hasratein................. -
10th February 2002, 07:52 PM
hoti nahi sab hasratein poori kabhi kabhi ,
nazdeekiya ban jati hain dooriya kabhi kabhi ,
khud ko gira raha hoon teri nazron mein main,
ho jata hai yeh karna zaroori kabhi kabhi ,
keh dena ke "tarun" ho gaya hai bewafa ,
mil jati hai aise hi mash-hoori kabhi kabhi ,
"tarun" har khwaihish kabhi porri nahi hoti ,
reh jati hai koi baat adhoori kabhi kabhi...............
===============2nd=================
tumse mile to shehar mein mash-hoor ho gaye ,
hum apne aap se bhi kitne door ho gaye ,
samandar ki sadayein thi baat baat mein ,
sab faisle tere mujhe kyu manzoor ho gaye,
usne socha inkar se mein toot kar bikhar jaonga,
magar mujhe yakeen hai ke mein aur nikhar jaonga
|