Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Ghazal Section

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
apni parwaaz ko jab thaam liya hai hum ne
Old
  (#1)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
apni parwaaz ko jab thaam liya hai hum ne - 28th October 2020, 09:35 AM

अपनी परवाज़ को जब थाम लिया है हम ने
आसमानों को तह-ए-दाम लिया है हम ने

ग़ैर तो ग़ैर उसे तू भी ना पहचान सका
ऐसी शिद्दत से तेरा नाम लिया है हम ने

जिस तबीअत से है ली साहिब-ए-महफ़िल से दाद
उस से बढ़-चढ़ के तो इल्ज़ाम लिया है हम ने

आब-ओ-दाने का तो एहसान किसी और का है
आप के हाथ से कब जाम लिया है हम ने

इश्क़ और फ़र्ज़ को अब दिल से रिहा करना है
इन सलासिल से बड़ा काम लिया है हम ने

उस ने भी ज़ुल्फ़ परेशान कहीं की होगी
जब किसी साये में आराम लिया है हम ने

झूट ही थी तो सर-ए-आम उठा ली तोहमत
और ख़ल्वत में फिर इकराम लिया है हम ने

कुछ तो दुनिया की शिकायत भी है जाएज़ “ज़र्रा"
वो सज़ा दे मगर इनआम लिया है हम ने

- ज़र्रा

apni parwaaz* ko jab thaam liya hai hum ne
aasmaanoN ko tah-e-daam** liya hai hum ne
*flight **inside the net

gair to gair use tu bhi na pahchaan saka
aisi shiddat* se tera naam liya hai hum ne
*intensity

jis tabee’at se hai li saahib-e-mahfil se daad
us se bardh-chardh ke to ilzaam liya hai hum ne

aab-o-daane ka to ehsaan kisi aur ka hai
aap ke haath se kab jaam liya hai hum ne

ishq aur farz ko ab dil se riha karna hai
in salaasil* se bada kaam liya hai hum ne
*chains

us ne bhi zulf pareshaan* kaheeN ki hogi
jab kisi saaye meN aaraam liya hai hum ne
*scatter

jhoot hi thi to sar-e-aam utha li tohmat
aur khalwat* meN phir ikraam** liya hai hum ne
*privacy **honour

kuchh to duniya ki shikaayat bhi hai jaaez “zarraa”
wo saza de magar in’aam liya hai hum ne

- zarraa


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com