Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
sila de koyee ya saza de koyee
Old
  (#1)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
sila de koyee ya saza de koyee - 8th July 2012, 10:20 PM

sila de koyee ya saza de koyee
jiyeiN ya mareiN ye bata de koyee


laga kar gale haal poochheNge hum
kabhi hum ko khud de mila de koyee


rula dega hum ko ye maaloom tha
wagarna humeiN kyuN haNsa de koyee


harik khwaab tootaa siwa ishq ka
so is’se bhi hum ko jaga de koyee


n tarq-e-wafa ka ise naam do
jo ahd-e-wafa ko bhula de koyee


bahaut door manzil hai r’sta kathin
meri khwaahishoN ko bata de koyee


chhupa chaaNd dekho siyah abr meiN
ki chehre pe gesoo gira de koyee


n miltee hai apne hi dil meiN jagah
panaahoN meiN apni chhupa de koyee


kabhi waqt kehne kahaane ka tha
mujhe kisliye ab sada de koyee


bhula deNge sab kuchh kareiN roz yaad
magar yaad kaise bhula de koyee


kise sabr hota hai may’khaane tak
humeiN raah meiN hi pila de koyee


kharaabee ke maqtab ka shaagird hooN
sabak roz duniya sikha de koyee


ye kis’se kahaanee bahaut ho gaye
jo main poochhta hooN bata de koyee


pada raaste par wo saamaan hooN
utha le koyee ya gira de koyee


nazar jo ye dekhe n dekhe koyee
chalo ab ye sham’ma bujha de koyee


junooN ka n chaaraa hai zarraa tere
kahe chaaraagar bhi dua de koyee



- zarraa




wagarna = otherwise
tarq = relinquish
abr = cloud
maqtab = school
chaaraa = cure
chaaraagar = doctor

Last edited by zarraa; 8th July 2012 at 10:25 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
9th July 2012, 01:49 AM

masha allaahhh nihaayati khubsoorst ghazal hai ...

mujhe sabhi ashaar beintihaaN pasand aaye
kuch chizeiN haiN jin pe aap kuch aur ghaur farmaa sakte the par yakeen maaniye aapki maasoom fikr me vo kahiN kho si gaiiN

aapko parhna har baar hi achha lagta hai ..
maalik aapke hunar ko aur barkat de

zor e qalam aur ziyada

daad ke saath


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
chanderp
Registered User
chanderp is just really nicechanderp is just really nicechanderp is just really nicechanderp is just really nicechanderp is just really nice
 
chanderp's Avatar
 
Offline
Posts: 141
Join Date: Aug 2009
Location: Dont know yet :|
Rep Power: 19
9th July 2012, 04:08 AM

Zarraa ji bahut hi khoob, jo andaaz-e-baya aur jo ashaar
sidhe dil ko chu gaye, ye kuch khaas rahe,

bahaut door manzil hai r’sta kathin
meri khwaahishoN ko bata de koyee
n miltee hai apne hi dil meiN jagah
panaahoN meiN apni chhupa de koyee

Dhero dili daad kabool farmaye


Zid uski mera wazood hi mita dene ki,
aur aarzoo meri sirf usko paa lene ki.
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Nazish
Nazish
Nazish is a splendid one to beholdNazish is a splendid one to beholdNazish is a splendid one to beholdNazish is a splendid one to beholdNazish is a splendid one to beholdNazish is a splendid one to beholdNazish is a splendid one to behold
 
Nazish's Avatar
 
Offline
Posts: 215
Join Date: May 2007
Location: Dubai UAE
Rep Power: 24
9th July 2012, 09:05 AM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
sila de koyee ya saza de koyee
jiyeiN ya mareiN ye bata de koyee


laga kar gale haal poochheNge hum
kabhi hum ko khud de mila de koyee


rula dega hum ko ye maaloom tha
wagarna humeiN kyuN haNsa de koyee


harik khwaab tootaa siwa ishq ka
so is’se bhi hum ko jaga de koyee


n tarq-e-wafa ka ise naam do
jo ahd-e-wafa ko bhula de koyee


bahaut door manzil hai r’sta kathin
meri khwaahishoN ko bata de koyee


chhupa chaaNd dekho siyah abr meiN
ki chehre pe gesoo gira de koyee


n miltee hai apne hi dil meiN jagah
panaahoN meiN apni chhupa de koyee


kabhi waqt kehne kahaane ka tha
mujhe kisliye ab sada de koyee


bhula deNge sab kuchh kareiN roz yaad
magar yaad kaise bhula de koyee


kise sabr hota hai may’khaane tak
humeiN raah meiN hi pila de koyee


kharaabee ke maqtab ka shaagird hooN
sabak roz duniya sikha de koyee


ye kis’se kahaanee bahaut ho gaye
jo main poochhta hooN bata de koyee


pada raaste par wo saamaan hooN
utha le koyee ya gira de koyee


nazar jo ye dekhe n dekhe koyee
chalo ab ye sham’ma bujha de koyee


junooN ka n chaaraa hai zarraa tere
kahe chaaraagar bhi dua de koyee



- zarraa


wagarna = otherwise
tarq = relinquish
abr = cloud
maqtab = school
chaaraa = cure
chaaraagar = doctor


Bhauat khooooooooooooooooooooooob Zarraa g , Her sher apni misaal aap, behtareen Alfaaz, ehsaas liye huay aik turp, ilteja, mohabbat se bharpoor kalaam . Zarraa gdil se nikli daad qabool kije


.....................................
Dil jalaa ke poochhte haiN badii masoomiyat se woh.
Shamaa ka hi kyuN muqaddar hai raat bhar jalnaa.

Dr. Imtiaz Nazish
  Send a message via Yahoo to Nazish Send a message via MSN to Nazish Send a message via Skype™ to Nazish 
Reply With Quote
Old
  (#5)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
11th July 2012, 08:19 PM

Quote:
Originally Posted by kshitiz View Post
masha allaahhh nihaayati khubsoorst ghazal hai ...

mujhe sabhi ashaar beintihaaN pasand aaye
kuch chizeiN haiN jin pe aap kuch aur ghaur farmaa sakte the par yakeen maaniye aapki maasoom fikr me vo kahiN kho si gaiiN

aapko parhna har baar hi achha lagta hai ..
maalik aapke hunar ko aur barkat de

zor e qalam aur ziyada

daad ke saath
Shukriya Kshitij ji ... Ummeed hai saath bana rahega
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
11th July 2012, 08:20 PM

Quote:
Originally Posted by chanderp View Post
Zarraa ji bahut hi khoob, jo andaaz-e-baya aur jo ashaar
sidhe dil ko chu gaye, ye kuch khaas rahe,

bahaut door manzil hai r’sta kathin
meri khwaahishoN ko bata de koyee
n miltee hai apne hi dil meiN jagah
panaahoN meiN apni chhupa de koyee

Dhero dili daad kabool farmaye
Aapkee inayat Chander ji ... Shukriya !
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
11th July 2012, 08:22 PM

Quote:
Originally Posted by Nazish View Post


Bhauat khooooooooooooooooooooooob Zarraa g , Her sher apni misaal aap, behtareen Alfaaz, ehsaas liye huay aik turp, ilteja, mohabbat se bharpoor kalaam . Zarraa gdil se nikli daad qabool kije

Tah e dil se shukraguzaar hoon apka aur apki daad dil se qabool karta hoon Nazish ji
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
aru
Main shayar to nahin.....
aru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.com
 
aru's Avatar
 
Offline
Posts: 2,795
Join Date: Oct 2002
Location: kanpur
Rep Power: 50
12th July 2012, 09:11 AM

bahut khubsurat ghazal hai zarra jee, saare aashaar dil ko choo gaye, ehsaason se bhari is ghazal pe daad kubul karein. Daad.



एक हाथ में दिल उनके एक हाथ में खंजर था
चेहरे पे दोस्त का मुखौटा अजीब सा मंजर था

Arvind Saxena
Ph. No. 7905856220
  Send a message via AIM to aru  
Reply With Quote
Old
  (#9)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
13th July 2012, 10:17 AM

Quote:
Originally Posted by aru View Post
bahut khubsurat ghazal hai zarra jee, saare aashaar dil ko choo gaye, ehsaason se bhari is ghazal pe daad kubul karein. Daad.
Apka bahaut bahaut shukriya Aru ji
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
kafiir
Registered User
kafiir is a splendid one to beholdkafiir is a splendid one to beholdkafiir is a splendid one to beholdkafiir is a splendid one to beholdkafiir is a splendid one to beholdkafiir is a splendid one to behold
 
kafiir's Avatar
 
Offline
Posts: 123
Join Date: Mar 2011
Rep Power: 20
14th July 2012, 03:59 PM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
sila de koyee ya saza de koyee
jiyeiN ya mareiN ye bata de koyee


laga kar gale haal poochheNge hum
kabhi hum ko khud de mila de koyee


rula dega hum ko ye maaloom tha
wagarna humeiN kyuN haNsa de koyee


harik khwaab tootaa siwa ishq ka
so is’se bhi hum ko jaga de koyee


n tarq-e-wafa ka ise naam do
jo ahd-e-wafa ko bhula de koyee


bahaut door manzil hai r’sta kathin
meri khwaahishoN ko bata de koyee


chhupa chaaNd dekho siyah abr meiN
ki chehre pe gesoo gira de koyee


n miltee hai apne hi dil meiN jagah
panaahoN meiN apni chhupa de koyee


kabhi waqt kehne kahaane ka tha
mujhe kisliye ab sada de koyee


bhula deNge sab kuchh kareiN roz yaad
magar yaad kaise bhula de koyee


kise sabr hota hai may’khaane tak
humeiN raah meiN hi pila de koyee


kharaabee ke maqtab ka shaagird hooN
sabak roz duniya sikha de koyee


ye kis’se kahaanee bahaut ho gaye
jo main poochhta hooN bata de koyee


pada raaste par wo saamaan hooN
utha le koyee ya gira de koyee


nazar jo ye dekhe n dekhe koyee
chalo ab ye sham’ma bujha de koyee


junooN ka n chaaraa hai zarraa tere
kahe chaaraagar bhi dua de koyee



- zarraa




wagarna = otherwise
tarq = relinquish
abr = cloud
maqtab = school
chaaraa = cure
chaaraagar = doctor
zarra bhai kasam kha li hai kya dum nikaalne ki ........ kalam bhi panah mang jata hoga ki ab bas ab bas ...............................


bhut khoob likha hai dherooo daad kabool karye..............
kafiir


na jane kon kon hume duaaon mai yaad rakhta hai
mai dobne lagta hoon samnder uchal deta hai

Us Mukaaaa pe mera junon aajaye
tujhe pukaroon mere muh se khoon ajaaye


...nm
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
15th July 2012, 02:31 AM

Quote:
Originally Posted by kafiir View Post
zarra bhai kasam kha li hai kya dum nikaalne ki ........ kalam bhi panah mang jata hoga ki ab bas ab bas ...............................


bhut khoob likha hai dherooo daad kabool karye..............
kafiir
Ha ha ... Kaafir bhai .... Apse aur kalam se .... DonoN se maazrat khwaah hooN .... Par Zara bande ka bhi sochiye .... Uska dum n nikla hoga gham bayan karte karte Bhai apne jis mohabbat aur sabr se is bala ko padha aur itne apnepan se daad di ... Uska tah e dil se shukrguzaar hooN aur apko dheroN duaeiN deta hooN......tashreef laate rahiyega
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
kafiir
Registered User
kafiir is a splendid one to beholdkafiir is a splendid one to beholdkafiir is a splendid one to beholdkafiir is a splendid one to beholdkafiir is a splendid one to beholdkafiir is a splendid one to behold
 
kafiir's Avatar
 
Offline
Posts: 123
Join Date: Mar 2011
Rep Power: 20
16th July 2012, 03:52 PM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
Ha ha ... Kaafir bhai .... Apse aur kalam se .... DonoN se maazrat khwaah hooN .... Par Zara bande ka bhi sochiye .... Uska dum n nikla hoga gham bayan karte karte Bhai apne jis mohabbat aur sabr se is bala ko padha aur itne apnepan se daad di ... Uska tah e dil se shukrguzaar hooN aur apko dheroN duaeiN deta hooN......tashreef laate rahiyega

waise yeh baat to appne sahi kahii itna likhne pe to appko 4 6 baar glucose chadh hi jata hoga.........................................: D

jokes apart magar app bhaut accha likhte hai orr phdhna appko bhut pasand hai
orr phadhne se bhut si banten orr shyari likhne ka andaz or samjh atti hai issliye ajj kal hum zyda se zyada phdhne ki koshish kar rahe hai orr likhne me sirf experiment

app orr kuch orr mere favriote hain jinko mai zaroor phadhta hoon

bas unhi likhte rehye glucose ki zaroorat padegi to hume batadijiyega ek do truck bhejva denge.........................................


na jane kon kon hume duaaon mai yaad rakhta hai
mai dobne lagta hoon samnder uchal deta hai

Us Mukaaaa pe mera junon aajaye
tujhe pukaroon mere muh se khoon ajaaye


...nm
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
18th July 2012, 11:02 PM

Quote:
Originally Posted by kafiir View Post
waise yeh baat to appne sahi kahii itna likhne pe to appko 4 6 baar glucose chadh hi jata hoga.........................................: D

jokes apart magar app bhaut accha likhte hai orr phdhna appko bhut pasand hai
orr phadhne se bhut si banten orr shyari likhne ka andaz or samjh atti hai issliye ajj kal hum zyda se zyada phdhne ki koshish kar rahe hai orr likhne me sirf experiment

app orr kuch orr mere favriote hain jinko mai zaroor phadhta hoon

bas unhi likhte rehye glucose ki zaroorat padegi to hume batadijiyega ek do truck bhejva denge.........................................
Ha ha ... Apki glucose ki daawat zaroor qubool karoonga
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com