|
|
|
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
|
Aaj mere pehle khat ka jawaab aaya hai -
6th June 2015, 02:59 PM
KhushbuoN meiN lipta hua shabaab aaya hai
Aaj mere pehle khat ka jawaab aaya hai
ShokhiyaN haiN, rangat aur mehak hai fiza meiN
Chhoo kar unn ke Dahan ko gulaab aaya hai
Roshan haiN aaj sarbasar, dil ke dar-o-baam
Falak se utar kar, mahtaab aaya hai
Toot kar hai chaha unn ko dil ne baar baar
Pyaar unn ke waaste be-hisaab aaya hai
Unn ki ek jhalak dekhi aankhoN ne iss qadar
ToofaN uThay haiN dil meiN, inqalaab aaya hai
Bhatakte rahe hum yuNhi sehra meiN ab talak
Bil-aakhir qareena-e-intekhaab aaya hai
Tanhaayi meiN Jiya hai Sagar ab tak iss tarha
Subh-o-shaam ashkoN ka sailaab aaya hai
1. Dahan= mouth
2. Sarbasar= completely/from one end to the other
3.Dar-o-baam= doors & ceiling/terrace
4. Mahtaab= moon
5.Qareena= Tareeqa/dhang
6.intekhaab: selection/choice
7.Sailaab: Flood
Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
Last edited by Sagar Aashna; 6th June 2015 at 03:03 PM..
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 64
|
6th June 2015, 04:10 PM
Quote:
Originally Posted by Sagar Aashna
KhushbuoN meiN lipta hua shabaab aaya hai
Aaj mere pehle khat ka jawaab aaya hai
ShokhiyaN haiN, rangat aur mehak hai fiza meiN
Chhoo kar unn ke Dahan ko gulaab aaya hai
Roshan haiN aaj sarbasar, dil ke dar-o-baam
Falak se utar kar, mahtaab aaya hai
Toot kar hai chaha unn ko dil ne baar baar
Pyaar unn ke waaste be-hisaab aaya hai
Unn ki ek jhalak dekhi aankhoN ne iss qadar
ToofaN uThay haiN dil meiN, inqalaab aaya hai
Bhatakte rahe hum yuNhi sehra meiN ab talak
Bil-aakhir qareena-e-intekhaab aaya hai
Tanhaayi meiN Jiya hai Sagar ab tak iss tarha
Subh-o-shaam ashkoN ka sailaab aaya hai
1. Dahan= mouth
2. Sarbasar= completely/from one end to the other
3.Dar-o-baam= doors & ceiling/terrace
4. Mahtaab= moon
5.Qareena= Tareeqa/dhang
6.intekhaab: selection/choice
7.Sailaab: Flood
|
ahhhhaaaaa bahut dil fareb gazal pesh ki hai bhai aapne padkar majja aaya.
"pyar se bhi pyari es gazal ko salaam,
Ooo yaar teri pehli nazar ko salaam"
yu hi pyar bhara likhte rho, khush rho.
aapki dii
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
.....Sunita Thakur.....
यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...
|
|
|
|
|
Main shayar to nahin.....
Offline
Posts: 2,796
Join Date: Oct 2002
Location: kanpur
Rep Power: 51
|
6th June 2015, 08:14 PM
Waah jagdish jee....waah......kya likha hai....bahut hee dilfareb kalaam hai......
एक हाथ में दिल उनके एक हाथ में खंजर था
चेहरे पे दोस्त का मुखौटा अजीब सा मंजर था
Arvind Saxena
Ph. No. 7905856220
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,774
Join Date: Apr 2003
Location: UP, India
Rep Power: 30
|
bahut khub -
6th June 2015, 10:51 PM
Quote:
Originally Posted by Sagar Aashna
KhushbuoN meiN lipta hua shabaab aaya hai
Aaj mere pehle khat ka jawaab aaya hai
ShokhiyaN haiN, rangat aur mehak hai fiza meiN
Chhoo kar unn ke Dahan ko gulaab aaya hai
Roshan haiN aaj sarbasar, dil ke dar-o-baam
Falak se utar kar, mahtaab aaya hai
Toot kar hai chaha unn ko dil ne baar baar
Pyaar unn ke waaste be-hisaab aaya hai
Unn ki ek jhalak dekhi aankhoN ne iss qadar
ToofaN uThay haiN dil meiN, inqalaab aaya hai
Bhatakte rahe hum yuNhi sehra meiN ab talak
Bil-aakhir qareena-e-intekhaab aaya hai
Tanhaayi meiN Jiya hai Sagar ab tak iss tarha
Subh-o-shaam ashkoN ka sailaab aaya hai
1. Dahan= mouth
2. Sarbasar= completely/from one end to the other
3.Dar-o-baam= doors & ceiling/terrace
4. Mahtaab= moon
5.Qareena= Tareeqa/dhang
6.intekhaab: selection/choice
7.Sailaab: Flood
|
Sagar ji
Behatarin eskq ke darmiyan aapne pesh kiye hain.. laga ki sach mein kuchh tufaan aaya hai.. pahale pyar ka pahala paigaam aaya hai.. YuN dilo ko roshan kerte rahiye aur esq me ji bher gote lagaiye..
Shubhkamnao sahit,
Akant...
*********
आहट सी कोइ आये तो समझ लेना कि तुम हो...
AahaT si koi aaye to samajh lena ki tum ho...
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
7th June 2015, 12:03 AM
Quote:
Originally Posted by Sagar Aashna
KhushbuoN meiN lipta hua shabaab aaya hai
Aaj mere pehle khat ka jawaab aaya hai
ShokhiyaN haiN, rangat aur mehak hai fiza meiN
Chhoo kar unn ke Dahan ko gulaab aaya hai
Roshan haiN aaj sarbasar, dil ke dar-o-baam
Falak se utar kar, mahtaab aaya hai
Toot kar hai chaha unn ko dil ne baar baar
Pyaar unn ke waaste be-hisaab aaya hai
Unn ki ek jhalak dekhi aankhoN ne iss qadar
ToofaN uThay haiN dil meiN, inqalaab aaya hai
Bhatakte rahe hum yuNhi sehra meiN ab talak
Bil-aakhir qareena-e-intekhaab aaya hai
Tanhaayi meiN Jiya hai Sagar ab tak iss tarha
Subh-o-shaam ashkoN ka sailaab aaya hai
1. Dahan= mouth
2. Sarbasar= completely/from one end to the other
3.Dar-o-baam= doors & ceiling/terrace
4. Mahtaab= moon
5.Qareena= Tareeqa/dhang
6.intekhaab: selection/choice
7.Sailaab: Flood
|
Ishq me aapka koi kalaam shayad pahli baar padh rahi hoon main....aur kya khoob muhabbat ke jazbe se range huye sabhi ashar huye hain ki bas padhte hee banta hai sagar sahab....bahut dilkash bahut khoob...yoon hee ishq ki mahfil sajate rahein.....
Likhte rahein...
aate rahein...
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 451
Join Date: Feb 2013
Rep Power: 14
|
7th June 2015, 08:19 PM
Sagar ji,
Aapka kalaam padha, sach maniye ek ek lafz dil ko chu gaya. Bahaut Acacha likha hai aapne...am sure jitne khoobsurat aapke alfaaz hai ootni hi khoobsoorat aapki inspiration hogi.
Kuch share kar rahe hain apne kisi Bahaut kareeb ke liye likha hai.
Kehte ho khudko deewana mera, rehte ho Tum bhi Zehan mai mere
Dekho toh kis mod pe dono ko yeh pyar le aaya hai
Rehti hai fiqr Tumhari raat din, oothte hain Yeh haath Tumhari dua mai
Kaisa Yeh bandhan Kaisa yeh rishta tumse ban aaya hai
Couldn't touch the level of your poetry but these were just some feelings.
Please keep writing. Pleasure to read you.
Smiles,
Sweet_rain
|
|
|
|
|
Member
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 27
|
7th June 2015, 09:06 PM
Jagdish ji aapka kalam per ker wakay meiN mehsoos ho raha ki
pehle khat ka salam aya hai ....
Likte raho aur bazm ki raunak badate raho..
Sanjay Sehgal
khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
|
|
|
|
|
~$uper M0der@tor~
Offline
Posts: 8,418
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
|
7th June 2015, 09:12 PM
Quote:
Originally Posted by Sagar Aashna
KhushbuoN meiN lipta hua shabaab aaya hai
Aaj mere pehle khat ka jawaab aaya hai
ShokhiyaN haiN, rangat aur mehak hai fiza meiN
Chhoo kar unn ke Dahan ko gulaab aaya hai
Roshan haiN aaj sarbasar, dil ke dar-o-baam
Falak se utar kar, mahtaab aaya hai
Toot kar hai chaha unn ko dil ne baar baar
Pyaar unn ke waaste be-hisaab aaya hai
Unn ki ek jhalak dekhi aankhoN ne iss qadar
ToofaN uThay haiN dil meiN, inqalaab aaya hai
Bhatakte rahe hum yuNhi sehra meiN ab talak
Bil-aakhir qareena-e-intekhaab aaya hai
Tanhaayi meiN Jiya hai Sagar ab tak iss tarha
Subh-o-shaam ashkoN ka sailaab aaya hai
1. Dahan= mouth
2. Sarbasar= completely/from one end to the other
3.Dar-o-baam= doors & ceiling/terrace
4. Mahtaab= moon
5.Qareena= Tareeqa/dhang
6.intekhaab: selection/choice
7.Sailaab: Flood
|
Saagar saahab tak shaad kaa aadaab pahuche......... bhai aap ne to jaise kamaal likh diyaa ho... kitnii hi baar padh gayaa hoon dilkash pur asar kalaam ko, par abhii bhi lag rahaa hai ke dil nahii bharaa .... tahe dil se daad aapki khidmat me pesh hain........
Likhte rahiye
Shaad.....
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 554
Join Date: Nov 2014
Rep Power: 13
|
8th June 2015, 08:01 AM
Behad khoobsurat gazal kahi hai Sagar Sahab
Waaaaaaaah.......sare k sare sher lajawab..bohot khoob jenab
DheerooN daad apki kalam ki nazar
Aapka apna
Bhushan
|
|
|
|
|
RADHE RADHE
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 59
|
8th June 2015, 11:03 AM
Quote:
Originally Posted by Sagar Aashna
KhushbuoN meiN lipta hua shabaab aaya hai
Aaj mere pehle khat ka jawaab aaya hai
ShokhiyaN haiN, rangat aur mehak hai fiza meiN
Chhoo kar unn ke Dahan ko gulaab aaya hai
Roshan haiN aaj sarbasar, dil ke dar-o-baam
Falak se utar kar, mahtaab aaya hai
Toot kar hai chaha unn ko dil ne baar baar
Pyaar unn ke waaste be-hisaab aaya hai
Unn ki ek jhalak dekhi aankhoN ne iss qadar
ToofaN uThay haiN dil meiN, inqalaab aaya hai
Bhatakte rahe hum yuNhi sehra meiN ab talak
Bil-aakhir qareena-e-intekhaab aaya hai
Tanhaayi meiN Jiya hai Sagar ab tak iss tarha
Subh-o-shaam ashkoN ka sailaab aaya hai
1. Dahan= mouth
2. Sarbasar= completely/from one end to the other
3.Dar-o-baam= doors & ceiling/terrace
4. Mahtaab= moon
5.Qareena= Tareeqa/dhang
6.intekhaab: selection/choice
7.Sailaab: Flood
|
Wah Sagar Bhai Bahut khoob likha hai aapne
daad hi daad
likhti rahen
duaon ke saath
Aapka Apna Ishk
'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है
email: rkm179@gmail.com
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
|
10th June 2015, 07:59 PM
Quote:
Originally Posted by sunita virender
ahhhhaaaaa bahut dil fareb gazal pesh ki hai bhai aapne padkar majja aaya.
"pyar se bhi pyari es gazal ko salaam,
Ooo yaar teri pehli nazar ko salaam"
yu hi pyar bhara likhte rho, khush rho.
aapki dii
|
Hausla afzaayi keliye bohot bohot shukriyaa dii.
Yunhi saath dete raheiN. Hum koshaan raheiNge aur achha likhne par.
Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
10th June 2015, 11:39 PM
Quote:
Originally Posted by Sagar Aashna
KhushbuoN meiN lipta hua shabaab aaya hai
Aaj mere pehle khat ka jawaab aaya hai
ShokhiyaN haiN, rangat aur mehak hai fiza meiN
Chhoo kar unn ke Dahan ko gulaab aaya hai
Roshan haiN aaj sarbasar, dil ke dar-o-baam
Falak se utar kar, mahtaab aaya hai
Toot kar hai chaha unn ko dil ne baar baar
Pyaar unn ke waaste be-hisaab aaya hai
Unn ki ek jhalak dekhi aankhoN ne iss qadar
ToofaN uThay haiN dil meiN, inqalaab aaya hai
Bhatakte rahe hum yuNhi sehra meiN ab talak
Bil-aakhir qareena-e-intekhaab aaya hai
Tanhaayi meiN Jiya hai Sagar ab tak iss tarha
Subh-o-shaam ashkoN ka sailaab aaya hai
1. Dahan= mouth
2. Sarbasar= completely/from one end to the other
3.Dar-o-baam= doors & ceiling/terrace
4. Mahtaab= moon
5.Qareena= Tareeqa/dhang
6.intekhaab: selection/choice
7.Sailaab: Flood
|
Sahab - Maaufi chahunga ki is ala darje ke kalaam par itni dino baad nazar padi, kahir sukoon is baat ka hain ki main mehroom nahi raha aur janaab aapki kalam to din ba din zor pakad rahi hai...
yunhi likhte rahiYeGaa
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
|
11th June 2015, 01:11 PM
Quote:
Originally Posted by aru
Waah jagdish jee....waah......kya likha hai....bahut hee dilfareb kalaam hai......
|
Jenab ka mashkoor-o-mamnoon huN ke aap tooti phooti kavishoN ko itni tavajjo ataa karte haiN.
yuNhi saath dete raheiN.
Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
|
|
|
|
|
Shayri.com Moderator
Offline
Posts: 10,552
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 60
|
11th June 2015, 02:05 PM
Waah....Bahot khoob likhaa hay aapne... sagar jee
Dil se daad aur duaaen
Aapka
Dhaval
*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
|
14th June 2015, 05:05 PM
Quote:
Originally Posted by akant
Sagar ji
Behatarin eskq ke darmiyan aapne pesh kiye hain.. laga ki sach mein kuchh tufaan aaya hai.. pahale pyar ka pahala paigaam aaya hai.. YuN dilo ko roshan kerte rahiye aur esq me ji bher gote lagaiye..
Shubhkamnao sahit,
Akant...
|
Akant ji, aapki daryaadili aur meri khushqismati hai sahib jo aapko meri koshish issqadar pasand aayi.
Aage bhi muntizar rahungaa. Aate raheiN.
Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
|
14th June 2015, 05:10 PM
Quote:
Originally Posted by Madhu 14
Ishq me aapka koi kalaam shayad pahli baar padh rahi hoon main....aur kya khoob muhabbat ke jazbe se range huye sabhi ashar huye hain ki bas padhte hee banta hai sagar sahab....bahut dilkash bahut khoob...yoon hee ishq ki mahfil sajate rahein.....
Likhte rahein...
aate rahein...
|
Madhu ji ko mera namaskar. Ji bilkul theek kaha aapne, maine ishq pe pehli baar he likha hai aur iss meiN maiN aapki nazroN meiN khara utra huN to mere liye bohot khushi ki baat hai. Aapka saaTh raha to aaiNda bhi koshish rahegi ke kuchh aur achha likha jaaye.
Hausla afzaayi karte rahiyega
Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
|
15th June 2015, 11:04 AM
Quote:
Originally Posted by Sweet_Rain
Sagar ji,
Aapka kalaam padha, sach maniye ek ek lafz dil ko chu gaya. Bahaut Acacha likha hai aapne...am sure jitne khoobsurat aapke alfaaz hai ootni hi khoobsoorat aapki inspiration hogi.
Kuch share kar rahe hain apne kisi Bahaut kareeb ke liye likha hai.
Kehte ho khudko deewana mera, rehte ho Tum bhi Zehan mai mere
Dekho toh kis mod pe dono ko yeh pyar le aaya hai
Rehti hai fiqr Tumhari raat din, oothte hain Yeh haath Tumhari dua mai
Kaisa Yeh bandhan Kaisa yeh rishta tumse ban aaya hai
Couldn't touch the level of your poetry but these were just some feelings.
Please keep writing. Pleasure to read you.
Smiles,
Sweet_rain
|
Sweet_Rain ji,
aapka tah-e-dil se shukriya jo aapne apna qeemti waqt meri iss adna si koshish ko diya aur isko saraaha.
Aur aapne bhi bohot achha likha hai. Mujhe pasand aaya. Meri aapse iltijaa hai ke aap likhte raheiN. I'm sure, SDC pe aapko achhi rehbari milegi. Ek baar phir se shukriya. Aate rahiye.
Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
Last edited by Sagar Aashna; 15th June 2015 at 11:14 AM..
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
|
18th June 2015, 12:01 PM
Quote:
Originally Posted by Hamdam
Jagdish ji aapka kalam per ker wakay meiN mehsoos ho raha ki
pehle khat ka salam aya hai ....
Likte raho aur bazm ki raunak badate raho..
Sanjay Sehgal
|
Sanjay sahb, namaskar.
Aap iss kalaam se emtionally juD paaye, mere liye yeh baat bohot khushi ka baa_iss hai. yuNhi aate rahieN aur hausla baDhate raheiN.
Khair andesh
Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
|
18th June 2015, 12:07 PM
Quote:
Originally Posted by sameer'shaad'
Saagar saahab tak shaad kaa aadaab pahuche......... bhai aap ne to jaise kamaal likh diyaa ho... kitnii hi baar padh gayaa hoon dilkash pur asar kalaam ko, par abhii bhi lag rahaa hai ke dil nahii bharaa .... tahe dil se daad aapki khidmat me pesh hain........
Likhte rahiye
Shaad.....
|
Adaab mere bhai.
Bohot khushi huyi jaan kar ke maiN kuchh iss tarah ka likh paaya jo aapke dil ke qareeb raha aur baar-haa aap ne uss ko paDha. Ek naye shayar keliye is se baDh kar ko_ii khushii ki baat bhala kya hogi.
Muntazir rahengae aapki aamad ke, agli koshish par bhi.
Khair andesh
Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
|
21st June 2015, 09:44 PM
Quote:
Originally Posted by bhushan
Behad khoobsurat gazal kahi hai Sagar Sahab
Waaaaaaaah.......sare k sare sher lajawab..bohot khoob jenab
DheerooN daad apki kalam ki nazar
Aapka apna
Bhushan
|
Be-had mashkuur-o-mamnuun huN Bhushan ji aapka.
yuNhi aate rahiye.
Khair andesh
Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
|
15th July 2015, 10:39 PM
Quote:
Originally Posted by ISHK EK IBADAT
Wah Sagar Bhai Bahut khoob likha hai aapne
daad hi daad
likhti rahen
duaon ke saath
|
Rajinder ji, namaskar.
Bohot bohot shukriya aapke saaTh keliye.
Aainda bhi talabgaar rahunga aapke saaTh ka.
Regards
Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
|
23rd July 2015, 11:57 AM
Quote:
Originally Posted by mast
Sahab - Maaufi chahunga ki is ala darje ke kalaam par itni dino baad nazar padi, kahir sukoon is baat ka hain ki main mehroom nahi raha aur janaab aapki kalam to din ba din zor pakad rahi hai...
yunhi likhte rahiYeGaa
|
Mast saahb, der aayad, durust aayad.
Khushi huyii aapki bazm mein dekh kar. Tehseen keliye bohot bohot shukriyaa.
aate rahiye.
Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
|
|
|
|
|
Some Mirrors Lie...
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 45
|
28th July 2015, 12:46 PM
Quote:
Originally Posted by Sagar Aashna
KhushbuoN meiN lipta hua shabaab aaya hai
Aaj mere pehle khat ka jawaab aaya hai
ShokhiyaN haiN, rangat aur mehak hai fiza meiN
Chhoo kar unn ke Dahan ko gulaab aaya hai
Roshan haiN aaj sarbasar, dil ke dar-o-baam
Falak se utar kar, mahtaab aaya hai
Toot kar hai chaha unn ko dil ne baar baar
Pyaar unn ke waaste be-hisaab aaya hai
Unn ki ek jhalak dekhi aankhoN ne iss qadar
ToofaN uThay haiN dil meiN, inqalaab aaya hai
Bhatakte rahe hum yuNhi sehra meiN ab talak
Bil-aakhir qareena-e-intekhaab aaya hai
Tanhaayi meiN Jiya hai Sagar ab tak iss tarha
Subh-o-shaam ashkoN ka sailaab aaya hai
1. Dahan= mouth
2. Sarbasar= completely/from one end to the other
3.Dar-o-baam= doors & ceiling/terrace
4. Mahtaab= moon
5.Qareena= Tareeqa/dhang
6.intekhaab: selection/choice
7.Sailaab: Flood
|
Sagar saahab...
waaaaaaaaahh.. kia kehny ..
behad umdah ghazal se roshnaas karwaya hy ....
dilli daad o mubarakbaad qabool kejiye ...
likhte rahiye..
*hSn* : parStaar
tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN... ("Asad")
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
|
29th August 2017, 01:59 PM
Dhaval saahab aur Hassan saahab, taakheer keliye muazrat chahunga.
Aapka bohot bohot shukriya iss be beh'r be wazan koshish ko bhi itna pasand kiyaa.
Aate rahiye.
Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
|
|
|
Thread Tools |
|
Display Modes |
Rate This Thread |
Linear Mode
|
|
Posting Rules
|
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts
HTML code is Off
|
|
|
Powered by vBulletin® Version 3.8.5 Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com
|
|