Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
~~* tujhe dekhnaa...*~~
Old
  (#1)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
~~* tujhe dekhnaa...*~~ - 29th November 2015, 08:31 PM

Sabhi hazraat ki khidmat me chand alfaaz pesh kar rahaa hoon gaur farmaaiyegaa...

tujhe dekhnaa meri hasraten, tujhe chahnaa merii chaahaten.
karooN koshishen jo hazaar bhii to na kar sakungaa baGaawaten.

jo pyaar tuune kiyaa nahi, tujhe hai usii ka hi waastaa,
mujhe chhoD denaa o bewafaa, jo na de sake mujhe raahateN.

wo zamaana kab ka guzar gayaa, tu bhi dil se mere nikal gayaa,
to kahaan se aati hain yaad ab, mujhe itni si hain shiqaayaten.

mujhe jaam kii na to aas hai na sharaab kii hi talaash hai,
tujhe sochne me hi hai nashaa , yahi hain buree merii aadaten.

unheN khat me likhnaa haale dil kabhi khoon se kabhi ashq se,
yahaan ab nazar aatii naheeN wo gaye dino ki muhabbaten.

tu bhulaa chukaa hai wo shokhiyaan jo diwaana mujhko banaa gayeen,
mujhe ab bhi dikhtii hain khwaab me merii jaan terii sharaaraten.

Shaad.....

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
29th November 2015, 10:45 PM

adaab shaad sahab..
Kaise hain aap..aapko bazm me dekha to yun hee dil khush ho gaya aur us par itni dilkash ghazal..subhan Allah...bahut hee khoob ehsaas o andaaz..

wo zamaana kab ka guzar gayaa, tu bhi dil se mere nikal gayaa,
to kahaan se aati hain yaad ab, mujhe itni si hain shiqaayaten.

Waah!!!...yun to matle se makte tak har sher pasand aaya par na jane kyun ye masoom sa sher dil ke behad kareeb raha....

Dua hai...yun hee aapki kalam se purasar qalaam hame padhne ko milte rahein...

Duaon ke sath..

Madhu.

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
29th November 2015, 11:14 PM

bohut dino baad aapko padaa bohut acha laga..................

yun to ghazal puri ki puri achi hai magar makta to kamaal hai.

Daad kabool farmaiye.

-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
ISHK EK IBADAT
RADHE RADHE
ISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 58
30th November 2015, 03:43 PM

bahut lajwaab rahi aapki yeh koshish bhi Shaad bhai...............

Aapka Apna
Ishk

'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है

email: rkm179@gmail.com
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
2nd December 2015, 06:37 AM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
adaab shaad sahab..
Kaise hain aap..aapko bazm me dekha to yun hee dil khush ho gaya aur us par itni dilkash ghazal..subhan Allah...bahut hee khoob ehsaas o andaaz..

wo zamaana kab ka guzar gayaa, tu bhi dil se mere nikal gayaa,
to kahaan se aati hain yaad ab, mujhe itni si hain shiqaayaten.

Waah!!!...yun to matle se makte tak har sher pasand aaya par na jane kyun ye masoom sa sher dil ke behad kareeb raha....

Dua hai...yun hee aapki kalam se purasar qalaam hame padhne ko milte rahein...

Duaon ke sath..

Madhu.

aapki inaayaton se mamnoon hoon Madhu saahiba.... duaa kartaa hoon ke ye saath yunhi bana rahe.... apna kahyaal rakhiye aur aatii rahiye....

Shaad............

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
2nd December 2015, 07:11 AM

aadaab Shaad miyaaN,

waqt ki kami ke bawajood aaj do ek she'r raqm hue to idhar post karne aaya tha, aapki is Ghazal par nazar padhi to yaqeen jaaniye maiN apne she'r bhool gaya hooN!

matla padha to lagaa aage ke ash'aar halke hoNge, duuja she'r padha to lagaa ke haasil-e-Ghzal she'r hua, phir aage ke she'r padhe to ab yeh museebat aan paDi hai hai ke kin do misroN par aapko badhaai dooN?

to saahib-e-ilm, har she'r par "alag se" daad ke haqdaar haiN aap, qabool farmaiiye

puraane "aur" acche dinoN mein, kayi saal pehle ki baat hai, internet par jitni bhi adab ki mehfileN hua karti thiiN wahaaN ek rivaaz yeh tha ke agar aap kisi kaavish par tabsira/daad ataa farmaa rahe haiN to yeh samjha jaata tha ke ek-ek she'r, baNdh, qite'y par alehdaa se tabsiraa karna, taNqeedi yah ta'reef, aapka farz ban'ta hai, aapki is yeh Ghazal majboor kar rahi hai ke us rasm ko yahaaN nibaaya jaaye

tujhe dekhnaa meri hasraten, tujhe chahnaa merii chaahaten.
karooN koshishen jo hazaar bhii to na kar sakungaa baGaawaten

Wallah, kya matla arz kiya hai, jiyo

jo pyaar tuune kiyaa nahi, tujhe hai usii ka hi waastaa,
mujhe chhoD denaa o bewafaa, jo na de sake mujhe raahateN.

koi 20 saal pehle ke waaqye yaad dila gaye yeh do misrey

wo zamaana kab ka guzar gayaa, tu bhi dil se mere nikal gayaa,
to kahaan se aati hain yaad ab, mujhe itni si hain shiqaayaten.

haye,haye,haye!!!! aage aap khud samajhdaar ho

mujhe jaam kii na to aas hai na sharaab kii hi talaash hai,
tujhe sochne me hi hai nashaa , yahi hain buree merii aadaten.

is she'r se badi umeedeN thiiN, socha misraa-e-saani meiN mere kaam ki koi baat kareNgey lekin ab aap thehre Allah se darne waale aur maiN kaafir ba-har-haal umda she'r hua, mubarakbaad tasleem farmaaiye

unheN khat me likhnaa haale dil kabhi khoon se kabhi ashq se,
yahaan ab nazar aatii naheeN wo gaye dino ki muhabbaten.

misra-e-awwal dil le gaya miyaaN! kya baat hai, saani meiN aapne pehle ke saath poora insaaf kiya hai, kya she'r kaha hai, waaah!

tu bhulaa chukaa hai wo shokhiyaan jo diwaana mujhko banaa gayeen,
mujhe ab bhi dikhtii hain khwaab me merii jaan terii sharaaraten.

youN hi to koi shayar nai ho jaata

Shaad bhai, khuda ki qasam, agar sirf yeh kahooN ke Ghazal paDh kar luft-aNdoz hua to yeh aapke fann, aapki qalam aur is Ghazal ki khoobsuurti ke saath na-insaafi hogi

do misre, khusoosan, sirf aapki is Ghazal ki naz'r, abhi zehan meiN aaye haiN :

kyaa kyaa hameiN naseeb huaa ikk jhalak ke baad
"maikash" zameeN bhi mil gayi ho jyoN falak ke baad

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#7)
Salman Ahmed 12121
Registered User
Salman Ahmed 12121 is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 88
Join Date: Oct 2015
Rep Power: 9
2nd December 2015, 07:51 PM

wah bhut umda gajal h bhut khub...
daad kubul kijiye....

Kash k is jindgi me tumhari mohabbat ki roshni
aa pati.
Fnah ho jate tujhme hum parvana ban kar agar
tu mere liye shma ho jaati.
احمد.
   
Reply With Quote
bemisaal gazal
Old
  (#8)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Thumbs up bemisaal gazal - 3rd December 2015, 09:30 AM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post

Sabhi hazraat ki khidmat me chand alfaaz pesh kar rahaa hoon gaur farmaaiyegaa...

tujhe dekhnaa meri hasraten, tujhe chahnaa merii chaahaten.
karooN koshishen jo hazaar bhii to na kar sakungaa baGaawaten.

jo pyaar tuune kiyaa nahi, tujhe hai usii ka hi waastaa,
mujhe chhoD denaa o bewafaa, jo na de sake mujhe raahateN.

wo zamaana kab ka guzar gayaa, tu bhi dil se mere nikal gayaa,
to kahaan se aati hain yaad ab, mujhe itni si hain shiqaayaten.

mujhe jaam kii na to aas hai na sharaab kii hi talaash hai,
tujhe sochne me hi hai nashaa , yahi hain buree merii aadaten.

unheN khat me likhnaa haale dil kabhi khoon se kabhi ashq se,
yahaan ab nazar aatii naheeN wo gaye dino ki muhabbaten.

tu bhulaa chukaa hai wo shokhiyaan jo diwaana mujhko banaa gayeen,
mujhe ab bhi dikhtii hain khwaab me merii jaan terii sharaaraten.

Shaad.....

wahhhh....bahutttttttttt hi khoobsurat gazal...aik aik lafz dil ke kareeb rha.

yeh 2 sher to maiN aapko bata nahi sakti ki muje kitne pasand aaye...no words.

khush rho yu hi bazm ki shaan bane rho

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#9)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
3rd December 2015, 05:35 PM

Quote:
Originally Posted by masti View Post
bohut dino baad aapko padaa bohut acha laga..................

yun to ghazal puri ki puri achi hai magar makta to kamaal hai.

Daad kabool farmaiye.
aapki inaayaton ke liye mashkoor hoon aapka Sarika ji.......... aati rahiyegaa..

Shaad...........

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
3rd December 2015, 05:37 PM

Quote:
Originally Posted by ISHK EK IBADAT View Post
bahut lajwaab rahi aapki yeh koshish bhi Shaad bhai...............
bahut bahut shukriyaa Rajinder saahab.......................

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
8th December 2015, 03:53 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
aadaab Shaad miyaaN,

waqt ki kami ke bawajood aaj do ek she'r raqm hue to idhar post karne aaya tha, aapki is Ghazal par nazar padhi to yaqeen jaaniye maiN apne she'r bhool gaya hooN!

matla padha to lagaa aage ke ash'aar halke hoNge, duuja she'r padha to lagaa ke haasil-e-Ghzal she'r hua, phir aage ke she'r padhe to ab yeh museebat aan paDi hai hai ke kin do misroN par aapko badhaai dooN?

to saahib-e-ilm, har she'r par "alag se" daad ke haqdaar haiN aap, qabool farmaiiye

puraane "aur" acche dinoN mein, kayi saal pehle ki baat hai, internet par jitni bhi adab ki mehfileN hua karti thiiN wahaaN ek rivaaz yeh tha ke agar aap kisi kaavish par tabsira/daad ataa farmaa rahe haiN to yeh samjha jaata tha ke ek-ek she'r, baNdh, qite'y par alehdaa se tabsiraa karna, taNqeedi yah ta'reef, aapka farz ban'ta hai, aapki is yeh Ghazal majboor kar rahi hai ke us rasm ko yahaaN nibaaya jaaye

tujhe dekhnaa meri hasraten, tujhe chahnaa merii chaahaten.
karooN koshishen jo hazaar bhii to na kar sakungaa baGaawaten

Wallah, kya matla arz kiya hai, jiyo

jo pyaar tuune kiyaa nahi, tujhe hai usii ka hi waastaa,
mujhe chhoD denaa o bewafaa, jo na de sake mujhe raahateN.

koi 20 saal pehle ke waaqye yaad dila gaye yeh do misrey

wo zamaana kab ka guzar gayaa, tu bhi dil se mere nikal gayaa,
to kahaan se aati hain yaad ab, mujhe itni si hain shiqaayaten.

haye,haye,haye!!!! aage aap khud samajhdaar ho

mujhe jaam kii na to aas hai na sharaab kii hi talaash hai,
tujhe sochne me hi hai nashaa , yahi hain buree merii aadaten.

is she'r se badi umeedeN thiiN, socha misraa-e-saani meiN mere kaam ki koi baat kareNgey lekin ab aap thehre Allah se darne waale aur maiN kaafir ba-har-haal umda she'r hua, mubarakbaad tasleem farmaaiye

unheN khat me likhnaa haale dil kabhi khoon se kabhi ashq se,
yahaan ab nazar aatii naheeN wo gaye dino ki muhabbaten.

misra-e-awwal dil le gaya miyaaN! kya baat hai, saani meiN aapne pehle ke saath poora insaaf kiya hai, kya she'r kaha hai, waaah!

tu bhulaa chukaa hai wo shokhiyaan jo diwaana mujhko banaa gayeen,
mujhe ab bhi dikhtii hain khwaab me merii jaan terii sharaaraten.

youN hi to koi shayar nai ho jaata

Shaad bhai, khuda ki qasam, agar sirf yeh kahooN ke Ghazal paDh kar luft-aNdoz hua to yeh aapke fann, aapki qalam aur is Ghazal ki khoobsuurti ke saath na-insaafi hogi

do misre, khusoosan, sirf aapki is Ghazal ki naz'r, abhi zehan meiN aaye haiN :

kyaa kyaa hameiN naseeb huaa ikk jhalak ke baad
"maikash" zameeN bhi mil gayi ho jyoN falak ke baad

mohtaram janaab maikash saahab ki shaan me awwal to khaaksaar ka aadaab pahuche... baad iske ye kahna chahta hoon ke jis tafseel se aapne apne alfaazon ko in khaak lafzon pe lutaaya hai uske liye mera khushi se jo haal huaa hai wo bayaan nahi kiyaa ja saktaa.. mera sher sher aapko shukrana pesh kar raha hai qubool kijiyegaa.. aakhri me aapne jo mujhe apne sher se izzat bakshi hai uske liye aapka ehsaanmand ho gaya hoon bhai..

aate rahiyega aur ham jaise adna se shayron ko hauslaa dete rahiyegaa... shukriyaa tahe dil se aapka..

apna khayaal rakkhen...

shaad....

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
fakhri
Registered User
fakhri has a spectacular aura aboutfakhri has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 94
Join Date: Feb 2012
Rep Power: 14
9th December 2015, 03:07 AM

lajavab ghazal hui he Shaadsaheb. Padhker maza aa gaya. Bohot dino baad aesa achcha kalam padhne mila. Hats are off to you.
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
9th December 2015, 02:26 PM

Shaad bhaii

Namaste

Kaise hain aap?

Bahot hi umdaah koshish padhne ko mili hay aapki aur se...Dheron saari daad aur duaaen

Yuunhi bazm ki shaan badhaate rahiye

Duaaon ke saath ijaazat

Aapka

Dhaval

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
11th December 2015, 09:28 AM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post

Sabhi hazraat ki khidmat me chand alfaaz pesh kar rahaa hoon gaur farmaaiyegaa...

tujhe dekhnaa meri hasraten, tujhe chahnaa merii chaahaten.
karooN koshishen jo hazaar bhii to na kar sakungaa baGaawaten.

jo pyaar tuune kiyaa nahi, tujhe hai usii ka hi waastaa,
mujhe chhoD denaa o bewafaa, jo na de sake mujhe raahateN.

wo zamaana kab ka guzar gayaa, tu bhi dil se mere nikal gayaa,
to kahaan se aati hain yaad ab, mujhe itni si hain shiqaayaten.

mujhe jaam kii na to aas hai na sharaab kii hi talaash hai,
tujhe sochne me hi hai nashaa , yahi hain buree merii aadaten.

unheN khat me likhnaa haale dil kabhi khoon se kabhi ashq se,
yahaan ab nazar aatii naheeN wo gaye dino ki muhabbaten.

tu bhulaa chukaa hai wo shokhiyaan jo diwaana mujhko banaa gayeen,
mujhe ab bhi dikhtii hain khwaab me merii jaan terii sharaaraten.

Shaad.....
Der se haazir hone ke liye maufi ka talabgaar hoon shaad bhai umeed hai aap dil se laga lenge...

Bahut umdaa peshkash huyi hai mere bhai har sher bahut dilchasp aur rangeen laga, banayangi mein bhi bahut nayapan laga umeed hai aapki kalam hamesha yunhi dil azeez nagme likhti jaaye aur hum yunhi kayal rahein aapke mureed bankar....

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#15)
aru
Main shayar to nahin.....
aru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.com
 
aru's Avatar
 
Offline
Posts: 2,796
Join Date: Oct 2002
Location: kanpur
Rep Power: 50
22nd December 2015, 09:54 PM

Shoiab bhai...bahut hee sundar kalaam padne ko mila aaj....
'lazawaab'.....

एक हाथ में दिल उनके एक हाथ में खंजर था
चेहरे पे दोस्त का मुखौटा अजीब सा मंजर था

Arvind Saxena
Ph. No. 7905856220
  Send a message via AIM to aru  
Reply With Quote
Old
  (#16)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
23rd December 2015, 06:58 PM

Bohat khoobsoorat Ghazal kahi hai aapne shaad sahab. Maikash sahab ne tafsili tabsara kar hi diya hai. Aise hi likhte rahiye mehfil kolutf-andoz karte rahiye.

Khaksaar
Praveen

raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Old
  (#17)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
26th December 2015, 02:06 PM

Quote:
Originally Posted by Salman Ahmed 12121 View Post
wah bhut umda gajal h bhut khub...
daad kubul kijiye....
behad shukriyaa pasandeedgi ke liye Salman saahab.............................

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
26th December 2015, 02:07 PM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post

wahhhh....bahutttttttttt hi khoobsurat gazal...aik aik lafz dil ke kareeb rha.

jo pyaar tuune kiyaa nahi, tujhe hai usii ka hi waastaa,
mujhe chhoD denaa o bewafaa, jo na de sake mujhe raahateN.

wo zamaana kab ka guzar gayaa, tu bhi dil se mere nikal gayaa,
to kahaan se aati hain yaad ab, mujhe itni si hain shiqaayaten.

yeh 2 sher to maiN aapko bata nahi sakti ki muje kitne pasand aaye...no words.

khush rho yu hi bazm ki shaan bane rho

thank you so much dee..................................
aapka sneh aur aashirwaad yunhi milta rahe.......... aabhaar

Shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
26th December 2015, 02:08 PM

Quote:
Originally Posted by fakhri View Post
lajavab ghazal hui he Shaadsaheb. Padhker maza aa gaya. Bohot dino baad aesa achcha kalam padhne mila. Hats are off to you.
aapki inaayaten tasleem fakhri saahab........................ tashreef laate rahen...
Shaad...........

Shaad...
   
Reply With Quote
Reply

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com