Quote:
Originally Posted by Hassan
Yeh mast mast bemisaal ankhien
Nashe se hur dam nidhaal ankhien
Uthien to hosh-o-hawas cheenien
Girien to kar dien kamal ankhien
Koi hai in ke karam ka taalib
Kisi ka shoq-e-wisal ankhien
Na youn jalien, na youn satayien
Karien to kuch yeh khiyal ankhien
Hain jenay ka bahana yaaron
Yeh rooh parwar jamal ankhien
Daraaz palkien, Ghazal ankhien
Musawarri ka kamal ankhien
Sharab Rab ne haraam kar di
Magar rakhi hain halaal ankhien
Hazaaron in se qatal hue hain
Khuda ke banday sambhal ankhien
(Not Mine)
|
Waaaaaah...ankhon ki kya tareef ki hai aapne hassan jee..
bahut dilkash kalaam.....