Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
“Kyon mujhe pyar main dhoka diya”
Old
  (#1)
Dard ki daastan
Registered User
Dard ki daastan is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 43
Join Date: Feb 2003
Location: U.S.A
Rep Power: 0
Question “Kyon mujhe pyar main dhoka diya” - 8th May 2003, 09:48 AM

“Kyon mujhe pyar main dhoka diya”

Haaye.. kyon tune pyar main dhoka diya
Kyon na sachha pyar tha mujhse kiya
Khamiyaan kaun si mujhme thi.n
Kyon meri wafaaon ka aisa sila hai diya

Humne to tujhe toot kar chaha tha
Duniya ko bhi tere liye tha chhod diya
Dil se khoob khel kiya tune
Kyon na mujh par tune ki daya

Aaj main khood se naaraz hoon
Duniya ki naa maan kar, kyon sirf tera bharosa kiya
Loot kar meri duniya ko
Tune mujhe jaise bin maut hi maar diya


Doston...pyar ki baatain na karo

Guzare hain mohabbat main aise mukaam se
Nafrat si ho gayi hai mohabbat ke naam se

Jai Mata Di
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
dilselovergirl
Just A Lover
dilselovergirl is on a distinguished road
 
dilselovergirl's Avatar
 
Offline
Posts: 171
Join Date: Nov 2001
Location: USA, Mississippi
Rep Power: 23
8th May 2003, 10:13 AM

hi,
kaise ho?...aapki yeh shayri bohat hi pasand aayi..jis andaz se kahi hai...woh bhi bohat pasand aaya...aur jo kaha hai sach hi kaha hai....likhte rahiye aap....pyaar..vyaar..ishq..vishq...ya phir mohabat sab...bhai bahen hi hai..es liye kisi ka naam na liya jaye to hi aacha hai...kyu?
likhte rahiye

luv,
tulsika!~


*¤*.¸¸.·´¨`» T u L s I k A «´¨`·.¸¸.*¤*
  Send a message via Yahoo to dilselovergirl Send a message via AIM to dilselovergirl  
Reply With Quote
Old
  (#3)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
8th May 2003, 01:46 PM

Dastaan ji..

Bahut hi dard samaaya hua hai aapke is kalaam mein..

Khaas karke ye kaha aapka bahut pasand aaya

Humne to tujhe toot kar chaha tha
Duniya ko bhi tere liye tha chhod diya
Dil se khoob khel kiya tune
Kyon na mujh par tune ki daya

Waise aaj kal ke zamaane mein daya ki umeed bhagwaan ke ilaawa kisi se nahin karni chahiye

Likhte Rahiye
Varinder


kyon zindagi ki raah mein akele chalta hai dost
chal waha chal jahan tere jaise aur bhi hai...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Nida Siidiqui
Registered User
Nida Siidiqui will become famous soon enough
 
Nida Siidiqui's Avatar
 
Offline
Posts: 301
Join Date: May 2003
Location: i live in a love circle where is only 1 way where ppl can come but cant go
Rep Power: 21
8th May 2003, 01:55 PM

Dastaanjee,

asalaamwalikum ,

behaad he umdaa likhaa hai aap nay dil ko chugayee aap kie rachnaa.

keep it up

mein kuch aad karnaa chahatee hoon
pesh kidmat hai aap key

Muhabat se bhi nafrat ho gayee hai
humain yeh kesi wehshat ho gayee hai
fana ker daloun khud ko aur sab ko
yeh kesi meri fitrat ho gayee hai

jahan matlab waheen chahat hai miltee
tijarat see muhabbat ho gayee hai
kisee per zindagee qurban ker dein
woh chahat aik hasrat ho gayee hai

bhula bethi houn mein tujh ko abhe se
yeh mujh se kesi ghaflat ho gayee hai
mujhe wehshat thi jiss deewangee se
wohee aab meri kismat ho gayee hai


Nida


(To love and be loved is the greatest happiness of existence.)
 Send a message via ICQ to Nida Siidiqui Send a message via Yahoo to Nida Siidiqui Send a message via AIM to Nida Siidiqui  
Reply With Quote
Old
  (#5)
Dard ki daastan
Registered User
Dard ki daastan is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 43
Join Date: Feb 2003
Location: U.S.A
Rep Power: 0
9th May 2003, 08:58 AM

Tulsika, Varinder, and Nida ji. Shukriya doston aap sabke comments ka.

"Haan main bahut pareshaan hoon
dil bhi toota hai
kis se ab kya kahoon
khud apni kismat pe hairaan hoon"

Magar doston, jisne bhi yeh shayri.com banaya hai, bahut hi accha kiya hai. Mere jaise aur bhi kitne hain jo apna dil halka kar lete hain, shayri likh kar. Once again, shukria doston. May God bless u all.


Doston...pyar ki baatain na karo

Guzare hain mohabbat main aise mukaam se
Nafrat si ho gayi hai mohabbat ke naam se

Jai Mata Di
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Dil ne Dhoka Diya arifkhan81 Shayri-e-Dard 1 18th April 2007 08:58 PM
mere pyar meri kamzori vishwas mujhe de dhoka... passionatelover Anjuman-e-Shayri 0 22nd July 2006 03:24 PM
Dhoka mila pyar main..... Niks Humourous Shayri 1 21st May 2006 10:26 AM
dil diya kyon mujhe land_cruiser Shayri-e-Ishq 0 26th February 2005 05:08 PM
pyar main dhoka (funny shers) saimrulzzz Shayri-e-Ishq 0 9th January 2004 03:41 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com