Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Maazi ki Yaaden ( Qadeertoopchi )
Old
  (#1)
abdulqadeert
Registered User
abdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud of
 
Offline
Posts: 289
Join Date: Jun 2010
Rep Power: 0
Maazi ki Yaaden ( Qadeertoopchi ) - 19th July 2010, 09:25 PM

ahle bazm aadab o tasleemat .. eak azad nazm ap sub ki nazar umid hai ap log apni ara se nawazenge..

Wo nazar aaj bhi mujhe dhondti hogi !!
wo hont aaj bhi khuch kahene ko betab honge !!
Wo raaste aaj bhi mera intezaar karte honge !!
Wo galiyan wo nukkad mujhe yaad karte honge !!

mai badnaseeb unhe chud aya !!
maazi se har rishta tood aya !!
ye kab howa , kyun howa , kaise howa !!
meri hasraton ka qoon kaise howa !!

kaun hai iska gunhagaar , mai hon ya waqath , ya meri gurbath !!

aksar khud se yahi sawal kiya karta hon !!
jawab ka muntazir hon to jiya karta hon !!

magar afsos ke ab tak koi jawab nahi mila !!
in ankhon ko fir wo haseen qaub nahi mila !!

ab kissi se shikwa - shikayat kya karen !!
haqeeqth yahi hai to haqeeqth se gila kya karen !!

chalo jo howa acha howa !!
maazi ki qurbani sahi mustaqbil to acha howa !!

ab wo saari yaden wo manzar dil ke pitare me qaid hain !!

mai hon meri tanha-e- hai .. aur mustaqbil o maazi ke khuch dhundle dhundle se qaub bikhre pade hain .. shayad inhe simet ne me hi zindagi shaam ho jaye .. aur in bechain ankhon ko kabhi na jaagne wali neendh me mubtila kar den !!

Qadeertoopchi
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
ISHK EK IBADAT
RADHE RADHE
ISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 58
Love 19th July 2010, 09:44 PM

Quote:
Originally Posted by abdulqadeert View Post
ahle bazm aadab o tasleemat .. eak azad nazm ap sub ki nazar umid hai ap log apni ara se nawazenge..

Wo nazar aaj bhi mujhe dhondti hogi !!
wo hont aaj bhi khuch kahene ko betab honge !!
Wo raaste aaj bhi mera intezaar karte honge !!
Wo galiyan wo nukkad mujhe yaad karte honge !!

mai badnaseeb unhe chud aya !!
maazi se har rishta tood aya !!
ye kab howa , kyun howa , kaise howa !!
meri hasraton ka qoon kaise howa !!

kaun hai iska gunhagaar , mai hon ya waqath , ya meri gurbath !!

aksar khud se yahi sawal kiya karta hon !!
jawab ka muntazir hon to jiya karta hon !!

magar afsos ke ab tak koi jawab nahi mila !!
in ankhon ko fir wo haseen qaub nahi mila !!

ab kissi se shikwa - shikayat kya karen !!
haqeeqth yahi hai to haqeeqth se gila kya karen !!

chalo jo howa acha howa !!
maazi ki qurbani sahi mustaqbil to acha howa !!

ab wo saari yaden wo manzar dil ke pitare me qaid hain !!

mai hon meri tanha-e- hai .. aur mustaqbil o maazi ke khuch dhundle dhundle se qaub bikhre pade hain .. shayad inhe simet ne me hi zindagi shaam ho jaye .. aur in bechain ankhon ko kabhi na jaagne wali neendh me mubtila kar den !!

Qadeertoopchi
qadeer bhai
radhe radhe

bahut khoob dil se daad likhte rahen
duaon ke saath

Aapka Apna
Ishk

'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है

email: rkm179@gmail.com
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
abdulqadeert
Registered User
abdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud of
 
Offline
Posts: 289
Join Date: Jun 2010
Rep Power: 0
20th July 2010, 12:01 AM

Quote:
Originally Posted by ISHK EK IBADAT View Post
qadeer bhai
radhe radhe

bahut khoob dil se daad likhte rahen
duaon ke saath

radhe radhe ,,

apki muaqtasar dad ne nazm ko char chand laga diye .. issi tarhan apni mahubbaton se nawazte rahen .. allah apko khush rakhe ..

dua go

qadeertoopchi
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
sajid_ghayel
Registered User
sajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant future
 
sajid_ghayel's Avatar
 
Offline
Posts: 1,849
Join Date: Feb 2009
Location: Mumbai
Rep Power: 32
20th July 2010, 01:40 AM

Mere bhai mujhe aisa mehsoos hua ke jazbaat kuch ulajh kar reh gaye.......aur aksar zindagi ki haqeeqat bayaa.N karne me aisa ho hi jata hai......Kahi aap sawalo ke jawab dhoondte nazar aaye kahi afsos karte kahi shikwa aur gila karne ki mohtajgee..kahi yeh kehna ke jo hua achcha hua ek itminan bhi zahir karna.

aksar khud se yahi sawal kiya karta hon !!
jawab ka muntazir hon to jiya karta hon !!

magar afsos ke ab tak koi jawab nahi mila !!
in ankhon ko fir wo haseen qaub nahi mila !!

ab kissi se shikwa - shikayat kya karen !!
haqeeqth yahi hai to haqeeqth se gila kya karen !!

chalo jo howa acha howa !!
maazi ki qurbani sahi mustaqbil to acha howa !!

Jaisa maine kaha mere bhai Nazm ki koi khata nahi aapne to aam aadmi ke zehan ki kashmakash bayaan karne ki koshish ki hai bas.

Jhoot kehdu yeh meri fitrat me nahi shamil

Par tujhe bevafa bhi kehna achcha nahi lagta...

Mob.: +971 501297654
  Send a message via Yahoo to sajid_ghayel  
Reply With Quote
Old
  (#5)
Amanush...
Tanhaa Raahi
Amanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Amanush...'s Avatar
 
Offline
Posts: 3,700
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 54
20th July 2010, 02:16 AM

Dard se bharpur iss nazm ko paDhkar ankhein nam ho gaayi...!

YuNhi likhte raheiN

Duaaon ke saath

Jeene ke liye mujhe ek sapna dedo
Haqeekat meri jaaN liye jaa rahi hai

  Send a message via Yahoo to Amanush... Send a message via MSN to Amanush...  
Reply With Quote
Old
  (#6)
abdulqadeert
Registered User
abdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud of
 
Offline
Posts: 289
Join Date: Jun 2010
Rep Power: 0
20th July 2010, 02:22 AM

Quote:
Originally Posted by sajid_ghayel View Post
Mere bhai mujhe aisa mehsoos hua ke jazbaat kuch ulajh kar reh gaye.......aur aksar zindagi ki haqeeqat bayaa.N karne me aisa ho hi jata hai......Kahi aap sawalo ke jawab dhoondte nazar aaye kahi afsos karte kahi shikwa aur gila karne ki mohtajgee..kahi yeh kehna ke jo hua achcha hua ek itminan bhi zahir karna.

aksar khud se yahi sawal kiya karta hon !!
jawab ka muntazir hon to jiya karta hon !!

magar afsos ke ab tak koi jawab nahi mila !!
in ankhon ko fir wo haseen qaub nahi mila !!

ab kissi se shikwa - shikayat kya karen !!
haqeeqth yahi hai to haqeeqth se gila kya karen !!

chalo jo howa acha howa !!
maazi ki qurbani sahi mustaqbil to acha howa !!

Jaisa maine kaha mere bhai Nazm ki koi khata nahi aapne to aam aadmi ke zehan ki kashmakash bayaan karne ki koshish ki hai bas.

janab a mann sajid sahab aadab o tasleemat ,,

nazm pe amuman tabsira nahi hota ,, magar apki sunch o fikar is had tak ameer hai ke app nazm se bhi nahi chuke .. apka behad shukriya ke apne mujhe rahe rausna-e-ata ki .. ab app tahere shansha-e-jazbath danishware hindustan aur mai thahera ahesas -e-kamtari me mubtila insaan.. ab janab agar ap kaanch ki kaani ko hira batayenge to maana hamara farz hai ..

eak do baten ap se jo kaheni thi wo ap tak pahonchane ki jasrath kar raha hon umid hai wazahat ko himaqath nahi samjhenge ...ab agar app ko kahin koi chiz samjh na aai ho to uski wazahat maangna apka haq hai .. aur turjumani karna mera farz.. magar apne sirf bandh ko darj karke .. apna raasta naap liya to hum jaise talib e ilm kya samjhenge .. ap kahen ke kahan galti sarzad howi hai mujhe to mai usko apki sarparasti me durast kar sakonga ....agar mai sahi hon to app ko bhi khuch faida hoga ..

eak baath aur kya app nazm goi ke qawaid pata hain .. kya ap koi dalil de sakte hain ke imle me koi galti sarzad howi ho ..chunke bina kissi dalil ke baath bemaine o bematlab hoti hai ..ab apne is nek kaam ka bida utha hi liya hai to ab please qadam piche na hatayen app .. aur hamari rahenumai karen ..to apki badi maherbani hogi ..

umid hai app zaroor wapas ayenge yahan ..meri koi baath naganwar guzri ho to mazrath ..ghar me bhabi bachon ko salam o dua ..

apka bhai

qadeertoopchi

Last edited by abdulqadeert; 20th July 2010 at 02:24 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
sajid_ghayel
Registered User
sajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant future
 
sajid_ghayel's Avatar
 
Offline
Posts: 1,849
Join Date: Feb 2009
Location: Mumbai
Rep Power: 32
20th July 2010, 07:51 AM

Quote:
Originally Posted by abdulqadeert View Post
janab a mann sajid sahab aadab o tasleemat ,,

nazm pe amuman tabsira nahi hota ,, magar apki sunch o fikar is had tak ameer hai ke app nazm se bhi nahi chuke .. apka behad shukriya ke apne mujhe rahe rausna-e-ata ki .. ab app tahere shansha-e-jazbath danishware hindustan aur mai thahera ahesas -e-kamtari me mubtila insaan.. ab janab agar ap kaanch ki kaani ko hira batayenge to maana hamara farz hai ..

eak do baten ap se jo kaheni thi wo ap tak pahonchane ki jasrath kar raha hon umid hai wazahat ko himaqath nahi samjhenge ...ab agar app ko kahin koi chiz samjh na aai ho to uski wazahat maangna apka haq hai .. aur turjumani karna mera farz.. magar apne sirf bandh ko darj karke .. apna raasta naap liya to hum jaise talib e ilm kya samjhenge .. ap kahen ke kahan galti sarzad howi hai mujhe to mai usko apki sarparasti me durast kar sakonga ....agar mai sahi hon to app ko bhi khuch faida hoga ..

eak baath aur kya app nazm goi ke qawaid pata hain .. kya ap koi dalil de sakte hain ke imle me koi galti sarzad howi ho ..chunke bina kissi dalil ke baath bemaine o bematlab hoti hai ..ab apne is nek kaam ka bida utha hi liya hai to ab please qadam piche na hatayen app .. aur hamari rahenumai karen ..to apki badi maherbani hogi ..

umid hai app zaroor wapas ayenge yahan ..meri koi baath naganwar guzri ho to mazrath ..ghar me bhabi bachon ko salam o dua ..

apka bhai

qadeertoopchi

Hahahahah yaar kya kahu subah subah tumhara yeh jawab dekh kar maza aa gaya.........kya lafzo me lapet kar mara hai zalim ne hahahahah.

Yeh wala mujhe bohat achcha laga..........

ab app tahere shansha-e-jazbath danishware hindustan aur mai thahera ahesas -e-kamtari me mubtila insaan.. ab janab agar ap kaanch ki kaani ko hira batayenge to maana hamara farz hai ..

Itna achcha to maine bhi kabhi apne bare me nahi socha...........hahahahahhahhaha.

Aapka jawab padhkar bohat achcha laga agar aapko mere comments padhkar yeh laga hai ke mere ILM me kuch kami hai to yaqeenan aapne sahi hi socha hoga...............jaha tak adab ki baat hai Haqeeqat to yahi hai ke aapka martaba bohat oocha hai, ha waise beech beech me aap mujhe yuhi chane ke jhad par zaroor chadate rahiye.......shayer hone ka weham baki rahega.

Allah aapko duniya ki tamam khushiya ata kare.........AAMEEN

Jhoot kehdu yeh meri fitrat me nahi shamil

Par tujhe bevafa bhi kehna achcha nahi lagta...

Mob.: +971 501297654
  Send a message via Yahoo to sajid_ghayel  
Reply With Quote
Old
  (#8)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 86
20th July 2010, 08:16 AM

Qadeer Sahab.... Aadaab ! mujhe aapki Nazm ke ehsaas ...bahut khoob lage....aise hi umdaa kalaam ke saath aate rahen....tahe dil se daad...khush rahen...

apna khayal rakhen....
duaaon ke saath....

YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...

---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Old
  (#9)
abdulqadeert
Registered User
abdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud of
 
Offline
Posts: 289
Join Date: Jun 2010
Rep Power: 0
20th July 2010, 05:07 PM

Quote:
Originally Posted by Mushkil View Post
Dard se bharpur iss nazm ko paDhkar ankhein nam ho gaayi...!

YuNhi likhte raheiN

Duaaon ke saath

Danny sahab aadab ,,

apne alfazon ke ahesason ko mahesoos kiya uske liye behad shukriya .. allah apko hamesha khush rakhe .. issi tarhan nawazte rahen ..

dua go

qadeertoopchi
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
abdulqadeert
Registered User
abdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud of
 
Offline
Posts: 289
Join Date: Jun 2010
Rep Power: 0
20th July 2010, 05:08 PM

Quote:
Originally Posted by naresh_mehra110 View Post
Qadeer Sahab.... Aadaab ! mujhe aapki Nazm ke ehsaas ...bahut khoob lage....aise hi umdaa kalaam ke saath aate rahen....tahe dil se daad...khush rahen...

apna khayal rakhen....
duaaon ke saath....

naresh sahab walekum aadab ,,

apki mahubbaton ka shukriya ,, dad ke liye mashkoor o mumnon hon ,, allah apko bhi hamesha khush rakhe ..

dua go

qadeertoopchi
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
vikramjethi
masttt...
vikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.com
 
vikramjethi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,151
Join Date: Sep 2009
Location: Chandigarh
Rep Power: 40
20th July 2010, 11:15 PM

Quote:
Originally Posted by abdulqadeert View Post
ahle bazm aadab o tasleemat .. eak azad nazm ap sub ki nazar umid hai ap log apni ara se nawazenge..

Wo nazar aaj bhi mujhe dhondti hogi !!
wo hont aaj bhi khuch kahene ko betab honge !!
Wo raaste aaj bhi mera intezaar karte honge !!
Wo galiyan wo nukkad mujhe yaad karte honge !!

mai badnaseeb unhe chud aya !!
maazi se har rishta tood aya !!
ye kab howa , kyun howa , kaise howa !!
meri hasraton ka qoon kaise howa !!

kaun hai iska gunhagaar , mai hon ya waqath , ya meri gurbath !!

aksar khud se yahi sawal kiya karta hon !!
jawab ka muntazir hon to jiya karta hon !!

magar afsos ke ab tak koi jawab nahi mila !!
in ankhon ko fir wo haseen qaub nahi mila !!

ab kissi se shikwa - shikayat kya karen !!
haqeeqth yahi hai to haqeeqth se gila kya karen !!

chalo jo howa acha howa !!
maazi ki qurbani sahi mustaqbil to acha howa !!

ab wo saari yaden wo manzar dil ke pitare me qaid hain !!

mai hon meri tanha-e- hai .. aur mustaqbil o maazi ke khuch dhundle dhundle se qaub bikhre pade hain .. shayad inhe simet ne me hi zindagi shaam ho jaye .. aur in bechain ankhon ko kabhi na jaagne wali neendh me mubtila kar den !!

Qadeertoopchi
qadeer saheb aadaaB...!
maiN kya kahuN ki kaisa likha hai aapne...aapka qalaam khud gawaahi de raha hai...i's nacheez ki daad qubuul kijiyega...
aur, aakhir ke ye chand misre...ek tees si chhod gaye, ek ajeeb sa khule dil ka dard hai inme...

'E Taahire Laahuti!!!
Uss Rizk Se Tau Maut Bhali
Jis Rizk Se Aatee Ho
Tere Parwaaz MeiN Kotaahi....

vikramjethi@gmail.com
  Send a message via Yahoo to vikramjethi  
Reply With Quote
Old
  (#12)
kwahish
An Incomplite Dream
kwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud of
 
kwahish's Avatar
 
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
Smile 20th July 2010, 11:53 PM

Janab Abdul Kadeer sahab AadaaB!

Aapke is nazm ne shuru se akher talak bandhe rakha ......
Behad achche aur dilfareb khayaal pesh kiye hai aapne.......
Dil se daad kabool kijiye...........

Aapki aur sajid sahab ki guftagu se aur aapke jawaab se aisa laga hai ke aap kafi talim e aafta hai........ Ummid hai aap is bazm ko roshan karte rahenge.........

Aapke ilm ki roshni gar sab per padti rahe to yakinan yahaan hum jaise jo is ahel e chaman ke khar hai woh bhi gulo sa muskurana sikh jayenge....

Aate rahiye.........
Khush rahiye.......
Khuda Hafez.....

  Send a message via Yahoo to kwahish  
Reply With Quote
Old
  (#13)
abdulqadeert
Registered User
abdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud of
 
Offline
Posts: 289
Join Date: Jun 2010
Rep Power: 0
21st July 2010, 06:48 PM

Quote:
Originally Posted by vikramjethi View Post
qadeer saheb aadaaB...!
maiN kya kahuN ki kaisa likha hai aapne...aapka qalaam khud gawaahi de raha hai...i's nacheez ki daad qubuul kijiyega...
aur, aakhir ke ye chand misre...ek tees si chhod gaye, ek ajeeb sa khule dil ka dard hai inme...

mai hon meri tanha-e- hai .. aur mustaqbil o maazi ke khuch dhundle dhundle se qaub bikhre pade hain .. shayad inhe simet ne me hi zindagi shaam ho jaye .. aur in bechain ankhon ko kabhi na jaagne wali neendh me mubtila kar den !!

Vikram sahab aadab ..

Ap jaise khush mizaj insaan ki dad pakar dil khush ho gaya ,, umid hai aage bhi issi tarhan hausla afzai karte rahenge ... allah apko hamesha khush rakhe ..

dua go

qadeertoopchi
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
abdulqadeert
Registered User
abdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud of
 
Offline
Posts: 289
Join Date: Jun 2010
Rep Power: 0
24th July 2010, 06:06 PM

Quote:
Originally Posted by kwahish View Post
Janab Abdul Kadeer sahab AadaaB!

Aapke is nazm ne shuru se akher talak bandhe rakha ......
Behad achche aur dilfareb khayaal pesh kiye hai aapne.......
Dil se daad kabool kijiye...........

Aapki aur sajid sahab ki guftagu se aur aapke jawaab se aisa laga hai ke aap kafi talim e aafta hai........ Ummid hai aap is bazm ko roshan karte rahenge.........

Aapke ilm ki roshni gar sab per padti rahe to yakinan yahaan hum jaise jo is ahel e chaman ke khar hai woh bhi gulo sa muskurana sikh jayenge....

Aate rahiye.........
Khush rahiye.......
Khuda Hafez.....

Mahutram Khaawish sahab aadab ,,

Nazm ki pazirai ke liye mashkoo o mumnoo hon , Ye sub apki mahubbat baaqi hamari koi Bicaat nahi ,, Mai tashakkur ke liye alfazzon se Qasir hon .. Bus dua.en de sakta hon .. allah apko hamesha khush rakhe ..

Sajid Ghayal sahab Aise hi mujhe aade haath lete rahete hain .. Yehi inki mahubbat hai .. Taluqqath zara be takkaluf hain ...Allah unhe khush rakhe ..

Dua go

Qadeertoopchi
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com