zindagi ke naam ek khali jaam -
16th November 2012, 09:28 PM
Ek jaam humne apnaya hai
khud ki pehchan ko azmaya hai
jab rakha duniya mein kadam
toh samajh mein aya
yaha na koi apna hai na koi paraya hai
apni pehchan banate banate
karmo mein fass gayi yeh zindagi
lekin ab bhi khud ko na pehchan paya hai
asoolo ke sahare chalte chalte
khud ko kahi bhulaya hai
apne ki pehchan banatey banatey
khud ko kahi lutaya hai....
ek jaam humne apnaya hai
khud ki pehchan ko kahi azmaya hai...!!!
it is not love that makes a person a poet...
rather it is the breakup that makes a person a shayar....!!!
Fallensoul ji ,
Aapki rachna / khayal para aur bahut pasad aya..
Itna kahunga apki rachna ke jawab mein..
Saki bhi ho tum , tumhi ho maikhana;
Jaam bhi ho tum, tumhi ho paimana;
Manjhi bhi ho hum aur patwar ho tum,
Khud apni naiya ke khewanhaar ho tum..
Khud jivan ka adhar ho tum.