Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
kaash duniya na hoti
Old
  (#1)
Zeba
Registered User
Zeba has a spectacular aura aboutZeba has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 585
Join Date: Jan 2003
Rep Power: 23
kaash duniya na hoti - 15th January 2003, 01:23 AM

kaash duniya na hoti,zindagani na hoti......
hum aadmi na hote ,to gam ki kahaani na hoti.....

who to thoda sa dard seh gaye,
baki ki saza hum bhogat te reh gaye,

kash adam ne hawa ki ,baat mani na hoti....
hum aadmi na hote ,to gam ki kahaani na hoti....

hum bhi aasmaan pe khel rahe hote,
yu na gham duniya ke jhel rahe hote,

yeh bachpan ,yeh budhapa aur jawani na hoti....
hum aadmi na hote ,to gam ki kahaani na hoti....


bhaiyoun aur behnoo
please do reply me yeh kaisi lagi meri gazal.yeh gazal meri pehli gazal thi jo maine 5th grade (school) mai likhi thi.
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Sharaabi
madhoSH shaKHs
Sharaabi has a spectacular aura aboutSharaabi has a spectacular aura about
 
Sharaabi's Avatar
 
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
15th January 2003, 02:58 AM

Yeh ghazal nahiiN hai Zeba ji, kyooN ki is ka koii 'radeef, aur kaafiyaa" nahiiN hai jo ek jaisa hi rahe -- to isko bas yeh ek sher ka collection hai..
LEKIN, maine yeh to nahiiN kaha ki aapne acha nahiiN likha
Bahot khoob likha hai aapne, aur chauNkne waali baat hai ki 'paaNchvi' (5th) class meiN yeh 'sher' likhe the

Likhte rahiye,
Aman



"je tu akhiiyaaN de saamne naii rehnaa,
te bibba saada dil moD de..!"


kya karooN? aisa hi hooN maiN..
  Send a message via Yahoo to Sharaabi  
Reply With Quote
sharabi ji
Old
  (#3)
Zeba
Registered User
Zeba has a spectacular aura aboutZeba has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 585
Join Date: Jan 2003
Rep Power: 23
sharabi ji - 15th January 2003, 05:16 AM

shukria aman sahab,
aapne tareef to ki,waise mujhe kya aap sikhayenge ke gazal kaisi hoti hai ,give me an example.
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
15th January 2003, 12:58 PM

Zeba jee aman jee jitni knowledge aur talent to nahi hai humne lekin itna jaroor keh sakte hai ke jo 5th grade mein itni imagination kar sakta hai..he has to be someone special..
aapko hamara salaam


kyon zindagi ki raah mein akele chalta hai dost
chal waha chal jahan tere jaise aur bhi hai...
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
dil_ka_rishta
Registered User
dil_ka_rishta will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 49
Join Date: Dec 2002
Location: dubai,uae
Rep Power: 0
15th January 2003, 02:11 PM

wah! kya likha hai aapne.mujhe to shabd nahi mil rahe tareef ke liye.aur aapne to 5th grade mein likha hai ye to aur bhi achi baat hai.itni choti si umar mein aapne itni badi cheez bol di.ye to bahut hi achi baat hai.i hope u keep writing these kind os shers and ghazals more.
luv
janki


Dard agar mujhe chhu na sake....to samjho woh jee na sake...
  Send a message via AIM to dil_ka_rishta  
Reply With Quote
Old
  (#6)
Bijili
Registered User
Bijili is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 129
Join Date: Nov 2002
Rep Power: 22
15th January 2003, 11:56 PM

Zeba ji,
5th grade aghar aap itna likh sakthe hai ab tho kamal kardenge. intezaar rahegi hume aapki ab likhi gazalon ka.

welcome to site, keepup good work.
Bijili


::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::
Milna tha ittefaq bichadna naseeb tha
Woh utnaa dur gaya jho jitna kareeb tha
::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::
  Send a message via Yahoo to Bijili  
Reply With Quote
shukria bohot bohot
Old
  (#7)
Zeba
Registered User
Zeba has a spectacular aura aboutZeba has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 585
Join Date: Jan 2003
Rep Power: 23
shukria bohot bohot - 16th January 2003, 03:38 AM

shukria bohot bohot
Mai aap logon ki batoon se bohot inspire ho rahi hoon.
ghayalparwana sahab ,dil karishta sahab aur bijli ji aap sab logon ki housla afzai ka mai shukaria ada karti hoon.

phool abhi hai baki mere daman mai bas ,chunne wala chahiye
Nagme aur bhi hai mere paas sunane ko,sunne wala chahiye.
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
*Kaash har roz ye baat hoti...* Diggaj_Dave Shayri-e-Ishq 5 11th September 2006 01:50 PM
kaash yeh mulakaat na hoti !!!!!! Hum-Tum Shayri-e-Dard 0 12th January 2005 03:44 PM
kaash ki tu meri hoti dard_shayar Humourous Shayri 0 27th September 2004 07:10 PM
kaash duniya na hoti Zeba Shayri-e-Dard 3 21st January 2003 12:12 AM
gam ki duniya mai khushi kaash hoti Javed Ghazal Section 1 12th December 2001 07:00 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com