Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 3 votes, 3.67 average. Display Modes
nazm aur ghazal meN farQ
Old
  (#1)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
nazm aur ghazal meN farQ - 21st October 2008, 04:03 AM

nazm aur ghazal meN farQ
Ghazal :- Ghazal ke lughvi maa'ni haiN "a'urtoN ke saath baat cheet aur i'shQ baazi (shaa'iri )."
who Sanaf-sukhn (kind of speech) jis meN a'moman"(generally) Husn–o-i'shQ , viSaal-o-firaaQ , sharaab-o-shabaab aur tasavuf-o-ma'rfat (mysticism) waghera ki baatieN kahi jaaieN
lakin ghazal is Had bandi ki paband nahieN rahi , ab is meN har Qisam ke mouZooa'at-o-masail nazm kiye jaate haiN , is ka her she'r a'moman (generally) mukhtalif maZmoon(subject) per mushtamil hota hai , iska pehla she'r matla' kehlaata hai , jis ke donoN miSre'y hum radeef hum Qaafiaa hote haiN , baaQi asha'ar ke misra'-e-caani meN Qaafia radeef hota hai aakhri she'r jis meN shaa'ir ka takhalus ho maQta' kehlaata hai , sub se ache she'r ko "shah bait" kehte haiN
ghazal kaa unwaan naheeN hotaa .

Nazm:- nazm ke lughvi maa'ni haiN "Peerona"
nazm ko aik hee mazmoon (subject) per bayaan kiyaa jaataa hai. is kaa har sher ek doosre se juRaa hotaa hai aur sab mil kar ek hee mazmoon (subject) bayaan karte hain aur nazm kaa ek unwaan hotaa hai.
Nazm meN matle' maQte' kee koi pabandee naheeN hotee

Nazm ki kismeN paai jaati haiN
1: ghazal numaa nazm (who nazm jis meN ghazal jese uSooloN ko lazim rakha jaaey
2: azaad nazm (woh kalam-e-mozoN jis meN Qaafia aur radeef na hoN lakin beHr ho)

Mere naQis e’lm meN itna hi tha … aHbaab se guzrish hai keh unhaiN jitna E’lm hai who bhi hamare saath mil ker e’lm ko aagey beRhaaieN

Mujeeb
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
SDC ko naaz hai aap jaise members par
Old
  (#2)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Thumbs up SDC ko naaz hai aap jaise members par - 21st October 2008, 08:05 PM

Quote:
Originally Posted by Mujeeb View Post

Shukriya Mujeeb Bhai....aapne hum sabke liye etni mehnat karke yeh jaroori baateN bataye....bahut accha kiya aapne jo yeh jaankari aapne hindi mein di, bahut members ke PM aate hain, ki gazal aur nazm dono mein kaya farq hai, pls batao?? .....to agar hum unko kisi aise thread ka link detey hain jis par yeh jaankari hai, to woh sab english mein hai to kuch members ko sahi tareeke se samaj nahi aata....hume to khud enti jaankari nahi hai ki kisi ko apne tareekey se samjayeN, aapke es thread ke liye main aapko dil se shukriya kahna chahti hoon. aap jaise members hamare SDC pariwaar ki shaan hai, jo chahte hain ki har member shayri ke gur seekh sake.....umeed hai hume aage bhi aap ke keemti sujao miltey raheNge.

reps +++

ek baar phir se shukriya.
god bless u

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#3)
dheer
Registered User
dheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant future
 
dheer's Avatar
 
Offline
Posts: 875
Join Date: Nov 2004
Location: udaipur
Rep Power: 35
21st October 2008, 09:02 PM

Quote:
Originally Posted by Mujeeb View Post
nazm aur ghazal meN farQ
Ghazal :- Ghazal ke lughvi maa'ni haiN "a'urtoN ke saath baat cheet aur i'shQ baazi (shaa'iri )."
who Sanaf-sukhn (kind of speech) jis meN a'moman"(generally) Husn–o-i'shQ , viSaal-o-firaaQ , sharaab-o-shabaab aur tasavuf-o-ma'rfat (mysticism) waghera ki baatieN kahi jaaieN
lakin ghazal is Had bandi ki paband nahieN rahi , ab is meN har Qisam ke mouZooa'at-o-masail nazm kiye jaate haiN , is ka her she'r a'moman (generally) mukhtalif maZmoon(subject) per mushtamil hota hai , iska pehla she'r matla' kehlaata hai , jis ke donoN miSre'y hum radeef hum Qaafiaa hote haiN , baaQi asha'ar ke misra'-e-caani meN Qaafia radeef hota hai aakhri she'r jis meN shaa'ir ka takhalus ho maQta' kehlaata hai , sub se ache she'r ko "shah bait" kehte haiN
ghazal kaa unwaan naheeN hotaa .

Nazm:- nazm ke lughvi maa'ni haiN "Peerona"
nazm ko aik hee mazmoon (subject) per bayaan kiyaa jaataa hai. is kaa har sher ek doosre se juRaa hotaa hai aur sab mil kar ek hee mazmoon (subject) bayaan karte hain aur nazm kaa ek unwaan hotaa hai.
Nazm meN matle' maQte' kee koi pabandee naheeN hotee

Nazm ki kismeN paai jaati haiN
1: ghazal numaa nazm (who nazm jis meN ghazal jese uSooloN ko lazim rakha jaaey
2: azaad nazm (woh kalam-e-mozoN jis meN Qaafia aur radeef na hoN lakin beHr ho)

Mere naQis e’lm meN itna hi tha … aHbaab se guzrish hai keh unhaiN jitna E’lm hai who bhi hamare saath mil ker e’lm ko aagey beRhaaieN

Mujeeb
Mujeeb saHeb! aadaab arz!!
is nek kaam ke liye aapka mamnoon huN. Mohataram Sarwar Raz saHeb kee website par kuchh articles nikaat e sukhan ke titles se darj hai. meraa khayaal hai keh agar koee ghazal aur nazm ke baare meN tafseel se agar jaan'ne ke khwaahishmand hai to woh yakinan unki website se khaalee naheeN jaayegaa. maiN unheeN meN se aik link yahaaN post kar rahaa huN

http://sarwarraz.com/adabipage_en.ph...e-SuKhan%20#7:

dua go
dheer
  Send a message via Yahoo to dheer  
Reply With Quote
Old
  (#4)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
21st October 2008, 09:16 PM

Quote:
Originally Posted by dheer View Post
Mujeeb saHeb! aadaab arz!!
is nek kaam ke liye aapka mamnoon huN. Mohataram Sarwar Raz saHeb kee website par kuchh articles nikaat e sukhan ke titles se darj hai. meraa khayaal hai keh agar koee ghazal aur nazm ke baare meN tafseel se agar jaan'ne ke khwaahishmand hai to woh yakinan unki website se khaalee naheeN jaayegaa. maiN unheeN meN se aik link yahaaN post kar rahaa huN

http://sarwarraz.com/adabipage_en.ph...e-SuKhan%20#7:

dua go
dheer

Bahut bahut shukriya moHteram Dheer saHb ... saHiH fermaya appne keh yahaN se bahut kuch seekha jaa sakta hai . apna Qeemti waQt dene ka beHad shukriya

khush rahieN

Mujeeb
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Old
  (#5)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
21st October 2008, 09:24 PM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
Shukriya Mujeeb Bhai....aapne hum sabke liye etni mehnat karke yeh jaroori baateN bataye....bahut accha kiya aapne jo yeh jaankari aapne hindi mein di, bahut members ke PM aate hain, ki gazal aur nazm dono mein kaya farq hai, pls batao?? .....to agar hum unko kisi aise thread ka link detey hain jis par yeh jaankari hai, to woh sab english mein hai to kuch members ko sahi tareeke se samaj nahi aata....hume to khud enti jaankari nahi hai ki kisi ko apne tareekey se samjayeN, aapke es thread ke liye main aapko dil se shukriya kahna chahti hoon. aap jaise members hamare SDC pariwaar ki shaan hai, jo chahte hain ki har member shayri ke gur seekh sake.....umeed hai hume aage bhi aap ke keemti sujao miltey raheNge.

reps +++

ek baar phir se shukriya.
god bless u
Aapne meri koshish ko saraha uske liye beHad shukriya

Meri is koshish se ager kisi ko thoRa sa faida huwa to meN samjhoN ga keh meri meHnat raaigaaN nahieN gai ... waise to internet per bahut zyada tafseel se bhi samjhaya gya hai , umeed hai dheer saHb ki di huwi link bahut saare aHbaaboN ko mustafeed kere gi .

baaQi dua hi ker sakta hoN unke liye jinhaiN shaa'iri seekhne ka shauQ hai Rab unki muraad poori kere

Aameen

Mujeeb
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Old
  (#6)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
22nd October 2008, 07:47 AM

Mujeeb Bhai.......dard section mein esi type ki phele bhi thread hai, par yahaN ishq section mein nahi thi, so maine aapki es koshish ki yahaN move kar diya hai....umeed hai aap bura nahi manege.....aisa maine esi liye kiya kyuNki kuch members haiN jo bas ishq tak hi rahte haiN, dard section mein kum hi jate haiN, to woh yeh padne se rah jate ......yehi soch kar ki es topic ko sab padeN, maine yahaN move kiya.

ek baar phir se aapka shukriya

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Mujhe khud pe naaz hai ki main SDC ki member huN
Old
  (#7)
Diya_Jale
Huii Sabse Paraayi
Diya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Diya_Jale's Avatar
 
Offline
Posts: 5,283
Join Date: Jul 2008
Location: Kolkata
Rep Power: 44
Mujhe khud pe naaz hai ki main SDC ki member huN - 22nd October 2008, 02:03 PM

Sukriya Mujeeb ji, Dheer ji,

Yeh Thread Un sari members ke kaam aayegi jinhe Nazm Aur Gazal main farQ maloom nahin....
Mujhe to Khud pe naaz hai ki main SDC ki Member hun aur yahan har koi Mujhe kitne help kar rahe hain ...Humesha khus rahiye

Diya

Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai faraz.
Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai

Goodbye SDC

Diya
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
raj_ys
Registered User
raj_ys has a spectacular aura aboutraj_ys has a spectacular aura aboutraj_ys has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 123
Join Date: Aug 2008
Location: keep on changing as working with a company presently in orissa
Rep Power: 18
24th October 2008, 10:47 AM

mujeeb ji,
bahoot hi nek kam apne kiya hai is fark ko samjhna asan kar diya. shukriya. tc god bless
raj
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
zamir
Registered User
zamir has a spectacular aura aboutzamir has a spectacular aura aboutzamir has a spectacular aura about
 
zamir's Avatar
 
Offline
Posts: 176
Join Date: Mar 2005
Location: mumbai
Rep Power: 22
30th November 2008, 07:46 PM

mujeeb bhai
salaam,

kya baat hai bhai aap to kaafi mehnat karte hue dikhayi de rahe ho
bahot khoob bhaijaan main kya kahoon
is tarah ke nek khayal aur sab se badi baat tamam members ke saath share karna
shukriya janaab aapka

tishna
  Send a message via Yahoo to zamir Send a message via AIM to zamir  
Reply With Quote
Old
  (#10)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
21st December 2008, 01:35 AM

Quote:
Originally Posted by raj_ys View Post
mujeeb ji,
bahoot hi nek kam apne kiya hai is fark ko samjhna asan kar diya. shukriya. tc god bless
raj

Aadaab !

kaise haiN app ??? app ko meri adnaa se koshish passand aai jaan ker beHad acha laga ... ager meri yeh teHreer kisi ko kuch seekhaane ke kaam aa sakti hai to yaQeen maaniye beHad khushi ho gi

Mujeeb
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Old
  (#11)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
21st December 2008, 01:38 AM

Quote:
Originally Posted by zamir View Post
mujeeb bhai
salaam,

kya baat hai bhai aap to kaafi mehnat karte hue dikhayi de rahe ho
bahot khoob bhaijaan main kya kahoon
is tarah ke nek khayal aur sab se badi baat tamam members ke saath share karna
shukriya janaab aapka

W.salaam , Zameer bhai

Bhai jaan yeh mera nahi balkeh hum sab ka farz hai jo kuch app jaante haiN use her kisi ke saath baanTiyee taakeh unhaiN bhi kuch seekhne ko mile ... ager app ke kuch bataane se woh kuch seekh sakte haiN to is se beRh ker aur khushi ki baat kiyaa ho gi , haaN jo nahieN seekhna chahte unki apni merzi hai mager hameiN apna farZ poora kerna chahiye .

appko meri yeh choTI se koshish passand aai jaan ker beHad khushi huwi ,

saath dene ka beHad shukriyah

Mujeeb
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Reply

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Ghazal: Farq AukaaT Kaa Hai...! KunaaL Shayri-e-Dard 21 9th January 2010 05:35 PM
What's the difference between behr, nazm, ghazal, kavita, rachna....??? chaahat Shayri Ki Paathshaala 12 11th November 2009 02:17 AM
too tum aur aap ka farq masoomshayer Shayri-e-Dard 12 3rd September 2006 09:41 AM
farq kunjal Shayri-e-Ishq 0 6th June 2003 08:02 PM

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com