Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Hadd-e-Chaahat se baahar...
Old
  (#1)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
Arrow Hadd-e-Chaahat se baahar... - 8th August 2005, 09:59 PM

ab aur haadase kyaa pesh aayenge ai dil
hamaarii un kii muhabbat ke haadasaat ke baad

ham ahal-e-hijr ko lutf-e-sahar nasiib kahaa.N
yahaa.N to raat hii aa_ii hameshaa raat ke baad

kabhii karam hii karam thaa aur ab sitam bhii nahii.n
taGaaful aur phir itanii tavajjuhaat ke baad
--shamim jaipuri


Adaab dosto...

Kuch arsa pehle likha thaa, magar post aaj kar rahi hoon iss kalaam ko...ummiid hai aap sab nazar-e-saani farmaayeinge aur apni raaye bhi pesh kareinge....

Khokar tujhe, *intekhaab hum kiska karein
Ashkbaar nazarron se hum poocha karein

Qareeb rehkar bhi saagar ke, hum pyaase rahe
*Hadd-e-qurbat se pare, tumko kyun sochaa karein
Haathon mein mere likh diya, *harf-e-jafaa rab ne
Phir chaahat mein teri, humdum kyun tadpaa karein

Naaz thaa teri ulfat pe, aur tuu chal diyaa
Itraa ke tuu puuche hai, kyun tarsaa karein
Dekh patton pe shajar se tuutne ke ghaav
Todh hamein iss taur, ki na simtaa karein

Khata muaaf, lakeeron ko bhula diya humne
Naadaan sahi, sapnon se hum uljhaa karein
Uktaa ke cheekh padhe jo dil, veraanon mein
Ghabra ke dard ke shaano se hum liptaa karein

Jo kaho tum, ki aaj bhi hain pyaare tujhe
*Sailaab ko palkon hi hee mein rokaa karein
Teri chaahat ke kinaaron ke yoonhi aas paas
Leke be-chain duaaon ko hum bhatakaa karein

Beshaq naseeb mein hamare, yeh saugaat nahin
Shokh teri yaadon ko hum chuumaa karein
Naagavaar hai humko *shikast-e-wafa, 'paras'
*Tagaaful ko hum inaayat hi teri, samjha karein

intekhaab = choice
Hadd-e-qurbat = boundary of closeness
harf = word
sailaab = flood
shikast-e-wafa = defeat in love
Tagaaful = indifference


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
deewaana
deewaana
deewaana is a glorious beacon of lightdeewaana is a glorious beacon of lightdeewaana is a glorious beacon of lightdeewaana is a glorious beacon of lightdeewaana is a glorious beacon of light
 
Offline
Posts: 214
Join Date: May 2003
Location: Dar-es-salaam
Rep Power: 25
9th August 2005, 06:20 AM

aslaamaleikuum namaste and sat sri a kal

paras jee ,,


no words !! just passing by and wanted to say hai

take care and remmeber me in your prayers


dil toh sirf deewaana hain
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Parul
Registered User
Parul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the rough
 
Parul's Avatar
 
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 26
9th August 2005, 08:58 AM

oh paras ji.. what a great creation.... such a wonderful thought! thank you very much for sharing best of yours and meanigful words, daad kubul karna tumhari andaaz_e_bayaan ki...


take care and be happy always! keep in touch*
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
9th August 2005, 09:34 AM

meri paras,

humesha ki tarah... achhi rachna

meena
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
candyboy
Registered User
candyboy will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,473
Join Date: Aug 2004
Location: Sharjah, U.A.E.
Rep Power: 21
9th August 2005, 10:53 AM

Meri Pyaari Guru Ji,

Ek bohot hi dil azeez kalaam jisse bar bar parhte reh gaye. Gehre jazbaat alfaazo mein bakhubi bayan kiye hai.

Hum toh soche te ke kahi naye aaude mein itni masroof na ho jaaye ke hume aapke kalaamo ke liye tarasna parhe. Par bohot khushi mili aapka kalaam yaha paa kar. Likhte rahe aur humare sabak barkaraar rakhe.


Luvs,

Salim

If there are no tears in the eyes, there will be no rainbow in the soul

Happiness is a butterfly, which, when pursued, is always just beyond your grasp, but which, if you sit down quietly, may alight upon you.

We come to love not by finding a perfect person but by learning to see an imperfect person perfectly
  Send a message via Yahoo to candyboy  
Reply With Quote
Old
  (#6)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
9th August 2005, 12:08 PM

Khokar tujhe, *intekhaab hum kiska karein
Ashkbaar nazarron se hum poocha karein

Waaaaaaaah.. Well said...!


Qareeb rehkar bhi saagar ke, hum pyaase rahe
*Hadd-e-qurbat se pare, tumko kyun sochaa karein

Haathon mein mere likh diya, *harf-e-jafaa rab ne
Phir chaahat mein teri, humdum kyun tadpaa karein

Waaaaaaaaaaahhhhhhh.... kya likh diya hai guruji!


Naaz thaa teri ulfat pe, aur tuu chal diyaa
Itraa ke tuu puuche hai, kyun tarsaa karein

Dekh patton pe shajar se tuutne ke ghaav
Todh hamein iss taur, ki na simtaa karein

this one is classs....beautiful and deep.... Loved it...!


Khata muaaf, lakeeron ko bhula diya humne
Naadaan sahi, sapnon se hum uljhaa karein

Uktaa ke cheekh padhe jo dil, veraanon mein
Ghabra ke dard ke shaano se hum liptaa karein

AaaaaaaaaH.... bahut khoob... Dard...!


Jo kaho tum, ki aaj bhi hain pyaare tujhe
*Sailaab ko palkon hi mein rokaa karein

Teri chaahat ke kinaaron ke yoonhi aas paas
Leke be-chain duaaon ko hum bhatakaa karein

Kyaa baat kahi haii.... Kyaa likah hai...? bahut khoob!


Beshaq naseeb mein hamare, yeh saugaat nahin
Shokh teri yaadon ko hum chuumaa karein

Naagavaar hai humko *shikast-e-wafa, 'paras'
*Tagaaful ko hum inaayat hi teri, samjha karein

Aaaaaaah, again.. just wonderfull expression...!

Dear Paras!

This one is just simply beautiful......Kya bayaani hai yaar... har sher par dil se waah hi nikalti hai...and its simple tooo.... flowing beautifully... expressed beautifully.. all n all a masterpiece....

I simply loved this one... Meri dil se daad kubool karlena guruji....yun hi mehfil sajaati raho.. Take Care


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Old
  (#7)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
9th August 2005, 12:44 PM

Paras meri behan

Tumhari kalam ki uthaan aur tumhari shakhsiyet ki pehchaan ne to mujhe is taur mas-hoor kiyaa hai ke bayaan se baher hai.
Tumhari is nazmiyaa ghazel ko parh ker mujhe koee tuajjub naheen huaa kyunke mein to tumhari shakhsiyet ki rag rag se waaqif hoon. Tumhara maan-jaaya to naheen hoon mager phir bhi hoon tumhara bhai. Aur tumhari shakhsiyet aur nafsiyaat dono ko bohat achchi tarah samajhta hoon.
Yeh to bhai ki mehsoosaat hain, mager doston ko bhi tumhari shakhsiyet ko samajhne ke liye yeh kalaam bohat kaafi hai.
Tumhara tarz-e-bayaan, tumhari alfaaz ki kaat, tumhare kalam ki rawaani, sheereen bayaani, tursh khayali, aur lateef pairayee mein kiye gaye tanz ne is kalaam ko ek shahkaar bana diyaa hai.
Yeh ashaar, tumhari shakhsiyet ki do-rangi ko bayaan kerte hain

1- Naaz tha teri ulfat pe aur tuu chal diyaa
Itraa ke tuu pooche hai kyuun tarsa karein

Goyaa nihayet masoomiyet aur innocence ka namoona hai yeh shayr, kitni mehboobiyet aur masoomiyet tapakti hai is mein yeh sirf hassaass aur dard mand dil hi samajh sakta hai.

Aur isi band ka doosra shayr
2- Dekh patton pe shajar se tootne ke ghaav
Todh hamein is taur ke na simtaa karein

Kitna dard aur karb hai is shayr mein , intihaayee masumiyet aur mehboobiyet ke saath.

Ab kyaa kahoon.
Mein ziayada tareef karoon gaa, to dost kahein ge ke behan bhai hain isi liye tareef ho rahi hai, mager doston baat yeh hai ke shayeri ke liye insaan ke ander ka ikhlaas aur sachchaayee aur dard mand dil bohat zaroori hai aur us ke saath lagen bhi, jo paras ke paas intem maujood hai.

Meri dua hai ke hamare sab likhne waale isi tarah likha karein aur hem parhein aur un ki hosla afzaayee karein.

Meri duyaaein aap sab ke liye aur khaas taur per apni behan ke liye.

Yeh poori ki poori ghazel bohat shaandaar aur umda hai.
Bhai ki duaa aur bhai ki mohabbat ko apne shamil-e-haal jaano aur isi tarah likho. You have to go far ahead. I believe.

God bless you .

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Re: Hadd-e-Chaahat se baahar...
Old
  (#8)
Rohin
Registered User
Rohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to behold
 
Rohin's Avatar
 
Offline
Posts: 3,937
Join Date: Dec 2003
Rep Power: 32
Re: Hadd-e-Chaahat se baahar... - 9th August 2005, 03:02 PM

Khokar tujhe, *intekhaab hum kiska karein
Ashkbaar nazarron se hum poocha karein

Qareeb rehkar bhi saagar ke, hum pyaase rahe
*Hadd-e-qurbat se pare, tumko kyun sochaa karein
Haathon mein mere likh diya, *harf-e-jafaa rab ne
Phir chaahat mein teri, humdum kyun tadpaa karein


Wah...

Naaz thaa teri ulfat pe, aur tuu chal diyaa
Itraa ke tuu puuche hai, kyun tarsaa karein
Dekh patton pe shajar se tuutne ke ghaav
Todh hamein iss taur, ki na simtaa karein


Wah wah...

Khata muaaf, lakeeron ko bhula diya humne
Naadaan sahi, sapnon se hum uljhaa karein
Uktaa ke cheekh padhe jo dil, veraanon mein
Ghabra ke dard ke shaano se hum liptaa karein


kya baat hai... wah wah

Jo kaho tum, ki aaj bhi hain pyaare tujhe
*Sailaab ko palkon hi hee mein rokaa karein
Teri chaahat ke kinaaron ke yoonhi aas paas
Leke be-chain duaaon ko hum bhatakaa karein


wah kya baat hai....

Beshaq naseeb mein hamare, yeh saugaat nahin
Shokh teri yaadon ko hum chuumaa karein
Naagavaar hai humko *shikast-e-wafa, 'paras'
*Tagaaful ko hum inaayat hi teri, samjha karein


wah wah hai kya baat hai.

Hi Paras di,

Wah kya baat hai...bahut khoob laga... purani sahi magar taazgi nahi gayi... acha likha hai...

Take Care
Rohin


http://www.thoughtsunbound.com a place for my thoughts
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#9)
pari
Registered User
pari will become famous soon enoughpari will become famous soon enough
 
pari's Avatar
 
Offline
Posts: 687
Join Date: May 2003
Location: USA
Rep Power: 22
hi - 9th August 2005, 06:23 PM

paras ji,
waqui bahut khoobsoorat creation hai.....bas jab bhi aap sabhi ki nazmein yaha aa ke padhti hu to kuch der ke liye apne saare gum bhool jaati hu,
aise hi apna pyar sab par barsaate rahiyega,
aapki,
pari


Chadha hai aaj bhi uska Rang, jisne kabhi Ranga hi nahi :-)
   
Reply With Quote
paras di.....
Old
  (#10)
samir4u_in
Registered User
samir4u_in will become famous soon enough
 
samir4u_in's Avatar
 
Offline
Posts: 122
Join Date: Aug 2004
Location: An angel's heart
Rep Power: 20
paras di..... - 9th August 2005, 09:00 PM

hi paras di,


reading u for the first time .. had only read u long back .. ab to yaad bhi nahi rahaa ..
this one is very well written .. too wonderful .. to touchy n really straight from the heart.. i suppose u too write on judai n be wafai .. just like me .. but u write far more better .. u do keep writing .. n i'll keep reading .. n..... commenting too .. infact praising ... plz do accept my
DIL SE DAAD.... ..

take care .. n keep smiling ,

luvs,
samir


The rememberance and the longing

______________________________
http://www.angelfire.com/emo2/shayri_e_dard
  Send a message via Yahoo to samir4u_in  
Reply With Quote
Old
  (#11)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
10th August 2005, 10:21 AM

deewaana sahib...

kaise hain aap...shubhkaamnaaon ke liye dhanyavaad...aap apna khayaal rakhein aur younhi aate raha karein...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
10th August 2005, 10:23 AM

Hello Parul...

Shukriyaa mujhe padhne ka aur saraahne kaa...keep that sunny smile intact...ok...apna khayaal rakhna...and keep in touch ...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
10th August 2005, 10:24 AM

Meena ji...

shukriyaa...yahaan aane ka...aapko pasand aaya mera likha...bahut khushi kee baat hai mere liye...

aapki paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
10th August 2005, 10:27 AM

Salim...

kahan ho, kaise ho...hamesha kee tarah mujhe padhne aur daad dene ke liye shukriyaa...hum tau likhte hee raheinge...jab jab dil se awaaz nikle aur kalam uthaane ko ungaliyaan bechain ho jaayein...lol...take care


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
10th August 2005, 10:33 AM

Dear Pulkit...

Yeh tumhara har ek sher pe daad dena aisa lagta hai ki shabaashi mein peeth thapthapaa rahe ho... aur yeh bhi pata chalta hai ki tum mujhe kitni shiddat se padhte ho...and you should...because you are my buddy...lol...and you owe me that much...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
10th August 2005, 11:22 AM

Mere Bhayyia...

Jab aap iss tarah se tafsiil se mere kalaam pe tabsara karte hain tau bahut achha lagta hai...bahut kuch seekhne ko milta hai...apna hee kalaam maano khul ke mere saamne aata hai...aur kyunki main kuch bhi miss nahin karna chahti...dictionary side pe khuli rehti hai...aapko samajhne ke liye...lol...

aapka iss tarah se meri peeth thonkna hi mere liye bahut badi baat hai...mujhe naaz hota hai...khud pe hee...jis tarah se aap mujhe samajhte hain shayad hee koyi samajhne kee koshish karta hai...mere kalaam mein chipa hassaas aur dard ek mamuuli aur aam insaan ki zindagi ka hee hissa hai...aur kuch nahin...main tau bus wahi bayaan karti hoon...

aur yehi aam si shaksiyat hai meri...koyi uthaan ya parwaan main nahin dekh paati...mere paanv hamesha zameen pe gadhe rahein...aur aankhein ahad-e-tarab kee aur...bus...yahi aashirwaad rahe aapka...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
Aman_rahi
Paigaam-e-Aman
Aman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really nice
 
Aman_rahi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,689
Join Date: Oct 2004
Location: Patiala, Punjab, India. Now:Pune, India
Rep Power: 26
10th August 2005, 03:42 PM

Meri HB GB behna Paras............

lafzon mein tumhari shakshiyat aur kalam ki tez dhaar ko bayan karna namumkin hai.......kalaam ko bahut hi shiddat se ek cheerte hue tarz mein bayan kiya hai...............

Dekh patton pe shajar se tuutne ke ghaav
Todh hamein iss taur, ki na simtaa karein


ek hassas hai ek sher mein jo dard mehsoos kara jaata hai.....tootne ka...........

Beshaq naseeb mein hamare, yeh saugaat nahin
Shokh teri yaadon ko hum chuumaa karein
Naagavaar hai humko *shikast-e-wafa, 'paras'
*Tagaaful ko hum inaayat hi teri, samjha karein


bahut khoob bayani hai apne zehan mein base hue pyar aur wafa ki jo ravaani-e-lahoo ki tarah nabzon mein behta hai.........

apni behan kehta hue sar ooncha rehta hai......hmmm hai jo ki meri
HB aur GB behna....

thvuada veer.........



**(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*)**
*·.¸Paigaam -e- Aman¸.·*
**(¸.·´(¸.·* *·.¸)`·.¸)**


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
inhan ankhaaon vicho kadi, tere hanju vaghe si.....
aaj ki hoye, jehda ^AMAN^ da lahoo vagda ae......

AMAN RAHI
  Send a message via Yahoo to Aman_rahi  
Reply With Quote
Old
  (#18)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
13th August 2005, 07:26 AM

Der se jawaab dene ke liye muafi chahti hoon...Rohin...

lekin tumko bhi fursat kahan hogi aajkal...tumhein pasand aaya di ka kalaam...bahut achha laga...yoonhi padhte rehna tum...chaahe jaisaa bhi likhoon...take care

di


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Re: hi
Old
  (#19)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
Re: hi - 13th August 2005, 07:29 AM

Quote:
Originally posted by pari
paras ji,
waqui bahut khoobsoorat creation hai.....bas jab bhi aap sabhi ki nazmein yaha aa ke padhti hu to kuch der ke liye apne saare gum bhool jaati hu,
aise hi apna pyar sab par barsaate rahiyega,
aapki,
pari
Meri pyari Pari...

Beshaq tum yahan aaya karo...aur apne jazzbaat bhi baanta karo...hum tau hain na tumhare saath aur swar ke saath...tumhare paas waqt kee kami hai tab bhi tum aayin bahut achha laga tumhein dekhkar...sach...take care of yourself too...

luv, paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Re: paras di.....
Old
  (#20)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
Re: paras di..... - 13th August 2005, 07:33 AM

Quote:
Originally posted by samir4u_in
hi paras di,


reading u for the first time .. had only read u long back .. ab to yaad bhi nahi rahaa ..
this one is very well written .. too wonderful .. to touchy n really straight from the heart.. i suppose u too write on judai n be wafai .. just like me .. but u write far more better .. u do keep writing .. n i'll keep reading .. n..... commenting too .. infact praising ... plz do accept my
DIL SE DAAD.... ..

take care .. n keep smiling ,

luvs,
samir
Dear Samir...

Nice to see you here...i m devastated to hear that you read me loooooooooong time back...then you don't know what you've been missing..........hmmmn.....

just kidding... well i ve learnt a lot from this site...from wonderful writers...can i hope that you ll keep your promise?

Paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#21)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
13th August 2005, 07:37 AM

Aman Veer...

Tumne tau bade shayraana dhang se daad di hai...wow...khud pe hee guroor aane laga hai

tumhein mera likha pasand aaye tau dil ko achha lagta hai...kyunki tum khud bhi ek sanjeeda, aur suljhe huye shayar ho...jisse Bhai kehte huye main bhi garv mehsoos karti hoon...

apna khayaal rakhna, duusron ka tau rakhte hi ho hamesha...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
Bheegi_palkhein
Registered User
Bheegi_palkhein is on a distinguished road
 
Bheegi_palkhein's Avatar
 
Offline
Posts: 452
Join Date: Mar 2005
Location: In his heart...
Rep Power: 20
14th August 2005, 06:29 AM

Dear Paras di,

bahaut acacha likha hai...2 baar padha tab jaake samajh aaya hai..hehe...par bahaut asardaar hai...too good...

Luv ya
palak



===========================================


Naam ke tere kii ibaadat hai, Ishq teraa khudaayi hai
Berang meri duniya sanam rangeen toone banaayi hai
Dil ki har dhhadkan me naam teraa shaamil hai is kadar
Ke dekhoon main aaina bhi to soorat teri nazar aayi hai


================================================== ================================================== ================


"Don't walk behind me; I may not lead. Don't walk in front of me; I may not follow. Just walk beside me and be my friend."

================================================== ================================================== =================
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
15th August 2005, 11:37 AM

Quote:
Originally posted by Bheegi_palkhein
Dear Paras di,

bahaut acacha likha hai...2 baar padha tab jaake samajh aaya hai..hehe...par bahaut asardaar hai...too good...

Luv ya
palak
Dear Palak...

Sirf 2 baar padhne se hi samajh aa gaya...waah! Tau main phir theek likhne lagi hoon...

take care


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Re: Hadd-e-Chaahat se baahar...
Old
  (#24)
sakhi1909
raj
sakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud of
 
sakhi1909's Avatar
 
Offline
Posts: 2,332
Join Date: Aug 2003
Location: dil mein khud ke..aisa nahi kisi ko mera pata nahi hai mujhe dhundhne ki had tak koi dhundhta nahi hai..un
Rep Power: 34
Re: Hadd-e-Chaahat se baahar... - 21st August 2005, 01:35 AM

Quote:
Originally posted by Parastaar
ab aur haadase kyaa pesh aayenge ai dil
hamaarii un kii muhabbat ke haadasaat ke baad

ham ahal-e-hijr ko lutf-e-sahar nasiib kahaa.N
yahaa.N to raat hii aa_ii hameshaa raat ke baad

kabhii karam hii karam thaa aur ab sitam bhii nahii.n
taGaaful aur phir itanii tavajjuhaat ke baad
--shamim jaipuri


Adaab dosto...

Kuch arsa pehle likha thaa, magar post aaj kar rahi hoon iss kalaam ko...ummiid hai aap sab nazar-e-saani farmaayeinge aur apni raaye bhi pesh kareinge....

Khokar tujhe, *intekhaab hum kiska karein
Ashkbaar nazarron se hum poocha karein

Qareeb rehkar bhi saagar ke, hum pyaase rahe
*Hadd-e-qurbat se pare, tumko kyun sochaa karein
Haathon mein mere likh diya, *harf-e-jafaa rab ne
Phir chaahat mein teri, humdum kyun tadpaa karein

Naaz thaa teri ulfat pe, aur tuu chal diyaa
Itraa ke tuu puuche hai, kyun tarsaa karein
Dekh patton pe shajar se tuutne ke ghaav
Todh hamein iss taur, ki na simtaa karein

Khata muaaf, lakeeron ko bhula diya humne
Naadaan sahi, sapnon se hum uljhaa karein
Uktaa ke cheekh padhe jo dil, veraanon mein
Ghabra ke dard ke shaano se hum liptaa karein

Jo kaho tum, ki aaj bhi hain pyaare tujhe
*Sailaab ko palkon hi hee mein rokaa karein
Teri chaahat ke kinaaron ke yoonhi aas paas
Leke be-chain duaaon ko hum bhatakaa karein

Beshaq naseeb mein hamare, yeh saugaat nahin
Shokh teri yaadon ko hum chuumaa karein
Naagavaar hai humko *shikast-e-wafa, 'paras'
*Tagaaful ko hum inaayat hi teri, samjha karein

intekhaab = choice
Hadd-e-qurbat = boundary of closeness
harf = word
sailaab = flood
shikast-e-wafa = defeat in love
Tagaaful = indifference
aapa kya kahun bas.............
apki
sakhi


कुछ ऐसे पल जिनको संजोना है ,
शब्दों में पिरोना है , जिससे वो हमारी यादों में महकते रहे
 Send a message via ICQ to sakhi1909  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Unki CHAAHAT,Meri CHAAHAT, Wohi to hai Humari CHAAHAT.. chaahat Shayri-e-Ishq 3 29th August 2006 03:53 AM
Mujhe Mehkhane Se Baahar Mat Nikalo Junior_Ghalib Shayri-e-Sharaab 1 5th February 2006 12:07 PM
Ghamo ke saagar se baahar nikle bhi na the....... veethi Shayri-e-Dard 5 4th June 2005 07:11 PM
hadd hai... anita7608 Shayri-e-Ishq 5 23rd August 2004 12:57 PM
Hoti baahar baarish ko dekh kar, aaj muje vo yaad aa gaya,.>> shayri12345 Shayri-e-Dard 0 17th November 2002 02:33 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com