Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Aaj kal Woh hum se Baat nahi karte hain
Old
  (#1)
asgher
Registered User
asgher is on a distinguished road
 
asgher's Avatar
 
Offline
Posts: 248
Join Date: Mar 2005
Location: dil se dil tak
Rep Power: 20
Aaj kal Woh hum se Baat nahi karte hain - 29th May 2005, 04:28 PM

Aaj kal woh hum se

Aaj kal Woh hum se Baat nahi karte hain

Raat se din Aur Din se raat nahi karte hain

Aate rehte hain khayalon main har pal

Par asliyat main Mulakaat nahi karte hain

Kahan hain, Kaise hain Aur Kis haal main hain hum

Bereham Koi Sawalaat nahi karte hain

Ashkon main doob gayi hain palkein Aur phir zindigi bhi

Band barasna Yeh Ashq-E-jazbaat nahi karte hain

Bhool gaye hain “MUSKAANA”, Aur, Koshish bhi chod di hai ab to

Kia karein Manzoor yeh Haalaat nahi karte hain

aik dam aa jaayein who saam ne Aur Lag jaayein seene se


Pyaar karte hain hum un se sacha Koi bataye unhein Uff

Koi kasoor hum Aji, Hazooraat nahi karte hain

Khafa kyun hain? Yeh pata ho to Mana lein un ko

Par woh to Koi bhi Ishaaraat nahi karte hain

“gum naam ” ki patti pe jo shabnam hai Sookh na jaaye

Kisi ki zindigi Yun hi Barbaad nahi karte hain..........................


Where we live is home, Home that our feet may

leave, But not our hearts.
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
nice_off_me
sabke dil mein pyar banke
nice_off_me will become famous soon enough
 
nice_off_me's Avatar
 
Offline
Posts: 1,053
Join Date: Jan 2005
Location: in ur heart
Rep Power: 21
29th May 2005, 08:54 PM

marvellous awesome wordz asgher sach mein dost buhut buhut hi acha aur gehraii hai iss nazm mein likhte rahiyega..................


unforgetable simran
~~~~~~~~~~~~~~~~
Ju PaL mIlE uSs PaL kO jEe lO
sHaYaD kAl Ho Na Ho......

love is seeing yourself in someone's
eyes and finding yourself in somebody's heart!!!!!(*-*)


(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep
(¨`·.·´¨)¸.·´ Smiling!
`·.¸.·´

ITS STATE OF MIND.....
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
asgher
Registered User
asgher is on a distinguished road
 
asgher's Avatar
 
Offline
Posts: 248
Join Date: Mar 2005
Location: dil se dil tak
Rep Power: 20
30th May 2005, 11:28 AM

Quote:
Originally posted by nice_off_me
marvellous awesome wordz asgher sach mein dost buhut buhut hi acha aur gehraii hai iss nazm mein likhte rahiyega..................
simran


Where we live is home, Home that our feet may

leave, But not our hearts.
   
Reply With Quote
har baar mere saamne aati rahi ho tum
Old
  (#4)
asgher
Registered User
asgher is on a distinguished road
 
asgher's Avatar
 
Offline
Posts: 248
Join Date: Mar 2005
Location: dil se dil tak
Rep Power: 20
har baar mere saamne aati rahi ho tum - 30th May 2005, 11:30 AM

har baar mere saamne aati rahi ho tum

har baar tum se mil ke bichadhta raha hooN main

tum kaun ho yeh Khud bhi nahi janti ho tum

main kaun hooN yeh Khud bhi nahi janta hooN main

tum mujh ko jaan kar hi padhi ho aazaab main

aur ais tarah Khud apni saza ban gaya hooN main

tum jis zameeN par ho main us ka Khuda nahi

bas sar basar azeeyat-o-aazaar hi raho

bezaar ho gayi ho bahut zindagi se tum

jab bas main kuch nahi hai to bezaar hi raho

tum ko yahaaN ke saaya-e-partau se kia Gharz

tum apne haq main bich ki deewaar hi raho

main ibtada-e-ishq main beemar hi raha

tum intaha-e-ishq ka miyaar hi raho

tum Khoon thukati ho yeh sun kar Khushi hoyi

ais rang ais adaa main bhi pur-kaar hi raho

main ne yeh kab kaha tha ke muhabbat main hai najaat

main ne yeh kab kaha tha ke wafadaar hi raho

apni mataa-e-naaz luTa kar mere liye

baazaar-e-iltafaat main naadaar hi raho

jab main tumhein nishaat-e-muhabbat na de saka

Gham main kabhi sakoon-e-rafaaqat na de saka

jab mere sare charaaGh-e-tamanna hava ke hain

jab mere sare Khuwaab kisi bewafaa ke hain

phir mujhe chaahne ka tumhein koi haq nahi

tanha karahane ka tumhein koi haq nahi.......................................


Where we live is home, Home that our feet may

leave, But not our hearts.
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
karte hain wafa ali Anjuman-e-Shayri 401 16th March 2013 09:50 AM
yunn baat baat pe aakhoN ko tarr nahi karte talib Shayri-e-Dard 20 5th January 2006 07:10 AM
dil...ya dil ki duaa ki baat karte ho...? (shumaila ji ke naam) maikasH Shayri-e-Dard 6 6th November 2005 07:15 PM
Tha kabhie ishq unko bhi humse jo aaj na hone ki baat karte hai naresh Shayri-e-Dard 2 18th April 2005 08:50 PM
baat karte ho Amit Singh Humourous Shayri 0 20th December 2004 12:09 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com