Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Woh nanha farishTa....
Old
  (#1)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
Woh nanha farishTa.... - 2nd April 2010, 06:29 PM

Woh nanha farishTa..
Sapno me aake gaayab ho gaya..
Bola 'Maa' main aaunga lauT ke..
Aankh khuli to gaayab ho gaya..


Sone ki, ki koshish phir maine..
Neend ka aana muhaal ho gaya..
Khushi de ke sirf ek pal ki..
Gamon se mera daaman bhigo gaya..


Tere bina jeena mere 'Nanhe',
Teri 'Maa' ka dushvaar ho gaya..
Aa ja lauT ke ab Tu 'Maa' ki chaaon me..
Ab bahut roke inTzaar ho gaya..

~Priya



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Old
  (#2)
secret admirer
Registered User
secret admirer is just really nicesecret admirer is just really nicesecret admirer is just really nicesecret admirer is just really nice
 
Offline
Posts: 473
Join Date: Mar 2010
Location: New Delhi
Rep Power: 18
2nd April 2010, 06:34 PM

jisne chena hai wohi lautayega,
jo tere muqaddar hai wohi payega

raat ka gam na kar,

tere jeevan me savera phir aayega



apka.


Na tha main to khuda tha, kuch na hota to khuda hota?
mitaya mujh ko hone ne, na hota main to kya hota !!
(NM)
  Send a message via Yahoo to secret admirer  
Reply With Quote
Old
  (#3)
sajid_ghayel
Registered User
sajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant future
 
sajid_ghayel's Avatar
 
Offline
Posts: 1,849
Join Date: Feb 2009
Location: Mumbai
Rep Power: 32
2nd April 2010, 06:40 PM

Sach kahu to Priya jee shayed bada mushkil hai kisi ke liye bhi ke woh aapki is haqeeqat ke aage kuch kahe...........na wah kar sakte hai na aah bhar sakte hai aah bharne se shayed aapke dard me aur izafa ho jaye......

Bohat pyaari lagi aapki dua Secret Admirer jee....


Jhoot kehdu yeh meri fitrat me nahi shamil

Par tujhe bevafa bhi kehna achcha nahi lagta...

Mob.: +971 501297654
  Send a message via Yahoo to sajid_ghayel  
Reply With Quote
Old
  (#4)
amit7600
Registered User
amit7600 is just really niceamit7600 is just really niceamit7600 is just really niceamit7600 is just really niceamit7600 is just really nice
 
Offline
Posts: 484
Join Date: Oct 2009
Location: Kolkata-City of Joy
Rep Power: 19
2nd April 2010, 10:47 PM

yeh to keh nahi sakta ki acchi lagi aapki rachna....aise shabd hi nahi bane jo aapke ehsaaso ko tol sake....kuch nahi kehna...kahi koi hai....to jaroor jawab dega aapki vedna ka....aisa mera atal vishwas hai....sajid saheb aur secret admirer saheb ne jo bhi vyakt kiya....meri bhavna bhi shayad vohi hai.....

ishwar kush rakhe aapko aur jo bhi aapki kamna hai vo purn ho yehi meri dua hai bas.......


amit7600
Aandhiya Gam Ki Chalegi To Sawar Jaoonga Me
Mai To Dariya Hu Samoondar Me Utar Jaaonga Me
Mujhe Suli Pe Chadane Ki Jaroorat Kya Hai Logo
Mere Haato Se Kalam Cheen Lo Yuhi Mar Jaoonga Me


(When i received You in my heart everything changed for me)
  Send a message via Yahoo to amit7600  
Reply With Quote
Old
  (#5)
Harash Mahajan
MaiN Our Meri Tanhaayii
Harash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud of
 
Harash Mahajan's Avatar
 
Offline
Posts: 984
Join Date: Oct 2006
Location: Delhi
Rep Power: 31
2nd April 2010, 11:09 PM

Quote:
Originally Posted by chaahat View Post
Woh nanha farishTa..
Sapno me aake gaayab ho gaya..
Bola 'Maa' main aaunga lauT ke..
Aankh khuli to gaayab ho gaya..


Sone ki, ki koshish phir maine..
Neend ka aana muhaal ho gaya..
Khushi de ke sirf ek pal ki..
Gamon se mera daaman bhigo gaya..


Tere bina jeena mere 'Nanhe',
Teri 'Maa' ka dushvaar ho gaya..
Aa ja lauT ke ab Tu 'Maa' ki chaaon me..
Ab bahut roke inTzaar ho gaya..

~Priya
Priyaa ji adaaab...aapki iss dil paziir tehreer ko paRh Dil pEeda se our AankheiN ek anjaan se dard se nam ho gayii...aksar ye sawaal zehen ko pareshaan kerta hai ki aakhir hamaare wazood ka maksad kya hai..kyuN hum iss duniyaaN me aate haiN...our jo bhi rooh hamse wabasta hoti hai ..chahe woh santaan ke zriye ya dosti ke zariye....Bichharne ka kaaran kyuN ker banta hai....iss sawaal ka jawaab toh mere paas aaj tak nahiN aa paya..lekin in nazmoN ke zariye kutchh kutchh ahsaas hota hai...koi na koi rishta toh hai jo ye rooh kisi kaaran wash hamaari zindagi se wabasta hoti haiN....jo dard ka ahsaas deker chali jaati haiN.....
Aapne jo iss nazm ki shakal meiN jo dard ko pesh kiya hai woh aapke jazbe ko baakhubi bayaan ker raha hai...merii jaanib se khuda se yahi darkhwaasth hai ke aapko iss Dard is dawaa banker aapki khwaaiish ko poora kareiN......our aapko apni parchhaiyoN meiN rakhe...



Harash
  Send a message via Yahoo to Harash Mahajan Send a message via MSN to Harash Mahajan  
Reply With Quote
Old
  (#6)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 86
4th April 2010, 09:10 AM

Tere bina jeena mere 'Nanhe',
Teri 'Maa' ka dushvaar ho gaya..
Aa ja lauT ke ab Tu 'Maa' ki chaaon me..
Ab bahut roke inTzaar ho gaya..

Priya Ji......Jahaa yeh panktiya Maa ke dard ko bayaan karti hai.....wahii...aashaawaan bhi banati hai........aapka "Nanhe" zarur aapki Gaud me khelne aayega.....

Bhagwaan Maa ko jiyada der naa-ummeed nahi rakh sakte.....aisa mera vishwaas hai.....

apna theek se khayal rakhe....
duaaon ke saath.....




YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...


---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Old
  (#7)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
2nd May 2010, 08:17 PM

Shukriya dosto aapki duaaon ke liye..



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com