hum phire dar-ba-dar sharaab ke baad -
30th October 2020, 10:11 AM
सब गए अपने घर शराब के बाद
हम फिरे दर-ब-दर शराब के बाद
कैसे घुल-मिल गए हैं आपस में
शाम-ओ-लैल-ओ-सहर शराब के बाद
हो गया तेरा काम पर ऐ दोस्त
दो घड़ी तो ठहर शराब के बाद
या तो पी ले शराब तू भी या
बात हम से ना कर शराब के बाद
तुझ को जल्दी है क्या कि बात कोई
कब रही मुख़्तसर शराब के बाद
भूली यादों की ओर मत जाना
राह ये पुर-ख़तर शराब के बाद
शक से पूछे निकाल कर साक़ी
जाओगे अब किधर शराब के बाद
हुस्न होता है दीद में पिन्हां
देखना इक नज़र शराब के बाद
क़ायदे रख शराब-नोशी के
टूट पर मत बिखर शराब के बाद
और बेख़ुद हुए हैं पर हम ने
पाई ख़ुद की ख़बर शराब के बाद
एक की ही कमी रही हरदम
एक जाम और भर शराब के बाद
आ गया दिन शराब छोड़ने का
छोड़ देंगे मगर शराब के बाद
मैं ही रिन्दां हूं मैं ही साक़ी हूं
है ना कोई दिगर शराब के बाद
“ज़र्रा" कुछ भी नहीं पर अहल-ए-बज़्म
देखना तुम हुनर शराब के बाद
- ज़र्रा
sab ga’e apne ghar sharaab ke baad
hum phire dar-ba-dar sharaab ke baad
kaise ghul-mil gaye haiN aapas meN
shaam-o-lail*-o-sahar sharaab ke baad
*night
ho gaya tera kaam par ai dost
do gharhi to thahar sharaab ke baad
ya to pi le sharaab tu bhi ya
baat hum se na kar sharaab ke baad
tujh ko jaldi hai kya ki baat koi
kab rahi mukhtasar* sharaab ke baad
*brief
bhooli yaadoN ki or mat jaana
raah ye pur-khatar* sharaab ke baad
*full of danger
shak se poochhe nikaal kar saaqi
jaaoge ab kidhar sharaab ke baad
husn hota hai deed meN pinhaaN*
dekhna ik nazar sharaab ke baad
*hidden
qaayde rakh sharaab-noshi ke
toot par mat bikhar sharaab ke baad
aur bekhud hue haiN par hum ne
paai khud ki khabar sharaab ke baad
ek ki hi kami rahi hardam
ek jaam aur bhar sharaab ke baad
aa gaya din sharaab chhorhne ka
chhorh deNge magar sharaab ke baad
maiN hi rindaaN* hooN maiN hi saaqi hooN
hai na koi digar** sharaab ke baad
*drunkards **other
“zarraa” kuchh bhi naheeN par ahl-e-bazm
dekhna tum hunar sharaab ke baad
- zarraa
maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
|