehsaasaat sachche, mazboot aur saabit hain, aur kaun se kachche aur chand-roza. to samjah lijiye kayee aadhe-adhoore se kisse reh gaye, aur kuchh khamosh se afsaane bhi.

aur bas isi kashmakash aur pasopesh mein jawaani nikal gayee, par ek khalish ka ehsaas chhorh gayee. is haalat ka khoobsurat bayaan Ghalib ke is sher mein milega :

koyee mere dil se poochhe tere teer-e-neemkash ko
ye khalish kahaaN se hoti jo jigar ke paar hota
- Ghalib

ab samajh lijiye wo yaadein, wo jazbaat ek abstract sa thought ban kar mere ehsaas mein saans lete hain aur jinhein main apni shayari mein zinda rakhta hoon. ab mujhe un guzree baaton ka gham naheen hai, bas un ke gham ka gham hai

in ehsaasaat par agar apne kahe huwe kuchh aashaar yaad karoon to ...

ishq ke gham ka yahi marham raha
agle gham ke ye muqaabil kam raha

aashnaayee ke bahaut jalwe huwe
bhool jaane ka ik aur hi gham raha

ik yahee waasta raha tum se
koyee imkaaN n wasl ka tum se

maana kuchh bhi n darmiyaaN lekin
kuchh n kuchh kehne ko raha tum se

is se achchhe to door door hi the
saath ho kar rahe juda tum se

chaaheiN jis tar'ha bhi basar ki hai
zindagi tujh ko hi nazar ki hai

dar pe tere n jo guzar paayee
zindagi sarf idhar udhar ki hai

zulf-e-siyah ki baat ke dast-e-hina ki baat
jo baat dard ki hai hai wahi hai dawa ki baat

- zarraa

aur ek mukhtasar si nazm ....

fasurda* shaam aur us par fusooN* ye teri yaadoN ka
kaha tha waqt-e-rukhsat tu ne kya dhuNdhla gaya hai ab
zara sa bhi n baaki hai khumaar ab teri baatoN ka
ye tera lams* baagh-e-dil meiN tha jo phool sa khilta
khizaaN meiN hijr ki wo kis tarah murjha gaya hai ab
koyee bhoola fasaana hai naheeN jis ka nishaaN milta
magar kamzor hoti yaad aur bhi dil dukhaati hai
haqeeqat se guzar aaye fusooN* meiN jaan jaati hai

- zarraa

*
fasurda = depressed
fusooN = magic / magical spell
lams = touch
[/B]

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha

Last edited by zarraa; 8th September 2014 at 11:38 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#56)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
9th September 2014, 12:34 AM

[QUOTE=sunita virender;467892]
Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post

waqt ke saath har cheej badal jaati hai shayad ahsaas bhi...par jo kagaz ke panno par ahsaas uttar jate hai, unko aap saaloN baad bhi pado to aik baar wo daur aankhoN ke saamne se jarror guzarta hai...kya aap meri es baat se sehmat hai...agar hai to hamse us daur ki koi bhi aisi baat share kijiye jo aap ke dil meiN dabi hue ho par aap kisi se aaj-tak share na kar sake ho
Sunita ji, ji bilkul... zaroor wo daur yaad aata hai ... magar us daur ki daastaan ki jeetee jaagtee yaadein doston ke dil mein mehfooz hain, shayari ke puraane pannon se bhi ziyaada !

Ek ittefaaq ki baat dekhiye !! Abhi bas kuchh din hi pehle hamaare college ke doston ka achaanak phir se milna hua ek dum suddenly and without pre-warning! Shuruat huwee ek internet based group se, jis mein sab ne milkar raat din dher saaree chat kari (me included). Us ke baad kuchh dost jo Mumbai mein the ya chhutti mein aaye huwe the, wo ek shaam mile bhi (main bhi un mein shaamil tha)

hum sab dost college khatm hone ke baad pehli baar, 18 saal ke baad, ek saath mil rahe the. aur 18 saal ke baad bhi aisa lag raha tha ki jaise college days kal ki hi baat the.

phir hum sab ne ek doosre ki kya haalaat banaayee mat poochhiye. tang-khichaayee ke saare records peechhe reh gaye. saare secrets spill huwe, well almost saare . college ke saare sachche jhoote afsaane phir yaad kiye gaye. saare gardhe huwe murde khod kar baahar nikaale gaye. to agar koyee aisee baat thi bhi jo kisi ne chhupaayee thi to us ka bhi bhaanda phoot gaya. yaad daasht par khoob zor daala gaya aur ab tak jo kuchh bhi naheen kaha gaya tha wo sab keh daala gaya ... bakaayda namak aur mirch ke tarhke ke saath

magar kaafi masti karne ke baad, phir hum ne ye bhi tayy kiya ki agar kisi beetee huwee baat se kisi shakhs ki sanjeeda taur par ruswaayee ki soorat ban sakti hai, to hum mahaz dil behlaane ke liye, us baat ko ghair-zimmedarana tareeke se naheen uchhaalenge. kyunki ab sab log zindagi ke saath bahaut door tak beh gaye hain. un ki apni apni alag duniya hai. aur un ke saath alag alag log bhi jurh gaye hain. jin baaton ko hum jawani ke daur mein hansi mein urha sakte the, ab un mein se kuchh baatein ek sanjeeda shakl ikhtiyaar kar sakeen hain. hence, we exercised little bit of discretion amidst lots and lots of indiscretion

Sunita ji, ye main apna dil khol kar pata naheen kya kya bakta ja raha hoon. Shayad main ne sawaal ka bhi sahi se jawaab naheen diya ho aur sabhi patdhne waalon ka itna waqt zaaya kar diya magar aap mere pichhle replies (jo is topic par diye the) un ko aur is reply ko saath-saath dekhengee, to ummeed hai aap ko ek pattern sa banta nazar aayega jis se kuchh had tak aap mere baare mein koyee raay qaayam kar paayengeen

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#57)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
9th September 2014, 10:01 AM

[QUOTE=zarraa;468047]

Shukriya Zarra ji...ham aapke jazbaat samaj sakte hai...aapne hamare sawaal ka jawaab acche se aur poori tafseel se diya hai.

Zarra ji...aik sawaal aur hai aapse ki aapki zindgi ka ab tak ka sabse haseeN pal kaun sa hai/tha...ham chahte hai aap ham sabko bhi us haseeN pal meiN shareek kareN

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#58)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
9th September 2014, 01:31 PM

Kamaal ki raftaar se aapka interview aage badh rahaa hai Zarraa saahab.... mujhe bahot khushii ho rahii hai aapke baare me itnaa sab kuch jaan'ne samajhne ko mil raha hai...
aapne kayee dard bharee baaten hamaare sath share kareeN to kuch khattee meethi daastaan bhii...... aur yaqeen maaniye main bahot dilchaspii ke saath aapka interview padh rahaa hoon, aur dil hi dil duaaen diye ja raha hoon....

Meree taraf se bhi kuch sawaalaat pesh hain....

1) Shayrii me quantity matter kartii hai ya quality.... if quantity exceeds do u think it will create adverse affect on quality, if so then why.??

2) aap ghazal me sabsse zyaada kis cheez ko importance dete hain aur kyon.. Qaafiyaa, Radeef, Behar, khayaal etc. Please try to pick only one.

3) kisii mash'hoor shaayar ki zameeN pe likhnaa kis had tak jaayaz hai.... isse new shayar ko positive ya negattive kis tarah ke response milne ki gunjaish hotii hai..

4) sabse mushkil sawaal....... kyaa aapki shareeqe hayaat, (Mrs. Zarraa) aapki saari shayrii suntii hain???
agar nahee to aap apni frustration kaise nikaalte hain... (kuch aaine pe gussa nikaalte hain kuch deewaron ko suna kar dil halka karte hain)

aur agar suntii hain to ye aapne kaise kiyaa... its a miracle buddy.....

aapke jawaabon ka muntazir rahunga....

Shaad....

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#59)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
10th September 2014, 01:17 AM

Quote:
Originally Posted by N@zneen View Post
Zarraji ab tak jo kuch aapne apne baare meiN bataya ek baat to saaf taur par ayaaN hai ki aap aurtoN ki bahot respect kartey ho ye ek achchi parwarish ki nishaanii hai mera sawaal kuch isse hi related hai...

1) Ek aurat par agar zulm ho to usey kis hadh tak sehna chahiye?

2) Ek aurat hi aurat ki dushman hoti hai aapke hisaabse ye baat kitni sahi hai? Aur kyuN?

3) Female foeticide ki asal wajaH kya hai? Koi message jo aap aise logoN ko dena chaheiN?

4) Aurat ke kai roop hotey haiN Maa, biwi, behen, premika, beti sabke baarey meiN kuch na kuch bataiye.

5) Aksar kisi na kisi majburi ki wajaH se aurteiN apney pyar ki qurbaani de detiN haiN aur bewafa kehlati haiN, is this justified?

Abhi keliye sirf itne hi sawaal zarraji aur bhi taiyar haiN lekin over load hojaega reply as per ur conveniency
Naazneen ji ..... aap ne bahaut hi interesting aur relevant sawaal kiye. shukriya. jo mudde aap ne sawaalon mein uthaaye, un ko main bahaut hi aham maanta hoon. un par shayad thorhi bahaut soch kabhi kabhaar apni shayari mein ki ho, aur wo bhi indirectly ... un par kabhi apna opinion definitive taur se zaahir nahee kiya main ne abhi tak ... aap ka bahaut shukrguzaar hoon ki aisa karne ka aap ne mujhe mauka diya !

Zarraji ab tak jo kuch aapne apne baare meiN bataya ek baat to saaf taur par ayaaN hai ki aap aurtoN ki bahot respect kartey ho ye ek achchi parwarish ki nishaanii hai mera sawaal kuch isse hi related hai...

ji aap ka bahaut bahaut shukriya N@zneen ji. aap ne sahi kaha mere dil mein auraton ke liye bahaut izzat hai. aur mujhe lagta hai ye ek natural state of affairs hona chahiye ki log auraton ki izzat karein. it should be a rule rather than an exception.

1) Ek aurat par agar zulm ho to usey kis hadh tak sehna chahiye?

O% tak .... zulm ka 1% bhi naheen sehna chahiye. main maanta hoon ki ye kehna bahaut aasaan hai aur karna utna hi mushkil, par mere hisaab se the benchmark should be set as 0% tolerance to cruelty.

aur yahaan baat "zulm" ki ho rahi hai. aam larhaayee jhagde, difference of opinion, ego clash ... wo har ghar mein hote hain ... taalee bhi donon haathon se hi bajtee hai ... normal maslon par donon mard aur aurat donon ko, ya barhe buzurgon ko, sab ko understanding dikhani chahiye aur sehan shakti dikhaani chahiye ... as long as it is an equal & fair relationship ... lekin agar baat zulm par aa gayee hi to thorha sa bhi bahaut ziyaada hai.

2) Ek aurat hi aurat ki dushman hoti hai aapke hisaabse ye baat kitni sahi hai? Aur kyuN?

agar ye mohavara ya kahavat wajood mein hai to is ke peechhe kuchh to wisdom hogi, kuchh to empirical evidence hogi, jo kis ziyadatar mohavaron aur kahavaton ke liye sach hai.

kuchh jo mere obersvations ya hypothesis hain, wo is tarah hain .. (please note these are opinions only, that too based on hypothesis. they are not be seen as absolute truths or proven facts)

1. more than "dushman", consider them as "raqeeb". it is "competition" more than "enmity". wajah hai irshya, jealousy, rashk, hasad. this could occur in a social unit, workplace, extended families etc.

2. "turf war". historically male dominated society mein (aur joint families mein) control over the man of the house ... typical turf battle between mother and wife.

3. "frienemy". mahilaaon ke ehsaas kaafi complex hote hain. aur wo ek saath conflicting ya contradictory emotion bhi feel karne ki kaabiliyat rakhteen hain. to dosti aur dushmani ek hi person se ek hi waqt par wo mehsoos kar sakteen hain, especially agar doosri taraf bhi ek mahila ho.

3) Female foeticide ki asal wajaH kya hai? Koi message jo aap aise logoN ko dena chaheiN

female foeticide aur infanticide ka phenonmenon ek behad sharma naak dhabba hai hamate samaaj par. ye ek bahaut barha jurm to hai hi kaanoon aur insaaniyat ke khilaaf, par is ki koyee bhi logic ya justification bhi naheen hai.

ek ye kaha jaata hai ki is ki wajah dahej pratha hai, aur jo parivaar dahej afford naheen kar paate wo aisa karte hain. pehlee baat to dahej bhi ghalat riwaaz hai, magar us ke baad bhi logic naheen bantti. kyunki ameer parivaaron mein bhi jo dahej "afford" kar sakte hain wahaan bhi aisi ghatnaaein sunne ko milti hain.

ek ye bhi kaha jaata hai ki so-called "wansh" ya "khaandaan" aage bardhe is liye logon ko larkha chahiye aur is liye kuchh log larhki ka female infanticide ya abortion karte hain. ye "wansh" ki baat ko main zyaatee taur par naheen maata, magar us ke baad bhi, kya aisa naheen dekha gaya ki beta ho jaane ke baad bhi female infanticide / foeticide hua ho.

to is ghinone apraadh aur paap ki koyee "wajah" naheen hai. is ki "wajah"dakiyanoosi vichaar aur gumraah soch hai. is paap ko bas jarh se ukhaarh ke hamesha ke liye khatm kar dena chaahiye. main jaanta hoon kehna karne se bahaut aasaan hota hai, par koyee message dena haito ye hi hai. asal baat tab hai jab koyee ye soch wahaan par mazbootee se phailaaye jahaan aisa hone ka khatra mehsoos ho.

4) Aurat ke kai roop hotey haiN Maa, biwi, behen, premika, beti sabke baarey meiN kuch na kuch bataiye

ye sabhi roop itne barhe, vishaal aur complex hain, ki n main in ko pooree tarah Jaan paaya hoon, aur jitna jaan paaya hoon wo saaara ka saara bayaan bhi naheen kar paaoonga, par is khoobsurat sawaal par kuchh top of the mind thoughts :

in sab roop mein jo kuchh baatein mujhe common lagteen hain, wo hai :
- empathy
- care
- not being understood by those they love
- unmet expectations
- give much more than they get

Ma : apne bachche par apna saara ka saara wajood nisaar kar dene ke baad guilty mehsoos karti hai ki kaheen koyee kami to naheen reh gayee.

Beti : agar parents achchhe hon aur sahi se parvarish karein to, beti jaldi hi Ma ki dost ban jati hai aur Pita ko kaafi had tak ek ideal samajh kar ek oonche pedestal par rakhti hai. Saath hi wo pita ko waisi hi mamata deti hai jaisa us ke bachpan mein us ki Ma ne di thi. Aur beti apni Ma ki is tarah se ungli thaamtee hai jaisa ki us ki Ma ne bachpan mein thaamee thi. beti apne Ma-Baap ko apni mamata ke saaye mein rakhti hai, ek chhoti si umr se hi, aur ye silsila Ma-Baap ke aakhiri dinon tak musalsal qaayam rehta hai.

Behen : bilkul Ma jaisi hi, bas aap ke secrets use thorhe se zyada pata hote hain aur aap ki lingo achchhee tarah se samajh sakti hai

Premika : depend karta hai ..

- wo aap se pyaar karti hai, ya
- pyaar mein hone ke jazbe se pyaar karti hai, ya
- koyee us se pyaar karta hai, is se pyaar karti hai, ya
- dosti ko pyaar ki shakl mein dekhti hai

in sab sooraton mein alag alag baatein laagoo hoteen hain

Biwi : hmmm ... complex subject mera maanna hai ki ye complex is liye hai ki patni ke role ko akele generalise naheen kiya ja sakta ... jaise ki pati ke role ko bhi akela generalise naheen kiya ja sakta ... husband-wife relationship should be seen as a single unit rather than seeing both the roles individually. it is probably the most complex relationship that exists. some say that a father-son relationship is the most complex, but I feel that husband-wife relationship is more complex than that

5) Aksar kisi na kisi majburi ki wajaH se aurteiN apney pyar ki qurbaani de detiN haiN aur bewafa kehlati haiN, is this justified?

zaahir hai, agar "qurbaani" di gayee hai, to kaheen na kaheen ek ziyada barha wafa ka imtehaan diya gaya hai, to agar net out karein to wo ba-wafa hi niklengeen be-wafa ke banispat. magar, mera poochhna hai, ki qurbaani dene ki soorat hi kyoon aaye. agar pyar sachcha hai, sahi hai, mazboot hai ... to phir wo "majbooriyaan" compromise kyoon naheen kar raheen, aur us aurat se hi qurbaani kyoon maangee ja rahi hai ?

Abhii keliye sirf itne hi sawaal zarraji aur bhi taiyar haiN lekin over load hojaega reply as per ur conveniency

ji aap ke sawaal bahaut achchhe the, aham the, and they were quite searching questions as well. main ne jo dil mein spontaneously mehsoos kiya, waise replies diye hain

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#60)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
10th September 2014, 01:51 AM

[QUOTE=sunita virender;468074]
Quote:
Originally Posted by zarraa View Post

Zarra ji...aik sawaal aur hai aapse ki aapki zindgi ka ab tak ka sabse haseeN pal kaun sa hai/tha...ham chahte hai aap ham sabko bhi us haseeN pal meiN shareek kareN

Sunita ji, bila shubah zindagi mein sab se zyaada khushi ka jo ek pal tha wo tha jab main ne apni bachchee ko pehli baar dekha us ke paida hone ke baad. Aur aaj tak use har baar dekhne par wahi khushi mehsoos hoti hai.

Jab meri beti paida hone waali thi, un dinon main Africa mein posted tha, aur meri patni India shift kar gayi thi delivery ke liye. Delivery date ke ek hafte pehle se main ne chhutti le li thi kuchh 3-4 hafte ki. Magar hamaari shehzaadi sahiba 2 hafte pehle hi tashreef le aayeen. Mujhe raat ke 3 baje news mili. Main agle din hi flight par tha. Kuchh 18-20 ghante ki 2 flights kar ke, aur us ke baad 8 ghante ki road travel kar ke main hospital mein apni patni aur bachchi se mila. Us 3 din ki nanhi pari ko baahon mein utha kar aisa laga, ki na sirf safar ki, balki zindagi ki thakaan door ho gayee ho.

Is baat ko 6 saal ho gaye hain, par aisa lagta hai jaise kal ki hi baat ho. Aur apni bachchi ko har baar dekh kar waisa hi mehsoos hota hai jaisa 6 saal pehle hua tha.

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#61)
Hassan
Some Mirrors Lie...
Hassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Hassan's Avatar
 
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 44
Love 10th September 2014, 12:03 PM

[QUOTE=zarraa;468234]

Awwwwwwwww! sir that's sooo soo soooo cute....

Allah aap ki saari family koo tamaam balaaoN se mehfooz rakhe,
aur aap bhi hamesha khush raheN un ke saath (ameen)...

*hSn* : parStaar

tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN...
("Asad")
   
Reply With Quote
Old
  (#62)

Smile 10th September 2014, 12:17 PM

Zarraa saheb,

Masha Allah!! aap ke saath guftagu baDay pur-josh andaaz ke saath jaari-o-saari hai..
aur bohat khushi ho rahi hai aap ke mutaliQ itna kuch jaan kar...
Pichhli dafa maiN ne Adil bhai se kuch sawaal poche the, aap se bhi woHi poochta hooN..
aap ki kia raaye hai...

Manzar Bhopali saheb ne kaha ke
"Aadmi se insaaN tak pohnch gaye to pata chale ga..
Diye ke neeche roshni kyuN nahi hoti" (Shair theek se yaad nahi)

1. Diye ke neeche roshni kyuN nahi hoti?

2. Agar aap ko apne wataN se door akele jana pad jaye to kia aap jayeN ge?

3. Lafz 'Maa' ko apne ehsasaat meiN biyaaN kareN!

4. Lafz 'Baap' ko apne ehsasaat meiN biyaaN kareN!

5. Idhar se udhar chaar din ki bahaar hai duniya...
zindagi naam rakh diya kis ne? maut ka intezaar hai duniya!
Aap ka kia khayaal hai...?

Intezaar rahe ga,

DuaooN ke saath,,

*hSn* : parStaar

tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN...
("Asad")

Last edited by Hassan; 10th September 2014 at 01:17 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#63)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
10th September 2014, 12:50 PM

[QUOTE=zarraa;468234]
Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post

Sunita ji, bila shubah zindagi mein sab se zyaada khushi ka jo ek pal tha wo tha jab main ne apni bachchee ko pehli baar dekha us ke paida hone ke baad. Aur aaj tak use har baar dekhne par wahi khushi mehsoos hoti hai.

Jab meri beti paida hone waali thi, un dinon main Africa mein posted tha, aur meri patni India shift kar gayi thi delivery ke liye. Delivery date ke ek hafte pehle se main ne chhutti le li thi kuchh 3-4 hafte ki. Magar hamaari shehzaadi sahiba 2 hafte pehle hi tashreef le aayeen. Mujhe raat ke 3 baje news mili. Main agle din hi flight par tha. Kuchh 18-20 ghante ki 2 flights kar ke, aur us ke baad 8 ghante ki road travel kar ke main hospital mein apni patni aur bachchi se mila. Us 3 din ki nanhi pari ko baahon mein utha kar aisa laga, ki na sirf safar ki, balki zindagi ki thakaan door ho gayee ho.

Is baat ko 6 saal ho gaye hain, par aisa lagta hai jaise kal ki hi baat ho. Aur apni bachchi ko har baar dekh kar waisa hi mehsoos hota hai jaisa 6 saal pehle hua tha.

Zarra ji, ham es ehsaas ko samaj sakte hai ki us waqt aapne kaisa mehsoos kiya hoga, bhagwaan aapki bacchi ko hamesha hasti muskurati rakhe

kya naam hai aapki Nanhi Pari ka ?

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#64)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
10th September 2014, 10:27 PM

[QUOTE=Hassan;468294]
Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
[SIZE="3"][B][COLOR="Purple"]

Awwwwwwwww! sir that's sooo soo soooo cute....

Allah aap ki saari family koo tamaam balaaoN se mehfooz rakhe,
aur aap bhi hamesha khush raheN un ke saath (ameen)...
Bahaut bahaut shukriya Hassan bhai aap ka

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#65)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
10th September 2014, 10:28 PM

[QUOTE=sunita virender;468308]
Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
[SIZE="3"][B][COLOR="Purple"]

Zarra ji, ham es ehsaas ko samaj sakte hai ki us waqt aapne kaisa mehsoos kiya hoga, bhagwaan aapki bacchi ko hamesha hasti muskurati rakhe

kya naam hai aapki Nanhi Pari ka ?
Bahaut bahaut shukriya Sunita ji

Meri beti ka naam hai Rishima

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#66)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
14th September 2014, 01:06 AM

Quote:
Originally Posted by Ahmad Hyderabadi View Post
Adaab Zarraa Bhaee,

Bayhad khushee ho rahee hai aapke baaray mayn jaan ker. Aur aap tafseelee jawaaboN say aapki faraaghdil shaqsiyat saaf numaayaan ho rahee haye... phir say dili shukriyaa. Salute your dedication Sir.

Here is my humble list of questions....

1. Where do you see our dear virtual home i.e. SDC in the history of poetry in the long term future?
2. Where/what do you see.. Zidd bhai's contribution(Without taking a single iota of credit away from ANY of our Dedicated and honorable members and Mods)in the cause of the betterment of Shayri on this site? and at the same time the altruistic contribution of our Admin Gaurav bhaee?

3. Please share with us your favourite poets(outside of SDC) in the following genres:
  • Romance- Shayri e ishq
  • Tragedy- Shari e dard
  • Satire- Tan 0 Mazaah
4. Where do you think songwriting stand in today's literature, i.e. shayri ki dunya mayn commercial geetkaari ka aajkal kya maqaaM haye? their financial renumeration aside, do they, in your view get the credit they deserve for their poetic endevours?

5. Is it necessary to be a philosopher or have a philosophical mind to be a great poet?

InshaAllah mazeed sualaat kay saath jald hee haazir hounga aapki qidmat mayn.
Janaab Ahmad Hyderabadi Sahab

Aadaab. Ji bahaut bahaut shukriya is dariyadili se ki huwee pazeeraayee ka.

I am indeed honoured at having this conversation with you Ahmad sahab. The few interactions that I have had with you and the few of your creations that I have had the privilege of reading, have left a very deep and positive impression on me. You come across as an extremely erudite, sorted, cultured, sensitive and caring individual to me. You display impeccable etiquettes and a great command over language - both Urdu and English, which are pure pleasure to witness. You have encouraged and appreciated me from time for which I am extremely grateful to you. My compliments and best wishes go out to you Ahmad Sahab.

Coming to your questions, all of which are extremely pertinent, insightful, interesting, and dare I say, quite challenging to answer as well

1. Where do you see our dear virtual home i.e. SDC in the history of poetry in the long term future?

Great point ! I feel that "virtual" fora like SDC will be the "real" home of poetry in the future, even more so for Shayari which is becoming a niche & specialised art form over time and hence which needs a medium like Internet which would have a much greater reach, real time connect and unlimited access as compared to something like the print medium, both at present and mo so in the future. And among the Internet based Shayari fora, I feel SDC is among the top if it's genre. SDC is an alive living breathing entity. It is not merely a collection or archive of poetry, but a place where human interactions take place. It not just disseminates the cause & message of poetry but it also binds its members as a community. It not only exposes members to poetry but also imparts them the skill to appreciate it.

SDC is a place emotions can be felt and imagination can be crafted. SDC has got the critical mass to become the prime seat of poetry in future. It needs to be kept vibrant and needs to keep re-inventing itself to stay fresh and relevant. And in many ways it has been doing this as well, despite the few ups and downs it has gone through.

We, as members, need to keep irrigating it with our sweat, blood and tears to make sure it grows into a tall tree under which all us "mad for poetry" people can take shelter. I would like to dedicate one of my humble shers to SDC and it's members on this thought ...

tujhe shauq-e-laala-o-gul agar to lahoo se seeNch ke surh kar
tujhe gham khizaaN ka hai kis liye tujhe intezaar-e-bahaar kyooN
- zarraa

2. Where/what do you see.. Zidd bhai's contribution (Without taking a single iota of credit away from ANY of our Dedicated and honorable members and Mods) in the cause of the betterment of Shayri on this site? and at the same time the altruistic contribution of our Admin Gaurav bhaee?

Zidd bhai's contribution is both immeasurable and iconic. He has been a friend, philosopher and guide to SDC members in the true sense. He is one of the strong pillars of SDC. In his brilliant discourses, he provides the perfect blend of theory and practicality. His knowledge is deep, nuanced and first hand which he articulates in a very interesting and easy to understand manner. He is never shy of expressing an opinion or taking a stand on the issue, but also open minded to understanding alternative points of view as well. He has shared a great deal of knowledge on the most fundamental and critical aspects of shayari. I'm sure many people have greatly benefitted from his insightful narratives, I being one of them. His amazing sense of humour, his informal and friendly style and the brilliance of his thoughts and observations, coupled with the fact that he is a brilliant shayar as well, make him a real jewel in the SDC crown.

Though I have not had the privilege and pleasure of interacting with Admin Gaurav bhai personally, but I have obviously heard about him in SDC. I can only salute him for the yeoman service he has provided by founding this site and by tirelessly keeping it running like clockwork. He is also available to intervene and clarify whenever there are any issues, either technical or administrative. His contribution has been pivotal in making SDC what it is and I am thankful to him for proving us poetry lovers a roof over our heads in form of this beautiful home called SDC.

I would like to dedicate a humble sher to both of these, as well as to all other admins or mods or members who play a key role in the management and operations of our beloved SDC to provide a beautiful forum for us poetry lovers to come together and revel in each others company ...

khilte haiN yooN to gul kayee fasl-e-bahaar meiN
ik baahbaan ne unheiN gulshan bana diya
- zarraa

3. Please share with us your favourite poets(outside of SDC) in the following genres:

Romance- Shayri e ishq
Tragedy- Shari e dard
Satire- Tan 0 Mazaah

Bahaut khushi huwee ye sawaal dekh kar Ahmad sahab. Sach poochhiye to main bhi muhtaaq tha apne favourite shora ki list share karne ke liye

Genre wise apne favorite poets ke baare mein kuchh arz kahoon, us se pehle main apne overall favorite shora ki fehrist pesh karna chaahoonga.

Waise to Urdu adab mein hazaaron nayab shayar huwe hain, par mere favorites wo hain jin ke ehsaas aur andaaz-e-bayaan mujhe persoanlly sab se zyada pasand aaye hain. However, I must state, that this list is limited by the constraints of my knowledge and exposure. Main ne shayari kaafi kam parhee ya sunee hai. Kayee behtareen shora ka qalaam pardhne ya sunne ka sharf mujhe haasil naheen huwa hai. To meri limited knowledge aur ehsaas ke binaah par, mere personal opinion mein, mere sab se pasandeeda shayar hain ..

1. Asaddulah Khan Ghalib
2. Meer Taqi Meer
3. Faiz Ahmad Faiz
4. Ahmad Faraaz
5. Jigar Moradabadi
6. Sahir Ludhianavi
7. Asraar Ul Haq Majaaz
8. Khumaar Barabankvi

Kayee mahaan shayar, jaise Iqbal, Josh, Firaaq, Momin, Daagh, Zauq, Kaifi, Makhdoom wagairah ke main ne ziyada qalaam pardhe ya sune naheen hain, aur na hi un ke kahe khayaalaat par gehraayee se ghaur kiya hai. In shora ke qalaam ka noor mere taareeq zehn mein ab tak naheen parh saka hai, jis ka mujhe behad afsos bhi hai, aur dil mein muraad bhi hai ki aage chal ke in ke ilm ki roshni se mere aql ki teergee thorhi kam ho sake.

Ek aur baat kehna chaahoonga, kisi daur mein jab main Hindi kavita follow karta tha (college ke daur mein 18-20 saal pehle) tab main Dr. Harivansh Rai Bachchan se bahaut mutaasir tha, aur un ke style mein kavita likhne ki koshish karta tha. Magar us ke baad Hindi kavita se maata toot sa Gaya, aur sirf Urdu shayari ko hi follow kiya.

Jab genre wise apne favorite shora ke baare mein soch hoon, to Shayari-e-Dard aur Shayari-e-Ishq mein farq karne mein mushkil si mehsoos kar raha hoon. Kyunki shayari mein jo ehsaas aur jazbaat mujhe sab se pasand aate hain, wo hain dard-e-ishq ke . To ye bhi kaha ja sakte hain ki donon genres ka combination mujhe sab se ziyada pasand hai Aur jin shora ka main ne oopar zikr kiya hai, unhone is ehsaas par behad hi shaandaar aur dil ko cheer dene waale qalaam kahe hain.

Phir bhi, aap ke hukm ki taameel karte huwe, main is tarah se koshish karta hoon, ki in pure genres mein kin ke qalaam mujhe sab se ziyada asardaar lagte hain, ye sochne ki koshish karta hoon.*

Is genre wise list mein main Ghalib aur Meer ka zikr naheen kar raha hoon kyunki, mere hisaab se, wo donon "divine geniuses" hain aur wo har genre har form se kaheen oopar uth chuke hain, aur un ko main zyaati taur pe kisi ek se identify naheen kar pa raha hoon. Ya phir aisa samajh lijiye wo har genre ke master hain aur un ke aage koyee bhi aur shayar, meri nazron mein, kisi bhi genre mein kharha naheen ho paayega. So my every list will start and end with Ghalib and Meer, hence I am excluding them from the below list

Romance- Shayri e ishq : mere hisaab se Jigar Moradabadi ke qalaam mein jo pure romance dekhne ko mila hai, wo mere hisaab se incomparable hai. Aur Khumaar Baarabamkvi ke qalaam mein bhi bayaan-e-ishq bahaut lutf bhara laga mujhe.

Tragedy- Shari e dard : Faraaz, Sahir aur Majaaz ki shayari mein dard ki mithas aur karhwahat ek saath milti hai, dard ka gham aur jashn bhi ek saath manaya ja raha hota hai. Un ke yahaan dard-e-ishq ka bhi kis qadar dilsoz aur jigardoz bayaan dekhne ko milta hai. In ke alaawa, jis shayar ki ek alag hi jagah hai mere man mein hai aur jin ke liye beintehaayee izzat mere dil mein hai, wo hain Faiz Ahmad Faiz. Dard-e-Ishq ke alaawa, duniya, mulk, aawaam, insaaniyat ke dard-o-gham ka jo visionary aur iconic bayaan unhone kiya hai, use main kya, pooree duniya ne salaam kiya hai. Saath hi, Ahmad Faraaz par bhi yahi baat kaafi had tak laagoo hoti hai.

Satire- Tan 0 Mazaah : is genre se meri bilkul bhi waaqfiyat naheen hai, to is ke baare mein kuchh bhi yakee senaheen keh paaoonga. agar "tukka maarne" ki jurrat karoon, to Ibn-e-Insha aur Nazeer Akbarabadi ke shayad kuchh ek tanz o mazaah bhare qalaam main ne dekhein hon jo mujhe achchhe lage, par yakeenee taur par kuchh arz naheen kar paaoonga. Maazrat.

Main maazrat-khwah hoon Ahmad sahab, shayad is sawaal ka accurate jawaab naheen de paaya hoon, magar aap ka bahaut bahaut shukriya ki aap ne ye sawaal poochh kar mujhe mauka diya apne ustaad shora ka naam lene ka

4. Where do you think songwriting stand in today's literature, i.e. shayri ki dunya mayn commercial geetkaari ka aajkal kya maqaaM haye? their financial renumeration aside, do they, in your view get the credit they deserve for their poetic endevours?

India ke hisaab se is sawaal ka jawaab deta hoon, kyunki is masle par meri jaankaari India tak hi seemit hai. Commercial geetkaari mostly film music mein hi dekhne ko milti hai, ya phir popular music mein.

In my humble opinion, the state & stature of poetry in commercial form at present is nowhere close to the levels of 50-70s era, but is way better than what it was in the 80-90s era. One can see the glass as either half full or half empty. While the level of "commercial poetry" is still way below the level of "literary poetry" but at least poetry has made a comeback in the realm of popular music. There are some songwriters who have dared to experiment and infuse meaning into their songs, which has been largely driven by the kind of experimental and meaningful cinema which has made a comeback over the last 10 years or so.

As far as getting credit is concerned, we should ask the question about credit in whose eyes ? Who will judge their worth ? I am not connected in any way with the literary and academic world to know what is opinion of the experts in this matter and comment on it, but if the masses are being exposed to decent poetry through popular music and are resonating with their message, then that by itself is a good start and in that sense songwriters who are attempting this are getting some sort of credit by the masses. The important question is that will this trend last and blossom into something bigger and better or will it fizzle out? Will the proportion of poetic lyrics in popular music go up with time or will it be just a passing phase? I sincerely hope it is the former and not the latter
*
5. Is it necessary to be a philosopher or have a philosophical mind to be a great poet?
*
I feel so. Again, I do not have any knowledge of literary principles or poetry techniques, but based on personal experience and intuition, my humble opinion is that*a poet needs to see beyond the obvious and the physical in any situation and transcend into a deeper symbolic, imaginary or metaphysical spaces. He/She should also be able to re-interpret real matters in a fresh & surprising way and express ideas in an aesthetic & intriguing manner. And for this a philosophical bent of mind might be necessary.

Ji, bahaut bahaut shukriya Ahmad sahab in khoobsurat sawaalon ka. In ka jis had tak ho sakta tha jawaab dene ki koshish ki hai.. Meri la-ilmi zaroor ek arhchan rahi hai in ka mukammal jawaab dene mein. Bas dil ne jo bhi mehsoos kiya arz kar diya hai *

Ummeed hai aap se guftagoo ka silsila yoon hi chalta rahega. Aap ke khayaalaat samajhne ka bhi mushtaaq hoon aur aap se kuchh seekhne ki bhi chaah rakhta hoon.

Duaon ke saath
Zarraa*

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha

Last edited by zarraa; 14th September 2014 at 01:35 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#67)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
14th September 2014, 11:29 AM

Zarra Sahib ,

Agar Shayri aap ki MOHABBAT hai tau ye aapki begum ki SAUTAN hui na.

Agar aapki begum aapko dono mein se ek chun.ne ka faisala karne ko kahe ...
ki ya tau maiN rahungi ya meri sautan ....

Aap kaise is masle ko solve kareinge....

Kuch.bechare kavi is musibat mein pare hue hain aaj bhi aur main unme se ek hun

khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
   
Reply With Quote
Old
  (#68)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
14th September 2014, 04:47 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
Kamaal ki raftaar se aapka interview aage badh rahaa hai Zarraa saahab.... mujhe bahot khushii ho rahii hai aapke baare me itnaa sab kuch jaan'ne samajhne ko mil raha hai...
aapne kayee dard bharee baaten hamaare sath share kareeN to kuch khattee meethi daastaan bhii.. aur yaqeen maaniye main bahot dilchaspii ke saath aapka interview padh rahaa hoon, aur dil hi dil duaaen diye ja raha hoon....

Meree taraf se bhi kuch sawaalaat pesh hain.

1) Shayrii me quantity matter kartii hai ya quality.. if quantity exceeds do u think it will create adverse affect on quality, if so then why.??

2) aap ghazal me sabsse zyaada kis cheez ko importance dete hain aur kyon. Qaafiyaa, Radeef, Behar, khayaal etc. Please try to pick only one.

3) kisii mash'hoor shaayar ki zameeN pe likhnaa kis had tak jaayaz hai. isse new shayar ko positive ya negattive kis tarah ke response milne ki gunjaish hotii hai..

4) sabse mushkil sawaal.. kyaa aapki shareeqe hayaat, (Mrs. Zarraa) aapki saari shayrii suntii hain???

agar nahee to aap apni frustration kaise nikaalte hain. (kuch aaine pe gussa nikaalte hain kuch deewaron ko suna kar dil halka karte hain)

aur agar suntii hain to ye aapne kaise kiyaa. its a miracle buddy..

aapke jawaabon ka muntazir rahunga.

Shaad....

Shaad bhai, ab main aap ke baare mein kya kahoon. aap jaante hain ki ek bahaut hi khaas jagah hai aap ki mere dil mein. jab internet par aur SDC par shayari ki ibteda ki thi main ne 4-5 saal pehle, to aap wo pehle shakhs the jin se ek nisbat ek rafaaqat bani thi, jin se regularly shayari ke baare mein guftagoo hoti thi. aur bahaut khushi ki baat hai ye silsila abhi bhi qaayam hai, ye rishta air mazboot hota ja raha hai.

main pehle hi din se aap ki shayari aur aap ke andaaz-e-sukhan ka fan ho gaya. Aap ka andaaz mujhe bilkul taaza meetha aur ek dum alag laga. Phir aap ki shakhsiyat bhi bahaut hi positive, pleasing aur spirited lagi. Mujhe pata laga ki aap kaafi young hain magar aap ke andar ki maturity aur pukhtagi kamaal ki lagi, magar saath hi aap ki umr ke hisaab se jo youthful spirit aap mein honi chaahiye wo bhi pooree tarah dekhne ko miltee hai. you have qualities of yesterday, today and tomorrow !

pichhle kuchh saalon mein mujhe jo aap se jo beshumaar pyar, dosti, qadr daani, hausla afzaayee, izzat mili hai, Shaad mere yaar, bayaan naheen kar sakta ki un ke liye aap ka kitna ehsaanmand hoon aur main khud ko kis qadar khush naseeb samajhta hoon ki meri kismat mein aap ki dosti likhi hai

chaliye, dher saara footage khaane ke baad, ab aate hain aap ke barhe hi dilchasp, aur ek last ke naughty sawaal par

1) Shayrii me quantity matter kartii hai ya quality - if quantity exceeds do u think it will create adverse affect on quality, if so then why.?

mera maanna hai ki quality is supreme, regardless of quantity. agar wahi quality barkaraar rakhte huwe, quantity ziyada ho sakti hai, chaahein wo ek ghazal mein ziyada aashaar ya qalaam mein ziyada ghazalein, to sone par suhaga. magar quantity ko ziyada karne ki koshish mein quality se compromise ho jaaye then it defeats the whole purpose. shayari is all about perfection, or at least the journey towards perfection. shayari waqt maangti hai. haan kuchh geniuses zaroor huwe hain jo bina effort ke ya bina waqt sarf kiye achchhee aur sahi shayari keh sakte the/hain, par yahaan baat exceptions ki naheen kar rahe, aam shayar ke hawaale se baat kar rahe hain.

shayari ya kisi bhi art form mein, artists have been considered great by the brilliance of their work rather than their width / quantity of work. isiliye kayee kalaakaar jo bhari jawaani mein hi guzar gaye wo great aur immortal maane jaate hain based on the quality of the little work which they created before leaving this world for a higher plane.

haan, bas as ek chhota sa disclaimer, quantity baa kam se kam itni to honi chahiye ki shayar par ek raay qayam karne ke liye kaafi ho. for example, one cannot just write 5-10 ghazals and hope to be considered a great shayar! without putting a number to it, the body of work should be at least this much that the distinctive style and quality of the artist should get established.

2) aap ghazal me sabsse zyaada kis cheez ko importance dete hain aur kyon. Qaafiyaa, Radeef, Behar, khayaal etc. Please try to pick only one.

agar ek cheez ko hi pick karna ho to khayaal (aur us ke izhaar) ko karoonga. kyunki shayari mein jo sab se zarooree baat hai, maani, kyunki jaisa Ghalib ki famous quote hai "shayari maani-aafreenee hai qaafiya-paimaayee naheen". aur maani khayaal aur izhaar ke combination se hi paida hoti hai.
magar us ke baad agar practical taur par ghazal kehne ki mechanics ya operations ki baat karein, to main, zyaati taur se qafiya aur radeef ke combination to ek saath dekhta hoon aur ye koshish karta hoon ki wo aisa ho ki jis par kayee saare alag alag tarah ke ehsaas kahe ja sakein aur alag alag jazbaat us mein saans le sakein. in donon mein se bhi agar mujhe order specify karna ho to shayad radeef will come before qafiya because I feel radeef sets up the mood and temperament of the ghazal in most cases (unless it is a very short, simple and neutral radeef)

ghazal ke behr ka chunaav main khud naheen karta, bas beher apni ghazal khud chun let a hai. aksar bekhayaali mein ek misra apne aap behr mein man se phoot parhta hai, aur agar wo zameen upjaaoo rahi to chand misron ke nanhe-nanhe paudhe us mein ug jaate hain. jab 2-3 aashaar ka dhaancha sa ban jaata hain, tab main us ko ek ghazal ke taur par dekhne lagta hoon aur us ko mukammal karne ki koshish mein lag jaata hoon.

3) kisii mash'hoor shaayar ki zameeN pe likhnaa kis had tak jaayaz hai. isse new shayar ko positive ya negattive kis tarah ke response milne ki gunjaish hotii hai.

ji, main ne khud kisi mash'hoor shayar ki exact zameen par koyee ghazal nahee kahi hai. bas ek ghazal kehne ki koshish ki thi Mirza Ghalib ki ek ghazal ke radeef aur behr par magar jis mein qafiya alag tha, to wo ek tribute jaisi thi. magar us ke alaawa main ne aur koyee koshish naheen ki. us ke alaawa sirf 1 tarahi ghazal kahi hai ek FB group ki activity mein (based on a misra said by their member) just to see what the experience is like.

ziyati taur par main mash'hoor shora ki zamee par ghazal kehne ki koshish ko ghalat naheen samajhta. aisa kar ke koyee bhi shayar apna imtehaan bhi le sakta hai, mashq-e-sukhan bhi kar sakta hai, agar kisi shayar ko apna idol maanta ho to use tribute bhi de sakta hai. kayee mushayaron ya forum mein tarahi ghazal ki activity bhi hoti hai jis mein sabhi shora apne fan ke jalwe ek common platform par dikha sakein.

mere hisaab se mashhoor shora ki zameen par tarahi ghazal kehna koyee buree baat naheen balki us se seekhne ko bahaut mil sakta hai. of course, I am assuming ki shayar sirf tarahi ghazal hi naheen kehta rehta, khud ki nayee zameen bana kar bhi shayari karta rehta hai, and tarahi shayari is like the icing on the cake while the cake is made of their own original imagination.

4) sabse mushkil sawaal.. kyaa aapki shareeqe hayaat, (Mrs. Zarraa) aapki saari shayrii suntii hain???
agar nahee to aap apni frustration kaise nikaalte hain.. (kuch aaine pe gussa nikaalte hain kuch deewaron ko suna kar dil halka karte hain)

ha ha ha ha !! bhai waaqayee mushkil sawaal poochha aap ne. kuchh milta julta sawaal Sanjay bhai ne bhi poocha tha, jis ka main ne ishaaron ishaaron mein hi un ko jawaab de diya tha

the answer is both Yes and No

Mrs Zarraa (haha nice name ) meri kuchh shayari kabhi kabhi sun bhi leteen hain ya website par kabhi kabhaar pardh bhi leteen hain, magar un ko shayari mein mool roop se interest naheen hai, to samjah lijiye wo meri shayari ka 60-70% part naheen dekhti hain aur 30-40% part dekh leteen hain.

ji naheen, gusse ki koyee baat naheen hai. mujhe kabhi un se ye expectation naheen rahi ki jis cheez mein meri dilchaspi hai usi mein un ko interest ho.

aur mujhe is baat ki kaafi "practice" bhi hai ki apni creations main apne tak hi seemit rakkhoon. jab se shayari karni shuru ki thi, us ka ek barha hissa kisi se bhi share naheen kiya hai main ne. no one around me has ever been interested in it, and I am too proud to ask ayone to listen to it unless the request comes from their side. shayari ka ye safar main ne hamesha tanha hi tay kiya hai, kayee saalon se.

ye tanhaayee ka aalam Internet ke zariye khatm hua jab 4-5 saal pehle main ne shayari websites ko discover kiya aur us mein humkhayaal doston se mila. ab aap samajh sakte hain ki SDC ki kya ahmiyat hai mere liye aur SDC parivaar ki kitni barhee jagah hai mere dil mein.

aur agar suntii hain to ye aapne kaise kiyaa.. its a miracle buddy..

miracles do happen sometimes, when she insists that I tell her something which I have written or browses through the posts herself.

chaliye, Shaad bhai, bahaut achchha laga aap se baat kar ke, hamesha ki tarah. aap se agli guftagoo ka intezaar rahega.

take care ... love n regards
Zarraa

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha

Last edited by zarraa; 14th September 2014 at 04:52 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#69)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
14th September 2014, 08:03 PM

Its really good to know more and more about you zarra sahab

Ok!..Some more questions from my side

1)Do you think that you are strong?*

2)What is your least favorite thing in the world?

3)Who do you miss most right now?

4)Have you ever been on radio or television?

5)Are you a dare devil?

6)Have you ever told a secret you swore you wouldn't?

7)Have you ever misused a word and it sounded
absolutely stupid?

8)Do you think there is a pot of gold at the end of the rainbow?

9)How do you release anger?

10)What was your favorite toy as a child?

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#70)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
14th September 2014, 08:08 PM

Quote:
Originally Posted by N@zneen View Post
lolssssss.....muaf karna sanjayji sawaal to zarraji keliye hai lekin aapka sawaal itna mazedar hai ki khud ko rok na pai aap jaane kitni bar ye sawaal zarraji se ghuma ghuma kar pooch chuke hain zarraji my sympathy is wid you sanjayji is sawaal ka picha nhi chhorenge lagta biwi ke sitam se abtk ubhar nahin pae sanjayji aapke interview ka intezaar hai i guess bahot entertaining hoga
lol naaz...tum kisi ko nahi bakshti...

waise neki aur pooch pooch...kyun sanjay ji..kyun na.agle mahine aapka interview hojaaye. ..

Waise Naaz ka bhi interview baqi hai....I am sure woh bhi sdc ka most interesting interview hoga......

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm

Last edited by zainy; 14th September 2014 at 08:14 PM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#71)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
14th September 2014, 08:10 PM

[QUOTE=zarraa;468382]
Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post

Bahaut bahaut shukriya Sunita ji

Meri beti ka naam hai Rishima
bohat khoobsurat naam hai...sdc parivaar ki taraf se aapki gudiya ko dher saara pyar aur duayen....

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#72)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
14th September 2014, 08:41 PM

Quote:
Originally Posted by N@zneen View Post
lolssssss.....muaf karna sanjayji sawaal to zarraji keliye hai lekin aapka sawaal itna mazedar hai ki khud ko rok na pai aap jaane kitni bar ye sawaal zarraji se ghuma ghuma kar pooch chuke hain zarraji my sympathy is wid you sanjayji is sawaal ka picha nhi chhorenge lagta biwi ke sitam se abtk ubhar nahin pae sanjayji aapke interview ka intezaar hai i guess bahot entertaining hoga
Hahaha Sach kaha N@zneen ji ! Sanjay ji ke sawaal hamesha bouncer ke jaise hote hain, but he carries them off very well with his humorous and friendly style.

Waise mujhe ye lagne laga hai ki mere bajaaye agar meri patni ka interview rakkha gaya hota to behtar hota Jin sawaalon ka main ghuma phira ke jawaab de raha hoon us ka wo direct answer de deteen, aur shayad mere kuchh aur secrets wo spill kar deteen jin se aap ko mere khilaaf kaafi ammunition mil jaata

Just joking, main jald hi is bouncer se apne sar ko bachaane ke liye koyee na koyee shot le kar haazir hounga

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#73)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
14th September 2014, 08:42 PM

[QUOTE=zainy;468618]
Quote:
Originally Posted by zarraa View Post

bohat khoobsurat naam hai...sdc parivaar ki taraf se aapki gudiya ko dher saara pyar aur duayen....
Ji bahaut bahaut shukriya aap ka Zainy ji ..................

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#74)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
14th September 2014, 08:52 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
lol naaz...tum kisi ko nahi bakshti...

waise neki aur pooch pooch...kyun sanjay ji..kyun na.agle mahine aapka interview hojaaye. ..

Waise Naaz ka bhi interview baqi hai....I am sure woh bhi sdc ka most interesting interview hoga......
Pehle Naaz ka number lagao Zainy ji ...vo bahut senior hain mujse ....
Aur ab tak Shayron ki hi pitai hoti rahi hai ...For a change Shayra...
(poetess) ke khair makdam ka mauqa dijiye subko..

Hum.bhi tau dekhein ki paani kitna gehra hai

khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
   
Reply With Quote
Old
  (#75)
ufaq
AN ILLUSION
ufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.com
 
ufaq's Avatar
 
Offline
Posts: 726
Join Date: Oct 2011
Rep Power: 33
15th September 2014, 10:07 AM

Bhai.....interview Ka ye silsia aapko bahut bahut mubaarak ho....khush raho...
   
Reply With Quote
Old
  (#76)
Ahmad Hyderabadi
Registered Member
Ahmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant future
 
Offline
Posts: 933
Join Date: Oct 2011
Location: Hyderabad (Deccan)
Rep Power: 31
15th September 2014, 07:26 PM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post

Janaab Ahmad Hyderabadi Sahab

Aadaab. Ji bahaut bahaut shukriya is dariyadili se ki huwee pazeeraayee ka.

I am indeed honoured at having this conversation with you Ahmad sahab. The few interactions that I have had with you and the few of your creations that I have had the privilege of reading, have left a very deep and positive impression on me. You come across as an extremely erudite, sorted, cultured, sensitive and caring individual to me. You display impeccable etiquettes and a great command over language - both Urdu and English, which are pure pleasure to witness. You have encouraged and appreciated me from time for which I am extremely grateful to you. My compliments and best wishes go out to you Ahmad Sahab.

Coming to your questions, all of which are extremely pertinent, insightful, interesting, and dare I say, quite challenging to answer as well

1. Where do you see our dear virtual home i.e. SDC in the history of poetry in the long term future?

Great point ! I feel that "virtual" fora like SDC will be the "real" home of poetry in the future, even more so for Shayari which is becoming a niche & specialised art form over time and hence which needs a medium like Internet which would have a much greater reach, real time connect and unlimited access as compared to something like the print medium, both at present and mo so in the future. And among the Internet based Shayari fora, I feel SDC is among the top if it's genre. SDC is an alive living breathing entity. It is not merely a collection or archive of poetry, but a place where human interactions take place. It not just disseminates the cause & message of poetry but it also binds its members as a community. It not only exposes members to poetry but also imparts them the skill to appreciate it.

SDC is a place emotions can be felt and imagination can be crafted. SDC has got the critical mass to become the prime seat of poetry in future. It needs to be kept vibrant and needs to keep re-inventing itself to stay fresh and relevant. And in many ways it has been doing this as well, despite the few ups and downs it has gone through.

We, as members, need to keep irrigating it with our sweat, blood and tears to make sure it grows into a tall tree under which all us "mad for poetry" people can take shelter. I would like to dedicate one of my humble shers to SDC and it's members on this thought ...

tujhe shauq-e-laala-o-gul agar to lahoo se seeNch ke surh kar
tujhe gham khizaaN ka hai kis liye tujhe intezaar-e-bahaar kyooN
- zarraa

2. Where/what do you see.. Zidd bhai's contribution (Without taking a single iota of credit away from ANY of our Dedicated and honorable members and Mods) in the cause of the betterment of Shayri on this site? and at the same time the altruistic contribution of our Admin Gaurav bhaee?

Zidd bhai's contribution is both immeasurable and iconic. He has been a friend, philosopher and guide to SDC members in the true sense. He is one of the strong pillars of SDC. In his brilliant discourses, he provides the perfect blend of theory and practicality. His knowledge is deep, nuanced and first hand which he articulates in a very interesting and easy to understand manner. He is never shy of expressing an opinion or taking a stand on the issue, but also open minded to understanding alternative points of view as well. He has shared a great deal of knowledge on the most fundamental and critical aspects of shayari. I'm sure many people have greatly benefitted from his insightful narratives, I being one of them. His amazing sense of humour, his informal and friendly style and the brilliance of his thoughts and observations, coupled with the fact that he is a brilliant shayar as well, make him a real jewel in the SDC crown.

Though I have not had the privilege and pleasure of interacting with Admin Gaurav bhai personally, but I have obviously heard about him in SDC. I can only salute him for the yeoman service he has provided by founding this site and by tirelessly keeping it running like clockwork. He is also available to intervene and clarify whenever there are any issues, either technical or administrative. His contribution has been pivotal in making SDC what it is and I am thankful to him for proving us poetry lovers a roof over our heads in form of this beautiful home called SDC.

I would like to dedicate a humble sher to both of these, as well as to all other admins or mods or members who play a key role in the management and operations of our beloved SDC to provide a beautiful forum for us poetry lovers to come together and revel in each others company ...

khilte haiN yooN to gul kayee fasl-e-bahaar meiN
ik baahbaan ne unheiN gulshan bana diya
- zarraa

3. Please share with us your favourite poets(outside of SDC) in the following genres:

Romance- Shayri e ishq
Tragedy- Shari e dard
Satire- Tan 0 Mazaah

Bahaut khushi huwee ye sawaal dekh kar Ahmad sahab. Sach poochhiye to main bhi muhtaaq tha apne favourite shora ki list share karne ke liye

Genre wise apne favorite poets ke baare mein kuchh arz kahoon, us se pehle main apne overall favorite shora ki fehrist pesh karna chaahoonga.

Waise to Urdu adab mein hazaaron nayab shayar huwe hain, par mere favorites wo hain jin ke ehsaas aur andaaz-e-bayaan mujhe persoanlly sab se zyada pasand aaye hain. However, I must state, that this list is limited by the constraints of my knowledge and exposure. Main ne shayari kaafi kam parhee ya sunee hai. Kayee behtareen shora ka qalaam pardhne ya sunne ka sharf mujhe haasil naheen huwa hai. To meri limited knowledge aur ehsaas ke binaah par, mere personal opinion mein, mere sab se pasandeeda shayar hain ..

1. Asaddulah Khan Ghalib
2. Meer Taqi Meer
3. Faiz Ahmad Faiz
4. Ahmad Faraaz
5. Jigar Moradabadi
6. Sahir Ludhianavi
7. Asraar Ul Haq Majaaz
8. Khumaar Barabankvi

Kayee mahaan shayar, jaise Iqbal, Josh, Firaaq, Momin, Daagh, Zauq, Kaifi, Makhdoom wagairah ke main ne ziyada qalaam pardhe ya sune naheen hain, aur na hi un ke kahe khayaalaat par gehraayee se ghaur kiya hai. In shora ke qalaam ka noor mere taareeq zehn mein ab tak naheen parh saka hai, jis ka mujhe behad afsos bhi hai, aur dil mein muraad bhi hai ki aage chal ke in ke ilm ki roshni se mere aql ki teergee thorhi kam ho sake.

Ek aur baat kehna chaahoonga, kisi daur mein jab main Hindi kavita follow karta tha (college ke daur mein 18-20 saal pehle) tab main Dr. Harivansh Rai Bachchan se bahaut mutaasir tha, aur un ke style mein kavita likhne ki koshish karta tha. Magar us ke baad Hindi kavita se maata toot sa Gaya, aur sirf Urdu shayari ko hi follow kiya.

Jab genre wise apne favorite shora ke baare mein soch hoon, to Shayari-e-Dard aur Shayari-e-Ishq mein farq karne mein mushkil si mehsoos kar raha hoon. Kyunki shayari mein jo ehsaas aur jazbaat mujhe sab se pasand aate hain, wo hain dard-e-ishq ke . To ye bhi kaha ja sakte hain ki donon genres ka combination mujhe sab se ziyada pasand hai Aur jin shora ka main ne oopar zikr kiya hai, unhone is ehsaas par behad hi shaandaar aur dil ko cheer dene waale qalaam kahe hain.

Phir bhi, aap ke hukm ki taameel karte huwe, main is tarah se koshish karta hoon, ki in pure genres mein kin ke qalaam mujhe sab se ziyada asardaar lagte hain, ye sochne ki koshish karta hoon.*

Is genre wise list mein main Ghalib aur Meer ka zikr naheen kar raha hoon kyunki, mere hisaab se, wo donon "divine geniuses" hain aur wo har genre har form se kaheen oopar uth chuke hain, aur un ko main zyaati taur pe kisi ek se identify naheen kar pa raha hoon. Ya phir aisa samajh lijiye wo har genre ke master hain aur un ke aage koyee bhi aur shayar, meri nazron mein, kisi bhi genre mein kharha naheen ho paayega. So my every list will start and end with Ghalib and Meer, hence I am excluding them from the below list

Romance- Shayri e ishq : mere hisaab se Jigar Moradabadi ke qalaam mein jo pure romance dekhne ko mila hai, wo mere hisaab se incomparable hai. Aur Khumaar Baarabamkvi ke qalaam mein bhi bayaan-e-ishq bahaut lutf bhara laga mujhe.

Tragedy- Shari e dard : Faraaz, Sahir aur Majaaz ki shayari mein dard ki mithas aur karhwahat ek saath milti hai, dard ka gham aur jashn bhi ek saath manaya ja raha hota hai. Un ke yahaan dard-e-ishq ka bhi kis qadar dilsoz aur jigardoz bayaan dekhne ko milta hai. In ke alaawa, jis shayar ki ek alag hi jagah hai mere man mein hai aur jin ke liye beintehaayee izzat mere dil mein hai, wo hain Faiz Ahmad Faiz. Dard-e-Ishq ke alaawa, duniya, mulk, aawaam, insaaniyat ke dard-o-gham ka jo visionary aur iconic bayaan unhone kiya hai, use main kya, pooree duniya ne salaam kiya hai. Saath hi, Ahmad Faraaz par bhi yahi baat kaafi had tak laagoo hoti hai.

Satire- Tan 0 Mazaah : is genre se meri bilkul bhi waaqfiyat naheen hai, to is ke baare mein kuchh bhi yakee senaheen keh paaoonga. agar "tukka maarne" ki jurrat karoon, to Ibn-e-Insha aur Nazeer Akbarabadi ke shayad kuchh ek tanz o mazaah bhare qalaam main ne dekhein hon jo mujhe achchhe lage, par yakeenee taur par kuchh arz naheen kar paaoonga. Maazrat.

Main maazrat-khwah hoon Ahmad sahab, shayad is sawaal ka accurate jawaab naheen de paaya hoon, magar aap ka bahaut bahaut shukriya ki aap ne ye sawaal poochh kar mujhe mauka diya apne ustaad shora ka naam lene ka

4. Where do you think songwriting stand in today's literature, i.e. shayri ki dunya mayn commercial geetkaari ka aajkal kya maqaaM haye? their financial renumeration aside, do they, in your view get the credit they deserve for their poetic endevours?

India ke hisaab se is sawaal ka jawaab deta hoon, kyunki is masle par meri jaankaari India tak hi seemit hai. Commercial geetkaari mostly film music mein hi dekhne ko milti hai, ya phir popular music mein.

In my humble opinion, the state & stature of poetry in commercial form at present is nowhere close to the levels of 50-70s era, but is way better than what it was in the 80-90s era. One can see the glass as either half full or half empty. While the level of "commercial poetry" is still way below the level of "literary poetry" but at least poetry has made a comeback in the realm of popular music. There are some songwriters who have dared to experiment and infuse meaning into their songs, which has been largely driven by the kind of experimental and meaningful cinema which has made a comeback over the last 10 years or so.

As far as getting credit is concerned, we should ask the question about credit in whose eyes ? Who will judge their worth ? I am not connected in any way with the literary and academic world to know what is opinion of the experts in this matter and comment on it, but if the masses are being exposed to decent poetry through popular music and are resonating with their message, then that by itself is a good start and in that sense songwriters who are attempting this are getting some sort of credit by the masses. The important question is that will this trend last and blossom into something bigger and better or will it fizzle out? Will the proportion of poetic lyrics in popular music go up with time or will it be just a passing phase? I sincerely hope it is the former and not the latter
*
5. Is it necessary to be a philosopher or have a philosophical mind to be a great poet?
*
I feel so. Again, I do not have any knowledge of literary principles or poetry techniques, but based on personal experience and intuition, my humble opinion is that*a poet needs to see beyond the obvious and the physical in any situation and transcend into a deeper symbolic, imaginary or metaphysical spaces. He/She should also be able to re-interpret real matters in a fresh & surprising way and express ideas in an aesthetic & intriguing manner. And for this a philosophical bent of mind might be necessary.

Ji, bahaut bahaut shukriya Ahmad sahab in khoobsurat sawaalon ka. In ka jis had tak ho sakta tha jawaab dene ki koshish ki hai.. Meri la-ilmi zaroor ek arhchan rahi hai in ka mukammal jawaab dene mein. Bas dil ne jo bhi mehsoos kiya arz kar diya hai *

Ummeed hai aap se guftagoo ka silsila yoon hi chalta rahega. Aap ke khayaalaat samajhne ka bhi mushtaaq hoon aur aap se kuchh seekhne ki bhi chaah rakhta hoon.

Duaon ke saath
Zarraa*

Aadaab Zarraa Saahab,
Janaab aap nay tou khaaksaar kay labaoN ko sii daalaa apnee fayyaz wa faraagh-dil tahseeni kalimaat say! Saahab khaaksaar iska haqdaar khudko naheeN samajhta! Oopar say aapkay tafseelee jawaabaat parh dil o zahn dono ko bayhad lutf aayaa, dil ko aapki shaqsiyyat jaan-ker aur zahn ko aapki fahm-O-faraasat jaan-ker!! We are previleged to have a personality like you between us!! And I am not saying these words lightly in any manner what-so-ever!!

Aglee fehrist-e-suaalat-e-khaaksaar paysh e nazar haye aapki:

1. Aapki nazar/opinion/view mayn:

a. Shayri Kya haye/ what is Shayri?( Am confining myself by default to urdu Shayri Sir)

b. Is it an art or is it a science?

2. Har bahr mayn likhne-wala shaayar nahi hota aur har shayAr bahr mayn nahee likhta? If you agree Sir, please can you elaborate?

3. Ayk ghazal mayn , aapki nazar mayn, Maqte ki kya ahmiyyat haye? Is it necessary and if so why and if not then why?

4. Aapka favourite one-day cricket match abtak ka, if you had to choose one?

Guzaarish haye aap-say, ki apnay khaali wa fursat walay waqt mayn khaaksaar kay jawaab dayn, please do take your time answering my humble questions as I can see aap har kisee kay jawaab tafseel aur in-depth daytay hayn junmayn bayshak aap koee kami nahee chhortay and God forbid you are straining yourself because of that! And once again Thank You Sir for your kind and detailed answers!!!

Duagoh

Ahmad

Last edited by Ahmad Hyderabadi; 15th September 2014 at 07:31 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#77)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
16th September 2014, 01:14 AM

Quote:
Originally Posted by Hassan View Post
Zarraa saheb,

Masha Allah!! aap ke saath guftagu baDay pur-josh andaaz ke saath jaari-o-saari hai..
aur bohat khushi ho rahi hai aap ke mutaliQ itna kuch jaan kar...
Pichhli dafa maiN ne Adil bhai se kuch sawaal poche the, aap se bhi woHi poochta hooN..
aap ki kia raaye hai...

Manzar Bhopali saheb ne kaha ke
"Aadmi se insaaN tak pohnch gaye to pata chale ga..
Diye ke neeche roshni kyuN nahi hoti" (Shair theek se yaad nahi)

1. Diye ke neeche roshni kyuN nahi hoti?

2. Agar aap ko apne wataN se door akele jana pad jaye to kia aap jayeN ge?

3. Lafz 'Maa' ko apne ehsasaat meiN biyaaN kareN!

4. Lafz 'Baap' ko apne ehsasaat meiN biyaaN kareN!

5. Idhar se udhar chaar din ki bahaar hai duniya...
zindagi naam rakh diya kis ne? maut ka intezaar hai duniya!
Aap ka kia khayaal hai...?

Intezaar rahe ga,

DuaooN ke saath,,
Hassan bhai ! Aap jahaan jaate hain wahaan hansi khushi pyar apnapan baantte jaate hain. Aap ahl e bazm se khule dil se milte hain aur baat karte hain. Aap sab ko dost bana lete hain. Ek bahaut hi chhote se arsey mein aap ke saath barha hi pyara sa dosti ka rishta ban gaya hai mera. Aur aap ke qalaam mein mujhe insaniyat humanity koot koot ke bhari huwee miltee hai. Aap ki sensitivity aur feelings personal bhi hain aur social bhi. Aap jis bhi mudde par qalaam kehte hain, aksar wo aisa hota hai jise aap ne gehraayee aur shiddat se mehsoos kiya huwa hota hai. In sab wajahon se aap se baat karna mujhe bahaut achchha lagta hai.

Chaliye, ab aap ke sawaalon ki taraf aata hoon. Waah barhe hi dilchasp sawaal poochhe hain aap ne !

Manzar Bhopali saheb ne kaha ke
"Aadmi se insaaN tak pohnch gaye to pata chale ga..
Diye ke neeche roshni kyuN nahi hoti" (Shair theek se yaad nahi)*

ye sher shayad kuchh is tarah se hai ...

aadmi se insaaN tak aa gaye to samjhoge
kyooN chiraagh ke neeche roshni naheeN milti
- Manzar Bhopali

wwaahh kya zabardast sher hai !!

1. Diye ke neeche roshni kyuN nahi hoti?

Bhai, mere hisaab se, koyee shakhs jab doosron ko kisee cheez ka nazraana deta hai ya doosron ke liye kuchh karta hai, to use khud wo cheez haasil naheen ho paati aur wo khud us faiz se mehroom rehta hai. tabhi "chiraagh ke neeche roshni naheeN milti".

isee baat ko agar aur aage bardhaayein to ye dekhenge ki kayee baar dene waale ko tabaah tak hona parhta hai doosron ko faiz ataa karne ke liye jaise ki "raNg laatee hai hina patthar pe ghis jaane ke baad" (waise is sher ka mazmoon ye naheen tha, main misre ko out of context quote kar raha hoon in order to make this point )

agar is baat ko ek level aur bhi aage bardhayein, to ye dekhenge ki neki karne waale ko neki karne ki saza bhi milti hai kayee baar, aur saza dene waale wo hote hain jin ke saath us ne neki ki thi us ne, aur saza dene ka hathiyaar bante hain usee ka nek karam !! ye baat barhe asardaar tareeke se kahi gayee hai Khumaar Barabankvi ke sher mein ...

hataaye the jo raah se dostoN ki
wo patthar mere ghar meiN aane lage haiN
- Khumaar Barabankvi

doosre logon ko kuchh dene waale ka maqaam hamesha ooncha rehta hai, tabhi shayad Manzar sahab ne kaha hai ke "aadmi se insaaN tak aa * gaye to samjhoge". apne liye jeene waala "aadmi" hai aur khud mehroom reh kar bhi doosron ko kuchh dene waala *"insaan" .. this is only as per my interpretation

2. Agar aap ko apne wataN se door akele jana pad jaye to kia aap jayeN ge?

pehle bhi ja chuka hoon, aur wahaan ek waqt tak akele bhi reh chuka hoon.

is haalat par Faiz sahab ka ek bahaut hi khoobsurat sher hai :

dayaar-e-ghair meiN mehram agar naheeN koyee
to "faiz" zikr-e-watan apne ru-ba-ru hi sahi
- Faiz Ahmad Faiz

waaqayee watan se door rehna wo bhi akele tanha bahaut hi mushkil hota hai. main aisi hi pareshaan faaurda tabiyat mein ek nazm kahi thi .. us ka link de raha hoon

http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=74552

ab agar aage bhi kabhi watan se door jaana parh jaaye to shayad chala bhi jaaoonga, after all this is an era of global connectedness and one has to keep up with the world. aur alag alag mulkon mein reh kar aap ka world view bhi wide hota hai, aap ko duniya samaaj logon wagairah ki gehree samajh aatee hai.

haan, magar is baar agar jaaoonga bhi to akele bilkul naheen jaaoonga. apni duniya saath le kar jaaoonga. haan, magar watan ki yaad to zaroor reh reh kar aatee hi rahegi.

apni nazm "nasheb-o-faraaz" se ek qit'a

nikaala ghar se azeezoN ne kaisi zillat se
dayaar-e-ghair meiN chhupne ko ik makaaN paaya
saba sunaane ko aayee qafas meiN haal-e-chaman
fasurda us ne bhi har sub'h gulsitaaN paaya
- zarraa

3. Lafz 'Maa' ko apne ehsasaat meiN biyaaN kareN!

saaya milta hai umr bhar is meiN
sab balaayeiN haiN be-asar is meiN
Ma ka aaNchal jise kaha jaata
aadmi kya Khuda ka ghar is meiN
- zarraa

4. Lafz 'Baap' ko apne ehsasaat meiN biyaaN kareN

ek khaamosh si sada sa hai
kitni raatoN se wo n soya hai
maana kandhe juke huwe us ke
fakhr se Baap ka sar ooNcha hai
- zarraa

5. Idhar se udhar chaar din ki bahaar hai duniya...
zindagi naam rakh diya kis ne? maut ka intezaar hai duniya!
Aap ka kia khayaal hai...?

wwaaahh !! bahaut khoob !!

isee baat par Ghalib ka ek sher bhi ho jaaye ...

marte haiN aarzoo meiN marne ki
maut aatee hai par naheeN aatee
- Ghalib

jo sher aap ne rakkha hai, aur Ghalib ke sher mein bhi, ye assume kiya gaya hai ki koyee shakhs maut ka intezaar kar raha hai. waise ye baat bilkul sach aur sahi hai ki hum sab har lamha maut ke kareeb jaate ja rahe hain ... magar is haqeeqat ko mere hisaab se ziyadatar log bilkul bhi mehsoos naheen karte (aur main bhi un mein shaamil hoon). ye haqeeqat ya to wo mehsoos karte hain jo zindagi se pooree tarah maayoos ho chuke hain, ya wo jo bahaut hi enlightened mind rakhte hain.

par main is mudde ko spiritual ya theological discussion naheen banana chaahta. sirf aam logon ke lihaaz se aur rozmarra ki zindagi ke hisaab se agar dekhein to .. ek angrezi mein ek barhi mazedaar saying hai "nothing is certain but death and taxes" baat bilkul sahi hai .. people grudge both of them .. some people even try to evade them .. most of the times we are oblivious to them .. till it is time to pay .. and then we wish we had planned better .. in case of tax you can say "next time" .. maybe that's where it's similarity with death ends. I leave the conclusion to the audience.

chaliye, aap ka kaafi waqt le liya. is baar bas itna hi kahoonga .. baaki, next time

Hassan bhai, yoon hi hanste huwe raha kijiye .. take care aur dheron duaein aap ko

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#78)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
16th September 2014, 06:26 AM

Waah Zarra Sahib Wah ,

You are very good at words ...While reading your replies to Ahmad Sahib I was indeed mesmerised by your flow of thoughts and its presentation in English language and your grip and command over everything ( I visualised a Manager giving presentation in a seminar )

Aur jab aap Urdu zaban mein guftu kar rahe hote hain tau masha allah mere
rongte khare ho jate haiN . Please mujhe bhi aisi Urdu seekhni hai , put me on the track of learning Urdu ... Aur aap ke Hasan sahib ke questions ke replies parte hue ( I visualised you as a intellectual with long beard and achkan and Caop on your head giving sermons in a mosque)

Khair aap jo bhi hai ..lajawaab hai aur apne aap mein mukammal hain ..

Mere sanjeeda questions ...

1. Apne Shad sahib ke question mein kaha tha ki Ghazal mein Ehsaas aur uski adaygi matter karte hain ....... That means when I am writing shayri
which adheres to above two points , I am on write track ...Technicals tau
dheere dheere ayeinge seekhne per .
Per is forum mein I have notices ki kai bhari bharkam shayar jo ki technical mein strong hain ,look down upon budding shayars whoa re good at ehsaas but bad a technical ... Is gap ko kaise bridge kiya jaye.

2. Runahi Shayri ( Sufi Kalam e.g Bulle shah, Meera bai) kya duniyavi shayri se uupar hai and is the ultimage stage of poetry or is just one of branches of poetry..
ek sher ,,,Jin ka Ishq hai khuda se , fo kab faryaad karte hain ,
zubaan pe moher e khamoshi , dilon mein yaad karte hain

khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
   
Reply With Quote
Old
  (#79)
Hassan
Some Mirrors Lie...
Hassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Hassan's Avatar
 
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 44
Love 16th September 2014, 11:51 AM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post

Hassan bhai ! Aap jahaan jaate hain wahaan hansi khushi pyar apnapan baantte jaate hain. Aap ahl e bazm se khule dil se milte hain aur baat karte hain. Aap sab ko dost bana lete hain. Ek bahaut hi chhote se arsey mein aap ke saath barha hi pyara sa dosti ka rishta ban gaya hai mera. Aur aap ke qalaam mein mujhe insaniyat humanity koot koot ke bhari huwee miltee hai. Aap ki sensitivity aur feelings personal bhi hain aur social bhi. Aap jis bhi mudde par qalaam kehte hain, aksar wo aisa hota hai jise aap ne gehraayee aur shiddat se mehsoos kiya huwa hota hai. In sab wajahon se aap se baat karna mujhe bahaut achchha lagta hai.

Zarraa saheb.. khaaksaar ko iss darja pazeeraayi bakhshne ke liye mere paas shukriyaaH ke alfaaz nahi haiN... mujhe sacch meiN aaj aap ne dherooN khushiyaN dii haiN, aap ne na-cheez ko iss qaabil samjha, maiN aap ka ehsaan-mand hooN.. aur iss ke liye dil ki gehraaiyoN se bas duayeN hi duayeN nikal rahi haiN.. shaad rahiye... abaad rahiye..!

Quote:
Chaliye, ab aap ke sawaalon ki taraf aata hoon. Waah barhe hi dilchasp sawaal poochhe hain aap ne !
Sir, I have noticed that you take everything politely and positively! I like that. Stay like this, always!

Quote:
Manzar Bhopali saheb ne kaha ke
"Aadmi se insaaN tak pohnch gaye to pata chale ga..
Diye ke neeche roshni kyuN nahi hoti" (Shair theek se yaad nahi)*

ye sher shayad kuchh is tarah se hai ...

aadmi se insaaN tak aa gaye to samjhoge
kyooN chiraagh ke neeche roshni naheeN milti
- Manzar Bhopali

wwaahh kya zabardast sher hai !!

1. Diye ke neeche roshni kyuN nahi hoti?

Bhai, mere hisaab se, koyee shakhs jab doosron ko kisee cheez ka nazraana deta hai ya doosron ke liye kuchh karta hai, to use khud wo cheez haasil naheen ho paati aur wo khud us faiz se mehroom rehta hai. tabhi "chiraagh ke neeche roshni naheeN milti".

isee baat ko agar aur aage bardhaayein to ye dekhenge ki kayee baar dene waale ko tabaah tak hona parhta hai doosron ko faiz ataa karne ke liye jaise ki "raNg laatee hai hina patthar pe ghis jaane ke baad" (waise is sher ka mazmoon ye naheen tha, main misre ko out of context quote kar raha hoon in order to make this point )

agar is baat ko ek level aur bhi aage bardhayein, to ye dekhenge ki neki karne waale ko neki karne ki saza bhi milti hai kayee baar, aur saza dene waale wo hote hain jin ke saath us ne neki ki thi us ne, aur saza dene ka hathiyaar bante hain usee ka nek karam !! ye baat barhe asardaar tareeke se kahi gayee hai Khumaar Barabankvi ke sher mein ...

hataaye the jo raah se dostoN ki
wo patthar mere ghar meiN aane lage haiN
- Khumaar Barabankvi

doosre logon ko kuchh dene waale ka maqaam hamesha ooncha rehta hai, tabhi shayad Manzar sahab ne kaha hai ke "aadmi se insaaN tak aa * gaye to samjhoge". apne liye jeene waala "aadmi" hai aur khud mehroom reh kar bhi doosron ko kuchh dene waala *"insaan" .. this is only as per my interpretation
waaahhh! sir lajwaab kar diya ap ne apne jawaab se... totally agreed.... bohat bohat shukriyaaH clarification ke liye sir... to aap ke jawaab se maiN iss conclusion per pohncha hooN.. ke naiki ki jaye lekin bina kissi matlab ke.... jese chiraagH humeN roshni deta hai, bina kisi maang yaa demand ke .. wese hi insaaN ko bhi insaaN ke kaam aana chahiye bina kisi matlab ke.....

Quote:
2. Agar aap ko apne wataN se door akele jana pad jaye to kia aap jayeN ge?

pehle bhi ja chuka hoon, aur wahaan ek waqt tak akele bhi reh chuka hoon.

is haalat par Faiz sahab ka ek bahaut hi khoobsurat sher hai :

dayaar-e-ghair meiN mehram agar naheeN koyee
to "faiz" zikr-e-watan apne ru-ba-ru hi sahi
- Faiz Ahmad Faiz

waaqayee watan se door rehna wo bhi akele tanha bahaut hi mushkil hota hai. main aisi hi pareshaan faaurda tabiyat mein ek nazm kahi thi .. us ka link de raha hoon

http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=74552

ab agar aage bhi kabhi watan se door jaana parh jaaye to shayad chala bhi jaaoonga, after all this is an era of global connectedness and one has to keep up with the world. aur alag alag mulkon mein reh kar aap ka world view bhi wide hota hai, aap ko duniya samaaj logon wagairah ki gehree samajh aatee hai.

haan, magar is baar agar jaaoonga bhi to akele bilkul naheen jaaoonga. apni duniya saath le kar jaaoonga. haan, magar watan ki yaad to zaroor reh reh kar aatee hi rahegi.

apni nazm "nasheb-o-faraaz" se ek qit'a

nikaala ghar se azeezoN ne kaisi zillat se
dayaar-e-ghair meiN chhupne ko ik makaaN paaya
saba sunaane ko aayee qafas meiN haal-e-chaman
fasurda us ne bhi har sub'h gulsitaaN paaya
- zarraa
Jee sir, i can feel the pain. MaiN kabhi raha nahi hoN pardes meiN.... lekin jin dostoN ya azezooN ko paredes meiN dekha hai... uss base pe soccha jaye to waqai pardes meiN zindagi kathin hai aur woH baat aap ki nazm meiN bhi saamne aayi, ke kiss taraH aap ne apne alfaazoN meiN apna dard bayaaN kiya.. waqai khoob raha... aur sacche jazboN ka monh bolta saboot rahi aap ki nazm.... jahaN tak aap ne baat ki akele ab pardes meiN na jane ki, toH yeH to yakeen maniye, mujhe sun kar bohat khushi hui.... ghar waloN se door jiye to phir kiya jiyey.. zindagi ke nasheyb-o-faraaz pe aap ka qit'a mujhe pardes meiN qaid kisi panchii ki dastaaN lagi.. aur iss dukh ko maiN ne bhi mehsoos kiya..

Quote:
3. Lafz 'Maa' ko apne ehsasaat meiN biyaaN kareN!

saaya milta hai umr bhar is meiN
sab balaayeiN haiN be-asar is meiN
Ma ka aaNchal jise kaha jaata
aadmi kya Khuda ka ghar is meiN
- zarraa
waaaaahh!!! Zarraa saheb.. waqai sahi hai.. Allah-taala nay Maa ke QadmoN ke neeche Jannat rakhi hai..... haan yeH aur baat hai ab maiN uss jannat se mehroom ho chuka hooN! maa jab tak thiN tab tak to bahareN thiN.... ab zindagi jese khizaaN ka mausam hai.. guzar rahi hai guzar hi jaye gi....... khair... zarra saheb.. meri maa ne mujhe jo sikhaya.. woH shayed aap meri batoN meiN aur lehje meiN mehsoos kareN... oper jo ap ne meri itni tareef ki woH actually aap ne meri nahi .. meri maa ki, ki, kyuN ke unhi ki tarbiyat ne mujhe zindagi ke taur-tareeqe aur husn-e-akhlaaQ se jeena sikhaya... aik shair arz karta hooN kisi shayer ka:-

pyar karta hai 'hSn' yeH zamana mujh se!
yeH meri maa ki duaooN ka asar lagta hai..

Quote:
4. Lafz 'Baap' ko apne ehsasaat meiN biyaaN kareN

ek khaamosh si sada sa hai
kitni raatoN se wo n soya hai
maana kandhe juke huwe us ke
fakhr se Baap ka sar ooNcha hai
- zarraa
Allah hur baap ko aap jesa samjhdaar aur farma-bardaar beta de aur humeN bhi apne waalid saheb ki khidmat karne ki taufeeq atta farmaye (ameen)

Quote:
5. Idhar se udhar chaar din ki bahaar hai duniya...
zindagi naam rakh diya kis ne? maut ka intezaar hai duniya!
Aap ka kia khayaal hai...?

wwaaahh !! bahaut khoob !!

isee baat par Ghalib ka ek sher bhi ho jaaye ...

marte haiN aarzoo meiN marne ki
maut aatee hai par naheeN aatee
- Ghalib

jo sher aap ne rakkha hai, aur Ghalib ke sher mein bhi, ye assume kiya gaya hai ki koyee shakhs maut ka intezaar kar raha hai. waise ye baat bilkul sach aur sahi hai ki hum sab har lamha maut ke kareeb jaate ja rahe hain ... magar is haqeeqat ko mere hisaab se ziyadatar log bilkul bhi mehsoos naheen karte (aur main bhi un mein shaamil hoon). ye haqeeqat ya to wo mehsoos karte hain jo zindagi se pooree tarah maayoos ho chuke hain, ya wo jo bahaut hi enlightened mind rakhte hain.

par main is mudde ko spiritual ya theological discussion naheen banana chaahta. sirf aam logon ke lihaaz se aur rozmarra ki zindagi ke hisaab se agar dekhein to .. ek angrezi mein ek barhi mazedaar saying hai "nothing is certain but death and taxes" baat bilkul sahi hai .. people grudge both of them .. some people even try to evade them .. most of the times we are oblivious to them .. till it is time to pay .. and then we wish we had planned better .. in case of tax you can say "next time" .. maybe that's where it's similarity with death ends. I leave the conclusion to the audience.
sir.. aap ki batoN se maiN iss conclusion per pohncha hooN ke chaar din ki hai zindagi issay rooth'ne meiN na ganwaana.. hanste rehna aur hansaatay rehna.... zindagi khush-asloobi se basar karna...

Quote:
chaliye, aap ka kaafi waqt le liya. is baar bas itna hi kahoonga .. baaki, next time
Zarra saheb.. yeH keH kar mujhe sharmindaH na kareN... waQt toH maiN ne le liya ap ka.. bohat saaa! mauaafi chahta hooN!

Quote:
Hassan bhai, yoon hi hanste huwe raha kijiye .. take care aur dheron duaein aap ko
Jee sir zaroor! aur aap bhi apna khayaal rakhiye ga.. aap ko bhi dheeri saari duayeN!

jald haazir hooN aglay sawaaloN ke saath... abhi kaafi saray sawaal aap ke pending haiN... ziyada bhoj na aa jaye aap per.. iss liye thoday waQt ke baad haazir hooN...

*hSn* : parStaar

tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN...
("Asad")
   
Reply With Quote
Old
  (#80)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
16th September 2014, 07:40 PM

Quote:
Originally Posted by ufaq View Post
Bhai.....interview Ka ye silsia aapko bahut bahut mubaarak ho....khush raho...
Bahaut bahaut shukriya Ufaq bhai, aur aap ko bhi meri or se dheron duaein

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com