hallo dosto
aapko meri taraf se deewali ki bhut bhut subhkaamnaye
aapka jeevan sada deepoin ki roshni se bara rahe yahi dua hai meri.
aapki nazar apni ye rachana kar rahi hun is pawan mouke par
Jagmag deepoin ka uziyaaraa bhar jaaye tere jeevan mein
Karti hun mein yahi prathana apne khuda se apne man mein.
Is duniya ke is muasam mein restey bante aur bigadatey
Na jaane kab bana ye rista ek hi jhan mein ek hi pal mein.
Aai yaad tumhaari hamko deewalee ke is muasam mein
Kar gai hai ye ek uziyaaraa jeevan ke is sunepan mein.
Saath rahe na rahe hamaara par ek baat rahegi hardum
Dil mein yaad rahegi teri jab tak saans hai mere tan mein.
subhkaamnao sahit
sakhi
