Quote:
Originally Posted by janumanu
jane kahaN wo kho gaya hastaa hua sa maiN
bikhra pada yahaN wahaN tootaa hua sa maiN
tasveer aisi chhod kar aayaa huN uske pas
aatee huee udaasi aur jaataa hua sa maiN
kya chand se hi aayega mere liye koe
kab tak rahuN khudaa bata tanhaa hua sa maiN
rone lagi kuch aise jyuN darya mai ho ufaan
chup chaap dekhta raha sahra hua sa maiN
kab ja ke aayaaga mujhe aaeenaa dekhna
khud ko laguN kabhi kabhi dekha huaa sa main
usne kaha tumhari to dunia hi aur hai
dair-o-haram se aa gaya bhataka hua sa maiN
in waaijoN ki baat mai ab aanaa hi nahiN
luN maikdae ki raah ye kahta hua sa maIN
|
Vikas Bhaii !
Jab Jab PaDhaa Iss Ghazal Ko Maine
WaaH ! WaaH !! Kahtaa Huaa Saa MaiN
Ek Kaamiyaab .. Bemisaal Ghazal !!
Dilee Daad O Mubaaraqbaad !!!