Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Anjuman-e-Shayri

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 3 votes, 5.00 average. Display Modes
My Collection........
Old
  (#1)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
Post My Collection........ - 10th November 2005, 01:48 PM

Mujhse shayri ka taaluuq tabse hai, jabse lafzon ko samajhne lagi....Aur tabhi se kuch kuch dil ko chuu jaane waale kalaam sambhaalne ki aadat bhi ho gayi......Wohi sab aapki nazar ker rahi huun...shaayad aapke dil tak bhi yeh usi tarah pahunche, jaise in sabne mere dil ko chuaa hai......
**************************************************
Apni Hi Dhun Main Rehti Thi
Ek Larki Shokh Aur Chanchal Si
Phoolon Se Batain Kerti Thi
Titli K Rung Pakarti Thi
Ek Dhanak Thi Is K Anchal Main
Phir Janne Kiya Toofan Aiya
Titli K Rung Bikhar Gaye
Sapno K Jugnu Mand Parey
Jab Poocha Kissi Ne Aey LARKI

Yeh Chup Si Kyun Sadh Li Hai,
Woh Kuch Na Boli Baas Ro Di
Aur Khak Pe Haath Ki Ungli Se Aik Lafz "MOHABBAT" Likha

************************************************** *
Raat Uss ne Poocha tha
Tum ko Kaisi Lagti Hai
Chandni December ki !

Main ne Kehna Chaha Tha
Saal-o-Maah ke Baarey mein
Guftagu ke Kya Maani ?
Chahey koi Manzar ho
Dasht ho , Sumandar ho
June ho , December ho
Dharkanoo'n ka Har Naghma
Manzaroo'n pe Bhaari hai
Saath Jab Tumhara Ho
Dil ko Ik Sahara ho
Aisa Lagta hai, jaise
Ik Nasha sa Taari hai

Lakin Uss ki Qurbat mein
Kuch Nahi Kaha Main ne
Takti Reh gayi Mujh ko
Chandni December ki...

*****************************************

Kal raat janay kia hua,
Kuch dair pehlay neend say
Kuch ashk milnay aa gai
Kuch khwab bhee tootay huay
Kuch loog bhee bhoolay huay
Kuch rasta bhatki hueeN
Kuch gerd main liptee hueeN
Kuch bay-tarah phaili hueeN
Kuch khaul main simti hueeN
Bairabt se soochain kai
Bhooli huee batain kai
Ik shaks kee yadain kai
Phir dair tak jaga raha
Sochoon main gum baitha raha
Ungli se thanday farsh per
Ik naam hee likhta raha
Kal raat bhee woh raat thee
Kuch dair pehlay neend say
Main dair tak rota raha...

*************************************************

phir wohi dard sa jaga hia ragon main
phir wohi aah si nikli hia meray seenay se
phir wohi khawab se tootay hian meri aankhon main
phir wohi dard ki talkhi hai meri baaton main
phir wohi ashk se tharay hain meri palkon per
phir wohi aakhri manzar hai meri aankhon main
AAJ PHIR SHAM DHALAY MUJHEY TUM YAAD AAYE HO!!!

*************************************************

zehan ke khayalon main
rooh ke ujaloon main
zindgi ki jheelon main
zaat ki fasiloon main
ratjagon ke daman main
khawahishoon ke aangan main
dil ke khushk sehra main
chasm-e-tar ke darya main
dard ke jahan main bhi
ask-e-bezuban main bhi
aur kuch nahi rehta
TERI YAAD rehti hai

***********************************************

Abhi bas itna hi.....

Mohabbat...
Naina


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
Old
  (#2)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
10th November 2005, 02:38 PM

Humarey paas to aao bara andhera hai
kaheen na chor ker jao bara andhera hai

udas ker gaye bey'sakhta lateefay bhi
ab aansuoun say rulao bara andhera hai

koi sitara nahi patharon ki palkon per
koi charagh jalao bara andhera hai

haqeeqaton main zamaney bohat guzar chukay
koi kahani sunaao, bara andhera hai

kitabain kesi utha laye maikaday waley
ghazal kay jaam uthao bara andhera hai

ghazal main jis ki humesha charagh jaltay hain
usay kaheen say bulao bara andhera hai

**************************************************

KABHI AISA BHI HOTA HAI.....

kabhi aisa bhi hota hai
kabhi miltay hain raahon main
woh saathi chund lamhon kay
basey jatey hain saanson main
bhulana bhi ager chaho
to woh dil say nahi jatey
jinhain hum piyar kertay hain
barey majboor hotay hain
to hum ko chor jatey hain
isay dhoka nahi kehtay
koi shikwa nahi kertay
keh sab majboor hotay hain
dua her pal yeh kertay hain
k phir kisi din safer main
ittafaaqan aa milain hum say

*************************************************

Mujhe Uss Se Ab Bhi Mohabbat Hai
Magar Na-jaane Kyun...
Ab Uss Mohabbat Mein Woh Pehli Si Shiddat Nahi Rahi
Mujhe Ab Bhi Uss Ka Intizaar Rehta Hai
Mager Na-jaane Kyun...
Ab Uss Ke Intizaar Mein Sitaron Ke Saath
Haal-e-DiL Kehne Ki Aadat Nahi Rahi
Mujhe Ab Bhi Uss Ki Yaad Aati Hai
Mager Na-jaane Kyun...
Uss Ki Yaad Mein Roney Ki Khwaahish Nahi Rahi
Main Uss Se Ab Bhi Milna Chahta Hoon
Mager Na-jaane Kyun....
Ab Uss Se Milne Ki Tarap BaaQi Nahi Rahi
Sochta Hoon ! Kitna Badal Gaya Hoon Main
Bilkul Uss Jaisa Ho Gaya Hoon Main ...

**************************************************

Ehtyat

"Zindagee ki rahoon main..
Barha ye dekha hai..
Sirf sun nahi rakha..
Khud bhi azmaya hai..
Tajurbon se saabit haii..
Jo bhi perhtay aaye hain..
Us ko theek paya hai...
Is tarha ki baton say..
Manzilon sey pehley hii,
Sath chooth jatay hain..
Log rooth jatay hain…
Yeh tumhain bata doon main,
Chahtoon key rishtey main..
Phir girah nahi lagti,
Lag bhi jaye to un main.
Woh kashish nahi hoti..
Ek pheeka pheeka sa..
Rabta to..hota hai..
Rooh key taluk main Tazgee nahi rehte…
Zindagee nahi rehti,
Baat who nahi bantee,
Dostee nahi rehtee,
Lakh baar mil ker bhi..
Dil kabhi nahi miltay,
Zehn key jharokon main..
Yaad key dareechon main..
Titliyoon kay Rangoon main..
Phool phir nahi khiltey…
Is liye main kehta hoon..
Is terha ki baton main..
“EHTYAT KERTY HAIN”
Is terha ki baton sey……….
“EJTANAB KERTY HAIN”!”

**************************************************

"SAB SE CHUPA KE DARD"

Sab se Chupa Ker Dard, Jo Woh Muskura Diya
Us Ki Hansi Ney To Aaj Mujhey Rulla Diya

Lehjey Sey Uth Raha Tha Her Ik Dard Ka Duhaan
Chehra Bata Raha Tha Kay Kuch Ganwaa Diya

Awaz Main Thehrao Tha Aankhon Main Nammi Thi
Aur Keh Raha Tha K Main Ne Sab Kuch Bhulla Diya

Janey Kiya Usko Logoon Sey Thiin Shikayaten
Tanhayon Kay Des Main Khud Ko Basa Diya

Khud Bhi Woh Hum se Biched Ker Adhura Sa Ho Giya
Mujh Ko Bhi Itnay Logon Main Tanha Bana Diya...!!!

**************************************************

kabhi aati hai khamoshi se
chupkay se
sargoshi se
andheri raat main
bheegi barsaat main
kabhi weeranay main
kabhi anjanay main
kabhi mehfil main
kabhi tanhai main
kia khabar kyun aati hai
yeah waqt kay
kis wajah se kis kay liye
kis ki khatir
kis kay liye
kia batanay
yeah kia hai
ik ehsaas hai
ik pyas hai
phir bhi acchi lagti hai
anjani si
baygani si
pehchani si
"Ik khoobsurat yaad"
**************************************************

Baaki fir kabhi...

Mohabbat...
Naina


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
Old
  (#3)
farhana
Registered User
farhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud of
 
farhana's Avatar
 
Offline
Posts: 3,383
Join Date: Dec 2002
Location: *~**Khwaabon ke sheher se*~**
Rep Power: 35
10th November 2005, 11:46 PM

bahaut accha collection hai aapka naina...padhke accha laga....
take care dear...keep posting...bye


"Roz Kii Taraah Aaj Bhii Taare
Subha Kii Gard MeiN Naa Kho JaayeiN
Aa ! Tere Gham MeiN Jaagtii AankheiN
Kam Se Kam Aik Raat So JaayeiN."


**~*FaRhAnA*~**
  Send a message via Yahoo to farhana  
Reply With Quote
Old
  (#4)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
11th November 2005, 03:26 PM

Shukriya Farhana....

Is kism ki shayri kam hi log kah paate hain aur kam hi log samajh paate hain....aapko pasand aayi...toh chaliye kuch aur sunaate hain....

Woh qayamat ho, sitara ho kay dil
kuch na kuch hijer main tootay to sahi

hum wahin per hi basaa lain khud ko
woh kabhi raah main rokay to sahi

sab say hut ker hi manaana hai usay
hum say ik baar woh roothay to sahi

dil usi waqt sanbhal jaaye ga
dil ka ahwaal woh poochay to sahi

us ki nafrat bhi muhabbat hogi
merey barey main woh sochay to sahi

uskay qadmon mein bicha doon aankhain
meri raahguzar say woh guzray to sahi

us kay sab jhoot bhi sach maan loon "aye dil"
shart sirf itni kay woh bolay to sahi

********************************************

Mujhe wo achi lagti hay bohat hi piyare lagti hay
Sadyoon se meray dil main samai is tarhan se hay
jaisay!!!!!
samandar main kinara hay...
Asman per sitara hay...
meray jenay aur marnay ka
Akhri wohi sahara hay
main us ko kho nahi sakta
per pana bhi mushkil hay
wafa to jari thi meri
magar aab us ki bari hay...

*********************************************

main sada sari dunya say rootha raha
sochta hi raha
log merey liye
meri khushbu bhari zindagi k liye
khushboyain, phool, rang
titliyon,jugnouon kay haseen qafilay
laa rahay hain mager
main khafa hi raha
aur dunya nay mujh ko manaya nahi....

**********************************************

kabhi aisa bhi hota hai
kabhi miltay hain raahon main
woh saathi chund lamhon kay
basey jatey hain saanson main
bhulana bhi ager chaho
to woh dil say nahi jatey
jinhain hum piyar kertay hain
barey majboor hotay hain
to hum ko chor jatey hain
isay dhoka nahi kehtay
koi shikwa nahi kertay
keh sab majboor hotay hain
dua her pal yeh kertay hain
k phir kisi din safer main
ittafaaqan aa milain hum say

***********************************************

baat yaad rakhnay ki
jald bhool jata hai
us nay ye buri aadat
janay kis se sekhi hai
aap to gawah rahiye
aap too na ye kahiye
aap nay
nahi dekha
is ke barf hathoon main
mera zard sa chehra....

**********************************************

Mohabbat...
Naina


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
Old
  (#5)
farhana
Registered User
farhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud of
 
farhana's Avatar
 
Offline
Posts: 3,383
Join Date: Dec 2002
Location: *~**Khwaabon ke sheher se*~**
Rep Power: 35
12th November 2005, 12:14 AM

bahaut khoob naina........apna doosra collection bhi bahaut accha laga.....
yuhin likhte raho....apna khyaal rakhna.bye


"Roz Kii Taraah Aaj Bhii Taare
Subha Kii Gard MeiN Naa Kho JaayeiN
Aa ! Tere Gham MeiN Jaagtii AankheiN
Kam Se Kam Aik Raat So JaayeiN."


**~*FaRhAnA*~**
  Send a message via Yahoo to farhana  
Reply With Quote
Old
  (#6)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
12th November 2005, 07:57 AM

Barish thi, hum they aur ghani ho rahi thi shaam
tumne liya tha kanpte honton se mera naam

maine kaha tha aao yunhi bhegte chalein
in raaston mein dare talak ghoomte chalein

mere qamar mein haath yeh phoolon sa daal kar
kandhe pe mere rakhay raho yunhi apna sarr

haathon ko main kabhi, kabhi baalon ko choom loon
dekho meri taraf to main ankhon ko choom loon

paani k yeh jo phool hain rooh par khiley howe
in mein dhanak k rang hain saare ghulay howe

hoonton se inko chunte rahein khush dili k saaath
taare humein talaash karen chandni k saath

yunhi kisi darakht k neeche kare rahen
barish k dare baad bhi lipte kare rahen

Tune kaha tha aao chalein raat aa gayee
dil jis se darr raha tha wahi baat aa gayee

beetay samay ki yaad hi raston mein reh na jaye
yeh dil kahin visaal ki barish mein beh na jaye

kuch dare ik chup si rahi darmiyaan mein
girhein sii jaise parne lagi hoon zuban mein

yak dam gira tha phool koi shahsaar se
dekha tha tumne meri taraf iztraar se

barish mein bhegte howe jhonke hawa k they
woh chand be gumaan se lamhay bala k they

nasha sa ik chaaron taraf phelta gaya
phir is k baad maine tumein kuch nahin kaha

*************************************************

Hath ki lakeroon main,
Kiya talash karti ho?
In fuzol batoon main
Kis liyen ulajhte ho,
Jin ko milna hota hai,
Bin lakeer dekhe hi,
Zindagee ki rahoon per,
Sath sath chalta hai,
Phir kab vo bichartay hain,
Jo nahi muqadar main,
Kab vo humay milta hai,
Kab vo sath chalta hai,
Hath ki lakiroon main
Kiya talash karte ho!

***********************************************
Tumhain main kis tarah dekhoon!
dareecha hai dhanak ka aur ik baadal ki chilman hai
aur is chilman kay peechay, chup kay bathay
kuch sitaareay hain. sitaaron ki
nigaahon main ajab si aik uljhan hai
woh hum ko dekhtay hain aur phir aapas main kehtay hain
" yeh manzar aasman ka tha yahan per kis tarah ponhcha!
zameen'zaadon ki qismat main yeh jannat kis tarah aai??"
sitaaron ki yeh hairani samajh main aanay wali hai
keh aisa dilnasheen manzar kisi nay kam hi dekha hai
humarey dermiyan is waqt jo chahat ka mausam hai
isay lafzon main likhain to kitaabain jagmagaa uthain
jo sochain is kay barey main to roohain gungunaa uthain
yeh tum ho meray pehlu main
keh khuab-e-zindagi taa'beer ki surat main aaya hai?
yeh khiltay phool sa chehra
jo apni muskurahat say jahan main roshni ker day
lahu main tazgi bhar day
badan ik dhair resham ka
jo haathon main nahi rukta
anokhi si koi khushbu k aankhain bund ho jayen
chupa kajal bhari aankhon main koi raaz gehra hai
bohat nazdeek say dekhain to cheezain phail jati hain
so marey chaar soo do jheel si aankhon ka pehra hai
tumhain main kis tarah dekhoon!!!

**********************************************

Aao safar kerain
yeh tay hua hum main
phir kuch samaan-e-safar
shiddat-e-anaa
zu'am-e-khudi
aur
na jhuknay ka ahad
yeh bhi tay hua jo thak gaye
to apnay hissay ki thakan
khud sahain gay
mager wapis nahi paltain gay
tay hua!!
chalo zabt aazmatay hain
hausla apna dikhatey hain
aur phir zaad-e-raah liye
hum chal parey
woh "us taraf"
aur
main "is taraf"
aur ab
dou anaa paraston main
jung hai muhabbat ki
main chashm-e-aqal say
faisla sunaata hoon
apni apni daanist main
donon jeet jayen gay
haan!!
mager seenay main jo dil hain
chupkay say toot jayen gay

************************************************

Udaasiyon ka sabab jo likjna
to yeh bhi likhna
k chand tarey,shahaab aankhain badal gaye hain
woh zinda lamhay jo teri raahon main
terey aanay k muntazir thay
woh thak kay saayon main dhal gaye hain
woh teri yaadain, khayal terey
woh runj terey, malal terey
woh teri aankhain, sawal terey
woh tum say merey tamaam rishtey bicher gaye hain, ujerh gaye hain
udaasiyon ka sabab jo likhna
to ye bhi likhna
leraztay honton peh lerkharati dua kay suraj
pighal gaye hain
tamaam sapnay hi jal gaye hain

************************************************

Bikhar gaye uski mohabbat kay
hazar rang meray chahray par
jaisay kous-e-kazah kay
shafaf rang asman par
jaisay soraj ki surkhiyan
zameen par
jaisay chand ki chandni
samundar par
aur
usay panay ki umeed yun thee
jaisay timtamata hoa judnu
andhairay main
aur jaisay jalta bujhta diya hoon main
aur jasisya totati hoi akhri sans
zindagi main

***********************************************

Roshni ki khuahish main
ghar say bahir aanay ki kuch saza to milti hai
log log hotay hain
un ko kia khabar janaan!
aap kay iradey ki,khubsurat aankhon main
palney waley khuabon kay rung kesay hotay hain
dil ki goud aangan main palney wali baaton kay
zakham kesay hotay hain
kitnay gehray hotay hain
kia yeh jaan saktey hain
aisi bey'gunaah aankhain
ghar kay konon khudron main
chup kay kitna roti hain
phir bhi is kahani say, apni kaj'rawani say
is qadar rawaani say dastan sunatey hain
aur yaqeen ki aankhain sach kay ghamzada dil say
lag kay kitna roti hain
tuhmatain to lagti hain,roshni khuahish main
tuhmaton kay lagnay say
dil kay dost ko janaan!
ab udas kia kerna
tuhmaton say kia derna

************************************************** *
zindagii ke mele me.n
Khvaahisho.n ke rele me.n
tum se kyaa kahe.n jaanaa
is qadar jhamele me.n
vaqt kii ravaanii hai
baKht kii giraanii hai
saKht bezamiinii hai
saKht laamakaanii hai
hijr ke samandar me.n
taKht aur taKhte kii
ek hii kahaanii hai
tum ko jo sunaanii hai

baat go zaraa sii hai
baat umr bhar kii hai
umr bhar kii baate.n kab
do gha.Dii me.n hotii hai.n
dard ke samandar me.n
anginat jaziire.n hai.n
beshumaar motii hai.n
aa.Nkh ke dariiche me.n
tum ne jo sajaayaa thaa
baat us diye kii hai
baat us gile kii hai
jo lahuu kii Khilvat me.n
chor ban ke aataa hai
lafz ke fasiilo.n par
TuuT TuuT jaataa hai

zindagii se lambii hai
baat rat_jage kii hai
raaste me.n kaise ho
baat taKhaliye kii hai
taKhaliye kii baato.n me.n
guftaguu izaafii hai
pyaar karane vaalo.n ko
ik nigaah kaafii hai
ho sake to sun jaao
ek din akele me.n
tum se kyaa kahe.n jaanaa.N
is qadar jhamele me.n

************************************************

Mohabbat...
Naina


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
Old
  (#7)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
14th November 2005, 09:41 AM

Phool shakh sey jub judaa huaa,
ek aansuu tha palkon per tika hua

Main talashtee rahi jisey umar bhar
woh dil main tha kahin chuppa hua...

Tu bhool gaya hai dastaan meri
Mujhe yaad her lafz tera kaha hua...

Ab laut aaya hai to rok lena,
hai musafir dehleez pur khada hua...

*******************************************

Ankhoon ko ye samjha dain
k hur tasveer mein hulka gulabi rung
chahne se nahi aata...
boht se naQsh, naQash-e-azal aisay banata hai
k jin ka hashia gehra siyah
aur naQsh hulka surmai rehta hai
aur jin per kissi bhee zave-ay se chand utray
ye kabhi roshan nahi hota...

Khuda kuch kaam adhi raat ko kerta hai
jub us k pyalay mein
Siyahii k siwa kuch nahi hota

***************************************

Woh muhabat ko peristish ka maqam detta tha
Aur guzrey qisson ko ibadat ka darja samaghta tha
Kehta tha muhabat mein koi gharz posheeda naheen hotti
Muhabat to begharz aur lafani hotti hey
Kuch ajjeb falsafa muhabat mein us ka tha key
Woh meri muhabat ka talib bhi tha
Aur mein usey matloob bhi na thi
Kehta tha key mein us ki rooh mein Jazb hoon aisey
Key mujh ko panney ki us ko hasrat bhi naheen

Ajeeb shakhs tha kuch ajeeb se us ki kahani thi
Yeh dor ab aisi muhabatoon ka naheen raha
Millan key baghair muhabatoon ka kia tassawer hey
Deed key baghair chahatoon ka kia rang hey
Yeh dor to faqt aghaz pey mabni hey
Meri muhabat bhi sirf char din ki kahani thi
Koi garri aik hee station pey hamesha naheen rukti
Waqt key sath khialat badaltey jatey hein
Muhabat baqqi rehti hey mehboob badaltey jatey hein

Mein ney chaha key khialat us key badal dallon aur
Muhabat ki haqeeqi tasweer dikha doon us ko
Woh muhabat ka pujari tha mein ney
Us ko tanhai ki saza dey dalli

Mujhey yaqeen hey woh sota to ho ga magar
Neend us ki ankhoon mein na utarti ho gee
Mehfil mein woh muskarata to ho ga magar
Us tabassum men ik tees see uthti ho gee
Ankh mein aansoo to nazar na atey hoon gey
Palkoon taley ik barish zarror hotti ho gee
Meri yaad to us ki khoon ki gardish key saath thi
Dil dharakta to ho ga magar ik aah bhi nikalti hoo gee

Kion sochti hoon yeh sab kuch mein
Jo taaluq tha woh to mein ney toor dia
Woh zinda rahey na rahey mujhey is sey hkia
Us ki saans rukey ya chaley mujhey kia lena
Merey liey to faqt yehi kaafi hey key
Mein aik dunia dar larki aur
Woh kissi dosri dunia ka bassi tha.

**********************************************
Mohabbat...
Naina


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
Old
  (#8)
shayar_abhishek
*~Dead Heart~*
shayar_abhishek has a spectacular aura aboutshayar_abhishek has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 616
Join Date: Sep 2005
Location: Nowhere
Rep Power: 20
16th November 2005, 11:08 AM

woooooooooooooooooooooooooooow

koooooooooooooooooooooooooooooool

coooooooooooooooooooooooooooooll

veryyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyy

niceeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeee

collection Naina jii

thanx for sharing

yuhi share karte rahiyega kyunki ye sab humare dil tak pahunche hai...

((((whats the meaning of --Saal-o-Maah---))))


****Nonu****
~*~ EK SHAYAR Anjaan~*~
  Send a message via Yahoo to shayar_abhishek  
Reply With Quote
Old
  (#9)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
3rd December 2005, 12:53 PM

Mujhay fursat hee fursat hay
sawairey juld uthna hay
naa shub ko dair say sona
kaheen bahar nahin jaana
kisi say bhi nahin milna
naa koi fiqr laahaq hay
naa koi yaad baaqee hay
magar yeh aakhri misraa
zara saa jhoot lagta hay!!

*********************************************

Ager wo badshah hota
too koi baat bhi hoti
suna hai baadshahoon ko
dain aisa koi nazrana
jo sab cheezon se barh ker ho
too apni baadshahi tuk
luta detay hain wo akser

MUHABAT hai humaray pass
magar wo baadshah kab hai

********************************************

khudaya mujhay kuch na day
nahi kuch bhi nahi ab chahye
bus us ki dua puri ker day
jo duaon main,sadaon main
mujhay hi mangta hai

*******************************************

suno! tum yaad mat karna
agar hum mar bhi jain tu
dill-e nashaad ko phir sey
na tum bar baad ab karna
humain tum yaad mat karna
k ye yaadain tu jism-o roh ka
nasoor hoti hain
humarey wastey jevan ko yoon
be-noor mat karna
humain tum yaad mat karna
agar hum chor k tum ko
manoo mati main so jain
humaari aankh bojhal ho
aur hum nendoo main kho jain
humarey khwaab ko ankhoon main
phir aabad mat karna
suno! tum yaad mat karna
humarey wastey jevan ko yoon
barbaad mat karna

********************************************

Tujhey Khabar Hai Tujhey Sochnay Ki Khatir Hum
Bohat Say Kaam Muqaddar Pay Taal Rakhtey Hain
Koi Bhi Faisla Ab Soch Kar Nahi Kartay
Tumharey Naam Ka Sikka Uchal Rakhtey Hain
Tumharay Baad Yeh Adat Si Ho Gai Apni
Bikhartay Sookhtay Pattay Sambhaal Rakhtay Hain

********************************************

Ajnabi si raaho'n ka
Ajnabi musafir aik
Mujh say poch bheta hai
Rstaa btaa do gay?
Ajnabi si raaho'n kay
Ajnabi musafir sun
Rstaa koi bhi ho
Waasta koi bhi ho
Munzlain nahi Milti'n
Munzilaien tu dhoka hain
Munzilaien jo mil jaye'n
Justjoo nahi rahti
Zindghi ko jeenay ki
Aarzoo nahi rahti!!!!

******************************************

Khawaab saath rhanay do
Khawaab hi shikatay hain
Hum ko zindghi kerna
Wasl may Udaasi aur
Hijr may khushi kerna

In Udaas Raato'n may
Khawaab kay siwaa, Jaan'n
Kon ab sahara hai
Dhuk ki raat pheli hai
Khawaab aik sitara hai
Dard ki kahani may
Khawaab, Istiaara hai
In Udaas raato'n may
Asi khushgumani ka
Dil pay Haath rhnay do!
Khawaab sath rhanay do!!

**********************************************

DUA

main ney khuda sey ik dua mangi
dua main apni maut mangi
khuda ney kaha
maut to main tujhey dai sakta hun
mager
us ka kia keroon
jis ney dua main
teri zindagi mangi!!

Mohabbat...
Naina


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
Old
  (#10)
shayar_abhishek
*~Dead Heart~*
shayar_abhishek has a spectacular aura aboutshayar_abhishek has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 616
Join Date: Sep 2005
Location: Nowhere
Rep Power: 20
3rd December 2005, 12:56 PM

nice collection NAINA JII


****Nonu****
~*~ EK SHAYAR Anjaan~*~
  Send a message via Yahoo to shayar_abhishek  
Reply With Quote
Old
  (#11)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
3rd December 2005, 01:17 PM

THX ABHISHEK....

Kaha tha na!!!
Mujhay is tarah sotey huay mut chor ker jana?
Mujhay beshaq jagaa dena...
Bataa dena...
Mohabbat k safar main saath meray chal nahin sakte
Judai k safar main saath mera day nahin sakte
Tumhain rasta badalna hai
Meri hud say nikalna hai
Tumahin kis baat ka dar tha
Tumhain janay nahin deti
Kahin per Qaid ker leti...

Aray pagle!!
Mohabat ki tabiyat main
Zabardasti nahin hoti
Jisay rasta badalna ho
Usay rasta badalnay se...
Jisay hud say nikalna ho
Usay hud se nikalnay se...
Na koi rok paya hai na koi rok payega
Mujhay beshaq jagaa dete
Tumahin kis baat ka dar tha
Main tum ko dekh he laiti
Tumahin koi Duaa deti
Kam az kam yun to na hota
Meray saathi haqeeqat hai
Tumaharay baad khonay k liaye kuch bhi nahin baqi
Lakin ab khonay se darti hun
MAIN AB SONAY SAY DARTI HUN.......

**********************************************

Main tujhe chata nahi laikin...
phir bhi jab tu paas nahee hoti
khud ko kitna udas pata hoon
gum se apne hawaas pata hoon
janai kya dhun samai rehti hai
ek khamoshi si chaai rehti hai
dil se bhi guftugu nahee hoti

main tujhe chata nahi laikin...
phir bhi shab ki taweel khalwat mein
tere auqaat sochta hoon main
teri hur baat sochta hoon main
kaun se phool tum ko bhaate hain
rung kya kya pasand aatai hain
kho sa jata hoon teri janat main

main tujhe chata nahi laikin...
phir bhi ehsaas se nijaat nahi
sochta hoon toh ranj sa hota hai
dil ko jaise koi dubota hai
jis ko itna sarhata hoon main
jis ko is darje chata hoon main
is main teri si koi baat nahi

main tujhe chata nahi laikin...

******************************************

Itna hi yaad rakh mujhe
Jaise kisi kitaab mein
Beetey dinon ke dost ka
Khat ik para huwa miley

Lafz mitey mitey se hon
Rang uraa uraa sahi
Lekin woh ajnabi na ho
Uth kar tere galey lage
Bhoole huwe tamaam dukh
Guzrey huwe tamaam sukh
Beetey dinon ki kathaa
Tujh se kahe aur ro pare

Itna hi yaad rakh mujhe
Beetey dinon ke dost ka
Jaise koi khat hoon main
Rakha huwa kitaab mein

*********************************************

mujh say kehta hai kabhi dil main milal atay hein ?
kaisay kaisay mere dushmun ko swaal atay hein ?
yeh jo hum rotay hein chuup chuup k kabhi tanhaai main
rafta rafta tujhay aankkhoon say nikaal atay hein

********************************************

Zindagee ki raahon main
aik lamha lagta hai
dil kisee pay anay main
mujh ko bhi mila tha woh
jis ko dekhtay hi dil
betahasha dharka tha
mujh se keh raha tha woh
tum se pyar hai mujh ko
muskura kay main nay bhi
phool le lia us say
haath haath main le kar
pyar kay ata karda aasman pay hum dono
chahtay thay saath urna
aasman pay jeevan bhar koi urr saka hai kia
haath haath se choota
aik sitara jo toota
tab khabar hui mujh ko
aik lamha lagta hai
dil kay toot janay main
aur umar lagtee hai
kirchian uthanay main

*************************************************

Mujhe tum se yeh kehna hai,
tumhe itnaa bataana hai....
Abhi toh kuch nahi badla
Abhi sab pehle jaisa hai...
Abhi jugnu nahi ruthe,
Abhi taare nahi tootey...
Abhi tum yaad aate ho,
Abhi aansuu nahi sookhey...
Abhi aanchal dhalakta hai,
Abhi tak rang nahi roothey...

Mujhe tumse yeh kehna tha!!!
Tumhein itna batana tha...
Sahaamein sard ho jaayein,
Toh roohein jalne lagti hain...
Log duur ho jaayein,
Mohabbat marne lagti hai...
Tumhain yun yaad karne se,
Mujhay Vehshat see hoti hai..
Tumhare Qurb ki Khwaahish..
Dil main phir sulagti hai..
Abhi Sab pehle jaisa hai..
Asey mausam main ghar se,
Akele jaaya nahii karte...
Jo rasta tanha kar de,
Usey apnaya nahii karte...
Jo batain kehna zaruri hon,
Unhain chupaya nahii karte...
Dard hudd se bahar jaaye,
Yeh waqt laya nahii karte...
MOHABBAT KARNAY WALON KO AAZMAAYA NAHII KARTE!!!

********************************************

Mujhay roshni k jazeeron say ...
Is tarhaan mili ho tum ...
Jaisay taareek rahoon main ...
Koi diya ho mad’dham sa ...
Jis ki roshni main khud ko daikh to sakta hoon magar ...
Yeh roshni ka safar shayad mera hamsafar na ho ...
Shayad k tera milna kabhi bhi meri zindagi ka muqaddar na ho ...
So aaj inhi lamhoon main ...
Lota dain jitni chahatain hain ...
Mere dil k nehaan khanoon main ...
Jitni un kahi batain hain ...
Phir kal fursat milay na milay ...
Jis tarhaan saji hai aaj apni mehfil ...
Phir yeh bazam sajay na sajay ...
Kyon k main janta hoon ...
Kay meri natamaam khuahishoon main ab ...
Tumhain bhi shamil hona hai ...
Aaj paya hai tumhain muqaddar say ...
Kal isi tarhaan ...
Tumhain bhi khona hai .

*******************************************

khubsurat gulaabon jaisi
khawab aur saraabon jaisi
thori si anmol thori si beqadar
shayad suhanay khawabon jaisi
woh aisi hi masoom si larki hai

us ki baaton main saadgi behisaab
us ki tabiat main dillagi lajawaab
na woh afsaana hai na koi raaz
us ki zindagi jaisay ek khuli kitaab
woh aisi hi ek masoom si larki hai

********************************************

Mohabbat...
Naina


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
'Sitaarey' mil nahi saktey....
Old
  (#12)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
'Sitaarey' mil nahi saktey.... - 3rd December 2005, 01:20 PM

'Sitaarey' mil nahi saktey.

Ajab din thhey Mohabbat ke...
Ajab raatein thein chaahat ki...
Kabhi gar yaad aa jaein...
To palkon per sitaarey jhilmilaatey hein...
kissi ki yaad mein,
Raaton ko aksar jaagna maamool tha apna..

Kabhi gar neend aajati!
To ham ye soch letey they!
Abhi to woh hamaarey waastey!
Soyaa nahi ho gaa!
Abhi royaa nahi ho ga!

To phir ham jaagtey they aur us ko yaad kertey thhey!,
Akeley baith ker weeran dil abaad kertey thhey!

Hmaarey saamney taaron ki jhhurmut mein!
Akela chaand hota thha!
Jo uus ke husn ke aagey!
Bohat hi maand hota thha!

Jab agley roz ham miltey to!
To guzri raat ki har be-kali ka zikar kertey thhey!
Har ik qissa suunatey thhey!
Kahan kis baat pe Dil dharka batatey thhey!

Mein jab kehta !
Ke jaanan raat ko!
Roshan sitaaron mein!
Tumhaara Naam daikha thha!

To 'Woh' kehti!
tum jhoot kehtey ho!
Sitaarey mein ne daikhey thhey!
Aur uun roshan sitaaron mein!
Tumhaara naam likhha thha!!!!

Ajab 'Masoom' larki thhi!
Mujhe kehti thhi lagta hai!
Ke ab apney sitaarey!
Mil hi jaaein gai!

Magar uuss ko khabar kia thhi!
Kinaarey Mil nahi saktey!
Mohabbat ki kahaani mein,
Mohabbat kerney walon ke,
'Sitaarey' mil nahi saktey....................

Mohabbat...
Naina


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
Old
  (#13)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
3rd December 2005, 01:38 PM

Kitni ajeeb baat hai
kuch log waqt se pehley
mar jaatey hain
aur
der se
bohot der se
dafnaye jaatey hain

***********************************************

Tum nay pocha tha kabhi
kia main nay Mohabbat ko dekha hai?
Mohabbat toh ehsas hai bas...
Mohabbat chehra nahi rakhti
lekin...
maine dekha hai...
haan!!!
maine dekha hai Mohabbat ko
ke meri Mohabbat tum ho
aur maine tum ko barha dekha hai....

*********************************************

Taaluq is tarah toda nahi karte
Ke phir se jodna dushwar ho jaye
Hayaat ek zehar main doobi hui talwar ho jaye
Mohabbat is tarah chora nahi karte...

Khafa hone ki rasmein hain
Bigarney ke tareeqey hain
Riwaj-o-tark-e-rasm-e-dosti pe sau kitaaben hain
Rawadari ka hergiz rasta chora nahi kertay
Taaluq is tarah toda nahi karte....

Mohabbat meinn sabhi ek doosrey ko aazmatey hain
Magar aeisa nahi kertay

Kay her umeed her imkan mit jaye
Kahan tak khenchni hai door ye andaza rakhty hain
Hamesa char diwari mein ik darwaza rakhty hain
Judai mustakil ho jaye
To ye zindagi zindan ho jaye
Agar khushboo hawaoon se marisim monkita ker lay
To khud mein toot ker bejaan ho jaye
Suno!!!
Jeeney se moohn moda nahi karte
Mohabbat is tarha chora nahi karte...

***********************************************

Titliyon ki khawahish too
titliyoon se nazuk hai
is tarah ki khawahish ka
rang roop dhalnay main
dair kitni lagti hai.......
titlioon ke dil aawaiz
narm narm pankhon se
dilkashi utarnay main
dair jitni lagti hai

**********************************************
Guftugoo Ke Lamhon Main
Dekh He Nahi Paatay
Ham Tumharay Chehray Ko
Tum Hamari Aankhon Ko...
Aaj Aisa Kartay Hain
Chasm-o-lab Ko Parhtay Hain
Baat Chor Datay Hain...

Jaane Kya Lamha Hoga
Jab Ye Hath Hathon Say
Gar Kabhi Juda Hoga
Aaj Aisa Kartay Hain
Zabt-e-Jaan Parakhtay Hain
Hath Chor Datay Hain

Kash Koi Samjha Day
Loag Kis Tarah Dil Ki
Manzilain Alag Kar Kay
Saath Chor Datay Hain
Aaj Aisa Kartay Hain
Bey-sabab Bikhartay Hain
Zaat Tod Datay Hain

**************************************************
Suno !
Tum azm waalay ho
Balaa kaa zabt rak'htay ho
Tumhain kuch bhee naheen hogaa
Magar dek'ho !
Jissay tom ch'hor jaatay ho
Ussay to t'heek se shaayad
Bich'harnaa bhee naheen aata
Suno !
Tum azm waalay ho
'Ussay mat ch'hor kay jaao"

Mohabbat...
Naina


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
Old
  (#14)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
4th December 2005, 01:24 AM

jo tum nay thaan hi li hai
humaray dil se niklo gay
too itna jaan lo Jaanan...
samandar samnay ho ga ager sahil se niklo gay
sitaray jin ki aankhon nay, humain ik sath dekha tha
gawahi denay aain gay
puranay kagzoon ki balkooni se bohat se lafz jhankain gay
tumhain wapis bulain gay
kai waday, fasadi qarz khawahoon ki tarah tumhain rastay main rookain gay
tumhain daman se pakrain gay
tumhari jaan khain gay
chupa ker kis tarah chera
bhari mehfil se niklo gay
zara phir soch lo janan
nikal too jao gay shayad
magar mushkil se niklo gay

*********************************************

bara dushwaar hota hai
zara sa faisla kerna
ke jevan ki kahani ko
beyan-e-bayzubani ko
kahan se yaad rakhna hia
kahan se bhool jana hai
usay kitna batana hai
us say kitna chupana hai
kahan roo roo ke hansna hai
kahan hans hans ke roona hai
us aanchal ke kisi koonay ko
kitna sa bhagoona hia
kahan aawaz deni hai
kahan khamosh rehna hai
kisi dukh ko kahan per
koon se shidat se sehna hai
kahan rasta badalna hia
kahan se loot aana hai
zara sa faisla kerna
bara dushwar hota hai

************************************************

bicharnay se zara pehle
tumhain bhi sooch lena chahiye tha

tumhain bhi sooch lena chahiye tha
ke yoon chahat ko thukraya nahi kertay
ke yoon beetay dinoon ko bhoolna acha nahi hota
ke yoon anjaan ban ker chain se jeena humaray wastay
mumkin nahi ho ga
tumhain bhi sooch lena chahiye tha
ke wo batain jo hum aik dosray se ker chukay hain
ab kabhi wapis na aain gi
ke wo lamhay jo hum ik dosray main jee chukay hain
phir kabhi zinda nahi hoon gay
bicharnay se zara pehle
tumhain bhi sooch lena chahiye tha

************************************************

Usay mein ne hi likha tha..
Ke lehjey barf hO jayain..
TO phir pighla nahin kertey..
Parinday dar k ur jayain..
TO phir lOUta nahin kertey..
Usay mein ne hi likha tha..
Yaqeen uth jaey tO shayad..
Kabhi wapis nahin ata..
HawaOOn ka kOi toofaan kabhi barish nahin lata..
Usay mein ne hi likha tha..
Ke shisha tOOt jayay tO..
Kabhi phir jur nahin pata..
Usay kehna wO bay-mani adOOra khat..
Usay mein ne hi likha tha..
Usay kehna ke deewaney..
Mukammal khat nahin likhtey..
AdOOrey khat hi likhtey hain..

*************************************************

Aik Rah Per Sari Umer Chaley
Ek Dojey Ko Na Samjh Sakey
Jeevan Ka Safer Anjaan Safer
Bay_Khahish Bay_Araam Safer

Jevan K Kissi Bhi Dukh Sukh Main
Woh Meray Saath Shareek Nahin
Hum Dono Main Ek Rishta Hai
Per Jazboon Ki Tehreek Nahin

Jari Hai, Mager Anjaan Safer
Main Sochta Hoon Aik Din Yunhi
Woh Mujh Sey Juda Ho Jayegi
Ya Pehlay Main Mar Jaon Ga

Ya Shaid Woh Mar Jayegi
Phir Loug Kahin Gay Inka
Yeh Rishta Kitna Sacha Tha
Per Kiss Ko Khaber, Sara Jeevan

Woh Tanha Thi...
Main Tanha Tha...

************************************************

mohabat jabh lahu ban kar
ragon mein sarsaraye to
koi bhula hua chehra
yun hii jabh yaad aye to
qadam uthane mushkil hu
irada daghmagae to
kabhi madham se lehje se
koi tumhye bolaye to
ther jana
ek baar palat ke dekh lena
lakin gar na ho koi bhi to
samjah lena ke
dil ne tumhye yaad kia hay
kabhi tanhaiu ka dard
ankhu mein samaye to
koi lamha guzri chahtu ka
jabh tumhye satae to
kisi ki yaad mein rone ko
dil tumhara bhi chahe too
gar tum se tumhara dil
kisi paal ruth jaye too
kabhi unhoniu ka dar
tumhe daraye to
hawa jabh pair se
zard sa koi pata girae to
ther jana
samajh lena
ke dil ne tumhye yaad kia hay

**********************************************

Mohabbat...
Naina


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
Aadab :) Hope You Are Well :)
Old
  (#15)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
Aadab :) Hope You Are Well :) - 4th December 2005, 02:38 AM

*...Dear Friend, Ek gana submit karne aayi thi aur socha yahaan bhi submit kardoun~I hope You will understand...**I Do Read But Not As I Did Before~I Am Fine~Just Can't Write Much..May Be~Anyway, Aap Baataiye~Nayi Kuchh Houa Iss Safar Mein? Ye Zindegi Ka Safar Hain Ye Kaisa Safar, Hain Na? Haan, Gane Ki Bol Hi Thi Shayaad~Yes, Kishore Jee Ki Aawaaz Mein**Duwaaen Hamesha Se Hain Aur Rahegi...**Aapki Shayri Aur Jinke Bhii Shayri Aap Submit Karte Ho Sabhii Dil Ko Achchha Lagta Hain~As Always~*~Dil Ki Gehraaion Ki Gehraaion Se DHer Dher Dher Aur Dher-o-Dher Saare Phoul_Shukriya Quboul Kijiyega... **Likhte Rahiyega**Khush Rahiye ye Duwaaon ke saath ijaazat...**Take Care**...**God bless You.

*(Jaaane Wale~Kabhii Nahiin Aate~Jaane Wale Kii Yaad Aati Haaain)**

Dil Ek Mandeer Haaain -2
Dil Ek Mandeer Haaain -2
Pyaaar Ki Jiss Mein Hoti Hain Pujaa
Ye Preetam Kaa Gharr Hain
Dil Ek Mandeer Haaain -2

Harr Dhadkan Hain Aarti Bandhan
Aankh Jo Neechii Ho Gaye Darshan
Maut Mitaade Chaahe Hasti
Yaad To Amaarr Haaain
Dil Ek Mandeer Haaain -2
Pyaaar Ki Jiss Mein Hoti Hain Pujaa
Ye Preetam Kaa Gharr Hain

Hum Yaadon Ke Phoul Chadhaaye
Aur Aansoun Ke Deep Jalaaye
Sanson Kaa Harr Taar Pukaare
Ye Prem Nagar Haaain
Dil Ek Mandeer Haaain -2
Pyaaar Ki Jiss Mein Hoti Hain Pujaa
Ye Preetam Kaa Gharr Hain
Dil Ek Mandeer Haaain -2



*Singer's: Mohammad Rafi Jee & Lata Jee**
*Film: Dil Ek Mandeer Hain-(1963)**
*Music: Shankar Jaikishan Jee**
*Lyrics: Hasrat Jaipuri Jee**


*Keep Smilling.......**


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
7th December 2005, 01:45 PM

Shukriya Shimul....


Kis Tarhaan Sajaatay Ho,
Maslehat Ki Shaamon Main...
Mehfilain Muhabat Ki...

Aur Mohabatain Bhi Wo
Saal Bhar Mehak JinKi
Dil Ki Saari Galiyoon Main
Raqs Karti Phirti Hain

Kis Tarhaan Sajaatay Ho
Andhion Kay Mausam Main
Tum Deeyay Rafaqat Kay

TumJo Payaar Ki Dolat
Apnay Dil Kay Haatoon Say
KhushBoowon Ki Baaton Say
IsTarhaan Lutaatay Ho
JisTarhaan Koi Jugnoo
Shab Kay RaigZaaroon Par
Roshni Lutaata Hai
TumJo Habs Mausam Main
Ik Hawaa Ka Jhonka Ho

Kis Taraah Sajaatay Ho
Maslehat Ki Shaamoon Main
Mehfilain Muhabat Ki

Kuchh Humain Bhi Batlaao
Kuchh Humain Bhi Sikhlao
Hum To Apnay Sehraa Kay
Be-Nawaa Musaafir Hain
Hum Tumhaaray Jazboon Ki
Naik Si Fizaaoon Main
Phool Jaisay Geetoon Ki
Raqs Karti Khushboo Kay
Be-Qaraar Shaayar Hain

*************************************************

hansti gati is dunya main
pehalay din say aik safar hai
jis main log sitaroon jasay
miltay or bichhar jatay hain
jin pairoon ki chhaon hai sab par
asay pair laganay walay
pyaray log guzar jatay hain
or safar jari rahata hai
rah tamam nahin hoti hai
sacha ishq tu aisa din hai
jis ki sham nahin hoti hai
daman khali b rahtay hain
phoolon say bar b jatay hain
lakin aisa b hota hai
ankhain pather ho jati hain
poray khwab nahin hotay hain

************************************************

qasam to khaa li hai tum nain
mujhay kabhi bhee na yaad kernay ki
magar main janta hoon
tum mujhay kabhi na bhula sako gi
din bher hanstay khailtay main shaid
meri yaad na aye tumhain
magar sunooooon!!!!!!!!!!!!
subha jub aaankh khulay tumhari
to takye per
phailay huway apnay kajol ko
chupaa liya kerna
keh koi jaan na sakkay
tum raat dare tuk roti rehi hoo
meri yaad main!

***********************************************

Kuch khuwaab hain jin ko likhna hai
Tabeer ki surat deni hai
Kuch log hain ujrre Dil wale
Jinhain apni Mohabbat deni hai
Kuch Phool hain jin ko chunna hai
Aur haar ki surat deni hai
Kuch apni neenden baaki hain
Jinhain baant na hai kuch logon main
Aey umer-e- rawaan ahista chal
Abhi bohat sa Qarz chukaana hai

**********************************************

yoon hi batoon hi batoon main
mujhe us nay bataya tha
mohabat kernay walay pyar main dhoka nahi kertay
koi jab baat kerta hoo usay tooka nahi kertay
jisay janay ki jaldi ho usay rooka nahi kertay
yoon hi batoon hi batoon main
mujhe ab yaad aaya hai
usay janay ki jaldi thi

***********************************************

pagal aankhon wali lakrki
itnay mehngay khawab na dekho
thak jao gi
kanch se nazuk khawab tumharay
toot gay too pachtao gi
soch ka sara ujla kundan
zabt ki rah main ghul jaye ga
tum kia jano
khawab safar ki dhoop ke sheshay
khawab adhori raat ka dozakh
khawaboon ka hasil tanhai
khawaboon ki manzil ruswai
khawab khialon ka pachtawa
tum kia jano
mehngay khawab khareedna ho
too aankhain baichni perti hain

***********************************************

Mohabbat...
Naina


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
Old
  (#17)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
7th December 2005, 01:49 PM

kisi larki se mat kehna
k uss se pyar kertay hoo
agar baydihaani main ye iqrar ker baithay
kisi se pyaar ker baithay
tu waadoon ki dor main ulhaj ker toot jaaogay
tumharay pyaar ka iss ko agar ehsas hu jaiy
tu ho sakta hai tum uss ka rang roop ban jaao
mohubbat k safar main shayd aisa mor aajaiy
k tum narazgi ka bermala izhaar ker baithoo
koi inkaar ker baithoo
tu ye sumjho,koi sheesha ,koi dil toot jaiy ga
k inn k dil boht nuzuk ,boht kamzor hotay hain
kisi Larki k dil ka tootna bhi maut hoti hai
Kisi larki se mat kehna

************************************************

Please
tum mut jao
dekho tumhari khatir
main sitaray ginana seekh raha hoon
mizaroon per tumharay naam ke diye jalanay abhi shuru kiye hain
abhi too meri aankhon ne sapnay bunana shuru kiye hain
tumhari qasam faqat tumharay liye
apni sari aadatain badal chuka hoon
tooti phooti nazmain likhna
ghazlain sunana shairy perhna
sab choor chuka hoon
meethay sur ke naghmay sunana
hunstay rehna
kamray ki her cheez terteeb se rakhnay laga hoon
tumharay liye
aur najanay kitna kuch badal chuka hoon
Khuda ke liye is tarah maat jao
sunoo..
main tumhari khatir jee too raha hoon
shayad
tumhari khatir maar bhi jaon

***********************************************

Dill chahey woh koi baat karey
jab dill kay taar tootey hon
jab saarey mujh say roothey hon
jab aankhain meri beeghi hon
dill chahey woh koi baat karey


jab mosm-e-bahaar aa jaey
jab phoolon pay khumaar chaa jaey
jab merey dill main aag lagey
uss aag ko woh gulzaar karey
dill chahey woh koi baat karey


jab saaaki dushman ho jaey
jab jeena mushkil ho jaey
jab log sang uthaey hon
jabsang kii woh barsaat karain
dill chahey woh koi baat karey


woh kahey,meraa dil pay nahi hai zor koi
merey dill main nahi hai aor koi
woh kahey basss main teriii hoon
basss itni seee baat karey
dill chahey woh koi baat karey

***********************************************

shab -e-tanhaee
wo jo baray sukh main hay
usay kehna
keh raat ka pichla pehr hay
aur abhi hum jagtay hain
hamari ankhon say neend kosoo'n door hay
hamaray lab abhi tak is k naghmay gungunatay hain
hamara zehan ab bhi us ki batain sochta hay tau
kabhi hum hans detay hain
kabhi jee bhar k rotay hain
shab-e-tanhaee ki yakh basta hawao.. !
usay kehna hum ab bhi ba wazo ho ker tumhara naam laitay hain
usay kehna, ya apna naqsh dho jay
ya phir say apna ho jay .. !

***********************************************

abhi woh dard baqi hai
agarche waqt marham hai
magar kuch waqt lagta hai
kisi ko bhool janey mein
dobara dil basaney mein
abhi kuch waqt lagna hai
abhi woh dard baqi hai
mein kaise naii ulfat mein
apni zaat ko gum kar doon
ke mere jism-o-wajdaan mein
abhi woh fard baqi hai
abhi us shakhs ki mujh per
nigah-e-sard baqi hai
abhi to ishq ke raston ki
mujh per gard baqi hai
abhi woh dard baqi hai.....

**********************************************

Jab seenay kay ander
Sans kay derya dolte hain
jab musam serd howa main
Aik Gheri chup si gholtey hain
Jab aansoo
Pelkain rolte hain
Jab sab aawazain
Appnay apnay bister per soo jate hain
Tab aahista aahista
Sanse lay ker aankh kholtey hain
Aur
Dhuk boltey hain...

Mohabbat...
Naina


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
Old
  (#18)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
11th December 2005, 04:54 PM

Iss raat ki nikhri rangat ko
Kuch aur nikhar jaane de zara
Nazron ko bahak jaane de zara
Zulfon ko bikhar jaane de zara
Kuch der ki hi taskeen sahi
Kuch der ka hi aaraam sahi

Jazbaat ki kaliyaaN chun naa hai
Aur pyar kaa tohfaa denaa hai
Logon ki nigahen kuch bhi kahen
Logon se hamen kya lenaa hai
Ye khaas ta'aaluq apas ka
Duniya ki nazar main aam sahi

Rusvaii ke dar se ghabra kar
Ham tark-e-wafa kab karate hain
Jis dil ko basa lain pahluu main
Us dil ko juda kab karte hain
Jo hashr hua hai laakhon kaa
Apnaa bhi vahi anjaam sahi

Ye husn tera ye ishq meraa
Rangeen too hai badnaam sahi
Mujh phar too kayi ilzaam lage
Tujh phar bhi koi ilzaam sahi

***********************************************

Unn Jheel See Gahree Ankhoon Main...
Ik Sham Kaheen Abad To Ho
Uss Jheel Kinaray Pal Do Pal
Ik Khawab Ka Neela Phool Khilay!
Woh Phool Baha Dain Lehroon Main
Ik Roz Kabhi Hum Sham Dhalay
Uss Phool Kay Behtay Rangoon Main
Jiss Waqt Larzta Chand Chalay
Uss Waqt Kaheen Unn Ankhoon Main
Uss Bisray Pal Key Yaad To Ho....

Unn Jheel See Gahree Ankhoon Main
Ik Sham Kaheen Abad To Ho
Phir Chahay Umer Samandar Key
Her Moj Pareeshan Hoo Jaiy
Phir Chahay Ankh Dareechay Say
Her Khawab Gureezaan Ho Jaiy
Phir Chahay Phool Kay Chahray Ka
Her Dard Numayaan Ho Jaiy....

Uss Jheel Kinaray Pal Do Pal
Woh Roop Nagar Ejaad To Ho
Din Raat Kay Iss Aainay Say
Woh Aks Kaheen Azad To Ho
Unn Jheel See Gahree Ankhoon Main
Ik Shaam Kaheen Abad To Ho
_________________

usay roktay bhi to kis liye?
wo jo shahr-e-dil tha ujar gia
wo jo khawab tha wo bikhar gia
kabhi mausamon ki nazar lagi
kabhi wahamon nay dara dia
kabhi manziloon ke sarab nay
kabhi zindgi ki kitab se humain
jis nay chaha mita dia
bas isi liye....
wo jo ja raha tha door tak
usay dekhtay hi rahay magar
nahi di sada.....
usay roktay bhi to kis liye?
_________________

Kisi ko alwida kahna
buhat takleef daita hai
umeedein toot jaati hain
yaqeen pe beyaqeeni ka kehar kuch aisa charhta hai
dekhai kuch nahi daita sujhai kuch nahi daita
dua k lafz hontoon pe musalsal kapkapatein hain
kisi kuwahish k andaishay
zehan main doorh jatay hain
guman kuch aisay hota hai
k jaisay mil na paain gay
ye gahray zakhm furqat k kisi se cil na paain gay
kabhi aisa bhi ho ya rab
duain maan laita hai
tu koi mojza karday tu aisa kar bhi sakta hai
meray haathon ki janib dekh inhay tu bhar bhi sakta hai
judai ki ye teekhi taar dilon ka khoon karti hai
judai ki azeeyat se
mera dil abb bhi darta hai
judai do ghari ki ho tu koi dil ko samjhai
judai chaar pal ki ho tu koi dil ko bahlai
judai umer bhar ki ho
tu kya chara karay koi
k aik milnay ki hasrat main bhala kub tak jeya koi
meray moola karam karday tu aisa kar bhi sakta hai
meray haathon ki janib dekh inhay tu bhar bhi sakta hai
_________________

silsiley judaai k
kuch sehel nahi hain per
hum nay thaan rakhi hai
tum sey ab nahi milna
zukhm jo diya tum nay
us ko ab nahi silna
phool jo tha khwaboo ka
us ko ab nahi khilna
hum nay thaan rakhi hai
tum sey ab nahi milna
_________________

Mujhey aawaz mat dena
bari mushkil sey main nay aaj hai
rakht-e safar bandha
mujhe us dess jana hai
jaha.n sey lout kar koi
kabhi wapas nahi aya
merey piyarey waha.n mud'dat sey
mujh ko yaad kartey hain
yahan per main agar ik pal ko bhi
ranjoor hota hoon
barey hi piyaar sey aa kar
mujhe wo thaam letey hain
mujhe girney nahi detey
merey maathey pe bosa sabt karte hain
galey mujh ko lagatey hain
barey dherey sey kehtey hain
"Meri jaa.n ! yoon nahi rotey
tumhaarey saath hum hain na!
tumhain kis baat ka dar hai!"
unhi k saath ki chahat main
main nay aaj himmat sey
hai kuch rakht-e safar bandha
mujhe aawaz mat dena
mujhe us dess jana hai
jahan sey lout kar koi
kabhi wapas nahi aaya
mujhey aawaz mat dena

************************************************
Mohabbat...
Naina


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
Old
  (#19)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
11th December 2005, 04:58 PM

Suno!
mujhay yaad naa aaya karo
jub main apnay dostoun k darmiyaan baitha bol raha hota hoon
kisi imtihaan ki tayyari main masroof nazar aaoon
ya kisi masroof sadak par drive kar raha houn
mausam acha ho or main akaila
ya khaas taur par aisey waqt
jub kisi ko khat likh raha houn
ya kisi bohat hee pyaarey shakhs ki yaadon main gum
duniya-o-maafeeha say bekhabar ho jaoon....

Tum mujhay yaad naa aaya karo!!
_________________

Mujey tum yaad atey ho
kisi sunsaan sapney mai chupi khahish ki hidat mai
kisi masroofiat ke morR par
tanhayee ke sehrawon mai
ya piir kisi anjaan bimarii ki shidat mai
Mujey tum yaad atey ho
mere choup ke koowen mai
aarzoowon ke badan jab tertey hain
aur kinarey se koyee boley
tho lagta hai ajal awaz detee hai
meree becheniyon mai jab tumharee toond-khoo ranjish katakti hai
TUMHAREE BESABAB DOUREE SULAGTEE HAI
ya piir jab bhi meree aankon ke sehra mai
tumharee yaad ki tasweer jaltee hai -- JUDAI HAATH MALTEE HAI
Mujey tum yaad atey ho
Mujey tum yaad atey ho
muqadar ke sitharon par
zamanon ke isharon par
udasii ke kinaron par
kabhi veeran shehron mai
kabhi sunsaan raston par
kabhi hiiran aankon mai
kabhi bejaan lamhon par
Mujey tum yaad atey ho
suhaani shaam ho koyee
kaheen badnaam ho koyee
bhaley gul-faam ho koyee
KIISII KE NAAM HO KOYEE
Mujey tum yaad atey ho
kaheen barish baras jaye
kaheen sehra taras jaye
kaheen kaali gata utrey
kaheen bad e saba tehrey
TUHAREY AUR MEREY DARMIIYAAN AA KAR KHUDA TEHREY
tho meree zindagee ke awal o akhir
TUM USS LAMHEY
KHUDA ke baad atey ho
MUJEY TUM YAAD ATEY HO
Mujey tum yaad atey ho
_________________

us sunder see muskan k peechey
kuch tootey tootey sapnay they
kuch roothey roothey apney they
kuch khawab they jo k toot chukey they
kuch man they jo k rooth chukey they
us sunder see muskan k peechey
Raz jo dil mein gahra tha
us pay hansee ka pahra tha
qahqahoon k kuch qufal bhee they
Adhey jin mein toot chukey they
man they jo k rooth chukey they
us sunder see muskan k peechey
sahtey sahtey beh jatein thein
do ankhein sab kuch keh jatee thein
yadoon kee pur nam zameen per
gulab they jo k sookh chukey they
man they jo k rooth chukey they
us sunder see muskan k peechey
apna koi ameen nahin tha
ghairoon pay bhee yaqeen nahin tha
hud gharzee ka woh gila kia kertee
sath they jo k loot chukey they
man they jo k rooth chukey they
us sunder see muskan k peechey
woh dasht kee gahree daldal thee
aur dunoiya shoh-o- chanchal thee
rait kee moj mein dhanstey dhanstey
hath they jo k chhot chukey they
man they jo k rooth chukey they
us sunder see muskan k peechey
_________________

Teri Ankhoon Si Ankhien
aaj aik chehray pe dekhi hien
Wuhi rungut ' banawat
aur waisi beyrukhi un mien
bichurtay waqt ju main ne
Teri ankhoon mein dekhi thi

Teri ankhoon si ankhoon ne
mujeh aik PuL ko dekha tha
wuh puL aik aam sa puL tha
mager os aam se puL mien
puraanay kitnay mausum' kitnay munzur main ne dekhay thay
Meri jaa'n main samjha tha
teri ankhoon si ankhien jub
meri ankhoon ko dekheingi
tao ik Lumhay ko soochaingi
keh in ankhoon ko pehLay bhi
kisi chehray pe dekha hai
Mager in jheeL ankhoon mein
shanasaayi nahi jaagi
Meri Ankhien ~!!
teri ankhoon si ankhoon ke Liey
kaab khaas ankhien thien
teri ankhoon ne shaayid yeh
kaayi chehroon per dekhi hoon
keh yeh to AAM ankhien hain

Main aisa sooch sakta tha
mager main kya keroon diL ka
ju ub yeh yaad rukheyga
teri ankhoon si ankhien
main ne aik chehray pe dekhi thien
phir os k baad kitnay din
meri ankhoon mein sawan tha
_________________

apni tanhaaiyon say pocha hay
shab e hijraan say baat karli hay

meray ander ki sehmi khamoshi
meray bahir ka hansta chehra bhee

rat k sansnatay lemhay bhee
din ka dasta hoa ujaala bhee

zabt ka toota ye bandhn bhee
sabar ka chota ye daman bhee

us ki yaaden bhe kuch isharon mein
mujh ko majboor kar rahay hein sab

aao us k paas chaltay hein
us say kehtay hein kuch dawa kar day

apni fitrat ko chor kar ik pal
koi wada to tum wafa kar do

in ki baaton sya kuch nahi hoga
aakhri feysla to dil ka hay

dil ye kehta hay is say milnay say
apni tanhaaiyan he achi hain

ab akelay mein lag gia hay ye dill
Us Say milnay Hamein nahi Jana
Us ki Baten ,udaas kardengi ..!
_________________

udaas raatoon main dil ki basti main aa ke dekho
her aik rasta , her ik dareecha
tumhari aahat ka muntazir hai
falaq se takta hai chaand tum ko , sitare tum ko bula rehe hain
tumhari aamad ke muntazir hain
mager suna hai keh tum ne meri muhabbatoon ko bhula diya hai
wafa ki low ko bhuja diya hai
ager yeh sach hai to phir bataaoo
tumhari aankhoon ke yeh jazeeray
brang sehara udaas kiu hain
gulab chehre ke rang main shamil
udaasiyoon ke haras kiu hain
tumhare sheerin laboon pe larzaan
muhabbatoon ki yeh piyaas kiu hai
mujhe yaqqeeen hai tumhare dill main
gaye dino ke khayaal hain kuch
naye safar ke mallal hain kuch
nai rutoon k sawaal hain kuch
ager yeh sach hai
to meri maanoo
puuraane raste pe loat aaaoo
puuraaani bastii main koi abb tak
tumhaari aamad ka muntazir hai
tumhari chaahat ka muntazir hai
_________________

Mohabbat...
Naina


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
Old
  (#20)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
11th December 2005, 05:01 PM

Kaho Ab Kya Kahoo'n Tum Se
Batao Kya Likhoo'n Tum Ko
Mujhey Tamheed Do Koi
Mujhey Umeed Do Koi
Naya Ik Lafz Ho Koi
Jahan Se Baat Chal Nikley
Meri Mushkil ka Hall Nikley
Batao Lehja Kaisa Ho !
Ke Tum Se Baat Karni Hai
Mujhey Thora Ujaala Do
Basar Ik Raat Karni Hai
Zara Bolo To Main Likhoo'n
Tum Apni Roshan Aankhoo'n Ko
Agar Kholo To Main Likhoo'n
Tumhaarey Lab Se Aaye Ga
Sukhan Mein Ik Kateela Pan
Tumhaari Aankh De De Gi
Takhaatub Ko Nasheela Pan
Kaho Ab Kya Iraada Hai
Mujhey IZhaar Karna Hai
Ke Betaabi Zayada Hai
_________________

Abhi zid na kar dil -e- be khabar!
ke pas -e- hajoom -e- sitam garaan
abhi kon tujh se wafa kare
abhi kis ko fursatein hein iss qadar
ke samait kar teri kirchiyaan
tere haq main khud se dua kare
abhi zid na kar dil -e- be khabar
ke tah -e- ghubaar -e- gham -e- jahaan
kahan kho gaye tere chaara gar
ke raah -e- hayaat main rayegaan
kahan so gaye tere hamsafar
abhi gham gusaaron ki chott seh
abhi kuch na sun abhi kuch na keh
abhi zid na kar mere be nawaa
kabhi yun bhi ho ke sarr -e- ufaq
tere dukh ka chaand damak utthay
koi tees khud se chamak utthay
kisi sheher -e- zakhm -e- farosh main
koi zakhm khud se khareed kar
sabhi aks khud se khurach kabhi
kisi aayeine par na deed kar
kabhi yun bhi jashn -e- tarab manaa
kabhi iss tarah se bhi eid kar.
_________________

Abi Ik Mod Aaya hai
Abi manzil nahi aai
Abi apne diay se
Or kitne hi diay mujko jalane hen
Abi to is safr men
Or kitne Morr ane hen
Abi men taza dam hun
Abi seene men jalta wo dia
wese hi roshan he
Abi Zulmat kade men
mujko apne hise k diay jalane hen
k yun b roshni taqseem krne ki saf main
manzloon ko Qed kia ho gi
Purane sathion ko chorrne ka
Gham to he dil me!
K jinke sath chalne se
safer ne apni saari mushkilen khud hi smeti thein
Nae Raston pe inki yaad mere sath ho gi
Puraane sathion ko chhorne ka gham to hai dil main
magr mujko abi to
Roshni Taqseem krni he
Abi to morr aaia he
Abi manzil nahi aai
_________________

To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Kisi gulaab ki khushboo kay bikharnay par bhi
Zara say aab kay aankhon main utarnay par bhi
Kitaab uthatay huay, Geet koyi gaatay huay
Ittar lagatay huay, choorian pehentay huay
Sanwar ke der talak aa-eenay ko taktay huay!

To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Subha ko uthtay huay, shaam ko teheltay huay
Neend naa aaye agar karwatain badaltay huay
Kabhi yoonhi kisi makhsoos dhun ko suntay huay
Faarigh oqaat main koyi kitaab parhtay huay!

To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Barastay abr main chhat par kabhi kharay hokar
Kisi kay rooth kay jaanay pay chirchiray hokar
Kisi saheli say bus yoonhi baat kartay huay
Kisi khayal main bethay se uth ke chaltay huay
Kisi bhi raat ko uth kar yoonhi tehltay huay!

To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Akelay yoonhi kabhi apni dhun main chlatay huay
Kisi ki saalgira par yoonhi beheltay huay
Kisi oonchayi pe tanha sambhal ke chartay huay
Utartay chaand ka mojon main aks partay huay!

To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Kisi gulaab ko tehni se torr kar bhi nahi
Kisi darakht ke saaye main beth kar bhi nahi
Apnay darwazay pe dastak koyi sunkar bhi nahi
Kisi dareecha-e-makaan se jhaank kar bhi nahi?

Apni Kitab main koi naam dekh kar bhi nahi?
Yaad-e-Maazi main kaheen door doob kar bhi nahi
Kisi bhi shakhs ko khamosh dekh kar bhi nahi
Kisi bhi aankh ko num dekh kar bhi nahi
Kahin lafzon main koi A dekh kar bhi nahi
Azaan hotay hi aanchal se sar ko dhaktay huay bhi nahi?
_________________

suno jo Dil main baat hai kehdo
ke hum hain muntazir kab se
tumhare chand lafzon ke
ya hum ko qaid kardaalo
ya phir aazad tum kardo
ke jazba koi bhi ho
izhaar ka mohtaaj rahta hae
yeh waqt agar haath se kho bethe
to phir pachtaoge tum bhi
lo humne aankhen bund karlin
chalo ab kehdo tum hum se
ke tumhe Humse Mohabbat hai
_________________

agar mein asmaan hota
teri be aab dharti per
koi chashma uga deta
samadar bhej deta mein
tere sehraoon ki janib
tere aangan mein sawan ka
koi badal khila deta
mita deta
udasi ki ghaneri dhund ko
rangoon ki barish se
sehar ki awalein kirnoon ko
tere naam kar deta
agar mein asmaan hota
muradoon k sabhi sikey
talb karney se pehley hajr
tera kashkool bhar deta
tujhey khwabon k badley mein
haseen tabeer de deta
mein apni sab khudai bhi
tere kadmoon mein rakh deta
agar mein asmaan hota...

*******************************************

Mohabbat...
Naina


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
Old
  (#21)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
13th December 2005, 02:09 PM

Wo mujh se nahin kehta ...
K usay mujh se mohabbat hai ...
Magar woh aaj kal, aik junoon ki zad main rehta hai ...
Ajab aik bekhudi hai jo usay bechain rakhti hai ...
Woh mujh se baat karta hai ...
Bohot hi aam si, mousam ki, logoon ki ...
Mahaz dunya ki rasmi si ...
Woh mujh se baat karne k, bahane dhoondta hai un hawaloon se ...
Samaghta hai main us ki aam si baatoon ko bas "yoonhi" samaghti hoon ...
Woh milta hai aksar bahanoon se ...
K main guzar raha tha yahan se tou socha k baat hi kar loon ...
Samaghta hai k main us k in bahanoon ko na janoongi ...
Kabhi jo phone karta hai ...
Tou us ki mohabbat us ke lehje se chalakti hai ...
Mujhay bechain karti hai ...
Woh mera dehaan rakhta hai ...
Meri har baat ko hi bin kahe jaan leta hai ...
Samaghta hai woh ye phir bhi ...
K us ne khud ko chupa rakha hai khud hi se ...
Magar aksar ...
Woh khud anjane main apna ye parda chaak karta hai ...
K jab meri - bohot pehle kahi hui har baat ko woh yaad rakhta hai ...
Aur unhi lafzoon main mere saamne dohra bhi deta hai ...
Youn lagta hai ...
K us ne meri kahi har baat ko yaad rakha hai ...
Woh jaise aik Mahifa ho ...
Woh mujh se ye nahin kehta ...
K us ki khuahish us ko bohot bechain rakhti hai ...
Ya shayad in dinoon woh khud se bhi chupata hai ...
Magar ...
Uski nigaahain aksar us ko nakaam karti hain ...
K saray Jame-e-ulfat k woh bhar bhar kar lutati hain ...
Woh darta hai k kahin woh kho na de mujh ko ...
K koi baat us ki mujh ko us se duur na kar de ...
Woh mujh ko soochta hai ...
Jaagta hai raat bhar woh bhi ...
Magar shayad abhi us ko mohabbat main ....
Khamooshi se hi jalna hai ...
K woh jab tak parh nahin leta ...
Ye aankhain, jis main k us ka naam likha hai ...
K mere laho ki gardishoon main raqs karti chahatain us ki ...
Woh jab tak paa nahin leta ...
Samagh leta nahin jab tak ...
K main bhi gaamzan hoon ...
Khamooshi se us k raaste par ...
Main bhi jaagti hoon, soochti hoon raat bhar us ko .
Magar us se nahin kehti ...
K ... "MUJHAY US SE MOHABBAT HAI" ...
_________________

yeh saal bhi aakhir beet gaya "
kuch teesain, yaadain , khuwab liye
kuch kaliyan , chand gulaab liye
kuch ankhariyan pur aab liye
kuch ujlay din kali raatain
kuch sachey dukh jhooti baatain
kuch tapti rutain , kuch barsaatain
kisi yaar-e-aziz ka dukh piyara
kisi chat pe ummeedon ka taara
jis pe hansta tha jag saara
us shaair ne jo hurf likhey
us main teri yaad k saaye thay
woh log sabhi aakhir lout gaye
jo sadiyon paar se aaye thay
un hanste baste logon ne
mere saaray gham apnaye thay
phir main ne yaad ki mitti main
zakhmi lamhey dafnaye thay
_________________
Agar sehra sey guzro to merey sahir sey keh daina
tumhari bay sabab doori mujhay aksar rulati hey !!

merey sahir say keh daina
Musafir aaj tak chup hay
k uskay hath main TUM nay
jo apna hath rakha tha
wo ab tak yaad karta hey....

merey sahir say keh daina
k sadion ki musafat nay
mairay pairon say bandhi hay
thakan ab k baras itni
kay apni doobti nabzon say main khaiyef sa rehta hoon

na janey kab kahan pay umr ki yeh dor kat jay
main apnay aur tumharay beech k in faslon ko
chand sanson ki kammi sey har na jaon
bisat-e-jaa'n pay pheli doorio'n k bojh ko lay kar
younhi chup chap mar jaon ....

merey sahir sey keh deyna
k uss k ishq k tilsam say ab tak wo nahi nikley
kay jin ko uski ankhon nay faqat ik bar bhi dekha
mairay sahir sey keh daina
k saarey shehar ko mairay
younhi pathar na rehney day...
mairay tilsam kado'n main lout kar aay
k wo pathar tarastey hain
tumhari chasm ki junbish unhain ik bar phir kar day
kisi zee rooh ki manind ........

merey sahir sey keh deyna !
bichar kar tum jo miltey thay
to yun mehsoos hota tha
k jaisey marg k dhundhley kinaron tak pohanchtey hi........
adhoora kam koi zindagi ko yaad aa jaye.....

kaho phir say chala aay .....
k uskay lout aanay say
hamari doobti nabzon ko waisey hi
kabhi to sans aa jaye.................

agar sehra say guzro tau..........
merey SAHIR sey keh deyna !!!!

Agar jungal se guzro to
mairay jugnoo say keh daina
Tumhari besabab doori
Mujhe aksar rulati hai
Meri shamain andheri hain
Meri ratain bhi teera hain
Mere sab taaq khali hain
Meri aankhain sawali hain

Mairay jugnoo se keh dena
Mohabbat aaj tak chup hai
K iss k hath main us nay
Jo dehka dagh rakha tha
wo ab tak baat karta hay

Mere jugnoo say keh daina
Mere jazbo'n nay raho'n main
Moharain rok rakhi hain
Inhain azn-e-safr daido
Inhain dil se guzarnay do

Mere jugnoo se keh dena
Meri aankhon ko ‘qum’ keh do
Yeh umron say yonhi bejaan hain
Khuabon ke madfan main
Inhain phir se jila day do

Mere jugnoo se keh daina
Ghamon nay raag chera hai
Aziyat raqs karti hai
Meri tanhai ka chracha
Daroon-e-zaat phela hai

Mere jugnoo se keh daina
Faqat us ki kami nay
Zindagi main soug rakha hai
Mere jugnoo se keh dena
Kion jangal main bhtakta hai
Kion khod ko rok rakha hai
Tumhari besabab dori mujhe aksar rulati hai
Agar jangal se guzro to
Mere jugnoo se keh daina…………….!!!!!!
_________________


Mout ki haqeeqat aur
Zindagi ke sapnae ki
Behas go purani hai
Phir bhi ik kahani hai
Aur kahaneyan bhi tu
Wakt say ibarat hain
Lakh rokna chahain
Wakt ko guzerna hai
Hasnte hanste chehroon ko
Ik din ujarna hai
Rahatain hawayein hain
Chahtain sadayain hain
Kia kabhie hawayein bhi
Dastras main rehti hain
Kia kabhie sadayein bhi
Kuch palut ke kehte hain
Pyaar bhi nahi rehna
Aur pyar ka dukh bhi
Ansoyun ke darya ko
Ik din utarna hai
Khwaishoon ko marna hai
Wakt ko guzerna hai..!!!
_________________

Is dil mein salamat hai ab tak
Wo shokhi-ae-lab wo harf-e-wafa
Wo naqsh-e-qadam wo aks-e-hina
Soo bar jissay choma ham ne
Soo bar paristish ki jis ki
Is dil mein salamat hai ab tak
Wo gard-e-alam wo deda-e-nam
Ham jis mein chupa kar rakhtay thay
Tasveer bikharti yadon ki
Zanjeer bikhartay wadon ki
Pounjii nakaam iradon ki
Ae taze hawa naraz na ho
Is dil mein salamat hai ab tak
Saman bicharti sayaton ka
Khuch tukray garam dopahron ke
Khuch razay naram sawalon ke
Khcuh durr anmole khayalon kay
Ik sacha roop haqiqat ka
Ik jhota lafz mohabbat ka.
_________________

Mohabbat...
Naina


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
Old
  (#22)
Rohin
Registered User
Rohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to behold
 
Rohin's Avatar
 
Offline
Posts: 3,937
Join Date: Dec 2003
Rep Power: 32
14th December 2005, 06:48 AM

awesome


http://www.thoughtsunbound.com a place for my thoughts
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
5th February 2006, 07:27 AM

AAJ SAAL KI AAKHRI RAAT HAY


Mujhay yaad hay
pichley saal inhi dinoun main
main nay tumhain apney andar
saatween baar qatal kar k waheen kaheen
kisi weeraaney main dafan kia tha
or tumhaari qabar
faramoshi k bhaari patharoun say bhar di thi
or us say pehlay aik baar
door daraaz say aaney waaley kisi dev-heekal
parindey k pairoun say
tujhay baandh kar urha dia tha
or phir us say bhi pehlay inhi dinoun main
main nay tumhain mukammal taur par jala kar
tumhaari raakh aik taiz raftaar daryaa main
bahadi thi..
Lakin is saari jaan kaahi k bawajood tum aaj phir
hamaisha ki tarah meri aankhoun main aankhain daaley
meray dil ko apni muthi main jakrhey
meray saamney kharey ho!!

FARHAT ABBAS SHAH
**********************************************
Sochtey rehnay ki aadat hogayi
chaunktey rehnay ki aadat hogayi
hijr ki raatoun k sung aankhoun ko bhi
jaagtey rehnay ki aadat hogayi
jaaney kia dur hayk apnay aap say
bhaagtey rehnay ki aadat hogayi
woh nahin lautey gaa phir kiyoon rehguzaar
daikhtey rehnay ki aadat hogayi
woh meray andar chupa hay or usay
boltey rehnay ki aadat hogayi~!!

****************************************
Abhi kuch pul hamarey haath main hain
koan jaaney
konsa lamha hamarey haath say phisley, girey
or paoon ki zanjeer hojayey
abhi yeh din jo lagta hay k hum ik doosrey k saath
reh saktey hain pal do pal
najaaney kub kahan deewaar bun jayain
abhi do chaar saansain buch rahi hain
yeh to jhaunka hain
kisey maloom kis aahistagi say yoon guzar jayay
k hum daryaoun k do mukhtalif na'aashna goongey kinaaroun par
kharey
ik doosrey ki shakal takney ko taras jayain
meri awaaz teri yaad main zinda hou bus
or main teri tasweer aankhoun main liyey rona chupaoon
shehar waaloun say
abhi kuch pul hamarey haath main hain
hum jo chahain gain to kuch kum kum bhi mil lain gain
magar jaaney kahan.... ?
kub... ?
konsa lamha....?

***********************************************
Bey tahasha hay tujhay yaad kia
or bhulaaya bhi bohat hay tujh ko
saari raunaq hee teray dum say hay
or teray bikhrey huay gham say hay


jis qadar
main nay talluq tera mehsoos kia
itni gehraayi tou roohoun main hua karti hay
jis qadar
main nay teri zaat ko khud main paaya
itni yaqtaayi kahan milti hay

faasley wuq'atain kho baithey hain
dooriyaan pheeki parheen
itni shiddat say tujhay socha hay
itni shiddat say tujhay chaha hay
shiddatain ishq ki mairaaj hua karti hain!!

************************************************
Tum jo hote tu hamien kitna sahara hota
Hum ne auroun ko na youn dukh mein pokara hota

Jitni siddat se main wabasta tha tum se Farhat
Kis tarha mera tere baad guzara hota...........!

Mujh ko yeh soch hi kafi hai jalane k liye
main nahota tu koi aur tumhara hota

Aur hum baith k khamoshi se roye jate
Sham hoti kisi darya ka kinara hota

Dil se dekhi nahi jati thi khamoshi ghar ki
kis tarha ojdha hoa shehar gawara hota

Chand hota k meri Jaan sitara hota
Hum ne ik tere siwa dil se otara hota

Tu ne socha hai kabhi kitna mohabat k baghair
Rooh farsaa dil-e-viraan ka nazara hota !!
_________________

Udaas shaamain, ujaarh rastey kabhi bulayain tou laut aana
kisi ki aankhoun main ratjagoun k azaab aayain tou laut aana

abhi nayi waadiyoun main, nayey manzaroun main reh lo magar meri jaan
yeh saarey ik ik kar k jub tum ko chorh jaayain tou laut aana

main rouz yoonhi hawa pay likh likh kar uski jaanib yeh bhaijta hoon
k achey mausam agar pahaarhoun pay muskuraayain tou laut aana

agar andhairoun main chorh kar tum ko bhool jayain tumhaarey saathi
or apni khaatir hee apney diyey jalaayain tou laut aana

meri woh baatain jin pay bey ikhtiyaar hunsta tha khilkhila kar
bicharhney waaley meri woh baatain kabhi rulaayain tou laut aana !!

**************************************************
Tum nay murjhayey huay phool kabhi daikhey hain?
dil ki qabroun pay parhey...
hijr ki laash ki aankhoun pay dharey
Tum nay uktayey huay khuwaab kabhi daikhey hain?
dard ki palkoun say liptey huay
ghabrayey huay
tum nay baychain duayain kabhi dekhi hain?
mohabbat k kinaaroun pay bhatakti phirti
Tum nay daikha hay mujhay?
Kia kabhi daikha hay mujhay??
inse milta hai aks mera......

***********************************************

Mohabbat...
Naina


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
From the Deepness of Heart
Old
  (#24)
anupamsony
Guest
 
Posts: n/a
From the Deepness of Heart - 26th October 2006, 10:16 PM

Hi Naina ji ,
In Shayriyn ne Dil ko Choo liya hai, meri aakhen nam hain.....
   
Reply With Quote
Old
  (#25)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
19th November 2006, 01:17 PM

Shukriya Anupam ji...

zindagi key parchey key
sab sawal lazam hain, sab sawal mushkil hain
be'nigah ankhon sey dekhta hoon parchey ko
be'khiyal hathon sey
an'baney sey lafzon per ungliyaan ghumata hoon
hashiyey lagata hoon
dairey bnata hoon
ya sawalnamey ko
dekhta hi jata hoon
_____________________

Usey kehna........
Usey hum
YAAD KARTEY HAIN !
Diyey jab
Sham ki deheliz pe
Jalney aatey hain..
Sitarey aasman pe
Jab timtimatey hain...
Zamin pe
Chandni pholon pe
Parti hai..
Bohat hi khob lagti hai !
Hum us dam
Apni ankhon mein
Usey abad krtey hain.
Usey kehna
usey hum
YAAD KARTEY HAIN !!!
______________________

Udass Shamoon Main
Talkh Batoon Main
Zindagi kay samandar ki khoni moojon main
khawabon kay sahilon per
majborion kay toofano main
khahishon ki kishti main
baithey pur ummed musafroon ki
muskurahatoon ko kabhi gor say daikho
shikasta dil logon ki khilkhilhaton main karb kikirchion ko kabhi gor say daikho
khusion kay jazeray par gham kay samandar ko kabhi gor say daikho
khawabon ki khirkiyon say
haqiqaton kay shajar ko kabhi gaor say daikho.
__________________________

Hum apne aap ko
Patthar ana ke khuaf se
Jitna bazaahir pur-sukoon rehne ki aadat daal lain
Per hijar ki bechain yakh-basta hawa se
Raakh mein dhalti tamannayain bhi
Aakhir kap'kapaati hain
Sadaayain larkhaarati hain
Tumhein maloom tu hoga
Ke kachchi umer ki chaahat
Hazaaroo saal bhi dil ke kisi
Ghehre Samundar mein rahe paband
Per
Phir bhi kabhi marti nahee
Main ne bahut arsa tumhein
Yaadoon, khayalon aur khwabon ki nigahon se kiya ojhal
Magar janaan !
Mein apne aap se ab larte larte thak gaya hoon
Aur
Akele pan ke weeraan shehar mein jab shaam dhalti hai
Tu muddat se thaki haari wafaayain
Sog mein dobay huwe kuch geet gaati hain
Tumhein waapas bulaati hain...
_________________
aksar per bohat mushkil sey
mein ab bhi muskerata rehta hun
ayo dekho
key in hansti ankhon mein
han ab nami bhi rehti hey
per jo chamak thin in ankhon mein
mein abhi sanbhaley rakhta hun
ayo dekho
mein ney apney dil mein
ik dukh bhi saja ker rakha hey
per ab bhi behtey lamhon sey
khushiyon ko chunta rehta hun
ayo dekho
ashufta ashufta umangain hain
koyi naya khawab nahi
per jo umid thi tujhey paney ki
woh akser toot jati hey
mein dil key derwazey band ker key
us ki kirchiayan chunta rehta hun
ayo dekho
ab bhi barish hoti hey
mujhey lagta hey jaisey roti hey
per mein us ka dil behlata hun
honton per hansi rakh ker
mein ab bhi bigha kerta hun
ayo dekho
mein ab bhi wahin per hun ruka hoa
jahan tum ney mujhey chor diya
per ik aas hey key mein ab bhi
teri rah ko takta rehta hun
aa jayo
key mujhey ab yun lagta hey
mera zabt ab tootey ga
ankhain khul ker bersain gi
mera wajod phir ser bikhrey ga
a jayo -kab ao gey?
shayed tum na aao gey
_______________


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
Salaam...You Made Me Smile Jee :)**
Old
  (#26)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
Smile Salaam...You Made Me Smile Jee :)** - 19th November 2006, 09:48 PM

Dilko Achchha Laga...Khas Kar Akhree Poetry, Itne Pyaar Se Pouchha Shayar Jee Ne Ke Unki Mehboub Kaise Na Aaye **Hmmmm, Mohabbat Ne Mohabbat Ko Mohabbat Se Poukara Hain-Song Ki Yaad Aa Gayi... **Waise Haan Ye To Pahle Hii Aa Gayi Thi..., Dil Ne Dil Se Kya Kahaa Soun Zaraa Soun Zaraa-De Rahi Hain Kya Sadaa Soun Zara-Aaj To Khush Houn...Kal To Shayaad Kuchh Youn Haal Ho Jaaye To Kya Baat Hain...Ab Woh Geet Jo Nahee Likhha Woh Aaj Hii Submit Kardoungi...! Dil Ki Gehraaion Ki Gehraaion Se Dher-o-Dher Saare Phoul,Shukriya **Khush Rahiye ye Duwaaon Ke Saath Ijaazat...**God Bless You.**


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#27)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
28th July 2007, 07:27 AM

Subah ke ujaalon mein,jab bhi aankh khulti hai,

Mein tere khayaalon se…

Aitraaz karne ka ahad le ke uthta hoon

Yuunhi be-khayaali mein

Jab Saeed ka koii sher gungunaata hoon

Rooh jag uthti hai, dil sakoon paata hai…

Lekin uske sheron per jab bhi gaur karta hoon

Mujh ko aisa lagta hai…

Who sitam ghazeeda bhi apni saari ghazlon mein

Tera zikr karta hai…

Mein tere khayaalon se sar jhatak ke uthta hoon

Tez-tez qadmon se shehar ko nikalta hoon

Pur hajoom galiyon mein Har jagah dukaanon per

Be-qaraar phirta hoon Tujhko bhool jaata hoon…

Ne-niyaz lamohon mein...

Jab koii tere jaisa paas se guzarta hai

Mera dil machalta hai,Zor se dhadkta hai

Aur who koii tujhsa, Tera aks lagta hai…

Aur mein teri yaadon se door bhaag jaane ko

Sabz posh baagon mein sair ko nikalta hoon

Sabz chaader per sar jhukaaye chalta hoon

Be-shumaar phoolon ke rang aur khushbuu se

Dil zara behalta hai…

Phir wahin darakhton ke pur-sakoon saaye mein

Thak ke baith jaata hoon…

Phir teri qurbat mein kat chukey haseen lamhey

Mujhko yaad aatey hain,

Phir shikast hoti hai….

Aur mein thaka haara ghar ko laut aata hoon

Shaam ke andhere jab shab-taraaz hotey hain

Aur mera akelapan sooney-sooney bistar per

Phir se teri yaadon ki chaaderein bichaata hai

Tab mere iraadey bhi haar maan lete hain

Mein tere khayaalon ko

Odh ke so jaata hoon….


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
Old
  (#28)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
28th July 2007, 08:09 PM

Naina jee:

aap ke collection ka jawaab nahiiN , yuuN sabhii ek se barh kar ek aur behtariiN haiN, paR yeh Ghazal sab se achchhii lagii...keep sharing

Woh qayamat ho, sitara ho kay dil
kuch na kuch hijer main tootay to sahi

hum wahin per hi basaa lain khud ko
woh kabhi raah main rokay to sahi

sab say hut ker hi manaana hai usay
hum say ik baar woh roothay to sahi

dil usi waqt sanbhal jaaye ga
dil ka ahwaal woh poochay to sahi

us ki nafrat bhi muhabbat hogi
merey barey main woh sochay to sahi

uskay qadmon mein bicha doon aankhain
meri raahguzar say woh guzray to sahi

us kay sab jhoot bhi sach maan loon "aye dil"
shart sirf itni kay woh bolay to sahi
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#29)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
7th October 2007, 02:06 AM

Thanks, Mayank ji...

Tumhe Jab Kabhi Mile Fursatein Mere Dilse Bojh Utar Do,
Main Bahut Dino Se Udaas Hoon Mujhe Ek Shaam Udhaar Do,

Mujhe Apne Roop Ki Dhoop Do Ke Chamak Sake Mere Khadokhal,
Mujhe Apne Rang Mein Rang Do Mera Sara Zang Utaar Do,

Kisi Aur Ko Mere Haal Se Koi Garaz Hai Na Hi Wasta,
Mere Dilpe Haath Rakho Zara Meri Dhadkano Ko Qarar Do,

Tumhe Subah Kaisi Lagi Kaho Meri Khwahishon Ke Dayar Ki,
Jo Bhali Lage To Yehi Raho Ise Chahaton Se Nikhar Do,

Wahan Ghar Pe Kaun Hai Muntazir Ke Ho Fiqr Der Sawer Ki,
Badi Mukhtasir Si Ye Raat Hai Ise Chandni Mein Guzaar Do,

Koi Baat Karni Hai Chand Se Kisi Shakhsar Ki Aut Mein,
Mujhe Raaste Mein Yahin Kahin Kisi Kunj-E-Gul Mein Utar Do...

**********************************
Sardiyon Ke Mausam Mein,
Do Udaas Chehro Ne
Zindagi Ke Kagaz Se
Lafz Kuch Churaye The,
Be-Imaan Rishtone
Be Nishaan Chehron Se
Aas Aur Ummidon Ka
Aashiyana Banaya Tha,
Dukh Ki Tapti Kiron Ne,
Sukh Ki Gheri Chhanv Se,
Haadso Ki Thandak Ka,
Ek Jahan Banaya Tha,
Dil Ki Aarzuon Ko
Khwahishon Ki Basti Mein,
Tootna Bikherna Tha,
Waqt Ke Thapdedon Mein,
Zard Zard Patton Ko
Gard Gard Hona Tha,
Jitne Ehad Baandhe The,
Saath Saath Rehne Ke,
Unko Toot Jana Tha,
Apni Apni Baaton Ko,
Apne Apne Hathon Se,
Maslayhat Ki Mitti Mein
Humko Dafan Karna Tha,
Ek Saath Chal Kar Bhi
Door Door Rehna Tha,
Hum Ko Jaan Jaana Tha,
Sab Gharonde Sapne Ko
Jinko Humne Aur Tumne
Khwab Ke Jharonkon Se
Zehen Mein Sajaya Tha,
Unko Tod Kar Khud Hi
Rasta Banana Tha
Phir Judayi Honi Thi,
Hum Ko Laut Jana Tha,
Hum Ko Laut Jana Tha...
____________

Mohabbat...
Naina


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...

Last edited by naina_cooleyes; 7th October 2007 at 02:58 AM..
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
muhabbat
Old
  (#30)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
muhabbat - 20th July 2008, 10:50 PM

Quote:
Originally Posted by naina_cooleyes View Post
Mujhse shayri ka taaluuq tabse hai, jabse lafzon ko samajhne lagi....Aur tabhi se kuch kuch dil ko chuu jaane waale kalaam sambhaalne ki aadat bhi ho gayi......Wohi sab aapki nazar ker rahi huun...shaayad aapke dil tak bhi yeh usi tarah pahunche, jaise in sabne mere dil ko chuaa hai......
**************************************************
Apni Hi Dhun Main Rehti Thi
Ek Larki Shokh Aur Chanchal Si
Phoolon Se Batain Kerti Thi
Titli K Rung Pakarti Thi
Ek Dhanak Thi Is K Anchal Main
Phir Janne Kiya Toofan Aiya
Titli K Rung Bikhar Gaye
Sapno K Jugnu Mand Parey
Jab Poocha Kissi Ne Aey LARKI

Yeh Chup Si Kyun Sadh Li Hai,
Woh Kuch Na Boli Baas Ro Di
Aur Khak Pe Haath Ki Ungli Se Aik Lafz "MOHABBAT" Likha

************************************************** *
Raat Uss ne Poocha tha
Tum ko Kaisi Lagti Hai
Chandni December ki !

Main ne Kehna Chaha Tha
Saal-o-Maah ke Baarey mein
Guftagu ke Kya Maani ?
Chahey koi Manzar ho
Dasht ho , Sumandar ho
June ho , December ho
Dharkanoo'n ka Har Naghma
Manzaroo'n pe Bhaari hai
Saath Jab Tumhara Ho
Dil ko Ik Sahara ho
Aisa Lagta hai, jaise
Ik Nasha sa Taari hai

Lakin Uss ki Qurbat mein
Kuch Nahi Kaha Main ne
Takti Reh gayi Mujh ko
Chandni December ki...

*****************************************

Kal raat janay kia hua,
Kuch dair pehlay neend say
Kuch ashk milnay aa gai
Kuch khwab bhee tootay huay
Kuch loog bhee bhoolay huay
Kuch rasta bhatki hueeN
Kuch gerd main liptee hueeN
Kuch bay-tarah phaili hueeN
Kuch khaul main simti hueeN
Bairabt se soochain kai
Bhooli huee batain kai
Ik shaks kee yadain kai
Phir dair tak jaga raha
Sochoon main gum baitha raha
Ungli se thanday farsh per
Ik naam hee likhta raha
Kal raat bhee woh raat thee
Kuch dair pehlay neend say
Main dair tak rota raha...

*************************************************

phir wohi dard sa jaga hia ragon main
phir wohi aah si nikli hia meray seenay se
phir wohi khawab se tootay hian meri aankhon main
phir wohi dard ki talkhi hai meri baaton main
phir wohi ashk se tharay hain meri palkon per
phir wohi aakhri manzar hai meri aankhon main
AAJ PHIR SHAM DHALAY MUJHEY TUM YAAD AAYE HO!!!

*************************************************

zehan ke khayalon main
rooh ke ujaloon main
zindgi ki jheelon main
zaat ki fasiloon main
ratjagon ke daman main
khawahishoon ke aangan main
dil ke khushk sehra main
chasm-e-tar ke darya main
dard ke jahan main bhi
ask-e-bezuban main bhi
aur kuch nahi rehta
TERI YAAD rehti hai

***********************************************

Abhi bas itna hi.....

Mohabbat...
Naina
.................................................. ..................
ZAMANE SY SUNA THA KY MOHABBAT HAAR JATI HA
JO CHAHAT EK TERFA HO,WO CHAHAT HAAR JATI HA
KAHEN PER DUA KA AK LAFZ BHI ASAR KER JATA HA
KAHEN BERSON KI ABADTH HAAR JATI HA
MUHBBAT KAB KISI KO DUSHMANI KA DARS DATI HA
MUHABBAT KI BAZI MIN ADAWATH HAAR JATI HA
HUMEN KITNY HI SHIKWY HON IS KI JAFAON SY
PAR IS KY SAMNY HER SHIKAYAT HAAR JATI HA
K ARZOO SE HA KY ISHY BHOOL JAYN HUM
PAR IS KI YAAD ATY HI HER HASRAT HAAR JATI HA
   
Reply With Quote
Old
  (#31)
Diya_Jale
Huii Sabse Paraayi
Diya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Diya_Jale's Avatar
 
Offline
Posts: 5,283
Join Date: Jul 2008
Location: Kolkata
Rep Power: 44
23rd July 2008, 07:50 PM

Naina ji aap ke collection ka koi jawab nehin ....hume bahat pasand aayi ...sukriya aap ne share kiye ...aage bhi share karte rahiyega



Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai faraz.
Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai


Goodbye SDC

Diya
   
Reply With Quote
Old
  (#32)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
25th July 2008, 09:06 AM

Thanks...


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
ken in love
Old
  (#33)
ken
Registered User
ken is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 1
Join Date: Aug 2008
Rep Power: 0
ken in love - 23rd August 2008, 12:35 PM

dear,naina how r u dost....
tere likhe alfaz me koi dard jarur he, kahi ye to nahi k tere dilme jagah kum he, me apne dil se kuch bayan karta hu, tere har sawal ka jawab deta hu, koi to he jo tere dil ko chuta he, ya fir vo koi esa he jo tere dil ko todta he, apni vaffa pe itana b yakin mat rakh galib k teri vaffa me uski bewafai samil ho jaye, chund pal milte he zindagi me jeene ko or ye kambakht dil kisi ka ho jata he, hota kuch nahi or tutkar bikhar jata he, rakhna sambhal apne is dil ko kyoki ye shesa nahi jo uski awaz tuje sunai degi........ken
   
Reply With Quote
Old
  (#34)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
1st September 2008, 11:20 AM

Quote:
Originally Posted by ken View Post
dear,naina how r u dost....
tere likhe alfaz me koi dard jarur he, kahi ye to nahi k tere dilme jagah kum he, me apne dil se kuch bayan karta hu, tere har sawal ka jawab deta hu, koi to he jo tere dil ko chuta he, ya fir vo koi esa he jo tere dil ko todta he, apni vaffa pe itana b yakin mat rakh galib k teri vaffa me uski bewafai samil ho jaye, chund pal milte he zindagi me jeene ko or ye kambakht dil kisi ka ho jata he, hota kuch nahi or tutkar bikhar jata he, rakhna sambhal apne is dil ko kyoki ye shesa nahi jo uski awaz tuje sunai degi........ken
Ken...

Mujhe hai yaad woh sab... jo kabhi huaa hi nahi...


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
Old
  (#35)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
1st September 2008, 11:26 AM

Bahut din se…

Mujhe kuch an-kahe alfaaz ne bechain kar rakha hai

Mujhe soney nahin dete

Mujhe hansney nahin dete

Mujhe roney nahin dete

Yuun lagta hai…

Ke jaise saans seeney mein kaheen thehari hui hai

Zara si der ko baarish baras ke ruk gayi hai

Ghutan chaaron taraf phailee hui hai!!!


Bahut din se…

Khayaalon mein dabey paaon koii apna nahin aaya

Bahut din se…

Woh sab jazbaat jo meri shayri ke mausamon mein

Rang bharte the… kaheen soye huey hain

Mere alfaaz bhi khoye huey hain...


Mein un ko dhoondhney

Iss zindagi ke dasht mein nikalta toh huun lekin…

Mujhe maloom hai jazbey agar ek baar kho jaayein

Toh phir waapis nahi miltey!

Mujhe maloom hai phir bhi abhi ek aas baaki hai

Mein ab us aas ke unglee pakar kar chal raha hoon

Bazaahir shabnami thandak mujhe ghere huey hai

Magar mein jal raha hoon…

Mein ab tak chal raha hoon!!!


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
Old
  (#36)
sara1986
Registered User
sara1986 is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 2
Join Date: Sep 2008
Rep Power: 0
30th September 2008, 10:24 PM

wht a collection,,, sweet and nice,,
keep it up,,,
bohat dino baad itna acha page mila parhny ko
   
Reply With Quote
Aik Ajnabi...
Old
  (#37)
WAJDAAN
Registered User
WAJDAAN will become famous soon enough
 
WAJDAAN's Avatar
 
Offline
Posts: 39
Join Date: Sep 2008
Rep Power: 0
Aik Ajnabi... - 6th October 2008, 11:40 AM

ADAAAB!
App ki poems parheen. Acha laga. pher kisi ki yaad aa gai. Hamari kismat main tu nahi(Shayad)
Lekin App k leay Zarroz DUA kareen gy k

App ki Jo bhi TAMNAA hy.
App k jo bhi KHOWAB hain.
App jo bhi CHATI hain.

App ko wo Zarrooz mily.

App ki poems LAJAWAB.

Zinda rahy tu pher MULAKAQ ho gi.

BYE






   
Reply With Quote
Old
  (#38)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
17th October 2008, 11:36 AM

Bahut bahut Shukriya Wajdaan... itne dil se duaa mujhe kabhi kisi nahi di...


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
Old
  (#39)
naina_cooleyes
Registered User
naina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nicenaina_cooleyes is just really nice
 
naina_cooleyes's Avatar
 
Offline
Posts: 311
Join Date: Feb 2005
Location: Canada
Rep Power: 23
17th October 2008, 11:47 AM

Kuch aur Nazmein...


Itni badi in duunyaaon mein
apne naam ki takhti waali aik imaarat
kitne dukhon ki eenten chuun kar
ghar banti hain.......
pathar pathar jod k dekho
maine bhi ik ghar hai banaya
rangon,phoolon,tasveeron se iss ko sajaya
darwaaze ki loh per apna naam likhaaya
lekin iss k har kamre mein
"tum rehte ho"
~~~~~~~~~~~~~~~

Woh nafraton ke sawal kar ke

mohabaton ke jawab maange

ye chaahton ki kadi mushaqat

chalen hain tanha

shikast khurda

koi to mera bhi dard jaane

koi to uss se hisaab maange
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Gayi Ruton Ka Khumar Utra
Toh Aaeenon K Mizaj Badle
Rafaqaton Ne Sakoon Loota
Muhabbaton Ka Bharam Bhi Toota
Main Kiss K Chehrey Ko Yaad Rakhoon
K Abb Toh Ankhon Mein Beyaqeeni Ne
Apne Dere Basa Liye Hain
Mere Rafiqon Se Koi Keh De
Meri Kahani Na Mujh Se Pochain..
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kabhi utro yoon mere dil ke kache angan mein
kisi udaas mausam mein
kisi veeraan lamhe mein
chupke se dabey paon
meri ankhon pe rakh do hath apne
aur hanste huye keh do
boojh lo toh hum tumhare
nahin toh aap hamare!!!!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mere dil mere musaafir
huaa phir se hukm saadir
ke vatan badar hon hum tum
den galii galii sadaayen
karen ruKh nagar nagar kaa
ke suraag koi paayen
kisi yaar-e-naamaabar ka
har ek ajanabii se pochain
jo pataa thaa apane ghar ka
sar-e-ko-e-na-ashanaayaan
humain din se raat karanaa
kabhii is se baat karanaa
kabhii us se baat karanaa
tumhain kyaa kahuun ke kyaa hai
shab-e-ghum buri bala hai
humain ye bhi tha ghanimat
jo koi shumaar hotaa
humain kya buraa thaa marna
agar ek baar hotaa
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Humen Ab Yaad Aataa Hai...
Bauhat Maasoom They Hum Bhi...
K Hum Ik Ajnabi Ko Umar Ki Taareek Raahon Mein...
Sahaaraa Maan Bethey They...
K Is Chand Chehrey Ko...
Hum Apney Bakht Ka...
Roshan Sitaaraa Maan Bethey They...
Humen Maaloom Hi Kab Tha...
K Dasht-e-Zindagi Mein...
Sahaarey *****t Jaatey Hen...
Kabhi Esaa Bhi Hota Hai...
Nazar Jin Pe Teherti Hai...
Woh Taarey Toot Jaatey Hen...!!!!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Na aamad ki aahat aur na janay ki toh milti hay
kab aatay ho??.....kab jatay ho??
kabhi kabhi aangan main laga jab......
imli ka yah pair hawa main hilta hay to.....,,
eento ki deewar pe parchayee ka cheenta parta hay....aur...
jazb ho jata hay jaisay sokhi mitti par....
koi pani k katray se phaink gaya ho......
dheery dheery angan main phir dhop sisakti rahti hay!
band kamray main......
kabhi kabhi jab diye ki lo hil jati hay to,
aik bara sa saya mujh ko
ghont ghont peenay lagta hay
aankhain mujh se door bhaith k
mujh ko takti rahti hain
kab aatay ho??......kab jatay ho???.......
din main kitni baar mujhy tum yaad aatay ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Ek se musaafir hain, Ek sa muqaddar hai...
Main zameen pe tanha, aur woh aasmaano mein...
  Send a message via Yahoo to naina_cooleyes  
Reply With Quote
for naina,,,with best regards,
Old
  (#40)
sara1986
Registered User
sara1986 is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 2
Join Date: Sep 2008
Rep Power: 0
for naina,,,with best regards, - 31st October 2008, 08:29 PM

mere jism-o-jaaN k har ik raabte se moatabir
mere hum-safaR
tujhe yaad haii, tujhe yaad haii
wo jo QurbatoN k saroor mien
terii aarzo` k hisaar mien
merii khwahishoN k wafoor mein
kaii zaiQay thay ghullay hoay
dar-e-gulistaN se bahaar tuk
wo jo raaste thay khillay hoay
sar-e-loh-e-jaaN
kissi ajnabii sii zubaaN mien
wo jo khushnuma se haroof thay
wo jo sar kashii ka ghubaar tha char-su
jahan ik dojey k ru-baru
kissi naghmagii ki khabR milii
kissi roshnii ki nazaR milii

hamien roshnii kii nazaR milii
tu jo raiza raiza se aks thay
wo baham hoay
wo baham hoay tu pata chala
k jo aag sii hai sharar-fishaaN merii khaak mien
issi aag ka koii an-bhuja sa nishaaN haii terii khaak mien
issi khaak-daan mien wo khwaab haii jisse shakal dene k waaste
ye jo shash johaat ka khail haii ye rawaaN howa
issi roshnii se makaN bana, issi roshnii se zamaN howa
ye jo har gumaN ka yaQeen haii
wo jo har yaQeen ka gumaan tha
issi dastaN ka biyaaN tha

mere hum-safar
kissi dhiyaan ki kissi taaQ per
haii dhara howa
wo jo ik rishta-e-durd tha
mere naam ka tere naam se
terii subh ka merii shaam se
sar-e-rah-guzaR hai para howa wohii khwaab-e-jaaN
jisse apnii ankhoN se dekh lene k waaste
kaii lakh taroN ki seeriyoN se uter k aatii thii kehkashaN
sar-e-aasmaN
kissi abar paray ki oout se
usse chaand takta tha raat bhar

mere hum-safaR
ussi rakht-e-ghum ko samait-te
ussi khwaab-e-jaaN ko sambhaalte
mere raaste kaii rastoN mein ulajh gaye
wo chiraagh jo mere saath saath thay bhujh gaye
wo jo manzilien
kissi aur manzil-e-bey-nishaaN k ghubaar mien kho gayeeN
kaii waswasoN k fishaar mien shab-e-intezaar sii ho gayeeN
wo tanaab-e-dil jo ukher gayii
wo khiyaam-e-jaan jo ujer gayii
wo safeer thay ussi dastan-e-hiyaat k
jo warQ warQ thii bharii hoii

mere shouQ se tere roop se
kaheen chahoN se, kaheen dhoop se
mere hum-safar tujhe kia khabR
ye jo waQt haii kissi dhoop chahoN k khail sa
usse dekhte, usse jhailte
merii ankh gurd se att gayii
mere khwaab rait mien kho gaye
mere haath barf se ho gaye

mere hum-safaR
mere bey-khabR tere naam per
wo jo phool khilte thay hont per
wo jo deep jalte thay baam per
wo nahii rahay
wo nahii rahay k jo ik rabt tha darmiyaN
wo bikher gaya
kissi shaam aisii hawa chalii
k jo barg thay sar-e-shaakh-e-jaaN
wo gir gaye
wo jo harf darj thay rait per
wo urr gaye
wo jo rastoN k yaQeen thay
wo jo manziloN k ameen thay
wo nishaan-e-pa bhii mit gaye

mere hum-safaR
haii wohii safaR
mgr ik mour k farQ se
tere haath se mere haath tuk
wo jo haath bhar ka tha faasla
kaii mosumoN mien badal gaya
usse naapte, usse kaat-te
mera sara waQt nikal gaya

tu mere safaR ka shareek haii
mere tere safaR ka shareek hoon
per jo darmiyaaN se nikal gaya
ussi faasle k shumaar mien
ussi bey-yaQeen k ghubaar mien
ussi rah-guzaR k hisaar mien
tera raasta koii aur haii
mera raasta koii aur haii
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
my sms collection FijIan_baBe Pyaar Bhari SMS Shayri 9 28th February 2008 01:35 AM
collection...... ashiq awara, Shayri-e-Dard 11 11th June 2006 11:38 AM
my collection farhan farri Humourous Shayri 1 31st October 2005 05:20 PM
new collection !~! funny_boy Humourous Shayri 2 24th September 2005 12:50 AM
new collection !~! funny_boy Humourous Shayri 0 20th September 2005 05:11 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com