Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
AuraT
Old
  (#1)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
AuraT - 28th October 2003, 01:04 PM

Bacpan se hi yeh bataya gaya tha humko ke East ki sanskriti duniya mein se sabse pak hai,bahut hi garv tha hame is sanskriti aur apni dharti par..par jaise jaise hosh sambhaala to is dharti ka roop kuchh aur hi paaya..

Aaj jab bhi akhbaar kholo to wahan bade hi chatpate andaaz se anek kahbrein mil jaayengi jinme Auraton ke saath chedchaad..discrimination at work place se lekar Rape aur female infanticide jaisi kai maamle mil jaate hain..

Jabse maine hospital mein kaam shuru kiya to pehle 2 mahino mein hi mere saamne rape ke 8 maamle aaye jinme se 5 victims 12 saal se kam umar ki bachhian thi aur jis tarah news mein suna ke kis tarah hamari dharti ki raksha karne waale Armymen hi rape kar rahe hain aur kaise ik videshi diplomat ko ussi ki car mein rape kiya gaya ye sab jaan kar aaj hamara sar sharam se jhuk jaata hai..aur kuchh is tarah ki aawaz nikal rahi hai dil se..

Hai uski ye kahaani,hai Aurat jiska naam
jo hoti hai ghar ki izzat,jisse hota hai Imaan

Shakhs nahin ye ek,iske hai roop anek
kabhi Maa to kabhi Behan,har roop me hai ye Mahaan

Par bhool chuka hai aaj ka aadmi apni gairat
bas dekhta hai isse HAWAS se,ban gaya woh shaitaan

Zara socho us Aurat ko bhi..diya jisne janam tumko
Naari ki na izzat karke,na karo maa ko badnaam

kya ye hi woh bharat hai jisne pooja tha har maa ko?
Kahan gayi woh nazar poorani,kyon badal gaya Insaan?

har roz bikti hai akhbaar lekar balatkaar ki khabre hazaar
[B]Kahan gayi Bharatvaasion woh tumhari aan..maan..sanmaan ?

Bas haath jodkar kehta huun..ab ban jao tum Insaan
Is paak dharti ko ab na karo aur Badnaam
do us Maa ..us Beti..us Behan ko poora sanmaan
Lauta lao waapas wo Gairat..woh pehle jaisa HINDUSTAAN
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
28th October 2003, 01:38 PM

Aapka khayal ki aapka soch ki bohot izzat karti hu. Dard agar koi samjhe toh beshakh woh aap jeise hi hein...
Waise toh lafhj nehi milrahi hein ke keise kahu. Dilse shukriya kabul kijiyega. Aap mujhe hamesha yaad ayenge. Likhte rahiyega. Aapna khayal rakhiyega. God bless you.


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Re: AuraT
Old
  (#3)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
Re: AuraT - 28th October 2003, 02:18 PM

kya ye hi woh bharat hai jisne pooja tha har maa ko?
Kahan gayi woh nazar poorani,kyon badal gaya Insaan?


ghayal bhai
ek jwalant mudda uthaya hai aapne.....dil ko choo gaye aap ke vichaar.sach har roz subah hamara sar sharm se jhuk jata hai jab akhbaar mein masoom bachiyon aur abla streeon ke saath hue zilmon ki khabre padne ko milti hai....aur ab to videshi diplomate ke saath chalti car mein yeh sab hua hai,,,Bharat ka naam poore vishwa mein badnaam kiya kuch galat insaanon ne.jis bharat ko apni sanskriti,,maryada,,shoorveerta aur mehmaan nawazi ke liye dunia janti thi,,,,usi Bharat ko aaj dunia hewaniyat ke liye janne lagi hai.
yeh badniyati deemak ki tarah is mulk ko khatam kar degi....yeh balatkaar kisi stree ke saath na ho kar desh ke saath kiya gaya ghinonna apraadh hai..jis desh mein stree ko devi maan kar pooja jata hai wahi raat ke andheron mein use beizzat bhi kiya jata hai....behad sharm ki baat hai.
mein aap ki rachna se poori tarah se sehmat hoon...
ab to Ishwar hi is desh ka malik hai........

-Manoj


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.

Last edited by manoj kureel; 28th October 2003 at 02:23 PM..
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#4)
unkijaan
Registered User
unkijaan will become famous soon enough
 
unkijaan's Avatar
 
Offline
Posts: 151
Join Date: Jul 2003
Location: U.A.E
Rep Power: 21
28th October 2003, 08:05 PM

wah wah..! wah wah..! bohoot khooob!

"Hai uski ye kahaani,hai Aurat jiska naam
jo hoti hai ghar ki izzat,jisse hota hai Imaan

Shakhs nahin ye ek,iske hai roop anek
kabhi Maa to kabhi Behan,har roop me hai ye Mahaan "

chaahe ye har aurat (ya ladki) ke liye likha gaya ho..!
ye char lines mujhe bohoot suit karti hain
specially the line which sez 'har roop me hai ye mahaan!'

so toh mey huu , hehehee, aapne takleef kyun ki, ham auratein jaanti hain ham kitnayy mahaan hain

lolz... sorry if u minded.. but its a real gud one... applause to u

Gudiya


Gudiya
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
mein_aur_tanhai
Registered User
mein_aur_tanhai is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 492
Join Date: Feb 2003
Location: Kabaristaan...
Rep Power: 22
29th October 2003, 03:14 PM

namaste.. viru bhai..

wah yar.. kya keah dia hai yar.. apne.. bahut hi kadva.. hai per.. utna hi saccha .. hai .. ajj kaal..sab.. isaan mein ek shaitaan ka..roop leke baithe hai yar.. wakai mein bhai ajj mera bhi sir sharam se jhook gaya hai bhai... yeah .. apne.. joo likha hai ek kalam nai .. per.. bharat mata aur aurat ki halat ka khulasa kia hai yar...

wakai aurat ke bahut sare aur paak rook hai kabhi maa baan kar too kabhi bahen kar too kabhi sathi baan kar.. humare sath reahti hai aur.. humein sahara deti aur ajj ke time.. log.. unhe hi apni hawas ki bookh mein besahara kar dete hai ...

yar.. seriously it is prime matter for concern..

mujhe.. iski tareef karte bhi ghin.. aa rahi hai kyu ki yeah ek sachai dost..


bye and take care.


Lamha Lamha...saSein Khatam hoo rai hai...
Zindagi Maut ke pehlu mein soo rai hai...
Us bewafa se na pucho meri maut ki wajah...
Woh to bus zamane ko dikhane ke liye roo rai hai...
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
31st October 2003, 03:43 PM

Shimul ji...

Aapne jo izzat bakshi shayad uska haqdaar nahin huun main..maine to bas jo mere charron aur ho raha hai ussi ka hi jikar kiya hai..

Aapne is kalaam ko pad ke is kalaam ko zinda rakha hai..
Shukriya..

---------------------------------------------------------------------------------------------------
Manoj bhai..

Shayad us haadse ne aapko bhi unta hi dard pahunchaaya hai jitna mujhe pahuncha tha..

Magar main abhi tak niraash nahin hua..Jab tak hindustaan mein aap jaisi soch rakhne waale insaan hai tab tak is desh ki sanskriti bani rehne ki umeed rahegi..

Take Care..

--------------------------------------------------------------------------------------------------------
Gudiya ji..

Banno ne bataya tha ke gudiya bahut hi khushmijaaz ladki hai ..aur aapke is reply se hame bhi aapki khushmijaazi ka saboot mil gaya

Actually..the lines which u really appreciated were not only written to inform the women that they r great ,but I want to convey this thinking to all those males over there who do not have any respect for womenhood as a whole .Hope kahin na kahin in lafzon ka kisi par koi asar ho..

But please do keep this funny nature of urs intact always..

Take Care

-------------------------------------------------------------------------------------------------------
Manish Bhai..

tumhaari feelings ko main samajhta huun aur inki izzat bhi karta huun..

Yaar aap jaisi soch sabki kyon nahin hoti ??

Bas aise hi apne aap ko buraion se duur rakhna..

Chalta huun..
Varinder
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
unkijaan
Registered User
unkijaan will become famous soon enough
 
unkijaan's Avatar
 
Offline
Posts: 151
Join Date: Jul 2003
Location: U.A.E
Rep Power: 21
31st October 2003, 08:35 PM

ghayalparwaane ji..
kisi par ho na ho, mujhpar asar hua zaroor hai.. i suddenly feel really great.. lol..
aur banno ji ko didi banakar koi bhi ladki khushmizaaj hojayegi..

ye shayari maine apne dad ko sunai thi, he liked it n congratulated u on ur gud work ..!

Gudiya


Gudiya
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
11th November 2003, 08:31 AM

varinder dost,
mera maun hi aaj meri jubaan hai....... yakinan tum isse samajogae. hai na?
   
Reply With Quote
hello
Old
  (#9)
farhana
Registered User
farhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud of
 
farhana's Avatar
 
Offline
Posts: 3,383
Join Date: Dec 2002
Location: *~**Khwaabon ke sheher se*~**
Rep Power: 35
Thumbs up hello - 11th November 2003, 03:26 PM

hi varinder,

aaj browse karte hue apke kalaam pe nazar padi.yakeen maniye aapki izzat toh pehle hi behad kati thi aaj aur bhi zyada karne lagi hun is khubsurat kalaam ko padhna ke baad. aapki soch aur aapke nazariyena mere dil mein aapki jagah aur bhi pakki kardi. bada accha likkha hai aur mein toh yeh kahungi ke aise lekh toh akhbaaron mein relaease karne chahiye taaki aise log jo bharat ka naam mitti mein mila rahe hain unki bhi nazar ispe pade aur unhe bhi ek seekh mile. har koi apke jaise mahaan vichaar nahi rakhta hai varinder. kaash har koi aurat ki izzat karna janta. chahe woh behen beti bahu bhabhi ya maa ka roop ho use har baar kisi na kisi tarah se sataya gaya hai...apke kalaam ko padhke laga ke abbhi aise log hain jo hamari izzat karna jante hain...likhte rahiyega hamesha aisa hi.
apke yeh lines mujhe behad pasadna aayi hai,

Shakhs nahin ye ek,iske hai roop anek
kabhi Maa to kabhi Behan,har roop me hai ye Mahaan

Par bhool chuka hai aaj ka aadmi apni gairat
bas dekhta hai isse HAWAS se,ban gaya woh shaitaan

Zara socho us Aurat ko bhi..diya jisne janam tumko
Naari ki na izzat karke,na karo maa ko badnaam

bahaut khoob. aise hi likhte rahiyega.


"Roz Kii Taraah Aaj Bhii Taare
Subha Kii Gard MeiN Naa Kho JaayeiN
Aa ! Tere Gham MeiN Jaagtii AankheiN
Kam Se Kam Aik Raat So JaayeiN."


**~*FaRhAnA*~**
  Send a message via Yahoo to farhana  
Reply With Quote
Old
  (#10)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
11th November 2003, 03:28 PM

mahinder dost

bohat hi dil ko chuu lene wala kalam likha hai aap ne.
yeh masala sirf india tak naheen hai, balke saare sub-continent mein aise afsoasnaak waqiyaat ho rahe hain.
dar asl hamari muashrat aur saqafat to ek hi hai naan.

aap ke kalam ke ek ek shayr mein yeh afsoasnaak haqiqat maujood hai jo hamara dil sharm se jhuka rahi hai.

Allah Kare aap ke is kalam ki badolat agar ek bura insaan bhi apne aap ko sanbhal le to yeh bari baat ho gi.

mein dua go hoon aap ke liye aur aap ko khiraaj e tehseen pesh kerta hoon ke aap ne is hassaas mauzoon per qalam uthaya hai.
God bless you. wishing you all the best

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
5th March 2004, 06:08 PM

Gudiya ji..Maaf keejiyegaa der se jawaab de raha huun..par yakeen maaniye gar aapke Dad ko mera likha sach mein achha laga to mujhe bahut khushi hui..

Aaj kal aapka yahan aana kam banta hai..sab theek hain na??

Take Care ..

Varinder

-----------------------------------------------------------------------------------------------------
Meena ji..Aapki khamoshi ki zubaan main nahin samjooga to aur koi kya samjhegaa..Aapke vichaaron se main parichit huun aur bahut kuchh seekha bhi hai aapse..

Varinder

-------------------------------------------------------------------------------------------------------

Ohh Farhana ji...

Kaisi hain aap?

Maaf keejiyega aapko jawaab dene mein bahut waqt laga diya..Magar kya karoon aapne itna kuchh mere baare mein keh kar sharminda jo kar diya tha mujhe..Main kuchh bhi nahin huun..ik adna sa insaan huun..ye to aapki nazar hai jisne ik rind mein bhi kuchh keemti dekh liya..

Main ab bhi koi alfaaz nahin dhoondh paa raha huun aapse kehne ko..bas yehi kahoonga ke nek del insaano ko sab nek hi dikhte hain..

Khuda Hafiz

Varinder

----------------------------------------------------------------------------------------------------

Musharraf sahib..

Yakeenan main maanta huun ke ye masla saare subcontinent mein ik samaan keher machaaye hue hai ..bas umeed hi kar sakte hain ke ik din aadmi sambhal jaayegaa aur sabko woh izzat milegi jiske woh haqdaar hain..

Is bazm mein aakar is masle pe nazar daal kar jo saath diya hai aapne uska shukrguzaar huun main..

Varinder
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
Tulsika!~
Registered User
Tulsika!~ is on a distinguished road
 
Tulsika!~'s Avatar
 
Offline
Posts: 272
Join Date: Nov 2003
Location: USA
Rep Power: 21
5th March 2004, 08:21 PM

Varinder ji,

I solute you!! Not only for noticing this situation, but to bring it out in front of all these people! And making such a great point! I agree, whats going on there India, isn't the greatest thing to be prideful about!

Now, on the shayri you've presented absolutetly true & tarif-e-kabil hai, not because its about women and I am one of them, but the izzat tumne di hai hum sabko. Humari sanskriti se bilkul sahi baat hai. Bas for few moments, I fell so prideful that I am a women! Then again wanted to look down, because how the other women in India are being treated!

Aapke khayalat humen bhi bohat pasand aaye....

Likhte rahiyenga...

luv,
tulsika!~


   
Reply With Quote
Old
  (#13)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
6th March 2004, 08:18 AM

Ghayal Bhayyia...

Aapke liye mere hriday main aur bhi sanmaan badh gaya hai...iss post ko padne par...wakai mein bhayyia yadi aapke jaise insaan hon tau yeh Aurat pe zulmon kee naubat hee na aaye...I am so proud of you! Aapne sahi kaha yahaan...

Shakhs nahin ye ek,iske hai roop anek
kabhi Maa to kabhi Behan,har roop me hai ye Mahaan

Aur yahan...

Bas haath jodkar kehta huun..ab ban jao tum Insaan
Is paak dharti ko ab na karo aur Badnaam
do us Maa ..us Beti..us Behan ko poora sanmaan
Lauta lao waapas wo Gairat..woh pehle jaisa HINDUSTAAN

aapki apni sanskriti ke prati bhawnaayein aur desh prem saaf jhalakta hai iss post mein...hats off to you Bhayyia...for bringing this disgusting truth to the fore...me too i volunteer for a distress centre to counsel women from south east asian countries...undergoing family abuse...and abuse is not just physical, it is mental, emotional and truly heart rending...i hope more men take up a stand like you did, for crimes committed against, maa, behan, biwi, beti...

This forum could become really interesting if we can discuss some worthwhile topics...really...regards...

paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#14)
shayri12345
Registered User
shayri12345 is a jewel in the roughshayri12345 is a jewel in the roughshayri12345 is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 2,408
Join Date: Sep 2001
Location: New York
Rep Power: 27
hi - 6th March 2004, 08:33 AM

aapke vichaar sunkar dil ko ajeeb sa sukun mila hai...u r nice actually V V Very nice person varinder....tumahre soch tumse bhi mahhan hai...aaj me dosti ke naajtey tumhe salute karti hu...DIl se jAan Se

Luv ya millions


Akhihaan milaake chan'na paavi na Judayi Vey .......

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jisnu Lagey, ohi'yo jaane, Kaun Jaane peer parayi!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
6th March 2004, 05:23 PM

varinder ji kya kahun garv se sar uncha ho jaata hai jab aap jaise logo ko dekhta hoon .... aap jaise hi log hai jinki wajah se Hindustan aaj bhi sar uthaa kar jee raha hai....aapne hamari sanskriti hamari pehchaan hamare hindustaan ki paribhaasha in lafzon mein keh daali hai

Bahut pasand aaya aapka likha hua..bahut pehle maine kuch likha hai uski do lines aapko sunaata hoon..

mehboob to milte hai har rah har mehfil
hindustaan teri ulfat ki magar baat aur hai

Yunhi likhte rahiye

duaaon ke saath
-mast



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#16)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
10th March 2004, 05:00 AM

Tulsika ji..

I agree with u that the way women is being treated in India is nothing much to proud about and they r not getting the amount of respect they deserve , but still I feel straigjt down from my heart that the time will change and women will regain the pride and reverence they so much deserve..

I have done nothing brave or great, just put in a word across this forum the thoughts that were just lingering all the times in my mind.and I sincerely beleive most of the people here will agree with my point.

I just wish and want my society to became again something for which we all could be proud of ..

Varinder..
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
10th March 2004, 05:08 AM

Paras..

Meri Paras...I felt so nice to know that you volunteer for the stress centre and all,this really shows the kind of heart u possess.
People like u could really make this world a better place to live in.

As for people like us we could only talk,but its the genre like u which really take some action to help out the stressed out minds and hearts.So abhi mere par gharv karne ki koi zaroorat nahin hai,whenever I will think that I have done something worthwhile main khud tumhe kahoonga ke haan ab mujh par gharv karo..

I wish I could play a part ,howmuchever significant it may be,in the welfare of mankind as a whole and women in particular..

Luv

Varinder
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
10th March 2004, 05:15 AM

Hey Priyaa...

Dost...all the salutes goes ur way.You may not realize what part u have played in my life..A lot of credit goes ur way as u have tought me to start looking at the outside world and to realize the amount of pain there infront of which our pains are negligible.

Aur tabhi maine dekha ke how bad this world his,and thus this shayri emerged.

Priya..ur friendship is like breath to me..and I treasure it..

Luv always

Varinder
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
10th March 2004, 05:20 AM

mehboob to milte hai har rah har mehfil
hindustaan teri ulfat ki magar baat aur hai

Wahh....

Kya keh Gaye aap mast ji..In do lines mein hi aapne bata diya ke aapke liye apne desh ..apni dharti ke kya maayne hain..Jo aadmi apne desh ko itna chahta ho main samjh sakta huun uske dil pe kya guzarti hogi jab us desh ki janta par koi atyachaar ho..

I am really glad to know ur feelings toward our country and towards mankind as a whole..

Thanks for sharing such beautiful words here

Varinder
   
Reply With Quote
Amazing
Old
  (#20)
Deep_Aashiq
Registered User
Deep_Aashiq is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 6
Join Date: Feb 2004
Location: USA, Virginia
Rep Power: 0
Amazing - 10th March 2004, 10:06 PM

Very nice man
aapke khyalon ki taarif karta hoon.
aapne apne dil ki baat to bahut khoob in shabdon me likha hai...
very good
keep it up.


Keep in touch !!!
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#21)
banjara''''
kuch likhne ki koshish
banjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura about
 
banjara'''''s Avatar
 
Offline
Posts: 930
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 24
hi - 11th March 2004, 02:39 AM

doctor sahib
-------
suna tha k doctor ban ne k liye dard ko kreeb nahin ane diya jata....khas kar dosron ka dard...magar aap ka yeh dosra roop hay...
yeh aik sulagta hwa masla hay..jaise mushi ne kaha...sab ka hay
hmare han...muslims main bazurgon ne kaha tha k qyamat ki aik nishani yeh bhi hogi k log apni choti choti bachiyon ko aaj se 1400 saal pahle ki tarah zinda dafn kar diya karain gain....
shayad yeh halat hmain qyamat ki taraf leja rahe hain...
-----------
lafz sochne main kitne kathan lagte hain..aik 12...sala bachi se gangrape...ha....lafzon ki tarap or bardasht dekhiye..sahab...us 12 salaa.bachi k parents..ki halat...un ki soch..un ki nigahain...
or bebasi ki intaha..us ka bhai...kiya so pate hoga??
..us bachi ka future...us k woh khwab...jo
pholon ki tarah gulab ban k khilna the...jise us ne..abhi apni...
halki..khabeda c,,ankhon main..chupaya hwa tha...kisi ne apni kuch lamhon ki hawis k khatir..bachpane main tor dala...kaise bitaey gi baki umer...apne khwabon se kya bahana kare gi...kya kah kar bahlaye gi..apni guriya ko ..kis tarah samjhaye gi use k woh ab bari ho gayi hay???
-----------
phir soch...agar kisi baat per majbor karti hay to is bat per...k choro koi or bat karo...yah is per..k akhir is masle ka hal kiya hay...
koi hay bhi yah nahin....kahan se dhundiye un chand shetanon ko...jo apne aap ko chand lamhon k khuda mante hain...
kaise khatam kijiye unhain......
kiya kijiye un..ka..????
bebas hain ham...

Last edited by banjara''''; 11th March 2004 at 02:44 AM..
   
Reply With Quote
Adaab Kabool Kijiye
Old
  (#22)
salman shaikh
Ek Anjaan Shaks...
salman shaikh has a spectacular aura aboutsalman shaikh has a spectacular aura about
 
salman shaikh's Avatar
 
Offline
Posts: 497
Join Date: May 2002
Location: London (UK)
Rep Power: 23
Adaab Kabool Kijiye - 11th March 2004, 01:36 PM

Salam Muhtrhaam Varinder Sahab....Kiase mijaaz hain apke...Janab Apne Is kubhsuraat kalaam ke is nacheez ki daad kabool farmiye .......Bahut sach socha aur likha hai apne ...Is umeed ke sath apse ijazat talab karte hain ..Inshalalh agey abhi apke kalaam hamare nazr-e-haya main tajweez hunge ...Shukriya...Kudha Hafiz...


EK ANJAAN SA SHAKS...
SALMAN SHAIKH...


Chal parin hain kashtiyaan samandar dur hai kinaara.....
in majon se puch lena kia haal hai hamaara....

______________________

Ashk bankaar woh mere chashm-e-tar main rehta hai....
ajeeb woh shaks hai jo pani ke ghar main rehta hai........
  Send a message via Yahoo to salman shaikh Send a message via AIM to salman shaikh Send a message via MSN to salman shaikh  
Reply With Quote
Old
  (#23)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
14th March 2004, 12:55 AM

Shukriya Deep sahib jo aapne is kalaam ko pada aur samjha..
Isme kher tareef to nahin chahi thi magar shayad is kalaam se mujhe ye to pata laga ke abhi bhi bahut se log nek soch rakhte hain..

Shukriya..


kyon zindagi ki raah mein akele chalta hai dost
chal waha chal jahan tere jaise aur bhi hai...
   
Reply With Quote
Old
  (#24)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
14th March 2004, 01:02 AM

Khan sahib..

Aapne jo likha usne mujhe bahut der tak khamosh karr rakha..

Main Doctor baad mein huun magar insaan pehle , aur yehi insaaniyat dil mein auron ka dard paida karr deti hai..aur shayad yehi dard hamari kamzori ban jaata hai..

Aapne jis tarah ik bachhi ke saath hue atyachaar ko bayaan kiya hai usse hamen hamari bebasi hi nazar aati hai..bas aankh mein do baand aansoo laane ke siva hum kar bhi kya sakte hain!!Aur shayad ye sab kuchh jaan kar kuchh hi dino mein sab bhool jaayenge hum..

Kabhi Kabhi apni is bebasi par sharam aa jaati hai hume..shayad hum bahut kamzor hain isliye iske ilaawa kuchh kar bhi nahin sakte..

Jee haan..qayamat sach mein saamne aa hi gayi hai..ab to shayad koi maseeha bhi nahin aayega ise rokne ke liye..

Khan sahib ..phir bhi naumeed na hote hue dua guun huun ke qayamat aani hai to aaye magar apne aane se pehle is tarah ke din aur na dikhaaye..

Ijaazat chahoonga
   
Reply With Quote
Old
  (#25)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
14th March 2004, 01:03 AM

Salman bhai..

Bahut shukriya jo aap yahan tashreef laaye aur is masle ko pad kar apni raaye yahan rakhi..

Aap jaise logo ki raaye sach mein bahut maayne rakhti hai..

Shukriya

Varinder
   
Reply With Quote
HI
Old
  (#26)
chandsi
Registered User
chandsi will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,192
Join Date: Sep 2004
Rep Power: 21
HI - 29th August 2005, 07:57 AM

Hai uski ye kahaani,hai Aurat jiska naam
jo hoti hai ghar ki izzat,jisse hota hai Imaan

Shakhs nahin ye ek,iske hai roop anek
kabhi Maa to kabhi Behan,har roop me hai ye Mahaan

Par bhool chuka hai aaj ka aadmi apni gairat
bas dekhta hai isse HAWAS se,ban gaya woh shaitaan

Zara socho us Aurat ko bhi..diya jisne janam tumko
Naari ki na izzat karke,na karo maa ko badnaam

kya ye hi woh bharat hai jisne pooja tha har maa ko?
Kahan gayi woh nazar poorani,kyon badal gaya Insaan?

har roz bikti hai akhbaar lekar balatkaar ki khabre hazaar
Kahan gayi Bharatvaasion woh tumhari aan..maan..sanmaan ?

[B]Bas haath jodkar kehta huun..ab ban jao tum Insaan
Is paak dharti ko ab na karo aur Badnaam
do us Maa ..us Beti..us Behan ko poora sanmaan
Lauta lao waapas wo Gairat..woh pehle jaisa HINDUSTAAN


HI .............FEELING SO HAAPY KI ..........AAJ BHI KUTCH LOG ISS TARAH KI BAAT SOCHTE HAIN ..............AAPKI YE SOCH ..AAPKA YE LEKH ...BAHUT LOGOO KI AANKHE KHOLEGA ...........EK EK KARKE HIN BAHUTOON KI JEEVAN SUDHAAREGA ................


WO MA KHUSHNASEED JISNE AAPKO JANAM DIYA
WO MA KHUSH NASEEB JINE AAPKO AISA SOCH DIYA
USS MA KO MERA SALAAM ..................

HAR GHAR MAIN MA BETIYOUNO KO ITNA SANSKAAR SHIKHAATI HAI ...WAHIN BETE KO BAS PYAAR HIN DETI REHTI HAIN ......AGAR THODA SA ISS TARH KA SANSKAAR UNKO DI JAAYE TOH SACH ....ZAMAANA BADLTE DERR NAHI LAGEGA .............


LIKHTE RAHIYE PLZ ..........KUTCH ISSI TARAH KA ..........MORALS WAALE LEKH .......BAHUT JAROORI HAI ..........


BYE TC




.
Bada hua to kya hua jaisay paid khajoor,
Panthi ko chhaya nahin, phal laagen ati door.

Nahaye dhoye kya bhala jo man ka mail na jaay
Meen sada jal mein rahe par tan ki baas na jaay

Akath Kahani Prem Ki, Kutch Kahi Na Jaye
Goonge Keri Sarkara, Baithe Muskae





.................................bye and tc ..................
   
Reply With Quote
Old
  (#27)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
16th September 2005, 11:55 PM

mere varinder,

2 din pahlay humne yahi baate fir ki ... tumne jab likha tha tab se aaj tak... kuch nahi badla... afsos....



tumhari meena
   
Reply With Quote
Old
  (#28)
Parul
Registered User
Parul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the rough
 
Parul's Avatar
 
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 26
17th September 2005, 01:21 AM



Varinder ji,

Bahut achha likha hai aapne... sab ka reply bhi parha. Shaayad hi koi hoga iss parivaar mein Jo iss rachna se sehmat nahi hoga. Par humhe aawaz uthaani hi padegi... I am absolutely agree for we should post this Issue some where in public view so lot of people can read it and understand it. thanks for this post and topic.

Thank you Meena di to bring this post up.

Take care!

   
Reply With Quote
Old
  (#29)
sakhi1909
raj
sakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud of
 
sakhi1909's Avatar
 
Offline
Posts: 2,332
Join Date: Aug 2003
Location: dil mein khud ke..aisa nahi kisi ko mera pata nahi hai mujhe dhundhne ki had tak koi dhundhta nahi hai..un
Rep Power: 34
17th September 2005, 11:50 PM

pyare bhiyaa
apne ek bahut hi dardnaak mudda uthaya hai jo aksar hamare sir ko jhuka deta hai apne naapak hone ke karan.

ye dard apne feel kya bahut hi achi baat hai.lekin kya hi acha ho agar ise har insaan feel kare aur yaisi ghatnaaye ho hi naa.

note:- lekin ye baat aur hai ki ise har insaan feel nahi karta warna yaisi ghatnaye roz sunne yaa padne mein nahi aati.
sakhi with love


कुछ ऐसे पल जिनको संजोना है ,
शब्दों में पिरोना है , जिससे वो हमारी यादों में महकते रहे
 Send a message via ICQ to sakhi1909  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Aurat swatirupam7 Hindi Kavitayen 0 29th January 2007 05:35 PM
aurat ehthishamulhaq Shayri-e-Dard 0 12th July 2006 08:56 PM
*@*Aurat.........*@* Diggaj_Dave Shayri-e-Ishq 12 5th April 2006 07:51 AM
Aurat Dr. HeeraIndori Aapki Shayri 2 14th December 2005 05:14 AM
Aurat Chaand Hindi/Urdu Lyrics 1 2nd June 2004 10:51 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com