Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
laash kandhay per uthaye chalay jaatay hain kuch log
Old
  (#1)
romance
Registered User
romance will become famous soon enoughromance will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 305
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 23
laash kandhay per uthaye chalay jaatay hain kuch log - 31st May 2004, 03:08 AM

ek jhalak dikha ker deewana banaatay hain kuch log
bujhay na jo kabhi aisi aag lagaatay hain kuch log

kabhi koi ajnabi apna sa lagta hay aur kabhi
pass ho ker bhi buhut duur hotay hain kuch log

jub bhoolna hi muqaddar thehra to
yaad kyon baar baar aatay hain kuch log?

ek pal main sadiyain saath jee ker
ek pal main hi bhula daitay hain kuch log

kal thay dost jo aaj hain woh dushman
kis kis tarah say roop badaltay hain kuch log

ek lamhay ki khushi kay liye
umar bhar taraptay hain kuch log

kabhi kisi ko toot ker chaha ho to jano tum
ishq main doob ker kaisay ubhartay hain kuch log

kahin zindagi ka bhar poor maza laitay hain
kahin mer ker bhi zinda rehtay hain kuch log

poori howi zindagi, khatam howa azab-e-umar
laash kandhay per uthaye chalay jaatay hain kuch log
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
sanjoo
MriiGchiika
sanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to all
 
sanjoo's Avatar
 
Offline
Posts: 1,664
Join Date: Sep 2002
Location: INDIA (Mumbai)
Rep Power: 28
31st May 2004, 11:06 AM

Romance...jab jab moka milta hai apko padhne ka sach maane....kagaZ par likhe inn alfazo mai ek dhaRkan sunnte hai..unhe jassbat k roop mai mehsus karte hai..kuch apni halaat se rubaruu ho jate hai......yuu tau pura kalaam behatareen hai par kuch aashaaR dil k bade kareeb mehsus karte hai....

ek pal main sadiyain saath jee ker
ek pal main hi bhula daitay hain kuch log...sach kaha bhai ek damm hakikaT

ek lamhay ki khushi kay liye
umar bhar taraptay hain kuch log.....haan yuu hii hota hai...

poori howi zindagi, khatam howa azab-e-umar
laash kandhay per uthaye chalay jaatay hain kuch log.....hmmm par kisi ko kyaa fhaRk padta hai...yuu hii bemurAvat hote ye dillagii karne wale....

Shukriya...itna achha kalaam se rubaruu karane kaa...Sanju!


Jindagi se to khair shikvaa tha,

muddato mout ne bhi tarsaaya hame..

.....
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
romance
Registered User
romance will become famous soon enoughromance will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 305
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 23
4th June 2004, 03:42 AM

shukria sanjoo ji
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
4th June 2004, 09:58 AM

romance ji,

ek pal main sadiyain saath jee ker
ek pal main hi bhula daitay hain kuch log

taarif ki kya taarif karu? par haan ... bedil ko jaroor shukria kahna chaungi... oosne hi tumse parichay jo karwaya... warna padhhna shayed rah jaata.....

khush raho.
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
romance
Registered User
romance will become famous soon enoughromance will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 305
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 23
6th June 2004, 09:12 PM

meena ji,

aap ka buhut buhut shukria aur bedil ji ko mera salaam zaroor puhuncha dena
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
dil_e_sikast
Nacheej shayra
dil_e_sikast will become famous soon enoughdil_e_sikast will become famous soon enough
 
dil_e_sikast's Avatar
 
Offline
Posts: 557
Join Date: Sep 2002
Location: india(gujarat)
Rep Power: 23
6th June 2004, 09:43 PM

sahi farmaya aapne...
gustakhi maf..kuchh arj karne ko dil chaha aapke in lafjo par..

is tarah apne hunar ko aajmate hai ye ki
war nahi karke bhi jakhm de jate hai kuchh log

ham umra bhar intejar karte hai jis najar ka
kisi aur ki palko pe gharonda basa jate hai kuch log

isi liye kaha tha dil na lagana kisi se 'sanam'
dil chura ke hajar tukde kar jate hai kuch log


taqdeer ne kya kam sataya hua tha
jo ab ye bewaqt hi tuje satane aa gaye
logo ne nahi dekha apne girebaan main
aur dekho 'sanam' ko aajmane aa gaye
-> SaNaM
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
romance
Registered User
romance will become famous soon enoughromance will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 305
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 23
9th June 2004, 03:44 AM

sanam... aap nay buhut acha likha... kaash keh yeh main likh paata
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
21st June 2017, 01:24 AM

Quote:
Originally Posted by romance View Post
ek jhalak dikha ker deewana banaatay hain kuch log
bujhay na jo kabhi aisi aag lagaatay hain kuch log

kabhi koi ajnabi apna sa lagta hay aur kabhi
pass ho ker bhi buhut duur hotay hain kuch log

jub bhoolna hi muqaddar thehra to
yaad kyon baar baar aatay hain kuch log?

ek pal main sadiyain saath jee ker
ek pal main hi bhula daitay hain kuch log

kal thay dost jo aaj hain woh dushman
kis kis tarah say roop badaltay hain kuch log

ek lamhay ki khushi kay liye
umar bhar taraptay hain kuch log

kabhi kisi ko toot ker chaha ho to jano tum
ishq main doob ker kaisay ubhartay hain kuch log

kahin zindagi ka bhar poor maza laitay hain
kahin mer ker bhi zinda rehtay hain kuch log

poori howi zindagi, khatam howa azab-e-umar
laash kandhay per uthaye chalay jaatay hain kuch log
Beautiful lines!!! Very well expressed! Great job!



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Old
  (#9)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
24th June 2017, 11:50 PM

Waahh!!!!!!!!!!!!!!!!!.................



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Is Bete Ki Budhi Maa'i Haat Uthaye Baithi hai ( Qadeertoopchi ) abdulqadeert Shayri-e-Dard 25 23rd August 2010 12:19 AM
kuch khas hain hamein bas apne pyar ka intezaar hain muskaan arora Aapki Shayri 6 19th August 2009 01:08 PM
Ye de ke mereee…..pass kuch aaansoon hain kuch aaaaahein hain. land_cruiser Shayri-e-Ishq 0 9th September 2006 10:55 PM
kia kerr jaatay hain..(shakeel Badayun) ember Ghazal Section 2 22nd March 2005 06:51 PM
sur toot jaatay hain aq_khalidz Shayri-e-Dard 3 4th August 2003 07:51 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com