mere jeene ka sahaara (mere dost mere bhai ke naam) -
5th October 2001, 07:33 AM
This ghazal is dedicated to my younger brother "gurpreet" ... i want him to know that i love him more than any other thing one could feel or touch...!!
tu meri khushiyon ke falak ka sitaara hai
tu yaar mujhko jaan se bhi pyaara hai
tera karz hai mujh par main bhoola nahin
tu aaya hai maine jab bhi pukaara hai
teri palkon pe aansoo dekh main sakta nahin
zamaane ka mujhko har zulm gawaara hai
mere lahoo ka har aik katraa hai tumhaara
meri har saans par ab haq tumhaara hai
ab main teri aankhon se khwaab dekhunga
meri khoyi hui roshni ka tu nazaara hai
kasam hai, tujhko main jhukne nahin doonga
maana ke mera dil har aik baazi haara hai
tere daaman mein khushiyon ki kashtiyaan utaarunga
main aik dariyaa hoon tu mera kinaara hai
main rota hoon pardon mein moonh chhupaa kar
tu jaan-ta hai mujhko kin gamon ne maara hai
mere saare sapne to toot kar bikhar gaye
bas ab aik tu hi mere jeene ka sahaara hai
tu mere yaar mujhko jaan se bhi pyaara hai..........!!!
may god give u the fate...opposite to mine....!!
bless u...!!
jashan maikasH
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
Last edited by maikasH; 5th October 2001 at 11:14 AM..
|