Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
musaafir ke raste badalte rahe... (Bashir Badr ji)
Old
  (#1)
Parul
Registered User
Parul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the rough
 
Parul's Avatar
 
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 26
musaafir ke raste badalte rahe... (Bashir Badr ji) - 2nd September 2006, 12:08 AM

musaafir ke raste badalte rahe
muqaddar me chalna tha chalte rahe

koyi phoul sa haath kaaNdhe pe tha
mere paaNv sholon pe chalte rahe

mere raaste me ujaalaa rahaa
diye us ki aaNkhon ke jalate rahe

wo kya tha jise hamne Thukara diya
magar umr bhar haath malate rahe

mahobbat adaavat wafaa beruKhii
kiraaye ke ghar the badalte rahe

sunaa hai unhe bhii hawaa lag gayii
hawaaon ke jo ruKh badalte rahe

lipaT ke charaaGon se wo so gaye
jo phoulon pe karavaT badalte rahe


-- Bashir Badr ji
   
Reply With Quote
sar pe saaya sa...
Old
  (#2)
Parul
Registered User
Parul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the rough
 
Parul's Avatar
 
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 26
sar pe saaya sa... - 2nd September 2006, 12:14 AM

sar pe saaya sa dast-e-duaa yaad hai
apne aaNgan me ik peD tha yaad hai

jiss me apnii parindon se tashbiih thii
tum ko skuul kii vo duaa yaad hai

aisaa lagtaa hai har imtahaaN ke liye
zindagii ko hamaaraa pataa yaad hai

maikade me azaaN sun ke roya bahut
is sharaabii ko dil se Khudaa yaad hai

main puraanii havelii ka pardaa mujhe
kuchh kaha yaad hai kuchh suna yaad hai


dast=hand
tashbiih=comparison
azaaN=call for prayer

-By Bashir Badr ji
   
Reply With Quote
bhul shaayad bahut baDi kar li..
Old
  (#3)
Parul
Registered User
Parul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the rough
 
Parul's Avatar
 
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 26
bhul shaayad bahut baDi kar li.. - 2nd September 2006, 12:17 AM

bhul shaayad bahut baDii kar li
dil ne duniyaa se dostii kar li

tum mahobbat ko khel kehte ho
humne barbaad zindagii kar li

uss ne dekha baDii inaayat se
aaNkho aaNkho me baat bhi kar li

aashiqii me bahut zaruurii hai
bewafaayii kabhi kabhii kar li

hum nahii jaante chiraaGon ne
kyon andheron se dostii kar li

dhaDakane dafn ho gayii hongii
dil me diiwaar kyon khaDii kar li

- By Bashir Badr ji

Last edited by Parul; 2nd September 2006 at 12:20 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
dilip200
Adhoori Aas
dilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud of
 
dilip200's Avatar
 
Offline
Posts: 1,543
Join Date: Jul 2006
Location: india , shivpuri
Rep Power: 31
3rd September 2006, 08:19 AM

parul ji

aapne bashir sahab ke itne nayab sher yahan per post kiye hain ki bus poocho mat

main bashir sahab ka likha pasand karta hoon ...
aaj aapke karna mere collection me bashir sahab ki kuch or anmol moti shamil ho gaye

thanks for the share it

dilip


" Dilip " -Ek Adhoora khwab


Dard bantne se ab darr lagta hai
mere gamo ka usnane falsafa bana diya
  Send a message via Yahoo to dilip200  
Reply With Quote
Old
  (#5)
Parul
Registered User
Parul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the rough
 
Parul's Avatar
 
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 26
4th September 2006, 02:23 PM

Dilip ji,

Aap ko pasand aaya jaan ke achha laga. apni collection bhi share karna, ok?... keep writting.

take care!
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
18th September 2006, 06:54 AM

are parul dd kaisi hain aap??
na koi khoj na koi khabar.bhul hi gayin aap hume lagta hai.

waise aapne bahut hi pyari sharings daali hain dd.khaas taur se pehla kalaam bahut behtar laga.dil ko cheer sa gaya kaafi hadd tak.darkhwast itni hi karunge dd aapse ki aap bas aage v yunhi aati rahiyega in yahaan mehfilen sajane ke liye.



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Old
  (#7)
Parul
Registered User
Parul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the rough
 
Parul's Avatar
 
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 26
18th September 2006, 10:20 PM

Quote:
Originally posted by ghayal_shayar
are parul dd kaisi hain aap??
na koi khoj na koi khabar.bhul hi gayin aap hume lagta hai.

waise aapne bahut hi pyari sharings daali hain dd.khaas taur se pehla kalaam bahut behtar laga.dil ko cheer sa gaya kaafi hadd tak.darkhwast itni hi karunge dd aapse ki aap bas aage v yunhi aati rahiyega in yahaan mehfilen sajane ke liye.
Lucky...

Aaisa to nahi ki main bhul jaau, to yeh kaise maan liya tumne... main to theek hun, hope you are fine too. bahut din baad apni didi ki yaad aayi, khair jo bhi hai achha laga ki tumhe bhi yeh ghazal's pasand aayi. parhte rehna aur likhte rehna...
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
bazm_e_bashar
Harsh Kohli
bazm_e_bashar is on a distinguished road
 
bazm_e_bashar's Avatar
 
Offline
Posts: 63
Join Date: Aug 2006
Location: Pune
Rep Power: 0
19th September 2006, 09:48 AM


mahobbat adaavat wafaa beruKhii
kiraaye ke ghar the badalte rahe



Waah Waah....
Waah Bashir jee Waah....
Kyaa soch hai... kuchh sabse aalag.

Aur Paruljee aapne to hame Bashirjee ka kadradaan bana diya.
Thanks alot. I hope ye silsila yaha nahi rukega.
Aap hame aur hum aapko yuhi In fankaaro ki khoobsoorat soch se waakif karwaate rahenge.

Dilip jee... Ap bhi Bashirjee ki koi gazhal post kijiye na.

Once again Thanks Parul.
Take Care.
  Send a message via AIM to bazm_e_bashar Send a message via Skype™ to bazm_e_bashar 
Reply With Quote
dil ko chhoo gayee har baat
Old
  (#9)
masoomshayer
Registered User
masoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud of
 
masoomshayer's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Dec 2005
Location: delhi
Rep Power: 31
dil ko chhoo gayee har baat - 27th September 2006, 03:38 PM

jo baad dil ko na chuye bashir ke eho nahee saktee itne pyara lafzon se milwaya shukriya tumhara
Anil


mere ashar ko mahoob samjh ke chhoomte the jo
kho gaye hain woh log ab un kee justzoo hai
  Send a message via Yahoo to masoomshayer  
Reply With Quote
Old
  (#10)
Aman_rahi
Paigaam-e-Aman
Aman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really nice
 
Aman_rahi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,689
Join Date: Oct 2004
Location: Patiala, Punjab, India. Now:Pune, India
Rep Power: 26
3rd October 2006, 09:44 AM

Parul dear....

Bahut hi aachi post hai ye........shukriya ada karna chahonga ise hum sab ke ru-b-ru karne ke liye.....

tc.......



**(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*)**
*·.¸Paigaam -e- Aman¸.·*
**(¸.·´(¸.·* *·.¸)`·.¸)**


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
inhan ankhaaon vicho kadi, tere hanju vaghe si.....
aaj ki hoye, jehda ^AMAN^ da lahoo vagda ae......

AMAN RAHI
  Send a message via Yahoo to Aman_rahi  
Reply With Quote
Old
  (#11)
naeemtirmizi
Registered User
naeemtirmizi is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 15
Join Date: Oct 2006
Rep Power: 0
9th October 2006, 01:42 PM

lovely work. keep it up
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
Parul
Registered User
Parul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the rough
 
Parul's Avatar
 
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 26
8th November 2006, 12:56 AM

Quote:
Originally Posted by bazm_e_bashar View Post

mahobbat adaavat wafaa beruKhii
kiraaye ke ghar the badalte rahe



Waah Waah....
Waah Bashir jee Waah....
Kyaa soch hai... kuchh sabse aalag.

Aur Paruljee aapne to hame Bashirjee ka kadradaan bana diya.
Thanks alot. I hope ye silsila yaha nahi rukega.
Aap hame aur hum aapko yuhi In fankaaro ki khoobsoorat soch se waakif karwaate rahenge.

Dilip jee... Ap bhi Bashirjee ki koi gazhal post kijiye na.

Once again Thanks Parul.
Take Care.
it's my Pleasure Aman ji,

Nice to know you like it... here is one more ghazal of Bashir badr ji


udaas aaNkhon se aaNsuu nahii nikalte hai
ye motiyon kii tarah siipiyon me palate hai

ghane dhue.N me farishte bhii aaNkh malte hai
tamaam raat khajuuron ke pe.D jalate hai

main shaah raah nahii, raaste ka patthar huN
yahaa savaar bhii paidal utar kar chalate hai

unhe kabhii na bataanaa main unkii aaNkhen huN
woh log phoul samajhkar mujhe masalate hai

ye ek pe.D hai, aa is se milakar ro le.n hum
yahaa se tere mere raaste badalate hai

kayii sitaaron ko main jaantaa huN bachpan se
kahii bhii jaauN mere saath saath chalate hai

   
Reply With Quote
Old
  (#13)
bazm_e_bashar
Harsh Kohli
bazm_e_bashar is on a distinguished road
 
bazm_e_bashar's Avatar
 
Offline
Posts: 63
Join Date: Aug 2006
Location: Pune
Rep Power: 0
8th November 2006, 04:52 AM

kayii sitaaron ko main jaantaa huN bachpan se
kahii bhii jaauN mere saath saath chalate hai
-BAshir Badr


Sahi hai...
Kuchh shayar sidha dil pe dastak dete hai....

Once again, Parulji...
Shukriyaa aapka....
  Send a message via AIM to bazm_e_bashar Send a message via Skype™ to bazm_e_bashar 
Reply With Quote
hai hausla
Old
  (#14)
bhavna pathak
Guest
 
Posts: n/a
hai hausla - 11th November 2006, 11:17 AM

mana ki koi sath nahi
tanha hun is waqt
tuti hunN par bikhari nahi
na hua hausla hi pastt
sach hai ki dagar kathin hai
aashan nahi safar
na hi koi rahnuma hai
jo bane mera humsafar
achcha hi hua tune mujhe daga de diya
soye hue junun ko phir se jaga diya
nadaN thi tere ishq main khud ko fana kiya
ho bhala teri bewafai ka jisne fir humeN zinda kiya
fir se wahi junoo hai bulandion par hai hausla
tere har gunah ka mai khud karungi faisla

Bhavna
   
Reply With Quote
I Like It
Old
  (#15)
ashok kuamr
Registered User
ashok kuamr is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 25
Join Date: Sep 2006
Location: faizabad
Rep Power: 0
Cool I Like It - 12th November 2006, 06:32 PM

Bhavana I Thought U R A Good Poeter.
Proceed It . Never Came At End . When Ur Near A River .
Go Proceed .
   
Reply With Quote
Just For U
Old
  (#16)
< Hemesh >
Registered User
< Hemesh > is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 5
Join Date: Nov 2006
Location: Indian
Rep Power: 0
Just For U - 13th November 2006, 10:12 AM

Badi hasin aur khubsurat hoti hai Yade,
Bhulanese bhi nahi bhulai jati yeh yade,
Insan ko palbhar ke liye Muskandeti hai yade,
Kabhi rulati aur kabhi hasati hai yade,
har zij mit jati hai lekin nahi mitati yade,
hum rahe ya na rahe per hamesha rahengi hamari yade,
Akele me tanhai ko dur karegi hamari ye yade,
Ek din hum nahi rahenge bus rah jayengi hamari yade.............


Apke hone wale dost :- RAJ
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
22nd November 2006, 08:05 PM

wahhh... kya ek se badhke ek ghazle post kii hai aap ne. bashir ji ka main bahut bada fan huun.. aur unme kuchh aur baat hai jo muze unke kalaam acchhe lagte hai... really nice. keep it up.
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Bashir Badr ji ki ek aur ghazal...
Old
  (#18)
Parul
Registered User
Parul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the rough
 
Parul's Avatar
 
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 26
Bashir Badr ji ki ek aur ghazal... - 23rd November 2006, 10:02 AM

Ye chaandanii bhii jin ko chhute huye daratii hai
Duniyaa unhii phoulon ko pairon se masalatii hai

Shoharat ki bulandii bhii pal bhar ka tamaasha hai
Jiis Daal pe baithe ho woh tuut bhii sakatii hai

Labo.n me chingaarii jaise koyii rakh de
Yun yaad terii shab bhar siine me sulagatii hai

Aa jaata hai khud khench kar dil siine se patarii par
Jab raat kii sarahad se iik rel guzaratii hai

Aansuu kabhii palakon par taa der nahii rukte
Uud jaate hai ae panchhii jab shaakh lachaktii hai

Khush rang parindon ke laut aane ke din aaye
Bichhade huye milte hai jab barf pighalatii hai

.
   
Reply With Quote
Bhut achee Gazal likee hai parul ji
Old
  (#19)
TariqAhmadAzmi
Registered User
TariqAhmadAzmi will become famous soon enough
 
TariqAhmadAzmi's Avatar
 
Offline
Posts: 386
Join Date: Oct 2006
Location: Lucknow
Rep Power: 18
Smile Bhut achee Gazal likee hai parul ji - 24th November 2006, 09:52 PM

Hello parul ji Aap ki Gazal mujhe bahut achee lagi, aap use me rah ker bhi itnee saaf or hindi me gazal likh letee hai mujhe tajjub huaa, aap isee trah likhte rahen mujhe aapki gazal ka intezaar rahega
Shukeriya
Aap ka Dost SHAAN
   
Reply With Quote
Tuti-si-kashtii
Old
  (#20)
pyarasa_bhoot
Registered User
pyarasa_bhoot is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 7
Join Date: Jan 2005
Location: india
Rep Power: 0
Thumbs up Tuti-si-kashtii - 18th December 2006, 09:55 PM

wow Bhavnajii bahot hiii achcha likha hai aapne..aa f r ee n.

Ek choti se peshkash..not mine.

"Woh Bichda is Ada se -k-Root-hi badal gayii..
Ek shaqs -jo- saare -shehar- ko -viraan- kar gaya."

" Hasne wale meri tuti-si-kashti-ko na dekh..
-k-honsla-ab bhi bahot hai -tufaan-se takrane ka."

i hope shayad aapko pasand aaye..


pramit
 Send a message via ICQ to pyarasa_bhoot Send a message via Yahoo to pyarasa_bhoot Send a message via AIM to pyarasa_bhoot  
Reply With Quote
Old
  (#21)
dheerendra
Registered User
dheerendra will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 54
Join Date: Dec 2006
Location: Delhi
Rep Power: 18
9th January 2007, 05:26 PM

sach main parul ji apne Bashir ji ki nazme yahan par post karke bahut hi
nek kaam miya hai.
Bashir ji mere pasandeeda shayar hai, agar apke collection main kuch aur ghazalen ho Bashir ji ki to post kijiyega.

Thanks very much
-Dheerendra
  Send a message via Yahoo to dheerendra Send a message via MSN to dheerendra  
Reply With Quote
Old
  (#22)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
9th January 2007, 10:56 PM

kisi ke paas udaybhanu hans ki rubaaiya ho to plz post kijiyega.
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#23)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
10th January 2007, 01:11 AM

Parul ji..

Behad khoobsoorat collection hai ye... Thanx for sharing!

~Priya



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Old
  (#24)
Dipendra_iit
Registered User
Dipendra_iit is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 2
Join Date: Feb 2007
Location: India
Rep Power: 0
26th February 2007, 04:58 AM

mahobbat adaavat wafaa beruKhii
kiraaye ke ghar the badalte rahe


ek dum sahi baat ...aaj feel bhi ho gaya ...

   
Reply With Quote
Old
  (#25)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
1st July 2007, 07:32 PM

waah waah! Parul jee aap ne to motiyaaN hi bikher daali.. Shukiya, inaayat,karam, mehrbaani,....

Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#26)
m_usmanayub
Registered User
m_usmanayub will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 52
Join Date: Nov 2006
Rep Power: 18
3rd July 2007, 09:13 PM

Na ji bhar ke dekhaa na kuchh baat ki
Badii aarazuu thi mulaaqaat kii

kayii saal se kuchh Khabar hi nahin
kahaan din guzaaraa kahaan raat ki

ujaalon ki pariyaan nahaane lagin
nadi gungunaaii Khayaalaat kii

main chup thaa to chaltii hawa ruk gayi
zubaan sab samajhte hain jazbaat ki

Sitaaron ko shaayad Khabar hi nahin
musaafir ne jaane kahaan raat kii

muqaddar mere chashm-e-pura'ab kaa
barasti huii raat barasaat kii


Bashir Badar
   
Reply With Quote
Old
  (#27)
m_usmanayub
Registered User
m_usmanayub will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 52
Join Date: Nov 2006
Rep Power: 18
3rd July 2007, 09:20 PM

Khush rahe yaa bahut udaas rahe
zindagii tere aas paas rahe

chaand in badaliyon se niklegaa
koi aayegaa dil ko aas rahe

hum mohabbat ke phuul hain shaayad
koi kaanaa bhii aas paas rahe

mere seene mein is tarah bas jaa
merii saanson mein terii baas rahe

aaj hum sab ke saath Khuub hanse
aur phir der tak udaas rahe

Bashir Badar
   
Reply With Quote
thank you all...
Old
  (#28)
Parul
Registered User
Parul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the rough
 
Parul's Avatar
 
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 26
thank you all... - 1st December 2007, 11:13 AM

waqt-e-rukhsat kahi taare kahi jugnuu aaye
haar pehnaane mujhe phuul se baazuu aaye

bas gayi hai mere ehsaas mein ye kaisi mahek
koi khushbuu main lagaau terii khushbuu aaye

maine din raat khuda se ye duaa maangi thi
koi aahat na ho dar pe mere aur tuu aaye

us ki baaten ke gul-o-lala pe shabnam barse
sab ko apnaane ka us shokh ko jaaduu aaye

un dinon aap ka aalam bhi ajab aalam hai
shokh khaaya huaa jaise koii aahuu aaye

us ne chhu kar mujhe patthar se phir insaan kiya
muddaton baad meri aankh mein aansuu aaye


waqt-e-ruKhsat : time of departure
gul-o-lala : flowers and tulips; shokh : cheerful
aahuu : deer

- By Bashir Badr ji
   
Reply With Quote
Old
  (#29)
dineshdharvi
ek dost
dineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud of
 
dineshdharvi's Avatar
 
Offline
Posts: 5,566
Join Date: Nov 2007
Location: gujarat (india)
Rep Power: 34
1st December 2007, 10:31 PM

Dard ka ehsas janna hai to pyar kar ke dekho

Apni aankhon main kisi ko utar kar dekho

Chot un ko lage gi aansoo tumhein aa jayein ge

Ye ehsas janna ho to dil haar kar dekho
   
Reply With Quote
Old
  (#30)
dineshdharvi
ek dost
dineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud of
 
dineshdharvi's Avatar
 
Offline
Posts: 5,566
Join Date: Nov 2007
Location: gujarat (india)
Rep Power: 34
3rd December 2007, 11:02 PM

Pyaar ki aanch se to patthar bhi pighal jata hai,


sache dil se sath de to naseeb bhi badal jata hai,


Pyaar ki rahon par mil jaye sacha hamsafar,


To kitna bhi gira hua insaan bhi sambhal jata hai.


AankheN khuleeN to jaag uTheeN hasrateN tamaam
Uss ko bhi kho diyaa jissay paya thaa khwaab mein
   
Reply With Quote
Old
  (#31)
dineshdharvi
ek dost
dineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud of
 
dineshdharvi's Avatar
 
Offline
Posts: 5,566
Join Date: Nov 2007
Location: gujarat (india)
Rep Power: 34
Love 4th December 2007, 09:53 PM

Kyun pyaar karne ki hadein hoti hein,

Kyun dil dene ki waje hoti hein,Kyun jazbaaton ko dabana padta hai,
Kyun iss dil ko samjana padta hai,
Kyun har dil ko ye mehsoos nahin hota,
Kyun sabko ye manzoor nahin hota,
Kyun dil se dil nahin milta,
Kyun pyaar ka phool nahin khilta,
Kyun dil ke naghme dil nahin gaata,
Dil mein kya hai ye keh nahin pata,
Kya dil dene ki yahi saza hai,
Kya pyaar karne mein yahi mazaa hai?


AankheN khuleeN to jaag uTheeN hasrateN tamaam
Uss ko bhi kho diyaa jissay paya thaa khwaab mein
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
vo duaa tum to nahii.n ho... ! Bashir Badr ! naresh_mehra110 Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 27th July 2010 01:00 AM
*Parakhna Mat.......Bashir Badr Jee** Shimul Shayri-e-Mashahoor Shayar 4 23rd June 2010 08:12 PM
musafir ke raste badalte rahe..... LAMHA Shayri-e-Mashahoor Shayar 4 9th December 2008 11:10 PM
bashir badr azad Ghazal Section 0 27th December 2007 02:08 PM
musaafir ke raste pappu Shayri-e-Dard 3 29th December 2004 03:04 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com