Quote:
Originally posted by Dharam
Sifar Se Shuru Zindgi.. Sifar Pe Khatam Hai..
Jindgi Ko Chahna bhi.. Jindgi Pe Sitam Hai..
Jo Beet Gaya So Beet Gaya.. Kal Kisne Dekha..
Na Jaane Yaha Kyon Har Mod Pe Ek Maatam Hai...
Chaar din Ki Jindgi Mili Hai... Khushi Se Bitaalo...
Jindgi Ke Hisaab-Khate Me Sab Ka Ek Mazhab Hai...
Kahe Kabir Sant.. Jaisi Karni Vaisi Bharni...
Me Kahu Narg-or-Swarg Sirf Man Ka Veham Hai...
Suna Hai... Ek Hai Saare Sansaar Ka Maalik..
Mujhe Koi Bataaye...Phir Kyon Dilo Me Rahim Aur Shyaam Hai
Jo Beet Gaya So Beet Gaya.. Kal Kisne Dekha..
Na Jaane Yaha Kyon Har Mod Pe Ek Maatam Hai...red
|
hi dharam sahab,
sabse pehle hum aap ka shayri parivar mein swaagat karte hain.
aap ne bilkul sahil likha hai aapko padh kar bohat accha laga umeed hai aage bhi aapko isi tarah padhne ka moka milega.....
isi tarah likhte rahiye aur apna khyal rakhiye............
Not Mine.
mai kabhi kuch nahi likhta bas
dusron ka likha post karta hoon
kyonki mai shayar nahi hoon
lekin mujhe shayri bohat pasand hai