Hi friends....
Aaj jo mein likh rahi hoon wo koi shayri nahi koi gazal nahi....bas mere dil ke kuch jajbaat hai.....jinhe kuch lafjo mein jod kar aapke saamne pesh kar rahi hoon.....apne ghar se bahut door hu isliye bahut udaas hu.....per yahi udaasi aapke saath baant rahi hu......shayad kam ho jaaye...
wo gujra hua har pal dil ko bada rulaata hai
jab bhi mujhe apna watan yaad aata hai
wo baarish ki boondon mein sadkoN pe chalna
wo gir ke sambhalna wo doston ka hasna
na jaane kyu wo waqt tham sa jaata hai
jab bhi mujhe apna watan yaad aata hai
wo bhai ka gussa wo behan ka ladna
wo kuch der baad hi phir se pyar karna
na jaane kyu dil ko bada tadpaata hai
jab bhi mujhe apna watan yaad aata hai
wo college naa jaake picture mein jaana
wo doston ke saath dinbhar picnic manana
na jaane kyu chupke se hasa jaata hai
jab bhi mujhe apna watan yaad aata hai
wo jab bhi kabhi khud se gamgeen hona
wo mummi ki godi mein sir rakh ke rona
na jaane kyu mujhe har apna waapis bulata hai
jab bhi mujhe apna watan yaad aata hai....
aapki ,
pari