Duniya he ki raah pe aakhir rafta rafta aana hoga..! -
4th October 2005, 10:38 PM
One of my fav ghazal .. sung by my fav. singer Tina sani
pesh hai .. mehfil ki nazar
Duniya he ki raah pe aakhir rafta rafta aana hoga
Dard bhi dega saath kahaan tak,bedil he bann jana hoga
Duniya he ki raah per aakhir rafta rafta aana hoga
Hairat kya hai,hum se badhkar kaun bhala begaana hoga
Hairat kya hai,hum se badhkar kaun bhala begaana hoga
Khud apne ko bhool chuke hain,tumne kya pehchaana hoga
Dard bhi dega saath kahaan tak bedil he bann jaana hoga
Dil ka thikana dhoondh liya hai or kahaan ab jaana hoga
Dil ka thikana dhoondh liya hai or kahaan ab jaana hoga
Hum honge or wehshat hogi or yahi veerana hoga
Dard bhi dega saath kahaan tak bedil he bann jaana hoga
Iss basti ka kaun masiiha iss basti ka kaun khuda
Iss basti ka kaun masiiha iss basti ka kaun khuda
Khud he hashr utthane honge,marrna or jee jaana hoga
Dard bhi dega saath kahaan tak bedil he bann jaana hoga
Duniya he ki raah pe aakhir rafta rafta aana hoga
Fainsle Qayamat taq multavee ho gaye
Sach kahe na gaye to shayri ho gaye
Mai or samander,do gehre khwaab khuda ke.....
|