yaadein......yaad aati hai.... -
18th September 2002, 03:08 PM
"yaadein......yaad aati hai"...........................
Zindagi mein to tumhari aa na sake,
ab khwaabon mein chale aate hain,
Tum laakh nazrein phira lo sanam,
hum phir bhi chale aate hain.
Kahne ko to tum bhul chuki thi,
phir bhi anjaane mein pukarti ho,
Tum kabhi bhuli nahin thi,
sirf jaankar anjaane mein pukarti ho.
Mann to mann hai,
mann ko kya kehna,
hum aayenge sapno mein,
sapno ko kya kehna.
"aks" bewafa nahin,
tum paas aao ya na aao,
wo mar ke bhi mara nahin,
uski yaadon ko gale se lagao......!!
|