Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
...iss dil ke sahaare chale
Old
  (#1)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
Arrow ...iss dil ke sahaare chale - 17th August 2006, 12:40 PM

Ik chahat bhare dil ka khaalipan…ik ghut ti si chahat jo jee na paaye, saans na le paaye… soz-e-ranj-o-gham jo kalam se kagaz pe utar aaye…gaye waqt ke zehan mein raqs karte haseen khayaal…bus yoon hi sa kuchh likh daala hai….gaur farmaayiyega…

Hokar hamare bhi kahan wo sang hamare chale
Iss paar hum chale, aur wo us kinaare chale

Hum rahe barson saudaayi, wo bhi kam maa’el na thhe
Umr guzri par hum fakat, iss dil ke sahaare chale

Mazaa na poochiye ki jab jab wo hote hain khafaa
Tab tab wo ahal-e-dil humko aur ho pyaare chale

Na ho tammanna hamaari bhule se unpar ayaan
Lo! lekar zer-e-khaak hum armaan saare chale

Kuch tau tapish rahi hogi sukhan mein tere bhi ‘paras’
Yoon hi nahin har sher pe tere, har dil pe sharaare chale


maa’el = affected, enamored
ahal-e-dil = resident of the heart
zer-e-khaak = under ground(to the grave)
sharare = sparks


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
dilip200
Adhoori Aas
dilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud of
 
dilip200's Avatar
 
Offline
Posts: 1,543
Join Date: Jul 2006
Location: india , shivpuri
Rep Power: 31
17th August 2006, 12:53 PM

paras ji
namaskar

" chun chun ke har ek shawad aapne kalam sajaya hai
aap hee ne is shayri ki bagiya ko phoolo mahakaya hai
aapke kalam hote hain ithne khoobsurat ki kya kahen'
shawad nahi hai.n hamare pass bus daad kabool kare.n."


<<<Dilip>>>>
  Send a message via Yahoo to dilip200  
Reply With Quote
hi
Old
  (#3)
rajveeer
shayri is my life
rajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud of
 
rajveeer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
hi - 17th August 2006, 01:59 PM

Mazaa na poochiye ki jab jab wo hote hain khafaa
Tab tab wo ahal-e-dil humko aur ho pyaare chale

paras ji appko raj ka salaam kabool ho appki gazal parhi......achi laggi....ek ek lafaz kush keh raha hai.......eik umda qalaam ke liye daad kabool karain.......raj........


un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
 Send a message via ICQ to rajveeer Send a message via Yahoo to rajveeer  
Reply With Quote
Old
  (#4)
candyboy
Registered User
candyboy will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,473
Join Date: Aug 2004
Location: Sharjah, U.A.E.
Rep Power: 21
17th August 2006, 02:08 PM

Meri Pyaari Guru Ji,

Kuch tau tapish rahi hogi sukhan mein tere bhi ‘paras’
Yoon hi nahin har sher pe tere, har dil pe sharaare chale

Yeh misra hi sab kuch bayan kar gaya hum kadardano ke ehsaas aapke kalaamo ke baare mein. Kuch ajeeb se ehsaas, kuch puraani yaadein humesha hi aapke anmol kalaamo ne jagaya hai. Bohot khoob. Likhte rahiyye aur humme uhi nawazte rahiyye.

Aapka Nalayak Shagird


Luvs,

Salim

If there are no tears in the eyes, there will be no rainbow in the soul

Happiness is a butterfly, which, when pursued, is always just beyond your grasp, but which, if you sit down quietly, may alight upon you.

We come to love not by finding a perfect person but by learning to see an imperfect person perfectly
  Send a message via Yahoo to candyboy  
Reply With Quote
Re: ...iss dil ke sahaare chale
Old
  (#5)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Re: ...iss dil ke sahaare chale - 17th August 2006, 02:20 PM

paras ji bahut badiya kalaam likha hai appne, jazbaat bahut khoobsurti se pesh kiye hai. vaise to pura kalaam hi badiya hai, par yeh do ashiaar mere dil ko chu gaye.

Hokar hamare bhi kahan wo sang hamare chale
Iss paar hum chale, aur wo us kinaare chale

Na ho tammanna hamaari bhule se unpar ayaan
Lo! lekar zer-e-khaak hum armaan saare chale

bhaut khoob.


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#6)
akelijaan
Mai shayar to nahi
akelijaan is a jewel in the roughakelijaan is a jewel in the roughakelijaan is a jewel in the rough
 
akelijaan's Avatar
 
Offline
Posts: 739
Join Date: Feb 2006
Location: mumbai,india
Rep Power: 21
17th August 2006, 09:20 PM

Hokar hamare bhi kahan wo sang hamare chale
Iss paar hum chale, aur wo us kinaare chale

Na ho tammanna hamaari bhule se unpar ayaan
Lo! lekar zer-e-khaak hum armaan saare chale

Kuch tau tapish rahi hogi sukhan mein tere bhi ‘paras’
Yoon hi nahin har sher pe tere, har dil pe sharaare chale

dard chalakta hai aapke har kalaam se paras ji.aapka andaz-e-bayaan bemisaal hai.
likte rahiye yunhin aur khush rahiye.


yun bin bulaaye milne chala aata hai,
gham ko mujh se yeh unsiyat kaisi??

--akelijaan--
  Send a message via Yahoo to akelijaan  
Reply With Quote
Re: ...iss dil ke sahaare chale
Old
  (#7)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
Re: ...iss dil ke sahaare chale - 18th August 2006, 09:23 PM

Hokar hamare bhi kahan wo sang hamare chale
Iss paar hum chale, aur wo us kinaare chale

Hum rahe barson saudaayi, wo bhi kam maa’el na thhe
Umr guzri par hum fakat, iss dil ke sahaare chale

kyaa baat hai...


Mazaa na poochiye ki jab jab wo hote hain khafaa
Tab tab wo ahal-e-dil humko aur ho pyaare chale

Na ho tammanna hamaari bhule se unpar ayaan
Lo! lekar zer-e-khaak hum armaan saare chale

Waaaaah... bahut i khoobsurat sher hain....


Kuch tau tapish rahi hogi sukhan mein tere bhi ‘paras’
Yoon hi nahin har sher pe tere, har dil pe sharaare chale

Waaaaaaaaah.... loved this sher...

Dear Paras,

Bahut hi pyaara likha hai tumne.... Short but still so expressive... mujhe bahut acchi lagi tumhaari yeh ghazal... yun hi likhit raha karo TC


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Old
  (#8)
sukanya
Registered User
sukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the rough
 
sukanya's Avatar
 
Offline
Posts: 1,239
Join Date: Jul 2004
Location: India
Rep Power: 0
18th August 2006, 09:30 PM

Kuch tau tapish rahi hogi sukhan mein tere bhi ‘paras’
Yoon hi nahin har sher pe tere, har dil pe sharaare chale


Namaskar Paras ji

Your yet another beautiful poetry....aapki har Ghazal khaas hoti hay....aur yeh Ghazal bhi khaas hay...yeh sher dil ko chuu gaya.....mere daad kabul kijeyega...yuun hi likhti rahiye

Take care
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
19th August 2006, 09:20 AM

Dilip jee…aapki khuubsurat daad ke liye main tahe dil se shukrguzaar hoon…



Dear Salim…

Thanks for always being there to support…no matter how good or bad my writings are


Sunita jee…

How can I express my joy when I read your comments, thanks for taking time out to appreciate and read me…take care


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Re: ...iss dil ke sahaare chale
Old
  (#10)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
Re: ...iss dil ke sahaare chale - 19th August 2006, 02:25 PM

Quote:
Originally posted by Parastaar


Hokar hamare bhi kahan wo sang hamare chale
Iss paar hum chale, aur wo us kinaare chale

Mazaa na poochiye ki jab jab wo hote hain khafaa
Tab tab wo ahal-e-dil humko aur ho pyaare chale
Guddo Di ...

Wah aagaaaz ke liye .. aur us par ek aisa sher jisko aapne apne tareeke maiN bakhoob bayaan kiya hai .. ehsasoN maiN naya pan hi shayri hai .. aapne behad dilfareb kalaam koo anjaam diya hai , chalo isi bahane kuch aur seekhne ko mila ..

aapka bhai

Kunal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#11)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
1st September 2006, 09:01 AM

Quote:
Originally posted by akelijaan
Hokar hamare bhi kahan wo sang hamare chale
Iss paar hum chale, aur wo us kinaare chale

Na ho tammanna hamaari bhule se unpar ayaan
Lo! lekar zer-e-khaak hum armaan saare chale

Kuch tau tapish rahi hogi sukhan mein tere bhi ‘paras’
Yoon hi nahin har sher pe tere, har dil pe sharaare chale

dard chalakta hai aapke har kalaam se paras ji.aapka andaz-e-bayaan bemisaal hai.
likte rahiye yunhin aur khush rahiye.
I m so very sorry Akelijaan ji...

Sach maaniye masroofiyat itni badh gayi hai...ki yeh daad ke guldaste jo dost chodh gaye hain...unke liye shukriya adaa bhi nahin kar paayi...aap sab padhte hain tau likhne ka hausla milta rehta hai...plz. meri lateness ko nazar andaaz kar ke aap hamein padhte rahiegaa...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
1st September 2006, 09:04 AM

Hey my Buddy Pulkit...

Tumse tau kya apologize karoon tum tau khud kee haalat jaante hi ho...aur meri bhi...but thanks for stopping by and extending your lovely praise for my kalaam...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
1st September 2006, 09:07 AM

Quote:
Originally posted by sukanya
Kuch tau tapish rahi hogi sukhan mein tere bhi ‘paras’
Yoon hi nahin har sher pe tere, har dil pe sharaare chale


Namaskar Paras ji

Your yet another beautiful poetry....aapki har Ghazal khaas hoti hay....aur yeh Ghazal bhi khaas hay...yeh sher dil ko chuu gaya.....mere daad kabul kijeyega...yuun hi likhti rahiye

Take care
Dear Sukanya ji...

kayi baar nahin...bahut baar aisa hua hai ki aapne meri ghazal mein se mera pasandida sher chuna hai...this also is my favorite in this ghazal...thanks for always giving me encouragement...it is writers like you whose words of encouragement and advice I crave for...take care dear...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Re: Re: ...iss dil ke sahaare chale
Old
  (#14)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
Re: Re: ...iss dil ke sahaare chale - 1st September 2006, 09:11 AM

Quote:
Originally posted by sacccha_pyar
Guddo Di ...

Wah aagaaaz ke liye .. aur us par ek aisa sher jisko aapne apne tareeke maiN bakhoob bayaan kiya hai .. ehsasoN maiN naya pan hi shayri hai .. aapne behad dilfareb kalaam koo anjaam diya hai , chalo isi bahane kuch aur seekhne ko mila ..

aapka bhai

Kunal
Mere Pyare Chote Bhaiyya...

Tum jab jab mujhe padhne chale aate ho...meri shayri sanwar sanwar jaati hai...aur tumhari daad sar aankhon pe...yoonhi milte rehna...apna khayaal rakhna

tumhari guddo di


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
sukanya
Registered User
sukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the rough
 
sukanya's Avatar
 
Offline
Posts: 1,239
Join Date: Jul 2004
Location: India
Rep Power: 0
1st September 2006, 09:08 PM

Namaskar Paras ji

Mughey jaankar kushi hui ki jyadatar jo sher aapko pasand hota hay askar mein wahi sher quote karti huun ...kahin suna tha great minds think alike ....my encouragement means so much to you....thanks for the lovely words....this writer will always remember ur these words...

Keep Smiling
Take care
   
Reply With Quote
Re: ...iss dil ke sahaare chale
Old
  (#16)
acharya_mj
Zakhm-e-Rooh
acharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud of
 
acharya_mj's Avatar
 
Offline
Posts: 2,220
Join Date: Nov 2004
Location: ahmedabad
Rep Power: 33
Re: ...iss dil ke sahaare chale - 2nd September 2006, 01:40 PM

Quote:
Originally posted by Parastaar
Ik chahat bhare dil ka khaalipan…ik ghut ti si chahat jo jee na paaye, saans na le paaye… soz-e-ranj-o-gham jo kalam se kagaz pe utar aaye…gaye waqt ke zehan mein raqs karte haseen khayaal…bus yoon hi sa kuchh likh daala hai….gaur farmaayiyega…

Hokar hamare bhi kahan wo sang hamare chale
Iss paar hum chale, aur wo us kinaare chale

Hum rahe barson saudaayi, wo bhi kam maa’el na thhe
Umr guzri par hum fakat, iss dil ke sahaare chale

Mazaa na poochiye ki jab jab wo hote hain khafaa
Tab tab wo ahal-e-dil humko aur ho pyaare chale

Na ho tammanna hamaari bhule se unpar ayaan
Lo! lekar zer-e-khaak hum armaan saare chale

Kuch tau tapish rahi hogi sukhan mein tere bhi ‘paras’
Yoon hi nahin har sher pe tere, har dil pe sharaare chale


maa’el = affected, enamored
ahal-e-dil = resident of the heart
zer-e-khaak = under ground(to the grave)
sharare = sparks
bahut khoob didi aap jab kabhi likhti hai dil par chhuriya chalti hai
na jaane aap ne kitno ko ghaayal kiya hoga aap ke vaqt mai

mujhe aap ka ye kalaam behad pasand aaya ,yunhi likhte rahiye

regards
manu
  Send a message via Yahoo to acharya_mj  
Reply With Quote
Re: Re: ...iss dil ke sahaare chale
Old
  (#17)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
Re: Re: ...iss dil ke sahaare chale - 4th September 2006, 06:15 AM

Quote:
Originally posted by acharya_mj
bahut khoob didi aap jab kabhi likhti hai dil par chhuriya chalti hai
na jaane aap ne kitno ko ghaayal kiya hoga aap ke vaqt mai

mujhe aap ka ye kalaam behad pasand aaya ,yunhi likhte rahiye

regards
manu
That is very sweet of you Manu...lol...meri shayri ke saath saath mujhe bhi compliments de rahe ho...shayad bahut saaron ko Manu.................but waqt tau ab bhi mera hai Manu...past-tense kisliye? you think I'm past 'ghayal karne kee stage'?....

just kidding dear...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan

Last edited by Parastaar; 4th September 2006 at 06:19 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
4th September 2006, 10:23 AM

pyari behan

Mazaa na poochiye ki jab jab wo hote hain khafaa
Tab tab wo ahal-e-dil humko aur ho pyaare chale

is khayal ka haamil hona is baat ka ghammaz hai ke is ki khaaliq ka dil kitna khoobsurat aur masoom hai.
shayr yah ghazal mein alfaaz ki tarteeb ka sahi na hona, ashaar mein radeef o qaafiyaa ka ek doosre se mutasaadim hona ek alag baat hai, mager is mein chupe khoobsurat jazbe, tand o tursh ehsaasaat, un ko parakhna aur bayaan kerna alag baat hai aur us ka alag maza hai.

meri bharpoor daad qabool karo.

aur meri dua hai ke Kainaat ka Rab tumhein dil ka sakoon aur mohabbat ki chaashni se hamesha hamkinaar kare aur tum hamesha khush o khurram aur bohat aasooda raho her naimat se her dualat se.
chalte chalte 2 shayr apni bohat pyaari aur bohat haseen behna ki nazar
"Yeh fakhr to haasil hai bure hain ke bhale hain"
do chaar qadam hem bhi tere saath chale hain
jalna to chiraaghon ka muqaddar hai azal se
"yeh dil ke kanwal hain ke bujhe hain na jale hain"
musharrafhusain

Last edited by musharrafhusain; 4th September 2006 at 10:25 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
5th September 2006, 11:01 AM

Mere Pyaare Bhayyia...

Kal yeh pyaara paigaam apne bhai ka padha tau thaa lekin dil bhar aaya thaa aur jawaab de na paayi...

Yeh fakhr to haasil hai bure hain ke bhale hain"
do chaar qadam hem bhi tere saath chale hain
jalna to chiraaghon ka muqaddar hai azal se
"yeh dil ke kanwal hain ke bujhe hain na jale hain

bahut umda sher kaha aapne...lekin yeh safar tau abhi shuroo hua hai...bus do chaar kadam?

dil ke chiraagon ko siyaah aanchal mein chupaaye
dhundh mein lipte teri raahon mein chale aaye
subhuu ki kiranon se tere pyaar ke saaye mein
jhuum utthi behna jaise khushk dharti barsaat mein
tere sang hain khuub khile, teri har sada pe chale aaye
dekhna tere diye kahkahon ka kahin dum na nikal jaaye


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#20)
rajveeer
shayri is my life
rajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud of
 
rajveeer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
hi - 5th September 2006, 11:22 AM

paras ji app tak raj ka salaam pounche.....paras ji appka bhut bhut shukria jo appki hum par khaas nazar-e-inyat hai.....maine suna thaa ki khuda jinko nazar andaaz karta hai beshak unko lage ki khuda ki nazar un par nahi lakin sab se jiyada nazar unhi par hoti hai ki kahin bhoole se bhee mera karam in par na baras jaye ......kiyon ki jab hum kisi par phoolo ki barish karte hai or un sab main koi ek shaksh aisa ho jin par hum chhahe ki us par phool na gire to sab se jiyada dhyaan usi shaksh ka rakhna parta hai.....ki baaki kisi par bhee phool gire magar is par nahi girne chhahiye.......mujh par khaas nazar ke liye appka tahe dil se shukar guzaar hoon......or maafi chhahta hoon jo appko itni takleef de raha hoon..........raj.........


un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
 Send a message via ICQ to rajveeer Send a message via Yahoo to rajveeer  
Reply With Quote
hi
Old
  (#21)
rajveeer
shayri is my life
rajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud of
 
rajveeer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
hi - 5th September 2006, 12:50 PM

paras ji app ne us reply ko galat samjha jo maine appki post par kiya hai.....mera gilla appse is liye nahi thaa ki app meri post par nahi aati is se mujhe koi farak nahi parta......mera gilla to yeh hai ki hum appki post par aiye lakin appne humme nazar andaaz kiya.......app phir bhee meri post par i beshak bhoole se hee lakin hum appka tahe dil se khairmaqdam karte hai....appko mujh nacheez ki gustakhi pasand i hum appke shukarguzaar hai.....umeed karta hoon appki nazar-e-inyat yu he mujh par bani rahegi............raj........


un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
 Send a message via ICQ to rajveeer Send a message via Yahoo to rajveeer  
Reply With Quote
Re: hi
Old
  (#22)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
Re: hi - 8th September 2006, 12:14 PM

Quote:
Originally posted by rajveeer
Mazaa na poochiye ki jab jab wo hote hain khafaa
Tab tab wo ahal-e-dil humko aur ho pyaare chale

paras ji appko raj ka salaam kabool ho appki gazal parhi......achi laggi....ek ek lafaz kush keh raha hai.......eik umda qalaam ke liye daad kabool karain.......raj........

Arre arre Rajveer Sahib...

Aapka khafaa hona laazmi hai...main sach mein aapka reply, jawaab dete waqt miss kar gayi...is khataa ke liye main sharminda hoon...yaqeen jaaniye jaan boojhkar nahin kiya...bus itni masroofiyat ke chalte kayi baar kuchh ahem cheezein nazarandaaz ho jaati hain...jaise ki aapka reply...mujhe waqt dene ke liye main aapki shukrguzaar hoon...

ummiid hai ki aap zyaada der khafaa nahin raheinge...aur hamein yoonhi kabhi kabaar padhte raheinge...

khayaal rakhiyega


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#23)
rajveeer
shayri is my life
rajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud of
 
rajveeer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
hi - 8th September 2006, 01:07 PM

Arre arre Rajveer Sahib...

Aapka khafaa hona laazmi hai...main sach mein aapka reply, jawaab dete waqt miss kar gayi...is khataa ke liye main sharminda hoon...yaqeen jaaniye jaan boojhkar nahin kiya...bus itni masroofiyat ke chalte kayi baar kuchh ahem cheezein nazarandaaz ho jaati hain...jaise ki aapka reply...mujhe waqt dene ke liye main aapki shukrguzaar hoon...

ummiid hai ki aap zyaada der khafaa nahin raheinge...aur hamein yoonhi kabhi kabaar padhte raheinge...

khayaal rakhiyega

paras ji appko raj ka bhut bhut sanehal parnaam........hum appse naraaz bilkul nahi hai or na kabhi honge lakin ek gilha hai jo appne door kar diya.....app acha likhti ho appko parna meri kamzori hai.......take care.......raj......


un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
 Send a message via ICQ to rajveeer Send a message via Yahoo to rajveeer  
Reply With Quote
Old
  (#24)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
1st September 2014, 11:16 PM

Quote:
Originally Posted by Parastaar View Post
Ik chahat bhare dil ka khaalipan…ik ghut ti si chahat jo jee na paaye, saans na le paaye… soz-e-ranj-o-gham jo kalam se kagaz pe utar aaye…gaye waqt ke zehan mein raqs karte haseen khayaal…bus yoon hi sa kuchh likh daala hai….gaur farmaayiyega…

Hokar hamare bhi kahan wo sang hamare chale
Iss paar hum chale, aur wo us kinaare chale

Hum rahe barson saudaayi, wo bhi kam maa’el na thhe
Umr guzri par hum fakat, iss dil ke sahaare chale

Mazaa na poochiye ki jab jab wo hote hain khafaa
Tab tab wo ahal-e-dil humko aur ho pyaare chale

Na ho tammanna hamaari bhule se unpar ayaan
Lo! lekar zer-e-khaak hum armaan saare chale

Kuch tau tapish rahi hogi sukhan mein tere bhi ‘paras’
Yoon hi nahin har sher pe tere, har dil pe sharaare chale


maa’el = affected, enamored
ahal-e-dil = resident of the heart
zer-e-khaak = under ground(to the grave)
sharare = sparks


Paras dii.......aaj phir aapki yaad aaye hai, be-hadd aur beshumaar aaye hai

dii, aapki poetry meiN muje apne ahsaas nazar aate hai...bahut miss karte hai aapko aur aapki poetry ko.

regards


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
in khwaboN ke sahaare........! Dhaval Shayri-e-Ishq 32 29th January 2009 04:31 PM
Ji loongi yeh saal bas isi ke sahaare... chaahat Shayri-e-Dard 8 29th August 2006 04:02 AM
Ek Andhera..laakh sahaare.. Chaand Hindi/Urdu Lyrics 2 26th July 2005 06:58 AM
kis tarah hum be-sahaare ho gaye... Parastaar Shayri-e-Dard 28 26th February 2005 06:01 AM
sahaare badal jaate hain...... charles_priti Shayri-e-Dard 0 13th September 2003 05:23 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com