Quote:
Originally Posted by mujib66
meri to muhabbat tejarat nahin hai
to phir kyon tumhen mujh se chahat nahin hai
na ho khush bujha kar diye ko hawa tu
teri to jalane ki taqat nahin hai
mujhe jaam mat do judai ke gham ka
meri aur pineki halat nahin hai
bitha kar kisi ko bhi baam-e-falak par
zameeN par girana sharafat nahin hai
baam-e-falak -- On the top of the sky
tumhen laut jana hai to laut jao
hamari taraf se ijazat nahin hai
tumhen samne dekh kar sochta hun
kahin ru-b-ru to qayamat nahin hai
hai kya fayeda mal-o-daulat se khud ko
agar zindegi hi salamat nahin hai
eh awaaz Parwaaz haq baat ki hai
muhabbat men koi baghawat nahi hai.
By Mujeeb Parwaaz
|
Wah Wah...pur asar jaNaab
Dhero daad qubool kareiN, aapke har sher par tahe dil se waah nikli
aage bhi bazm yunhi roshan karte rahiYeGaa..