Kavi sammelan -
11th May 2005, 11:53 PM
This is a hindi kavita by sardar tuk tuk:
Raat ke barah baje the
Hum gali ke nukkad par khade the
Charon taraf sannata tha
Hamare haath me aata tha
Dar ke maare jaan nikli jaa rahi thi
Gali le kutte ki specification yaad aa rahi thi
Gali me mil jaaye to nukkad tak daudata tha
Kabhi Kabhi to boti boti bhi noch khata tha
Hamne gali me dekha aur gaur se muaayna kiya
Phir saawdhani-purvak gali me pravesh kiya
Aadhe raste pahunchte hi hame ho mahakal nazar aaya
Hame dekhte hi zor se gurraya
Hum jahan the wahin tham gaye
Hamare panchon tantra ek saath jam gaye
Hamari haalat dekh kar wo muskuraya
Phir dhire se hamare paas aaya
Bola abe yaar kya karta hai
Aadmi ho kar kutte se darta hai
Jaa nikal ja nahin katunga
sach bolta hun tere paanv bhi nahin chatunga
Hamne kaha kuttaji
Aap to shakl se hi gentleman nazar aate hain
Log bekaar me aapke baare me ulti sidhi udate hain
Aapka nature to itna aala hai
Kutta bola
Chup be election aane wala hai
GREAT MOMENTS ARE BORN FROM GREAT OPPORTUNITIES
|