Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Personal Messages > Chit-Chat & General Discussion Forum

View Poll Results: Online mushaira at shayi.com is........
A Great News 28 84.85%
A Bad Idea 5 15.15%
Voters: 33. You may not vote on this poll

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 13 votes, 5.00 average. Display Modes
Khuda ke liye Shayri.com ko shayri ke liye hi rehne deN... -
Old
  (#1)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 28
Khuda ke liye Shayri.com ko shayri ke liye hi rehne deN... - - 29th January 2004, 11:59 AM

Aziiz Dosto

Adaab

Mujhe bohat takleef ho rahi hai yahaN jo bhi kuch chal raha hai ye dekh kar. Bohat logoN se shikayateN aayeen haiN ke yahaN ka mahole badmaza hota ja raha hai.

Afsos ki baat ye hai ke ye site jo sher kehne aur sunane ke liye hai usey yahaN ke membaran ne dating-joint meN tabdeel kar diya hai. Shayrana zaban ki jagah galiyoN aur bhadde afaaz ne le li hai. Log jis tarah ke alfaaz istemaal kar rahe hain wo badi sharm ki baat hai. Jab paRh kar sharm aati hai to un hazraat ko wo alfaaz yahan likh kar chaspaaN karte huve kyuN nahin aayee.

Sabhi dostoN maiN is baat se aagah karva duuN ke behtar hoga ke is tarah ki batoN ke liye koi aur jagah chun leN. Ab yahan se aise logoN ka daan-paani uth gaya samjheN. MaiN baRi hi saKhti se aisee har post ko delete karne jaa raha huuN. Aur gandi zaban wale har member BAN karne ja raha huuN.

Ye baat tai hai ke is site par is qism ki harketeN yahaN bardasht nahiN ki jaayeNgi. Chahe jo bhi ho.
Aur jo log is jagah se pyaar karte haiN unse meri guzarish hai ke Khuda ke liye apne waqt men se kuch lamhe iske liye nikalen aur yahaN hone waali kisi bhi badmaza baat par nazar rakhen aur uskii ittela mujhe deN. Foran action liya jaayega.
Ummeed hai aap sab is baat par ghaur kareN ge aur yahaN ke haalt theek karne meN meri madad kareNge.

“YahaN Khaskar Ekta ji ki post ka zikr karna chahuN ga. Ekta ji aapko ye post nahiN karni chahiye thi. YahaN aapki tasveer ki zaruurat nahiiN hai. Agar aap shayri karti haiN to most welcome. Aapki post delete ki jaa rahi hai.”

Khaksaar
Praveen Saxena


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Adaab Kabool Kijiye
Old
  (#2)
salman shaikh
Ek Anjaan Shaks...
salman shaikh has a spectacular aura aboutsalman shaikh has a spectacular aura about
 
salman shaikh's Avatar
 
Offline
Posts: 497
Join Date: May 2002
Location: London (UK)
Rep Power: 23
Adaab Kabool Kijiye - 29th January 2004, 03:29 PM

Janab Muhatraam Pareveen Sahab... hum apki baat se itefaak rakhte hain yaqeen kijiye apne yahan yeh reply karke hum sab pe bahut mehrabaani ki hai Janab yahan bahut baad zubani hu rahi thi bahut logon ko shikyaat thi yaqeen kijiye parveen sahab kitne purane shayer hain yahan ke jinse mere aj bhi rabta hai sabne yahan likhna band kar dia yahan taak ke mujhe afsoos hai ke main ne bhi band kar dia Parveen bahi ap dekhiye kitne shayri ki copy ho rahi hai lekin janab bahut log yaahn bad zubani karte hain joke ache shayer ke liye sharaam ki baat hai janab main apke is khat se beintiha itefaak rakhta hun apki bari nawazish parveen sahab meri yeh guzarish hai ke ap roz is site pe nazar dala kijiye janab take is site ko hum waise hi roshaan kaar sakein aur wapas un shayron ko la sakein jo dil o mehnaat se yahan likha karte the aur phir se ek dafa is shayri.com main log ek dosre se apna ghum batein nahi ke date ka markaaz banayein janab is site pe hum chahte hain ke kuch rules aaid ki jayein joke hum apko aainda waqt main private main aga kareinge hamari kissi baat se apka dil dhuka hu tu hum teh-e-dil se maafi ke talaab gaar hain ap apse ijazat chahinge ....Kudha Hafiz....

Allah Pak De Hawale...

ek anjaan sa shaks...
salman shaikh...


Chal parin hain kashtiyaan samandar dur hai kinaara.....
in majon se puch lena kia haal hai hamaara....

______________________

Ashk bankaar woh mere chashm-e-tar main rehta hai....
ajeeb woh shaks hai jo pani ke ghar main rehta hai........
  Send a message via Yahoo to salman shaikh Send a message via AIM to salman shaikh Send a message via MSN to salman shaikh  
Reply With Quote
hi
Old
  (#3)
puneetgrover
Registered User
puneetgrover is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 75
Join Date: Jan 2004
Location: delhi,pitam pura
Rep Power: 21
hi - 30th January 2004, 11:14 PM

mein yaha naya hun magar mene bhi yahan logo ko aapni baat galat tarike se rakhte hua dekha hai meri bhi guzarish hai ke aap aapne is rukh ko barkarrar rakhe aur hum naye logo kaide sikhaye kuch logo ki wajha se baki naye logo ke ehsaaso ko galat samjha ja raha hai
   
Reply With Quote
complaint
Old
  (#4)
puneetgrover
Registered User
puneetgrover is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 75
Join Date: Jan 2004
Location: delhi,pitam pura
Rep Power: 21
complaint - 30th January 2004, 11:26 PM

i want to complaint bout... rabi_siddique at general stories... pleasz consider that...
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
3rd February 2004, 08:40 PM

Paraveen G..Adaab..


Huzoor aapke iss thread ne...ek umeed si jagayee hai ke ..hum darad mandoN ko issi kone mein kuch lamhaat ke liye jo sukoon milta hai woh aasraa barkaraar rahega. Beshak yeh sahi waqt hai aap ke iss wahiyaat harkatoN par pabandiyaN lagane ka aur aap apne tajurbe aur haQ se yeh qadam utha sakte hain.. aap ek ba-waqar shakshiyat hai iss bazm mein aur aap ke iss faisle se mein ittefaq rakhta hoon. Beshak agar meri nazroN se koi aaisee harkat ya wakyaat guzre to mein apna farz zuroor adaa karoonga.


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#6)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
6th February 2004, 06:49 PM

Janab Praveen Saheb
Mein bohat itminaan aur sakoon mehsoos kerta hoon jab jab aap ki mails is forum per paata hoon.
Aap ne jis masale ki taraf tawwajja dilayee hai voh waqaee ham sab forum members ki tawwajja ka taalib hai aur mein ne to ab yeh aadaat bana li hai ke is forum per sirf makhsoos logon ki posts perhta hoon aur unhen hi jawab deta hoon.
Mein jaanta hoon ke yeh baat sahi naheen hai magar sirf apne aap ko in kharafaat se bachane ke liye aisa kerta hoon.
Kuch din mein ne koshish ki ke is site per aana hi chor dun khas taur per kuch aisi tehreeren parhne ko mileen ke sharm aati hai bayan kerte huey.
Magar baat yeh hai ke ham jaise adbi aur dard mand dil rakhne waale loag jo waise hi duniya ke tukraye huey hain aur yahan aa ker apne dil ka boajh halka kerte hain phir kahan jaayen.??
Isi liye bas khamoshi se bardasht ker rahe hain.
Ab apne is silile mein aawaz uthayee to dil khush huaa.
Hamein batayen ke ham is silsile mein kya ker sakte hain.
Dekhiye shayr o sukhan to hamari tehzeebi aqdaar ki alaamat hai aur ham jaise yahan behave Karen ge voh bataye gaa ke ham kis character ke maalik hian.
Is liye mein to sab saathiyon se yeh iltimaas karoon gaa ke please yahan zaban ka istemaal ehtiyaat se Karen aur koee aisi baat na Karen jo kisi ko bhi takleef ka bayes bane yah sharm ka bayes ho.
Praveen saheb mein ek baar phir aap ko mubarakbaad deta hoon aur aapki sehat aur salamti ke liye dua go hoon.
Saath saath aap se multamis hoon ke aap mujhe kaar e laiyeqa se aagah kijiye mujhe behad khushi ho gi is silsile mein kisi bhi tarah aap ke kaam aa kar.
Chalte chalte manzar bhopali ka ek qata forum ke sab saathiyon ki nazar karta hoon
KHATM HO JAAYEN UMENGEN YEH SITAM MAT KARNA
BAAGHBAANON NAEE SHAKHON KO QALAM MAT KARNA
DOSTI KEHTE HAIN US KO KE JHUKE SIR UTH JAAYEN
SIR JHUKA DE JO KISI KA YEH ZULAM MAT KARNA

Ejazat chahta hoon is apne pan ke saath ke aap jahan bhi rahen apna bohat khayal rakhen

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
6th February 2004, 07:01 PM

janab praveen saheb
aap ne behad makool kadam uthaya hai..mein aap ke is rukh ka samarthan karta hoon...sirf yehi batane ke liye mein yahan aaya hoon ki ham sab aapke saath hai...beja aur wahiyaat logon ke liye yeh jageh nahin hai....
take care
-Manoj


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#8)
dil_e_sikast
Nacheej shayra
dil_e_sikast will become famous soon enoughdil_e_sikast will become famous soon enough
 
dil_e_sikast's Avatar
 
Offline
Posts: 557
Join Date: Sep 2002
Location: india(gujarat)
Rep Power: 23
15th April 2004, 01:00 AM

u r all the way right
the environment of the site is so much changed due to many reasons
n i was really disappointed due to some vulgar posts
and i was suprised too that admin or moderator has not taken any step till now..
i hope things wud change in this way


taqdeer ne kya kam sataya hua tha
jo ab ye bewaqt hi tuje satane aa gaye
logo ne nahi dekha apne girebaan main
aur dekho 'sanam' ko aajmane aa gaye
-> SaNaM
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
28th October 2004, 12:05 PM

janab parveen ji aadab ...

aap kya kar rahe hai ... dekhi homourus section main kapil ji ne kaisi post ki hai woh bhi ek nahi kayi... jinhe padh kar mujhe khudh ko sharam mehsoos hui ... aap ko avgat karwa raha hun is bat se ... jald se jald action lijiye in par ... aur apni is muhim ko khali ek post par na chode ,.... ise roop den aur madad kare is jagah ko saaf rakhne main ... main khud sharam shar hun ki kuch log mere parivar ko yun dukhi kar rahe hai .... umeed hai aap sath denge

khaksar

kunal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#10)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
10th November 2004, 03:15 PM

PRAVEEN SAHAB

kya shayri-e-dard main homourus ki jaroorat hai ... upar se shirf picture ... kya dard section ye vahiyat kam karne ke liye hai ... bilkul acche nahi lag rehe ye post jo nazu ji ne kiye hai yahan ... plz in par gaur kare .. kya ye shayri ki duniya se male khate hai ...

khaksar kunal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#11)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 28
10th November 2004, 04:13 PM

Janab Kunal sahib

Aapne iss baat ki khabar ki aur humne action le liya. Aapka kehna shai hai aisi cheezon ke liye ye forum nahiin hai. Aage bhi aisi baton se aagah karvaate rahiye aur iss site ki khuubsoorti banaye rakhne mein hamari madad kiijiye.


Shukria
Praveen


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Old
  (#12)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
10th November 2004, 09:38 PM

praveen ji aadab

shukriya ... teh dil se kehna chahunga aapko... aapne gaur farmaya meri ilteza pe ... sach boht dukh hota hai jab log kisi shay ki khoobsoorti pe daag lagane pe utaroo ho jate hai ... par kuch kadam to humare bas main hai hi .. jo hum utha sakte hai.. bakhoobi aapne is par kadam uthaya hai... aapke is kadam se satark honge aane wale log bhi ... aapka ek bar phir se shukriya ... aur aap nischint rahe .. bekhouf aapke sath is abhiyan main shamil hote rahenge isi tarah... is parivar ko apnaya hai... yun biikharne nahi dengge ise .... aap bhi tavajjo dete rahe ...

khaksar

kunal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#13)
mrinal
Registered User
mrinal will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 101
Join Date: Nov 2004
Location: planet earth
Rep Power: 20
25th November 2004, 11:03 AM

parveen ji
namaste mrinal ka

aap kii post padh kar badii santii sii lagii, kii yeh site sirf sayarii aur poetry ke liye hii rahegaa
mujhe kuch galat post milegii to aap ko jaroor likhenge

mrinal

raqs karane kaa milaa hukm jo dariyaao.n me.n
ham ne Khush hoke bha.Nvar baa.Ndh liye paon me.n

un ko bhii hai kisii bhiige hue manzar kii talaash
buu.Nd tak bo na sake jo kabhii saharaao.n me.n


live and let live
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
chandsi
Registered User
chandsi will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,192
Join Date: Sep 2004
Rep Power: 21
7th October 2005, 02:45 PM

http://www.shayri.com/forums/showthr...threadid=38862




.
Bada hua to kya hua jaisay paid khajoor,
Panthi ko chhaya nahin, phal laagen ati door.

Nahaye dhoye kya bhala jo man ka mail na jaay
Meen sada jal mein rahe par tan ki baas na jaay

Akath Kahani Prem Ki, Kutch Kahi Na Jaye
Goonge Keri Sarkara, Baithe Muskae





.................................bye and tc ..................
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
apnakarachi
Registered User
apnakarachi is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 8
Join Date: Oct 2005
Rep Power: 0
11th October 2005, 11:16 PM

zabardast

For more best shayri on net visit [url]http://******/

Last edited by maikasH; 29th October 2005 at 11:10 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
Kanchan
Registered User
Kanchan is on a distinguished road
 
Kanchan's Avatar
 
Offline
Posts: 463
Join Date: Dec 2005
Location: Dehradun
Rep Power: 19
29th December 2005, 10:55 AM

Namaskar Sir

Mein abi yahan nayi hun. Vipin ne muje yahan ka rasta dikaya aur mei ayi. bohat acha laga yahan, sab kuch mila magar khuli hawa ka abhav raha. meri aap se darkhwasht hei ki kripya karke mere dwara liki rachna 'Majdoor' ko yahan se delete kar di jaye. Uska hatna behtar hoga jo vivad bankar ghrina ko janm de. kosish karungi aisa kuch phir na likhu.

Kaanch
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
Kanchan
Registered User
Kanchan is on a distinguished road
 
Kanchan's Avatar
 
Offline
Posts: 463
Join Date: Dec 2005
Location: Dehradun
Rep Power: 19
29th December 2005, 12:53 PM

Sir

Shukriya karna chahungi apka jo apne 'Majdoor' ko yaha se mita diya.

Kanchan Sharma
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
Kanchan
Registered User
Kanchan is on a distinguished road
 
Kanchan's Avatar
 
Offline
Posts: 463
Join Date: Dec 2005
Location: Dehradun
Rep Power: 19
30th December 2005, 11:32 AM

Sir

maafi chahungi galatfemi ki, meine soch majdoor hata di gayi magr wo abi bi maujood hei.
   
Reply With Quote
baat sahee hai
Old
  (#19)
masoomshayer
Registered User
masoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud of
 
masoomshayer's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Dec 2005
Location: delhi
Rep Power: 31
baat sahee hai - 2nd January 2006, 04:27 PM

main bahut naya hoon aap kee is khoobsoorat mahfil main. ye mahafil baag se la ke phoolon ke guldste kee hai agar kante kaheen kisee shakh pe ayenge to unhe kaat diya jayega. ham log apane shayarana khayal apas main banatne ate hain chahe hindi main kahen chahe urdu main par bat kisee ko bemaza na kare
Anil

Hindi Urdu ka jhagara kya ye apnee woh bhee apana
us baat ko kahana sunana hai jis bat ka manee achha hai
  Send a message via Yahoo to masoomshayer  
Reply With Quote
Awesome.
Old
  (#20)
BalajiNagarajan
Registered User
BalajiNagarajan has a spectacular aura aboutBalajiNagarajan has a spectacular aura aboutBalajiNagarajan has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 307
Join Date: Jan 2006
Location: Bangalore ( Presently in the UK)
Rep Power: 21
Wink Awesome. - 7th January 2006, 05:40 PM

Buddy,

Really good sugeestions. I think you should have been in the Site administration end


Destiny is what you beleive in,
Destiny is what you make off,
Be the creator of your destiny,
For all have the force within....

Regards,
Balaji Nagarajan
  Send a message via Yahoo to BalajiNagarajan Send a message via AIM to BalajiNagarajan  
Reply With Quote
Re: Khuda ke liye Shayri.com ko shayri ke liye hi rehne deN...
Old
  (#21)
shazee_0786
Guest
 
Posts: n/a
Red face Re: Khuda ke liye Shayri.com ko shayri ke liye hi rehne deN... - 21st January 2006, 01:06 PM

Quote:
Originally posted by prasaxena
Aziiz Dosto

Adaab

Mujhe bohat takleef ho rahi hai yahaN jo bhi kuch chal raha hai ye dekh kar. Bohat logoN se shikayateN aayeen haiN ke yahaN ka mahole badmaza hota ja raha hai.

Afsos ki baat ye hai ke ye site jo sher kehne aur sunane ke liye hai usey yahaN ke membaran ne dating-joint meN tabdeel kar diya hai. Shayrana zaban ki jagah galiyoN aur bhadde afaaz ne le li hai. Log jis tarah ke alfaaz istemaal kar rahe hain wo badi sharm ki baat hai. Jab paRh kar sharm aati hai to un hazraat ko wo alfaaz yahan likh kar chaspaaN karte huve kyuN nahin aayee.

Sabhi dostoN maiN is baat se aagah karva duuN ke behtar hoga ke is tarah ki batoN ke liye koi aur jagah chun leN. Ab yahan se aise logoN ka daan-paani uth gaya samjheN. MaiN baRi hi saKhti se aisee har post ko delete karne jaa raha huuN. Aur gandi zaban wale har member BAN karne ja raha huuN.

Ye baat tai hai ke is site par is qism ki harketeN yahaN bardasht nahiN ki jaayeNgi. Chahe jo bhi ho.
Aur jo log is jagah se pyaar karte haiN unse meri guzarish hai ke Khuda ke liye apne waqt men se kuch lamhe iske liye nikalen aur yahaN hone waali kisi bhi badmaza baat par nazar rakhen aur uskii ittela mujhe deN. Foran action liya jaayega.
Ummeed hai aap sab is baat par ghaur kareN ge aur yahaN ke haalt theek karne meN meri madad kareNge.

“YahaN Khaskar Ekta ji ki post ka zikr karna chahuN ga. Ekta ji aapko ye post nahiN karni chahiye thi. YahaN aapki tasveer ki zaruurat nahiiN hai. Agar aap shayri karti haiN to most welcome. Aapki post delete ki jaa rahi hai.”

Khaksaar
Praveen Saxena
   
Reply With Quote
Online Mushaira at shayri.com......? Give us your feedback....!!
Old
  (#22)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
Online Mushaira at shayri.com......? Give us your feedback....!! - 13th February 2006, 11:39 PM

Bazm-e-ehbaab ko salaam , namaste aur sat sri akaal


Internet pe bohat si urdu adab ki aisi mehfileN haiN jinka apna chatroom hai, jahaan site ke membraan ek duusre se taabadlaa-e-khayaal kar sakte haiN, aur mujhe yaad hai ke kuch baras pehle aisi hi ek mehfil ke zariye "online mushairey" ke concept ke tahat mujhe bohat kuch seekhne ko mila.

to maine socha kyuN na shayri.com ke members ko ek jagah jamaa kiya jaaye.....yuuN ek taraf jahaaN naye dostoN se jaan-pehchaan ka mauqaa milega wahiiN shayri ke mutalliQ do baateN bhi ho jaayeNgi aur yaqeenan ek-duusre se kuch na kuch seekhne ka mauqa hi milega.

ab isey kis tarah aNjaam diya jaaye, yeh mas'alaa apni jagah hai........ek tariqaa yuuN ho sakta hai ke, ek din aur waqt muqarrar kiya jaaye, aur msn messenger ya yahoo messenger ke zariye ek hi conversation meN sabko invite kiya jaaye......

jin ehbaab ko apna email address share karne se aitraaz ho voh ek naya email address banaa sakte haiN


ye ek khayaal tha jo zahan meN kayi dinoN se Ghar kiye baiThaa tha.......agar aap log iske haq meN vote dete haiN to iss online gathering ko silsilevaar banaya jayega.........matlab ke har hafte ya har mahine kam se kam ek baar aisa kiya jayega.......

mujhe aap sab membraan ki qeemati ra'ye ka iNtezaar rahega


apni aa'raa se zaruur nawaaziye


**my personal email address maikash@hotmail.com is also dedicated to shayri.com, people who couldn't get a response from shayri.com email address please email me at hotmail***

khair aNdesh
maikash


................................................
................................................


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................

Last edited by maikasH; 14th February 2006 at 12:17 AM..
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#23)
Rohin
Registered User
Rohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to behold
 
Rohin's Avatar
 
Offline
Posts: 3,937
Join Date: Dec 2003
Rep Power: 32
13th February 2006, 11:51 PM

Three Cheers and my thumbs up for the suggestion....

Rohin


http://www.thoughtsunbound.com a place for my thoughts
   
Reply With Quote
Old
  (#24)
farhana
Registered User
farhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud of
 
farhana's Avatar
 
Offline
Posts: 3,383
Join Date: Dec 2002
Location: *~**Khwaabon ke sheher se*~**
Rep Power: 35
14th February 2006, 12:16 AM

excellent idea maikash sahab!!


"Roz Kii Taraah Aaj Bhii Taare
Subha Kii Gard MeiN Naa Kho JaayeiN
Aa ! Tere Gham MeiN Jaagtii AankheiN
Kam Se Kam Aik Raat So JaayeiN."


**~*FaRhAnA*~**
  Send a message via Yahoo to farhana  
Reply With Quote
Old
  (#25)
garima
Paagal Pathik
garima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of light
 
garima's Avatar
 
Offline
Posts: 1,997
Join Date: Jan 2005
Location: In the heart of universe
Rep Power: 26
14th February 2006, 09:38 AM

wow Great Idea


Anant se bhi aage... itni si khwahish hai :)
  Send a message via Yahoo to garima Send a message via Skype™ to garima 
Reply With Quote
Old
  (#26)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
14th February 2006, 11:35 AM

Fabulous Idea!


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#27)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
14th February 2006, 01:02 PM

Maikash Jee..

it's a very nice idea.. Ek dusre se parichay bhi badhegaa sab ko ek dusre ko jaan ne ka moka milegaa aur sab se badi baad ham kuchh sikh bhi paayeNge..

MayanK
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#28)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
14th February 2006, 05:29 PM

great.....

dekhiye hazraat maine apna email ID yahaan darj kar diya hai......aap jab bhi mujhe online dekheN raapta kar sakte haiN.....


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#29)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
15th February 2006, 10:23 PM

lagta hai yeh idea bhi raddi ki Tokari ke hawaale karna padega


kamaal hi ho gaya saahab, sab baat karte haiN ke yahaaN ek parivaar ka sa ma'haul hai, phir bhi itni hitch'kichaahaT , waqa'ee kamaal ki baat hai.


ba-har-haal maine apni taraf se koshish ki


not many of you know how many great poets this site has lost just coz of its members ignorance, i've been trying to make shayri.com a platform for young and new writers to understand the depth of urdu poetry, i had invited so many well known, well respected and published poets to show some direction to people who really want to know what urdu poetry is all about, but to no avail........they were cruely ignored....but to give a benefit of doubt to this community i assumed that maybe people don't really understand what shayri is.....so i went on a mission to "make" peole understand which again failed miserably......now again i thought by communicating with each other with a large and combined effort perhaps eveybory or somebody would take it seriously....again.......here it goes.....down the drain...!!


there are ex-members of this website who are doing so well , so well infact that atleast couple of them are even getting ready to get their first book published, now, these people never looked back, never looked back at the place they started from, the place where they got all this encouragement and a powerfull will to do better, now when they ditched shayri.com i was furious, so angry that i even thought of having a word or two to put these peole on their place, but sanity prevailed.

AND NOW.....when i look at things, i feel their actions are justified, at one point this website almost lost its title from "shayri" to "dating service" ...... and some of that stuff still goes on, and is very shameful in my opinion, nothing here could convince me that people want to move on to bigger and better stages of aquiring knowledge......its hopeless.........


but who loses..........???
the same ignorant peole......!!

why....coz they have no idea........NO IDEA......how delightful and amazing urdu shayri can be if understood little properly

i didnt' wanna give up because i've learned a lot from the platform shayri.com provided me, i felt its my responsibility to give something back and simply beacause Gaurav Jain (owner.webmaster of shayri.com) had been a great friend all these yrs............

i guess people will find their own way........


as far as i am concerned this chapter is closed.....!!!


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#30)
chandsi
Registered User
chandsi will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,192
Join Date: Sep 2004
Rep Power: 21
16th February 2006, 07:50 AM

Quote:
Originally posted by maikasH
lagta hai yeh idea bhi raddi ki Tokari ke hawaale karna padega


kamaal hi ho gaya saahab, sab baat karte haiN ke yahaaN ek parivaar ka sa ma'haul hai, phir bhi itni hitch'kichaahaT , waqa'ee kamaal ki baat hai.


ba-har-haal maine apni taraf se koshish ki


not many of you know how many great poets this site has lost just coz of its members ignorance, i've been trying to make shayri.com a platform for young and new writers to understand the depth of urdu poetry, i had invited so many well known, well respected and published poets to show some direction to people who really want to know what urdu poetry is all about, but to no avail........they were cruely ignored....but to give a benefit of doubt to this community i assumed that maybe people don't really understand what shayri is.....so i went on a mission to "make" peole understand which again failed miserably......now again i thought by communicating with each other with a large and combined effort perhaps eveybory or somebody would take it seriously....again.......here it goes.....down the drain...!!


there are ex-members of this website who are doing so well , so well infact that atleast couple of them are even getting ready to get their first book published, now, these people never looked back, never looked back at the place they started from, the place where they got all this encouragement and a powerfull will to do better, now when they ditched shayri.com i was furious, so angry that i even thought of having a word or two to put these peole on their place, but sanity prevailed.

AND NOW.....when i look at things, i feel their actions are justified, at one point this website almost lost its title from "shayri" to "dating service" ...... and some of that stuff still goes on, and is very shameful in my opinion, nothing here could convince me that people want to move on to bigger and better stages of aquiring knowledge......its hopeless.........


but who loses..........???
the same ignorant peole......!!

why....coz they have no idea........NO IDEA......how delightful and amazing urdu shayri can be if understood little properly

i didnt' wanna give up because i've learned a lot from the platform shayri.com provided me, i felt its my responsibility to give something back and simply beacause Gaurav Jain (owner.webmaster of shayri.com) had been a great friend all these yrs............

i guess people will find their own way........


as far as i am concerned this chapter is closed.....!!!


....................achcha laga aapke vichaar................padh kar

...............sabhi bachche aapka saath degain mujhe yakeen hai.....................




.
   
Reply With Quote
Old
  (#31)
khozii
Registered User
khozii will become famous soon enough
 
khozii's Avatar
 
Offline
Posts: 177
Join Date: Sep 2001
Location: india
Rep Power: 23
17th February 2006, 07:07 AM

bhai jaan ! gussa mat ho, aap ki koshish aur idea behad achhe hai

batao kab aana hai , konse address pe aana hai , hum ponch jayenge .

khozii...

me serious not kidding ...........


You can't buy love, but you can pay heavily for it.

***khozii***
  Send a message via Yahoo to khozii Send a message via MSN to khozii  
Reply With Quote
Old
  (#32)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
17th February 2006, 07:44 PM

maikash bhaiya main aapke is khayaal ka poora saath deta hoon.aur is nek khayaal ko aage badhane ke liye poora samarthan karta hoon.


GHAYAL



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Old
  (#33)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
17th February 2006, 07:59 PM

Maikash ji,

I am really sorry that we could not give respect to such a wonderful idea of yours. I saw this post today only.

I would love to be a part of the mushaira as it would help me learn poetry better... but time is a big restraint... It's really difficult to match time with all others... Now a days most of us have gotten so busy with our respective works that finding out time for our own good is also very difficult. Many of us browse the site from office, and chatting from your work place most of the times is difficult.

One more thing... I should not say it... but many of us may be reluctant to participate DIRECTLY into such a mushaayra, as they may have a fear of getting embarassed... I hope you would understand what i wanna say here.

I have a suggestion bhai... If you can start a thread in which you share your knowledge with us as you did in the "Technical Aspects of Ghazal Writing". That post has helped so many... I know, I cant write full-fledged ghazals yet, but atleast I got to learn basics like "What a Radeef is?", "What is Kaafiya" and "how do we define a sher and a misra..."

That post has encouraged so many of us to write a ghazal.... If you share your knowledge in a smilar thread, I am sure members here would activly participate. We can have discussions there in form of replies... It would be best suited for people like me.. who either have the whole day free or dont even get to sleep in nights. We can access it at our convenience and it may be convenient for you too. I knwo we should not look at our convenience....... any ways I promise not to leave a lack of effort from my side.

I appologise for the ignorance of us members. Repeatedly you have been trying to make us earn some knowledge... but we continue to be ignorant...


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai

Last edited by Pulkit_gupta; 17th February 2006 at 08:06 PM..
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Old
  (#34)
shrdh
Registered User
shrdh will become famous soon enoughshrdh will become famous soon enough
 
shrdh's Avatar
 
Offline
Posts: 1,474
Join Date: Dec 2005
Location: singapore
Rep Power: 21
18th February 2006, 09:22 AM

maiksh ji
mujhe bhi muaff kijiyega , jane keese aapki ye post meene bhi nahi dekhi , urdu seekhne ka to mujhe hamesha se hi inthjaar hai as urdu se hi shayri mukaamal hoti hai ,
aapko hurt ki ya uske liye ham sab mafi chate hain ,main pulkit ke suggestions ko supprt karti hoon. isse hum naye shayaron ko bhaut kuch seekhne ko milega umeed hai aap narajgi chorkar
hamari ltiza par gour farmayenge

shrdh


  Send a message via Yahoo to shrdh  
Reply With Quote
Old
  (#35)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
19th February 2006, 12:18 AM

Guru ji intezaar raheGaa iska besabri se

-aapka apnaa



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#36)
Amanush...
Tanhaa Raahi
Amanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Amanush...'s Avatar
 
Offline
Posts: 3,700
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 54
19th February 2006, 12:55 AM

Maikash Ji...!

Hum bhi ankhein bichaaye rakheinge...!

Thank you very much for this initiative...!



Jeene ke liye mujhe ek sapna dedo
Haqeekat meri jaaN liye jaa rahi hai

  Send a message via Yahoo to Amanush... Send a message via MSN to Amanush...  
Reply With Quote
Old
  (#37)
nice_4m_heart
Mr Nice Guy
nice_4m_heart will become famous soon enoughnice_4m_heart will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 111
Join Date: Oct 2005
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 20
21st February 2006, 03:24 AM

Aadab,,

Bay had.. acha khial hay.. is say yakeenan mujh jisay nay shiro ko sekh nay ko bhoot kuch mily ga..

wisay mujh ko is site say shikiat hay..
jo kuch bhi post kar do.. log Aa tay zaroor hay.. lay kin itny kanjoos... kay jo dil may hay wo dil may he liye chaly jatay hay..
View 100 Replies 2.. wah kia ratio hay.. 50 log aye tw un may say ek kuch likh ta hay..

aur jo likh ta hay wo bhi subhan Allha.. wo he ek line
1) Wah kia baat hay
2) kia vichar hay
3) likh tay rahoo

indian movies kay thaky huye dialog say bhi thaki aui liny hay...

arry koi sujhaoo do.. koi galti nikalo.. kuch pata chaly kaha mistake hay.. may tw request kar kar kay mar ja ta hoo.. pleas do sher your fellings and view on my work.. magar koi fida nahi..

isi liye miny likh na he chordh dia..

ghar may kisi ko shumaoo tw khay tay hay.. hamara sar mat kahoo

online kisi ko sunaoo.. tw.. wah wah is kay ilawa.. aur kuch nahi..

acha hay likho he nahi..

aur agar kisi ki galti nikal do.. tw bas phir.. hafto tak koi jawab he nahi..

may bhi ap jisay jazbaat rakhta hoo.. sekhna bhi cha ta hoo aur sekhana bhi.. jis kay liye miray pass ek game ka idea.. hay.. lay kin q k wo bhoot buri thara flop hoo gi.. isi dar say miny abhi tak shuro bhi nahi ki...

agar ap kuch hosla day.. tw may abhi shuro kiye day ta hoo


Mr Nice Guy

Na tha kuchch to KHuda tha, kuchch na hota to KHuda hota
duboya mujhko hone ne, na hota maiN to kya hota ?
(Mirza Ghalib)

Q Zia-Kar Bano, Sooday Faramosh Raho ?
Fiqray farda na karo, Mahy-e-ghamy-e-dosh raho

Naly Bul Bul K suno aur hamatan Gosh Raho
Hum-nawa may bhi koi gul ho k khamosh raho ?
(Sir Allama Iqbal)

Last edited by nice_4m_heart; 21st February 2006 at 03:27 AM..
  Send a message via Yahoo to nice_4m_heart Send a message via MSN to nice_4m_heart Send a message via Skype™ to nice_4m_heart 
Reply With Quote
Old
  (#38)
Daanish_ Hyd
Registered User
Daanish_ Hyd will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 94
Join Date: Jan 2006
Location: Hyderabad, India
Rep Power: 19
25th February 2006, 12:43 PM

Maikash Saheb
Aadab-o-tasleemaat.
aap bajaa kehte haiN. yeh sanjeeda aur miyaari shayari ka site nahiN raha. aur rahi mushaira ki baat--kitne log beher maiN ghazal keh sakte haiN? ek adh martaba jab maine kisi ki ghazal meiN 'wazn' ki kami ki nishaandehi ki, tau janab farmaane lage ke woh 'in zanjeeroN' ke paaband rahne ke qaayil nahiN...jahaN rawayati Urdu shayari se log kam waaqif haiN aur muta'la karna bhi nahiN chaahte wahaN mushaira kis sateh ka hoga aap hi tasavvur kijiye. tafheem-e-shayr ki fazaa paida ho ya behtar ho tau koi baat bane.

khair andesh

Daanish
  Send a message via Yahoo to Daanish_ Hyd  
Reply With Quote
Old
  (#39)
nice_4m_heart
Mr Nice Guy
nice_4m_heart will become famous soon enoughnice_4m_heart will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 111
Join Date: Oct 2005
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 20
26th February 2006, 04:03 AM

Adab,

Problem:
Some people are posting more then one Ghazals/Nazam in the same Form.
Because of which many recent threads automatically shift to second page
and those recent threads remain unseen and uncommented.

Solution:
One should only allowed to post 1 or 2 Ghazal/Nazam in one form,
(For instance one can post 2 Ghazals/Nazam at a time but.. one in Aap ke shayri
and second in Shayri-e-Dard.. but not two Ghazals/Nazam in the same form..)

If the idea is acceptable then
Any one who violent the rule must be informed.. and if he/she practice same..
Moderator should be informed and further steps should be taken

It’s just a suggestion...


Mr Nice Guy

Na tha kuchch to KHuda tha, kuchch na hota to KHuda hota
duboya mujhko hone ne, na hota maiN to kya hota ?
(Mirza Ghalib)

Q Zia-Kar Bano, Sooday Faramosh Raho ?
Fiqray farda na karo, Mahy-e-ghamy-e-dosh raho

Naly Bul Bul K suno aur hamatan Gosh Raho
Hum-nawa may bhi koi gul ho k khamosh raho ?
(Sir Allama Iqbal)
  Send a message via Yahoo to nice_4m_heart Send a message via MSN to nice_4m_heart Send a message via Skype™ to nice_4m_heart 
Reply With Quote
Old
  (#40)
Rohin
Registered User
Rohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to behold
 
Rohin's Avatar
 
Offline
Posts: 3,937
Join Date: Dec 2003
Rep Power: 32
27th February 2006, 02:58 AM

Shayri.com ke sabhi doston...

Yahan sab ke vichaar padh raha hoon. Kuch seekhna chahte hain... kuch aankhein munde hure hain... kuch seekhne walon ko sikhana nahi chahte aur kuch shayad apne aap ko gazal ka maha pandit samjhta hai... magar apsoos koi maikash jee ki baat ko nahi samjh raha...

yahan har tarah ke log aate hain... jinhe kuch nahi aata... aur jinhe bahut kuch aata hai... mein un pehle walon mein se hoon.. aur yahan reh kar logon ko padh kar kuch seekhne ki koshish kar raha hoon... yahan sab meri ik baat se iteefaq rakhenge ki urdu ka khud humare watan mein patan ho raha hai... aur humme chhaiye ki hum aisa hone se rokein.. yahan kitne hi log hain jinki urdu ko padh kar sun kar... mujhe rash hota hai ki mein urdu bhasha kyun nahi jaanta... likhna chahta hoon magar mere bodh mein shabdon ka kosh itna chhota hai ki mein kuch bhi likhne mein asakhsham hoon... par koshish jaari hai... mein english mein likhta hoon hindi mein likhta hoon.... aur ek adni se koshish ghazal likhne ki bhi ki hai... gustakhi maaf ho halaki mein aaj tak ek muqamal ghazal nahi likh paya... wajah hai mera gyan... jo ki bahut hi seemit hai.. mein seekhna chah bhi raha tha... magar... aaj kal ki duniya mein khud ke liye waqt nikaalna mushkil hi hai... aur bus issi wajah se kai ache avsar kho diye... yeh ek aur aisa avsar tha jo shayad humne gava diya hai...

Maikash jee mein aapse sidhe rapta rakhunga.. aur umeed hai aapse kuch seekhunga... aapka utsah kabile tareef hai... halaan ki humme koshish jaari rakhni chahiye... shayad shuruvat do se hogi... phir aur log honge... aur yeh karvan badhta chala jaayega... isliye mera prastav hai ... agar aap sab ko manur ho to....

Next saturday 9 am GMT aur yeh tab tak chalti rahegi jab ak sab ichuk vahan maujood rahenge.. hum sab online mushaiyra ka hissa ban sakte hain... aap sab yahoo ya msn par id bana sakte hain...

mera id hai.. rhino_rohin@hotmail.com, rhino_rohin@yahoo.com

Aap sabhi ka swagat hai... jo seekhna chahe woh bhi aayein... jo sikha sakein woh bhi aayein... aur jo sirf sunna chahein woh bhi aayein... koshish rahegi ki hum sabko is mulaqaat se kuch na kuch mile....

Aapka
Rohin Bhargava


http://www.thoughtsunbound.com a place for my thoughts
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Sticky:Khuda kai liye shayri.com ko shayri kai liyai hi rehne deN... ANKIT[DOST] Aapki Shayri 3 19th October 2011 09:12 PM
Khuda ke liye Shayri.com ko shayri ke liye hi rehne deN... prasaxena Humourous Shayri 29 10th March 2008 03:12 AM
Khuda ke liye Shayri.com ko shayri ke liye hi rehne deN... prasaxena Shayri-e-Ishq 50 16th September 2007 09:29 PM
Khuda ke liye Shayri.com ko shayri ke liye hi rehne deN... prasaxena Anjuman-e-Shayri 1 29th January 2004 03:23 PM
Khuda ke liye Shayri.com ko shayri ke liye hi rehne deN... prasaxena Shayri-e-Sharaab 1 29th January 2004 03:17 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com