Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Tausif Shaikh ji ke saath Guftagu
Old
  (#1)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Love Tausif Shaikh ji ke saath Guftagu - 1st December 2014, 08:55 PM

DostoN...Guftagu ke es silsiley ko aage badatey huey, aaj maiN aap sabko SDC ke bahut purane member aur aik bahuttt hi acche shayar se milva rhi hu...vaise aap sabne enko pada hi hai, par enke bare meiN to kuch bhi nahi jaante hai ham log, es liye aaj enko es kathghare meiN hazir hone ke liye bula liya hai, taaki enke bare meiN kuch ham bhi jaan paaye, to lijiye es khaas shaqsiyat ka naam hai

"TAUSIF SHAIKH"

Shayri.com se judey enko 10 saal hone ko hai, apni khoobsurat shayri se enhone ne SDC ko bahut maan diya hai, enhone apni gazloN se SDC ki bazm ko rangeeN banaya hai, enki har gazal aik se badkar aik hai, enki shayri ki jitni bhi tareef ki jaaye kam hai

Tausif ji, aapke bare ham kuch jayada nahi jaante, to chaliye aapki jubaani aapki kahani ho jaaye

SDC ke es guftagu meiN aapka dil se suwagat hai, aapki tareef meiN aapki gazal ke 2 sher

"Ashqo ke mausam se sicha hai dard e dil humne,
Aur woh kehte hain ki hum unke talabgaar nahi,
Kya khete hum mayus lafzo me apko "Tausif"
Apki palko pe humare naam ka aabshaar nahi"

Interview ke katghare me aapka swagat hai Tausif ji

chaliye sawaaloN ka daur shuru karte hai:

1. pehle to aap apne bare meiN batayeN, family, friends, education aur aapki hobbies ?

2. Shayri.com par aap kaise aaye pehli baar ?

3. Shayri.com par aakar aapne sabse pehle kaun se shayroN ko pada ?

4. Shayri ka shauq aapko kabse hai ?

5. Shayri.com par aapke pasandida shayroN ke naam ?

6. aik acche shayar mein kya khoobiyaa honi chahiye ?

7. SDC par apne 10 saaloN ke safar meiN aapne kya accha bura mehsoos kiya ?

abhi ke liye etna hi

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Last edited by sunita thakur; 1st December 2014 at 08:59 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Tausif shaikh
Azaad Khayal
Tausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to behold
 
Tausif shaikh's Avatar
 
Offline
Posts: 431
Join Date: Feb 2005
Location: Mumbai, Maharashtra
Rep Power: 29
Post 2nd December 2014, 11:41 AM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post

Main kaha se shuru karu yeh soch raha huN, Pehle to main SDC ki team ka tahey dil se shukrguzar huN ki ap logoN ne mere itne lambe arsey tak purzor saath diya... Jee ek arsa beet gaya SDC k saath par aj bhi lagta hai jaise kal hi ki baat ho... Mere baare me main kya batauN chaliye koshish karta huN ki apni zindagi ki saari tafsil ap logoN se baaNtu....

MaiN waise to pala badha Mumbai me huN par waalid aur waalida Allahabad se hain... Maine sher o shayri to shaukiyaaN taur pe shuru ki thi yahi SDC pe.. Shayad mujhe sher o shayri ki technical samajh nahi but SDC pe kafi mashoor shayar dostoN se kafi kuch sikhne ki koshish karta raha huN... Meri family me mere Waalid, Waalida, meri wife, ek choti behan aur ek bhai hai... Main Mumbai University se Bcom Graduate huN aur Accounts field me practice kar raha huN... Hobbies me hain Shayri likhna, chatting aur naye dost banana...

Shayri.com par me pehli bar Feb 2005 par aya as a guest, zada umr to nahi thi but sher o shayri ka shauk tha to yahaN sher o gazal padhNE ata tha... Sabse pehle maine kisko padha to wo hain PARUL JEE... Jo yahan kaafi arsey se hain aur meri kafi achi dost bhi hain... Jabse SDC se naat juda tabhi se kuch naa kuch likhne ki koshish karta raha huN... Shuruwat to boaht hi buri thi par ahista ahista kafi kuch sikha... Mera saath diya mere kuch bohat hi ache shayroN ne jaise Naresh Jee, Sajid Ghayal jee, Zainy jee aur Ahmed Shakil Jee ne.... Ahmed bhai ko main apna ustad manta hu kyuNki wo pehle dost haiN jinhone ne mujhe sher o shayri k techinical aspects se rubaru karaya.....

SDC me waise to bohat he umda shayar haiN par mere pasandeed shayar hain Ahmed Shakil bhai.... Unki kalaam padh padh ke maine kafi kuch likhna sikha hai... Mere hisab se ek acha shayar me apne ehsaasat ko lafzoN me dhalne ka hunar hona bohat zaroori hai, zarorri nahi ki ap bohat zada high level words use karaiN. Agar ap asaan lafzoN me apne ehsaasat dhalna jante haiN to ap ko likhte rehna chahiye....

SDC par mujhe 10 saal hone wale hain aur yahan jab maine shuruwat ki tab se aj tak me zameen asmaan ka fark aa chuka hai.... Aj SDC globaly recognized hai as a "Best shayri site" .... Burai to kuch khaas zehan me nahi ati mere to jaane dijiye ......

Jaate Jaate meri ek gazal pesh karna chahunga jo maiNe ahmed bhai ki gazal "JHOOTAY KO BHI SACHA BOLO" k wazaN pe likhi thiiii...... Umeed hai apko pasaNd ayi hogi....

Arz hai.....

"JHOOTAY KO BHI SACHA BOLO"

Chaand Na Chaand Ke Jaisa Bolo
Us Ko Chaand Se Piyara Bolo

Hokar Shamil Tum Ghairon Me
Ghairon Ko bhi Apna Bolo

Rang Barangay Phool Khilay Hain
Gulshan Ko Guldasta Bolo

Bund Bund Ye Baras Rahi Hain
In Aankhon Ko Barkha Bolo

Jhoot Bhi Chahay Bolo Janan
Lekin Meetha Meetha Bolo

Aashiq Ko Tum Pagal Keh Lo
Majnoo Ko Deewana Bolo

Piyar Ki Hai Jo Aik Hee Bhasha
Mil Kr Sb Wo Bhasha Bolo

Ho TAUSIF Jo Jaan Ka Dushman
Us Ko bhi Na Karrwa Bolo

SamandaroN mieN muaafiq havaa chalaata hai...
Jahaaz khud nahiiN chalte Khudaa chalaataa ha...

Tausif I. Shaikh

  Send a message via Yahoo to Tausif shaikh  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
2nd December 2014, 11:45 AM

Tausif bhai

Namaste

Aapka dil se swaagat hai

Aapke bare mei jaan kar bahot khushi hongii

Aapka

Dhaval

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Tausif shaikh
Azaad Khayal
Tausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to behold
 
Tausif shaikh's Avatar
 
Offline
Posts: 431
Join Date: Feb 2005
Location: Mumbai, Maharashtra
Rep Power: 29
2nd December 2014, 11:52 AM

Quote:
Originally Posted by Dhaval View Post
Tausif bhai

Namaste

Aapka dil se swaagat hai

Aapke bare mei jaan kar bahot khushi hongii

Aapka

Dhaval
Dhaval bhai Namaste...

Bhai mujhe bhi khushi hui apne baare me details share karke

SamandaroN mieN muaafiq havaa chalaata hai...
Jahaaz khud nahiiN chalte Khudaa chalaataa ha...

Tausif I. Shaikh

Last edited by Tausif shaikh; 2nd December 2014 at 11:55 AM..
  Send a message via Yahoo to Tausif shaikh  
Reply With Quote
Old
  (#5)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
2nd December 2014, 12:14 PM

Tausif miyaaN aadaab.....

awwal to bazme guftagoo me aapka tahe dil se istaqbaaal karta hoon....

behad khusshi ka sabab hai jo aapne apni razamandii di hamare saath apne zindagee ke pahloo baanTne ke liye...

hame bahot khushi hai ke aap hamaare saath hain is baar ke interview section me... aapke baare me ham sab ko bahot kuch jaanne milegaa....

main Sunita dee ka behad shukrgzaar hoon jo unhone ye silsilaa shuru kiyaa....

jald pesh hota hoon majeed sawaalaaton ke sath...... aapko ek baar fir bahot bahot badhaai Tausif bhai......

Shaad.....

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
Tausif shaikh
Azaad Khayal
Tausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to behold
 
Tausif shaikh's Avatar
 
Offline
Posts: 431
Join Date: Feb 2005
Location: Mumbai, Maharashtra
Rep Power: 29
2nd December 2014, 12:19 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
Tausif miyaaN aadaab.....

awwal to bazme guftagoo me aapka tahe dil se istaqbaaal karta hoon....

behad khusshi ka sabab hai jo aapne apni razamandii di hamare saath apne zindagee ke pahloo baanTne ke liye...

hame bahot khushi hai ke aap hamaare saath hain is baar ke interview section me... aapke baare me ham sab ko bahot kuch jaanne milegaa....

main Sunita dee ka behad shukrgzaar hoon jo unhone ye silsilaa shuru kiyaa....

jald pesh hota hoon majeed sawaalaaton ke sath...... aapko ek baar fir bahot bahot badhaai Tausif bhai......

Shaad.....

Asalaam o alaykum bhaijaan....

Hahahaha apke sawaalat ka badi besabri se intezar rahega.....

SamandaroN mieN muaafiq havaa chalaata hai...
Jahaaz khud nahiiN chalte Khudaa chalaataa ha...

Tausif I. Shaikh

  Send a message via Yahoo to Tausif shaikh  
Reply With Quote
Old
  (#7)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
2nd December 2014, 01:57 PM

Quote:
Originally Posted by Tausif shaikh View Post
Main kaha se shuru karu yeh soch raha huN, Pehle to main SDC ki team ka tahey dil se shukrguzar huN ki ap logoN ne mere itne lambe arsey tak purzor saath diya... Jee ek arsa beet gaya SDC k saath par aj bhi lagta hai jaise kal hi ki baat ho... Mere baare me main kya batauN chaliye koshish karta huN ki apni zindagi ki saari tafsil ap logoN se baaNtu....

MaiN waise to pala badha Mumbai me huN par waalid aur waalida Allahabad se hain... Maine sher o shayri to shaukiyaaN taur pe shuru ki thi yahi SDC pe.. Shayad mujhe sher o shayri ki technical samajh nahi but SDC pe kafi mashoor shayar dostoN se kafi kuch sikhne ki koshish karta raha huN... Meri family me mere Waalid, Waalida, meri wife, ek choti behan aur ek bhai hai... Main Mumbai University se Bcom Graduate huN aur Accounts field me practice kar raha huN... Hobbies me hain Shayri likhna, chatting aur naye dost banana...

Shayri.com par me pehli bar Feb 2005 par aya as a guest, zada umr to nahi thi but sher o shayri ka shauk tha to yahaN sher o gazal padhNE ata tha... Sabse pehle maine kisko padha to wo hain PARUL JEE... Jo yahan kaafi arsey se hain aur meri kafi achi dost bhi hain... Jabse SDC se naat juda tabhi se kuch naa kuch likhne ki koshish karta raha huN... Shuruwat to boaht hi buri thi par ahista ahista kafi kuch sikha... Mera saath diya mere kuch bohat hi ache shayroN ne jaise Naresh Jee, Sajid Ghayal jee, Zainy jee aur Ahmed Shakil Jee ne.... Ahmed bhai ko main apna ustad manta hu kyuNki wo pehle dost haiN jinhone ne mujhe sher o shayri k techinical aspects se rubaru karaya.....

SDC me waise to bohat he umda shayar haiN par mere pasandeed shayar hain Ahmed Shakil bhai.... Unki kalaam padh padh ke maine kafi kuch likhna sikha hai... Mere hisab se ek acha shayar me apne ehsaasat ko lafzoN me dhalne ka hunar hona bohat zaroori hai, zarorri nahi ki ap bohat zada high level words use karaiN. Agar ap asaan lafzoN me apne ehsaasat dhalna jante haiN to ap ko likhte rehna chahiye....

SDC par mujhe 10 saal hone wale hain aur yahan jab maine shuruwat ki tab se aj tak me zameen asmaan ka fark aa chuka hai.... Aj SDC globaly recognized hai as a "Best shayri site" .... Burai to kuch khaas zehan me nahi ati mere to jaane dijiye ......

Jaate Jaate meri ek gazal pesh karna chahunga jo maiNe ahmed bhai ki gazal "JHOOTAY KO BHI SACHA BOLO" k wazaN pe likhi thiiii...... Umeed hai apko pasaNd ayi hogi....

Arz hai.....

"JHOOTAY KO BHI SACHA BOLO"

Chaand Na Chaand Ke Jaisa Bolo
Us Ko Chaand Se Piyara Bolo

Hokar Shamil Tum Ghairon Me
Ghairon Ko bhi Apna Bolo

Rang Barangay Phool Khilay Hain
Gulshan Ko Guldasta Bolo

Bund Bund Ye Baras Rahi Hain
In Aankhon Ko Barkha Bolo

Jhoot Bhi Chahay Bolo Janan
Lekin Meetha Meetha Bolo

Aashiq Ko Tum Pagal Keh Lo
Majnoo Ko Deewana Bolo

Piyar Ki Hai Jo Aik Hee Bhasha
Mil Kr Sb Wo Bhasha Bolo

Ho TAUSIF Jo Jaan Ka Dushman
Us Ko bhi Na Karrwa Bolo

Tausif ji bahut accha lga aapke bare mein jaan kar, aur aapne kaha ki Parul ji ko aapne pehli daffa pada, aur wo aapki bahut acchi dost bhi hai to janab deri kis baat ki apni dost se kahiye ki aapki interview thread par aaye, ham sabko bahutttttt accha lagega unse milkar bhi, maine bhi Parul ji ko pada hai, par aaj-kal wo kam nazar aati hai SDC par, unko hamara message de dijiyega.

1. jab aap kuch likhte hai to kaise pehlu par jayada likhna pasand karte hai..dosti, pyar-mohabat ya phir dard aur judaii ?

2. kya kabhi aisa hua ki kisi shakas ko pehli nazar meiN dekhte hi us par gazal likhne ka dil hua ho ?

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#8)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
2nd December 2014, 04:59 PM

ekk ghazal me kyaa hona aap sab se aham maante hain...... kyaa aisaa kabhi lagta hai ke ke is ghazal me jab tak ye cheez naho to ghazal muqammal na huii.... aisi ek cheez kyaa hai aaapki nazar mein..... gahraai se bayaan kijiyegaa taaki ham sab ko samajhne me aasani ho......

shukriyaa

Shaad.....

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
2nd December 2014, 10:43 PM

Tausif bhai ,
Aap ke bare mein uupar para aur jaankari hui , ek baat aap mein aur mujh mein common hai , Dono hi commerce Background se haiN , ha ha ,, Maine bhi kabhi BCOM pari thi aur thora extra uske baad ..
Aapke bare mein aage aur jaan,ne ki chah bani rahegi ..

Tab tak , Khuda Hafiz,

Sanjay Sehgal

khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
3rd December 2014, 04:56 PM

Tausif MiyaaN adaab

Behad dilchasp silsilaa shuruN hua hai yahaN par aur umeed karta hoon aapka yun interview sirf hum sabko aapse rubaroo hi nahi karwaayegaa balki umeed hai ki kahin nahi kahiN humhe bahut kuch seekhne ko bhi milegaa

aapse puche hue sawaalon ke jawaab meiN...

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#11)
Tausif shaikh
Azaad Khayal
Tausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to behold
 
Tausif shaikh's Avatar
 
Offline
Posts: 431
Join Date: Feb 2005
Location: Mumbai, Maharashtra
Rep Power: 29
Love 4th December 2014, 11:23 AM

Maafi chahta huN thoda der ho gayi ap sabke k sawalaat k jawab dene me,

Sabse pehle maiN sunita jee ke sawal kaa jawab deta huN..

Waise to maiNe aj tak zaadatar sher o gazal pyaar o mohabat par hi likheiN haiN. Mujhe lagta hai ki ek shayar har ek topic pe likhNa pasand karta hai, par uska koi aisa pasaNdeeda topic hota hai jispe wo apne ehsaasat zada ache taur par pesh kar pata hai... Mujhe pyar o mohabat pe likhNa pasand hai....

Mere saath kabhi aisa nahi hua ki kisiko dekha aur shayri likhNe ka mann huwa ho par haaN kisi khaas ke dur jaaNe pe ek sher likha tha wo pad deta huN...

arz hai...

Ishq ke lamhe sharaab lagte hain,

Kuch chehre mehtaab lagte hain,

Dukh itne sahe mohabbat main,

Ke har lamhe hi azaab lagte hain.

Shaad bhai ab apke sawal pe ata huN...

Bhai maiN samjhta huN ki ek gazal me shayar k dili ehsaas hona bohat ahaam haiN, shayar ke dil me jo hai use lafzo me bayaaN wo kis tarah karta hai wo logoN ko asaani se samajh me aa jayeye bohat zaroori hai... Aksaar yahiN galti hoti hai likhne me ki aap bayaaN kuch karNa chahte haiN par ap itne mushkil lafz istemal kar lete haiN ki aam logoN ko samajh Nahi ata... ek example diya hai maiN upar... chota sa hi sher hai par saaf kar deta hai ki mohabat me chot khane k baad sher likha gaya hai. Main samjhta huN ki apke ehsaasat sabse zada aham hote haiN ek gazal meiN....

Hamdam jee jaan kar bohat khushi hui ki aap aur main Commerce background se haiN... Mujhe aur khushi hogi agar aap mere baare me aur kuch janna chahain... Aur sawal karain Insha allah jawab dunga....

Mast jee apko yahan dekh kar behad khushi hui umeed hai aap yahan ate rahain aur humare baare me aur jante rahaiN... khush rahaiN.....

SamandaroN mieN muaafiq havaa chalaata hai...
Jahaaz khud nahiiN chalte Khudaa chalaataa ha...

Tausif I. Shaikh

  Send a message via Yahoo to Tausif shaikh  
Reply With Quote
Old
  (#12)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
4th December 2014, 02:22 PM

Tausif ji, aapne mere pehle sawaal ka bahut acche se jawaab diya...

chand sawaal aur:

1. aap hame apne bachpan ke bare meiN batayeN ki aapka bachpan kaisa tha ?

2. kya aap aik shararti bacche thy ya phir bade sanjeeda ?

3. agar shararti thy to bachpan ki kuch shararte jo aaj bhi yaad karke aap muskura detey hai.

4. bachpan meiN kabhi koi aisa panga (galat kaam) kiya ho jo aaj tak parents ko nahi bata paaye ?

baaki sawaal baad meiN...abhi ke liye etna hi

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#13)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
4th December 2014, 04:05 PM

Tausif saahab chandd sawaal hamaari taraf se bhii..........

1) aapko khaane me sabse zyaada kyaa pasand hai... aisa kya hai jo baar baar khakar bhi aapka dil nahi karta...

2) mumbai aur Allahabad me kon kon si aisi jagah hai jo aapko sabse zaada pasand hai aur jahan aapko jaane me sabse accha lagta hai...

3) aapke sabse pasandeeda shakhs kon haiN... either here or in real life.

bhaisaahab jaldi jaldi aaya karen , sawaalon ki list bahot lambii hai aur waqt bahot thodaa......

dusri baat just as a suggestion agar aap sabko alag alag post par reply karenge to accha hoga bhai, user comment quote karenge to track karne me easy hoga ke kinhe reply kar rahe hain.....

bahot bahot acha lag raha hai aapke baare me jaan kar aur bhi zyaada jaanne ke talabgaar hain... aate rahen... apna khayaal rakkhen

Shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
4th December 2014, 09:10 PM

Tausif bhai , kaise haiN .

1.Shuru ke daur ki aapki shayri aur aj 10 saal baad ki sahyri (Referring to your 10 years at SDC) mein kya fark mehsoos karte hain aap .

2.Shayri mein aage badne ke liye kin kin dikkaton ka samna karna padta hai ek shayar ko , kyonki jab bhi aap shuru karte hain likhna tau pehle pehal , aap ki koshish bahut
kachi hoti hai,

3.Ek shayar ko shayri mein Ustaad ki kitni zaroorat hai.

Abhi bus itna hi ..baki batein baad meiN.

sanjay sehgal

khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
4th December 2014, 11:08 PM

Tausif bhai yeh jaankar behad khushi hui ki aap to humhare hi sehar mein haiN..

Chaliye isi bahaane ek aur rishtaa ban gaya hai humhara...yun to aapke paas sawaalon ki line lagi hai main usme ek aur sawaal ka izaafa kiye dete hooN

Kya aapne kabhi apni likhi hui nazm/ghazals mein kamiyaaN nikaali hai aur agar haan to aap kis tarah se unhe dur karte hai yeh main jaanna chahunGaa..

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#16)
aru
Main shayar to nahin.....
aru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.com
 
aru's Avatar
 
Offline
Posts: 2,796
Join Date: Oct 2002
Location: kanpur
Rep Power: 50
5th December 2014, 08:31 AM

tausif jee....sdc ke katghare me aapka swagat hai......bahut dino se aapke bare me jaanne ka man tha, ,.abhi to bahut answers pending hain..to main baad me apne sawaal rakhta hu....

एक हाथ में दिल उनके एक हाथ में खंजर था
चेहरे पे दोस्त का मुखौटा अजीब सा मंजर था

Arvind Saxena
Ph. No. 7905856220
  Send a message via AIM to aru  
Reply With Quote
Old
  (#17)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
9th December 2014, 08:23 AM

Bhai aap lagta haiN jara masroof ho gaye kahiN .Hum sab log besabri se aap ke jawabon k
ka intezaar kar rahe haiN .. jaldi se aiye , abhi tau hale dil janna hai aapka ..

Sanjay sehgal

khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
9th December 2014, 01:05 PM

Tausif bhai, aapke jawaaboon ke intzaar me hain ham sab....... aap mehrbaani karke aqt nikaaliye..... hamare bahot se member aise hain jo apne sawaalon ke saath aapke intzaar me hain..............

i hope u will come soon......

Shaad....

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
9th December 2014, 02:59 PM

Tausif bhai

Namaste

Mere kuchh sawaal aapse

1... aapki nazar mein zindagee kyaa haii

2... jab aap bahot khush bote hain to kya karte hai aur jab dukhi hote hain tab kya

3.... aapka pasandeedaa rang kaunsaa hai ...aur kyuun

4....kabhii kisii baat ka pachhtaavaa ?

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Get Well Soon Tausif ji
Old
  (#20)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Thumbs up Get Well Soon Tausif ji - 9th December 2014, 03:49 PM

Dosto, Tausif ji ki tabiyat theek nahi hai, kidney stone ki vajha se wo hospital meiN hai, to duaa kijiye ki wo jaldi theek hokar vapis aaye aur ham sabke sawaaaloN ke jawaab deN

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#21)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
9th December 2014, 05:16 PM

Tausif bhai

Duaa kartaa huun ki aapki sehat jald theek ho jaayen

Apni sehat ka khayaal rakhiyega

Aapka

Dhaval

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
9th December 2014, 08:45 PM

Insha Allah Tausif saahab jaldi se bhale change ho jaaen aur hamaare saath aa jaaen...

aameen .... summaa aameen..

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
11th December 2014, 07:01 AM

Tausif Sahib aapki tabiyat ke bare meiN sun kar chinta hui aur yehi dua hai prahu se ki aap jaldi se jaldi sehat yafta ho kar ghar ayein aur uske baat hum doston ke saath rng jamayein.

sanjay sehgal

khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
   
Reply With Quote
Old
  (#24)
aru
Main shayar to nahin.....
aru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.com
 
aru's Avatar
 
Offline
Posts: 2,796
Join Date: Oct 2002
Location: kanpur
Rep Power: 50
11th December 2014, 05:38 PM

tausif Bhai aapki sehat jaldi se durust ho aur aap tandrust ho me sdc join karein aisi main khuda se dua karta hoon.........

एक हाथ में दिल उनके एक हाथ में खंजर था
चेहरे पे दोस्त का मुखौटा अजीब सा मंजर था

Arvind Saxena
Ph. No. 7905856220
  Send a message via AIM to aru  
Reply With Quote
Reply

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com